Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Sajjad khan
hammm..................
cool.gif
Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab hum tum saath hotey they,
woh geelay neem k neechay,
geelee ghaas pe baitha,
chandnee raat main,
main tumharee zulfain gina kerta tha,
aur tum madhosh see masoom se ,
meree soorat taktee theen,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum merey pehlo main baithee,
un udaas palon ko yaad kia kartee theen,
jab tum mujh se rootha kertee theen,
kuch naraaz naraaz see tumharee soorat,
mujh main khalish see paida kertee thee,
jaisey pooree dunya mujh se rooth gayee ho,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab main tumharey kandhey pe ser rakh k,
roya kerta tha,
aur dua kerta tha,
k hum kabhee juda na hon,
tum bhee kia khoob larkee theen,
tum bhee ro dya kertee theen,
phir hum donon,
ek doosrey k,
ansoo poncha kertey they,
aur phir achanak khilkhila k,
hansney lagtey they,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum ek phool k saath,
mujh se milney aya kertee theen,
aur phir kuch hee dair main,
janey kee zid kia kertee theen,
aur main tumhain,
rokta rehta tha,
woh ek ek lamha gina kerta tha,
aur phir achanak tum,
pyar se khuda hafiz kehteen,
aur,
sangeet kee dhunon kee tarha,
hawa main gum ho jaya kertee theen,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tumharey diyey hoey woh phool,
gin gin ker main rakhta tha,
jin kee khushboo se ,
meree almaree mehek see jatee thee,
aur phir us khushbo main main,
aisa samo sa jata tha,
jaisey merey jeewan main udasee,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...

jab tum barkha rut main akeilee,
chhat pe aya kertee theen,
apney sundar haton se,
kaprey phailaya kertee theen,
main ghar kee mundair pe charha,
tumhain hath hilaya kerta tha,
aur rum anjaan se ban k,
neechay bhag jayaa kertee theen,

Woh Kitney Haseen Lamhey They...


Ab to koi bhee naheen hai,
woh lamhay woh yadain hain,
na koi soorat na koi kandha,
aur na koi dhanda hai,
na koi roothney wala hai k,
jis ko ab manaya jayey,
na koi matha hai k jis pe,
bosa sa lagaya jayey,
na koi haath hai k jisko,
apney haath main thaama jayey,
aur na koi masoom see soorat,
k jis pe pyar sa aya jayey,
ab to sirf un lamhon kee,
kuch qeemtee see yadain hain,
k jin k saharey jeeney kee,
tamanna main hum harey hain,
HUM HAREY HAIN....HUM HAREY HAIN...


Cupid
user posted image
DiarY
sajjjad
gud one man
u typed it?
whew
54.gif\
n cupid gud one
wasi shah?
or farhat abbas shah?
Diva
Suno!!
Jub khoushbouain ailan kerti hain
Kisi k loat aanay ka
To phir lafzon main kaisay likh sakain gay
Us ki aamed ki kahani ko
Wafa ki hukmerani ko
Suno,tum bhi zera daikho
Mohabbet ki duain mangeti sheb nay
Natai ek surkherou din k khawab daikhain hain
Yeh kaisa khoushnuma ahsas hay
Ayiendah anay walay berson main
Her ek mosam,Her ek din ki dhenek
Kirnon ko
Hum aik sath bertain gay
Suno!jub khoushbouin ailan kerti hain
Cupid
QUOTE (DiarY @ Jan 8 2004, 07:18 AM)
sajjjad
gud one man
u typed it?
whew
54.gif\
n cupid gud one
wasi shah?
or farhat abbas shah?

