Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Cupid
bahot khubsurat uzmasami....der aalaa
Diva
Wafa ka Ehd thaa Dil ko Sambhalney kay liye
Wo hans parey mujhay Mushkil mein Dalney kay liye

Bandha hua hai Baharon ka Ab bhi wohi tanta
Jahan ruka tha mein Kantey nikalney kay liye

Uter parey hain kahan say ye Andhiyon kay Jalus
Sammandaron say jazeeray nikal ney kay liye

Hai sirf humko teray khad-o- khal ka Andaza
Ye aenay tou hain Herat mein dalney kay liye



Remember thas not a Full ghazal ...
Shadow Master
POEM

Jaab se suna hai
Usay
Sawaan ka mousam
Bohat passand ha
Uss din se
Mere aankhoon main
Barsaat ka bheega mousam
Ther saa gaya ha
~*~colleen~*~
HI all !

main bhi kuch apni passand ka yaha post karnay lagi ho.....if someone have already posted it then sorry...coz i havent read the WHOLEEEE thread..

Gayee dinoo ka surag lay ker kidhar say aya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhay to hairan ker gaya who

Khushi ki rut ho key ghum ka mousam nazar ussay dhoondhti hai her dum
Who boo-e-gul tha key nagma jaan mairay dil main uttar gaya woh

Bas aik moti si chab dikha ker bas aik meethi si dhun suna ker
Sitara-e-shaam ban ker aya barang-e-khawab sehar gaya woh

Na ab yadoon ka behta darya key na qurbatoon ki udass barkha
Younhi zara si kasak hai dil main jo zakham gehra tha bhar gaya woh

Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi badal chala rang-e-assman bhi
Jo raat bharri thi tal gayee jo din kara tha guzar gaya
Shadow Master
Good 1 COLLEEN'smile.gif'

KHALISH

Rukay huay hontoon k saath
Dil main jazboon ka tofaan leay
Hum un k samnay baithay rahay kuch dair talak
Na hont hilay, na baat hui
Phir dharka aur hont hilay, Zubaan nay zara see jurrat kee
Aankhoon main chamak see aanay lagi
Prr kismat nay saath choor dia....Woh chal deay
Hathoon main kesi ka hath leay
Hum kehtay huay bhi keh na sakay
Dil main khalish see reh gai
Izhaar kee....! Iqraar.........!!!
Diva
Sharab


Dhal gayaa aafatab aey Saqi
Laa pila de sharab ai Saqi

Yaa surahi laga mere muunh se
Yaa ulat de naqaab ai Saqi

Maikada chor kar kahaan jaun
Hai zamana Kharaab aey Saqi

Jaam bhar de gunahagaaron ke
Ye bhi hai ik savab ai Saqi

Aaj peenay de aur peenay de
Kal kareinge hisab aey Saqi
kukku
Paagal kar daiti hain.....

Yaadein paagal kar daiti hain
Baatain paagal kar daiti hain
Chehraa hosh bulaa daita hai
Ankhain paagal kar daiti hain
Din tu khair guzar jaata hai
Raatain paagal kar daiti hain
Teri khaatir marr kar SHAZI!
Baatein paagal kar daiti hain...
~*~colleen~*~
Thnx Shadow Master
here is another one.....

Sorry guys i was trying to attach an file ,......but it didnt work :angry ......gonna type it now......n will post it here as soon as possible.....once again very sorry....'sad.gif'
Shadow Master
KUKKU yeh SHAZI kon ha;)

MAA(mother)

Main chalta hoon to koi aasra mujh ko
Wafa kee god main lay krr
Bhataknay se bachata ha
Yeh he ik aasra ha jis ko MAA kehye
Main khud mehsoos karta hoon k woh aksar
Ghamoon k saab jhamailoon main
Bhi chupkay se
Mohabbat kee haseen chadar
Se mujh ko dhanp daitee ha



~*~colleen~*~
Jantay to hum bhi thay
Mantay to hum bhi thay
Itni taiz andhi main
Kab charag jalta hay
Dil magar machalta hay
Dil ki zid ko kiya kahain !


