Khawab ki tarah bikhar jaane ko ji chahata hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahata hai
ghar ki wahshat se laraztaa hoon magar jane kyon
shaam hoti hai to ghar jane ko ji chahata hai
Doob jaon to koi mauj nishaaN tak na bataye
aisi nadi mein utar jaane ko ji chahata hai
kabhi mil jaaye to raste ki thakan jaag pari
aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai
vahi paimaan jo kabhi ji ko Khush aaya tha bahut
usi paimaan se mukar jaane ko ji chahata hai
