Woh majboori nahein thi, yeh adakari nahein hay
Magar dono taraf pahli si sar-shari nahein hay
Bahanay say ussay bas daikh ana pal do pal ko
Yeh fard-e-jurm hay aur ankh inkari nahein hay
Main tairee sard-mehri say zara bad-dil nahein hoo
Mairay dushman! taira yeh war bhi kari nahein hay
Main us key qoal per iman laa ker khoof main hoo
Kahein lehjay mainto zalim key ayari nahein hay
Palat-nay ka irrada ho sakay to tum bhi kar loo
Yeh bazi ajj tak dil nay khabhi hari nahein hay
Jahan ik roz khil jaye humaray naam ker phool
Bharay gulshan main kiya aissi koi kayari nahein hay
Sakoot-e-sher to phir bhi samjh main aa raha hay
Pass-e-deewar bhi kiya garya-o-zarri nahein hay
Bicharnay wallay itnay ho gaye hay sher-der-sher
Key baqi abb kissie ghar main aiza-dari nahein hay