Ab key hum nay socha hay
Kum nafas charagoo main
Ik charag aissa bhi
Jal key hum jallaye gay
Tund-khoo hawaein bhi
Us ko jab bhujhaye gi
Dil bhi bhuj hi jaye gaaaa!
Shadow Master
ADHOORAY KHAWAB

Jab sapnay toot jatay Hain
Jab khawaab
Bikar jatay hain
Jab kesi k naseeb kee barish
Kesi aur chat(roof) prr
Baras jati ha
To insaan neli voustoon
Prr uraty un parindoon kee
Mannad ho jata ha
Jo uraty uraty thak haar krr
Wapis lot aatay hain...
Diva

Kabhi youn bhi aa meri aankh main k meri nazer ko khaber na ho
Mujhay aik raat nawaz dai,mager us k baad seher na ho

Woh berha reheem-o-kareem hai mujhya yeh sifet bhi ata keray
Tujhay bhoolnay ki dua keroon,to meri dua main aser na ho

Meray bazouon main theki theki abhi mehv-e-khawab hay chandeni
Na uthay sitaron ki paleki abhi aheton ka ziker na ho

Yeh ghazal k jaisay hiren ki aankh main picheli raat ki chandeni
Na bichay kharabay ki roshni kabi becheragh yeh gher na ho
Shadow Master
Bari khoobsurat ghazal hai BASHIR BADAR kee, nice DIVA

Kabhi din kee dhoop main jhoom k, Kabhi shab k phool ko choom k
Yun he saath saath chalain sada kabhi khatam apna safar na ho
Diva

--------------------------------------------------------------------------------



Beena ko tah-e-khaak ju-e-sheer nazar aaye,
Aalim ki kainaat ki tasweer nazar aaye,
Ghafil karay ghalti, to dorhay hai mullah paas,
Woh shukhs jisay bus zahiri tasweer nazar aaye.

Kiya dariya paar karna, kia doob kay mar jaana,
Aashiq ko har su Jaana ki tehreer nazar aaye,
Jo bay adab, bay sabab, bay aqal karay baat,
Woh qaum mujhay soch ki faqeer nazar aaye.

Pata chalay jaahil ki us ki soch ka fuqdaan,
Aaqil mujhay ghurbat main bhi ameer nazar aaye,
Aalim ki kum goi say ho zarkhaiz bhi sehra,
Zehnon pay uska asar bhi aseer nazar aaye.

Maula Azam ko aqal day kai yeh jahan usko,
Aik boond kay aagay kabhi haqeer nazar aaye...

Diva
QUOTE
Originally posted by ~*~colleen~*~
Gayee dinoo ka surag lay ker kidhar say aya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhay to hairan ker gaya who

Khushi ki rut ho key ghum ka mousam nazar ussay dhoondhti hai her dum
Who boo-e-gul tha key nagma jaan mairay dil main uttar gaya woh

Bas aik moti si chab dikha ker bas aik meethi si dhun suna ker
Sitara-e-shaam ban ker aya barang-e-khawab sehar gaya woh

Na ab yadoon ka behta darya key na qurbatoon ki udass barkha  
Younhi zara si kasak hai dil main jo zakham gehra tha bhar gaya woh

Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi badal chala rang-e-assman bhi
Jo raat bharri thi tal gayee jo din kara tha guzar gaya


Awesome Colleen ...Simply awesome ..BTW whose poetry is this ??
cute143
muhabat bandagi hai iss may tan ka karab mat mangoo
k jis ko chu lia jaay,ussay poja nahin kartay
'smile.gif'
Diva


Yaadein Lekar Nayi Puraani Kagaaz Par
Likhtha Hun Mein Roz Kahaani Kagaaz Par

Jaate-Jaate Likh Kar Ek Pyaara Sa Naam
ChoRh Gaya Woh Aapni Nishaani Kagaaz Per

Phool Sa Ek Liffafa Aaya Mere Naam
Mehak Rahi Thi Usaki Jawani Kagaaz Par

Shaayad Khat Likhate-Likhate Woh Roya Tha
Jagah Jagah Phehla Tha Paani Kagaaz pa


'Diva' PaRhta Hoon Anjaane Cheharon Par
Tasveeren Jaani Pehechaani Kagaaz Par



Shadow Master
Bay kali, bay khudi, bay basi day gaya
Kuch naey tajarbay ajnabi day gaya