Farhat 9.gif
Sajjad khan
QUOTE (DiarY @ Jan 8 2004, 02:18 AM)
sajjjad
gud one man
u typed it?
whew
54.gif\
n cupid gud one
wasi shah?
or farhat abbas shah?

yes i type it
its v hard to do
but i like hard works
1.gif
Sajjad khan
hammm................
cool.gif
Gham-e-zindagi teri rah mein, shab-e-aarzo teri chah mein
jo ujar gaya woh basa nahin, jo bichar gaya woh mila nahin
jo dil-o-nazar ka suroor tha, meray pass reh ke bhi dour tha
wohi aik gulab umeed ka, meri shakh-jaan pe khila nahin
DiarY
aankh se duur sahee dil se kahan jayay ga
janay walay tu humein yaad buhat aayay ga

do k bajayay chayay banayee hay aik cup
afsoso aaj tu bhi feramosh ho gaya


Diva
QUOTE (Cupid @ Jan 7 2004, 09:47 PM)
user posted image

Nice on cupidddddddddddddd
Sajjad khan
hammm................
cool.gif
Sabhi log to kabhi achay nahin rehtay
jin se sach seekha hai woh bhi sachay nahin rehtay
kiun aisa hoota hai aetebaar ki tooti dehleez per
jo buhat apnay hoon, akser apnay nahin rehtay
~*~colleen~*~
Jantay to hum bhi thay
Mantay to hum bhi thay
Itni taiz andhi main
Kab charag jalta hay
Dil magar machalta hay
Dil ki zid ko kiya kahain !


Ab key hum nay socha hay
Kum nafas charagoo main
Ik charag aissa bhi
Jal key hum jallaye gay
Tund-khoo hawaein bhi
Us ko jab bhujhaye gi
Dil bhi bhuj hi jaye gaaaa!
Sajjad khan
cheak it
Diva
user posted image

Nice one Sajjad
Diva


baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa



Sajjad khan
thanx diva g
kamal ke gazal likh dee
keep it up
nice one again
Sajjad khan
hammmm..............
cool.gif
Roothay huay pal ko kesay manain ge
roootay huay kesay ham muskurain ge
meray sitam jab tumhain yaad aain ge
dil ke teray tukrey ker jain ge
nafrat ki aag mein tum ko jala ke
kia mila hai mujhay tum ko bhula ke
yeh soochta hoon sab kuch luta ke
Cupid
QUOTE (Diva @ Jan 12 2004, 02:12 PM)


baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa




huh.gif huh.gif huh.gif
~*~colleen~*~
Aik kamra-e-imtehan

Bay nigha ankhoo say daikhtay hai parchay ko
Bey khayal haathoo say
Un banay say lafzoo per ungliyaa ghumatay hay
Yah sawal-namay ko daikhtay hi jatay hay!
Her taraf kan-ankheyoo say bach bacha key taktay hay
Doosru key parchoo ko rahnuma samajhtay hay
Shayad iss tarah koi rasta mil jaye!
Bay nishaan khawaboo ka kuch patta hi mil jaye!
Mujh ko daikhtay hay to
Youn jawab copy per hashyee lagatay hay
Dairay banatay hay
Jaissay in ko parchay key sab jawab atay hay
Iss tarah key manzar main
Imtehan-gahoo main, daikhta hi rehta tha
Naql kernay waloo key
Nit naye tareeqoo say
Aap lutf laita tha, doosto say kehta tha
Kiss taraf say janay yeh
Aaj dil key aangan main aik khayal aya hay
Sainkaroo sawaloo sa aik sawal laya hay
Waqt ki adalat main
Zindagi ki soorat main
Yeh jo tairay haathoo main, aik sawalnama hay
Kiss nay yeh banaya hay!
Kiss liya banaya hay!
Kuch samajh main aya hay?
Zindagi key parchay key
Sab sawal lazm hay, sab sawal mushkil hay!
Bay-nigha ankhoo say daikhta hoon parchay ko
Bay-khayal haathoo say
Un-banay say lafzoo per ungliyaa ghumata hoo
Hashiyee lagata hoo
Dairay banata hoo
Yah sawal-namay ko