Us ke sodagari main bhi insaaf tha
Zindagi lay gaya, zindagi day gaya

Sochnay k leay pal kee mohlat na dee
Jagnay k leay ik sadee day gaya

Lay gaya jaan-o-dil jism se khainch krr
Haan, Magar woh rooh kee tazgi day gaya
Sajjad khan
hammm.................
:sarc
aik pal main ek sadi ka maza hum se poochiye
do din ki zindagi ka maza hum se poochiye
hansney ka shoq tha hamen bhi apki tarhan
hansey magar hansi ka maza hum se pochiye
bhooley hain waqfa waqfa unhen mudat main hum
qiston main khud khushi ka maza hum se poochiye
agaz e ashiqi aap janiye
anjam-e-ashiqi hum se poochiye
~*~colleen~*~
QUOTE
Originally posted by Diva

Awesome Colleen ...Simply awesome ..BTW whose poetry is this ??


thnx Diva for liking....i think its faraz's poetry ( not sure).....
Shadow Master
ZID

Main kyun uss ko fone karoon!
Uss k bhi to ilm main ho ga
Kaal shaab
Mousam kee pehli barish thee
Sajjad khan
hammm.................
:sarc
jab kabhii teraa naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain
merii barbaadiyon ke afasaane
mere yaaron kaa naam lete hain
bas yahii ek jurm hai apanaa
ham muhabbat se kaam lete hain
har qadam par gire par siikhaa
kaise giraton ko thaam lete hain
ham bhaTak kar junuu.N kii raaho.n me.n
aql se i.ntaqaam lete hai.n
Shah Kourush
khavateen-o-hazraat yeh mera zaati shair hai aur movazeb hojaaye, yeh mera urdu zaban mei avval shair hai, to agar kharaab hai to baraye meherbaani mujhpe laanat mat bhejiye.

Mera koi Thikaana Nahi
Mera koi khaana Nahi
Jaha jata hoo
Uss jaga ko Ghar le kar beiTh jaata Hoo
Magar woh Ghar kya jis-se rihaayish kam
Doori ziyaada milti hai"
Sajjad khan
QUOTE
Originally posted by Shah Kourush


            khavateen-o-hazraat yeh mera zaati shair hai aur movazeb hojaaye, yeh mera urdu zaban mei avval shair hai, to agar kharaab hai to baraye meherbaani mujhpe laanat mat bhejiye.

Mera koi Thikaana Nahi
Mera koi khaana Nahi
Jaha jata hoo  
Uss jaga ko Ghar le kar beiTh jaata Hoo
Magar woh Ghar kya jis-se rihaayish kam
Doori ziyaada milti hai\\"

aray yah ap na kiya baat kah dee.....'sad.gif'u post a great poetry best of this form......keep it up nice one
Shah Kourush
Chiefsaab bohot bohot Aadaab, va lekin aap yeh vaqeyan keh rahe hain, yaa tanz hain
Shadow Master
PHIR KIA HO GA

Zindagee ka her lamha
Tere naam kartay huay
Main nay to yeh bhi
Nahin socha tha
Agar tu he
Saath choor gaya
To,
Phir kia ho ga......
Sajjad khan
QUOTE
Originally posted by Shah Kourush


            Chiefsaab bohot bohot Aadaab, va lekin aap yeh vaqeyan keh rahe hain, yaa tanz hain

kuch samjh nahi ayee:angry
yah kiss ke post ka replay kiya hay ap nay????:zzz
Sajjad khan
hammm.....................
:sarc
Is zindagi ki raah per
Milo tum mujh say kabhi agar
Na aankhon main shanasaayie ho
Na ho naam mera honton per
Yoon guzro jaisay keh ho ajnabi
Na milaana tum mujh say nazar
Ke aankhain hain meri bewafa
Yeh raaz na tum peh khol dain
Jo aansoo hain rukay howay
Palkon kay band na torr dain
Tum m'urr kar bhi na mujh ko dekhna
Ke kiya khabar woh ik nazar
Mujhay phir say dagmaga na day
Phir ik baar meray seenay main
Ik aur zakhm laga na day
To suno na bhool jana tum
Kisi raah per milo jo tum kabhi
Guzar jaao ke jaisay ho ajnabi
beaitabari
sukh banttey phirtey tehey magar kitney dukhi tehey;

bechargy-e-gham mein bicharoon key saharey;

woh jin ko naa raas aye tabeboon key dilasey;

shaid key behl jayein nigaroon key saharey;




:love :butterfly
Diva

Dost kya khub wafaon ka sila dete hain
Har naye mor pe ek zakhm naya dete hain

Tumse to khair ghari bhar ki mulakat rahi
Log sadiyon ki rafaqat ko bhula dete hain

Kaise mumkin hai ki dua bhi na ho aur dil bhi jale
Chot parti hai to pathar bhi saja dete hain

Kaun hota musibat mein kisi ka ae dost
Aag lagti hai to pate bhi hawa dete hain

Jin pe hota hai dil ko bharosa 'Diva'
Waqt parne pe wohi log daga dete hain

Shadow Master
Kaun hota musibat mein kisi ka ae dost
Aag lagti hai to pate bhi hawa dete hain
Nice Diva

POEM:-

Teray naqash naqash nay
Zindgee kee kitaab say
Mera lafz lafz meta deya
Main k musafir ishq tha
Mujhay khaak khaak saja deya
Sajjad khan
hammm...........................
:sarc
wo mujh se poochta hai PHOLOUN k sath titliyan kiu hoti hain?
Mein ne kaha KHUD KO MERE SATH TASAVOUR MEIN DEKHNA.

Wo mujh se poochta hai Piyar Kerna kis ko kehty hain?
Kaha mein ne AMAR HOJANAY KA NAAM PIYAR HAI.

Wo mujh se poochta hai Batao mujhy yaad kerti ho?
MEIn ne kaha YAAD TO UNHIEN KIYA JATA HAI JINHIN BHOLA JATA HAI.

Wo mujh se poochta hai kitni mohbbat hai tumhien mujh se?
MEin ne kaha JITNI DIL KO DHARKAN SE HOTI HAI.

Wo mujh se poochta hai apni duaoun mein mangti ho mujhy?
Mein ne kaha TUMEHIN TO MANGA HI DUAOUN SE HAi....
kukku
Bhaar k harr pattai sai dil pai zakham laga hai...
teri harr ik baat sai dil pai teer chala hai...
aankhon sai jo ansoo chalak aye thai ik din...
unhain puunchatai humai ik zamana laga hai...
jab sai tum sai bicharrai hain hum tabb sai...
zindaghi ka harr lamhaa bura laga hai...
yooon abb jo hanstai ho tum gairoon sai mill kar...
kia hamara piyaar itnaa he buraa laga hai...
'sad.gif'
~*~colleen~*~
Wajha_e_talkhi

Bad mudat jo usay daikha hum nay
Khud barh ker karain baat
Yeh socha hum nay
Guzri ranjishoo ko bhoolain
Jo ankh say barsii, Un barishoon ko bhoolain
Qadmoo ko magar tairee ada nay rok diya
Tairay
Andaz main jo ajnabiyat thi
Mujhay uss nazar-ashna nay rok diya!!!

Beauty-Queen
hi my name is tanya and u?
Diva

Dil dharakne ka sabab yaad aya
Woh teri yaad thi ab yaad aya

Aaj mushkil tha sambhalna aye dost
Tu museebat mein ajab yaad aya

Din guzara tha bari mushkil se
Phir tera wada-e-shab yaad aya

Haal-e-dil hum bhi sunate lekin
Jab woh rukhsat hua tab yaad aya

Beth kar saaya-e-gul mein \"Naasir\"
Hum bahut roye woh jab yaad aya
Diva
QUOTE
Originally posted by Beauty-Queen


            hi my name is tanya and u?

Welcome abroad ..I dont know whom ya asking but anyways I welcome you in here ...
Such a nice name btw here you from ??

Welcome to the Shairi World .
Shadow Master
SACHI KHUSHI

Main
Nikal para jab
Khushi kee talash main
Tab
Beech safar main yaad aaya
Yeh dunnia pather logon kee
Tab
Mayoosion k badal
Dil pay cha gaey
Aur
Main nay aankhain mond lein










Diva

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say,
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say.

Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say.

Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey,
Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey.

Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey.

Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey.

Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai 'Diva',
Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey.
~*~colleen~*~
Aik doost key naam

Larki!