Daikhta hi jata hoo!!!!
Sajjad khan
hammm..........
cool.gif
Roothay huay pal ko kesay manain ge
roootay huay kesay ham muskurain ge
meray sitam jab tumhain yaad aain ge
dil ke teray tukrey ker jain ge
nafrat ki aag mein tum ko jala ke
kia mila hai mujhay tum ko bhula ke
yeh soochta hoon sab kuch luta ke
Diva
Thanks Sajjad

Cupid??
Sajjad khan
its my pleasure diva g
its my fav shair
dil say sunoo gay tu acha lagay ga
usay meri chup ne rula dia
jisay guftugoo main kamal thaa
Virus
@ diva..

zaberast smile.gif
Virus
QUOTE (Sajjad khan @ Jan 14 2004, 09:35 AM)
hammm..........
cool.gif
Roothay huay pal ko kesay manain ge
roootay huay kesay ham muskurain ge
meray sitam jab tumhain yaad aain ge
dil ke teray tukrey ker jain ge
nafrat ki aag mein tum ko jala ke
kia mila hai mujhay tum ko bhula ke
yeh soochta hoon sab kuch luta ke

hahaha.. nice one yaaar..
it make me rem sum thing about her..

so many thanks yaar laugh.gif

nice poem... 7.gif smile.gif
Diva
Thanks Virus ...


Sajjad khan
thanx virus
Sajjad khan
hammmm.................
cool.gif
Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai

Simple Girl
[FONT=Impact][SIZE=7][COLOR=purple]Is Baras
[COLOR=blue]is baras ki ibtada main nay tum hi say ki hai
[COLOR=blue]tumharye naam ki hatili per dua kai haroof kuch is tarah likhye hain
[COLOR=blue]kai tery diyoon ko tund hawa ki nazar na lagye
[COLOR=blue]teri aankhoon main qus-e-qaza ho ,jugnoo hoon, tarye hoon
[COLOR=blue]tery safar ki kahaniyoon main chaoon kai zikar sarye hoon
[COLOR=blue]dhoop ki hidatien na hoon, piyaas ki shidatien na hoon
[COLOR=blue]sukhoon kai tamaam darya terye rastye say ho kar guzrien
[COLOR=blue]ghani barishoon kai rang tujhye chahatoon ki naveed snoupien
[COLOR=blue]aur kabhi jab tu bay mahar saitaoon ki taraah
[COLOR=blue]bichar jaye bikhar jayeh
[COLOR=blue]to tab zindagi tujhye milaye, samita karye
Virus
your welcome both.. diva/sajjad smile.gif

@ grl -- nice but lil disturbin... just edit it....

smile.gif
Diva
yeh phir aadhi raat ko churiyan se kia khankti hain
koi aata hai ya mere hi zanjeerain chanakti hain
yeh baatain kis tarhan poochon main sawan key maheene se
key ghabra gaya hoon mian is tarhan ro ro key jeene se
peene do jaam mujhe aapne lahoo ka peene do...
na roko mujhe..mere tahayonnnnnnnnnnn

meri tanhayon tum hi lagalo mujh ko seene se
ke mein ghabra gaya hoon es tarah ro ro ke jeene se
Diva
QUOTE (Simple Girl @ Jan 20 2004, 09:35 AM)
Is Baras
is baras ki ibtada main nay tum hi say ki hai
tumharye naam ki hatili per dua kai haroof kuch is tarah likhye hain
kai tery diyoon ko tund hawa ki nazar na lagye
teri aankhoon main qus-e-qaza ho ,jugnoo hoon, tarye hoon
tery safar ki kahaniyoon main chaoon kai zikar sarye hoon
dhoop ki hidatien na hoon, piyaas ki shidatien na hoon
sukhoon kai tamaam darya terye rastye say ho kar guzrien
ghani barishoon kai rang tujhye chahatoon ki naveed snoupien
aur kabhi jab tu bay mahar saitaoon ki taraah
bichar jaye bikhar jayeh
to tab zindagi tujhye milaye, samita karye

Zabardast ...