Yeh lamhay badal hain
Guzar gaye to haath khabhi nahein aye gain
In key lams ko peeti ja
Qatra qatra bheeghti ja
Bheeghti ja to jab tak in main num hay
Aur tairay andar ki mitti pyasii hay
Mujh say pooch
Key barish ko wapis anay ka rasta khabhi na yaad hoa
Baal sukhanay key mousam un-parh hotay hay!!
Shadow Master
Tumhara Chehra Ban Jata Hay

Jab bhi mere aankh se
Koi aanso chalak krr
Meray daman main girta ha
To her girta aanso
Tumhara chehra ban jata hay!
Jab bhi aakash prr
Koi sitara chamakta hay
To her chamakta sitara
Tumhara chehra ban jata hay!
Jab bhi chaudveen (14 veen) raat ka
Woh mahtaab meray saamnay aata ha to
Tumhara chehra ban jata hay!
Diva
Hamaray apne jitnay thay ... woh paraaye ban gaye hain
Choti si meri bhool thee ... Sau afsaanay ban gaye hain
Jis shaks ko mein ne chaaha thaa... sirf ek wohi na mila
Waisay tu mere is shehar mein ... kaee deewanay ban gaye hain
Ek mein hi sirf muntazir nahee ... tum ko bulaanay ke leye
MEre shehar ke saaray mausam ... be-rutt suhanay hogaye hain
Teri waapsi ka kya suna ... Meri jaan mein jaan aa gaee
Mere laboo pe teri chaahtoo ke ... kaee taranay ban gaye hain
Sirf mein hi ek huwi darbadar ... Lekin is ka gilla nahee
Waisay tu meri je'had se ... kaee ghiraanay ban gaye hain
Tum ko gaye huwe din nahee ... muddattain guzar gaeen hain janaan
Naye jitnay bhi zakhm deyey thay ... saaray puraane ban gaye hain
Band kamray, sehra aag ke ... aur kharoon ka gulistaan hai Dost
Dekho hum chaahanay waaloo ke ... kitnay thikanay ban gaye hain
Bacha bacha kehta hai ... teri hi galti thee Diva
Dekheye ab mere saamnay ke ... bachay seyyanay ban gaye hain...
~*~colleen~*~
Doosti

Itnay achay mousam main
Roothna nahein acha
Haar jeet ki baatein
Kal pay hum utha rakhain
Ajj doosti ker lay!!!

Diva
sochti hoon ke
buhut ziada khushi mian aksar
ansoo kioon a jatay hain....?
udaas mausmoon main
kisi bachay ki masoom hansi
tabeyat ko rangeen kioon kar daiti hay...?
achay bhalay saath chaltay hoay log
achanak raasta kioon badal laitay hain....?
aur kabhi umeedoon kay baraks
koey na-ashna apna kaisay ban jaata hay..?
phir sochti hoon ke...
december say pehlay
darakhtoan kay pattay jahaan pehlay zard hotay hain
aur phir bikhar jaatay hain
mausam ki is tabdeeli main...kahin kahin
gehray sabz rang ki tehniyoon pe
gulab ki surkh komplain bhi to phootti hain.!!!
na mumkin ....ko mumkin honay main
taqdeer ki aik...

zara si tabdeeli kaafi hoti hay
Sajjad khan
hammm........................
cool.gif
Woh mujh se pooch raha thaa batao kaisa laga
Tum aglay zakhmoon ko choro yeh ghao kaisa laga
Ajab sawaal kia hai aandheyoon ne pattoon se
Shajjar se toot ke girna batao kaisa laga
Shadow Master
Kuch dur saath Chalo

Tumharay saath guzray
Lamhoon ko yaad krr k
Mere aankhain pur nam ho jati hain
Yeh lamhay amar ho chukay hain
Main janta hoon
K tum mere nahin ho
Magar phir bhi ik aas ha
Ik umeed to ha na!
Uss k saharay sahe
Kuch dur saath to chalo
K tumharay sang
Her gham bhool jata hoon
Aur phir
Kuch dur saath chalo
K talkh-e-ayyam kam ho jaey
Diva
Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai

Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai

Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai

Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai

Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai

Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai

Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai



Blue-Friday

Yaqeen hai key naa aaiga muj se milnay koi
Too phir dil ko maray yeh intizaar kaisa hai

...............

Samnay baith kar dil ko jo churaay koi
Aisi chori ka pata khaak lagaay koi

.........
Maray paas se ghuzar kar mera haal tuk na poocha
main yeh kaisay maan jaoon ke wo door ja kay rooay

kukku
Teri raahon k kaantai mein chunta raha...
Terai milnai k khawaab mein bunta raha
tu chup chaap gairoon k saath chal dia...
zamaanai barr k baatein mein sunta raha sad.gif
Sajjad khan
hammm.....................
cool.gif
Hum Mohabbat main bhi toheed ke qaeel hain
Aik hi shakhs ko Mehboob bana rakha hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.