TIP: put the whole poem in single tag ..understand what I mean 7.gif
Virus
QUOTE (Diva @ Jan 21 2004, 06:20 AM)
yeh phir aadhi raat ko churiyan se kia khankti hain
koi aata hai ya mere hi zanjeerain chanakti hain
yeh baatain kis tarhan poochon main sawan key maheene se
key ghabra gaya hoon mian is tarhan ro ro key jeene se
peene do jaam mujhe aapne lahoo ka peene do...
na roko mujhe..mere tahayonnnnnnnnnnn

meri tanhayon tum hi lagalo mujh ko seene se
ke mein ghabra gaya hoon es tarah ro ro ke jeene se

^ pehley bhi post ker chuki ho.. m*ti.. dry.gif
any way n(i c e) smile.gif

>>>
kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna!!
<<<
Diva
Yaar yaad nahin rehta as I posts on other Forums too ....

Chaltay Chaltay Kaha a gaye hain
Khud se aur bhi dur ja rehay hain
yeh pagal dil ha thumare pyar mein
liken majboor hain bohat izhar kar nahi saktay
Iss wakth ko to hum rokh nahi saktay
Kash ke tum hame bata saktay
Kiss ke liye dil dharakta ha thumara
Dua ha meri ke milay har khushi thume
De doo thume zindagi appni aur rukh jaye saansein meri..
Khushi isse mein ha meri ke
Chaho tum jiss ko mil jaye wo thume..
Sajjad khan
hammmm................
cool.gif
Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon Kinaarey sey Samandar nahin dekha jaata
sono
sajjad khan
sono
nice sajjad
sono
hhhhmmmmmmmmmmmmm..................
nice sajjad

you are intallygent/..
Sajjad khan
thanx budy
~*~colleen~*~
user posted image
Sajjad khan
hammm........
cool.gif
kabhi kabhie Woh humain Be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin Uss per abhi zamaaney ka
Cupid
user posted image
~*~colleen~*~
^sung by Juaind Jamshed .....SuPeRBbBbB SeLeCtIoNnNnN
~*~colleen~*~
user posted image
Sajjad khan
hammm..........
cool.gif
kal ho na ho aaj tu hai na
aaj ho na ho yeh pal tu hai na...
yeh pal ho na ho hum tu hain na...
hum ho na ho hamari dosti tu hai na.
dil ki galion main koi gham na ho,
hamari yeh dosti kabhi kam na ho,
bas yahi dua hai k tum khush raho,
kya pata hum KAL HO NA HO.
cute yusi
baat be baat roothne wale
ja tujhe tere haal per chora
cute yusi
hoon ajab kashmakash mein
huwi zindagi parayi
mere pas teri yadein
tere paas bewafai
cute yusi
hoon ajab kashmakash mein huwi zindagi parayi
mere pas teri yadein tere paas bewafai
mere dil ko tu ne cheena meri preet jag ne looti
tujhe khaab hi mein dekhoon yeh bharm bhi aj toota
tere khaab kaise dekhoon mujhe nind hi na aye
Cupid
QUOTE (cute yusi @ Jan 29 2004, 10:43 PM)
hoon ajab kashmakash mein huwi zindagi parayi
mere pas teri yadein tere paas bewafai
mere dil ko tu ne cheena meri preet jag ne looti
tujhe khaab hi mein dekhoon yeh bharm bhi aj toota
tere khaab kaise dekhoon mujhe nind hi na aye

oh...man...this is one of my favt ghazal...sung by mitalee...do u have this ????


UC ohmy.gif
Sajjad khan
hamm..
cupid g maray paas yah gazal hay smile.gif
cool.gif
Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
Cupid
mp3 mai ?
Cupid
posting it again.... smile.gif

user posted image
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.