Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
diaryOFmatrix

aisii hii sard shaam thii vo bhii
jab vo mahandii rachaaye haathon men
apanii aahaT ke Khauf se larazaaN
surKh aaNchal men muuNh chhipaaye hue
apane Khat mujh se lene aaii thii
us kii sahamii huii nigaahon men
kitanii Khaamosh iltijaayeN thiin
us ke chehare kii zard rangat men
kitanii majabuuriyon ke saaye the
mere haathon se Khat pakaDate hii
jaane kyaa soch kar achaanak vo
meraa shaanaa pakaD kar roii thii
us ke yaaquut rang honThon ke
kapkapaate hue kinaaron par
saikaDon ankahe fasaane the
sard shaamon men der tak aksar
jab ye manzar dikhaaii detaa hai
ek lamhaa hinaaii haathon se
mujh ko apanii taraf bulaataa hai
hamnashiin ruuTh kar naa jaa mujh se
aisii hii sard shaam thii vo bhii

diaryOFmatrix


bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
chhup gayaa chaaNd raat baaqii hai

hal-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhii kahane kii baat baaqii hai

raat baaqii thii jab vo bichhaDe the
kaT ga_ii umr raat baaqii hai

Diva

Wo abar mere dasht-e-tamanna mein uterta
Ay kaash samander kabhi darya mein uterta

Kirno'n ki dhanak ourh k ik roz achanuk
Wo mujh se bicher ker meri duniya mein uterta

Ik akaash mere dil k darechay mein dharakta
Ik khwaab meri ankh k sehra mein uterta

Be-noor na rehti shab-e-hijraan ki hatheli
Wo jaan dua dast-e-tamanna mein uterta

Wo chand kissi mehl k khwabo'n ka muQadar
kion mere baja'y ghar ki tamanna mein uterta

Zainab kissi shab mere khwabon ka musafir
Ankhon se nikal ker dil-e-tanha mein uterta
Sajjad khan
hammmm.....................
:sarc
BAAD MUUDAT DEKHA LOOGO
WOH ZARA BE NA BADLA LOOGO

KHUSH NA THA MUJH SE BICCHAR KA WOH BE
US KA CHAHRAY PE LIKHA THA LOOGO

US KI AANKHEIN BE KAHE DETI THI
RAAT BER WOH BE NA SOOYA LOOGO

AJNABI BAN KA JO GUZRA HA ABHI
THA KISSI WAQT APNA LOOGO

DOST TO KHAIR KOI KISS KA HA
US NA DUSHMAN BE NA SAMJHA LOOGO

PYAS SAHRAON KI PHIR TEEZ HOI
ABAR PHIR TOOT KA BARSA LOOGO

PARVIN SHAKUR
Diva
Faza Mein Rang Na Hon Aankh Mein Nami Bhi Na Ho
Woh Harf Kiya K Raqam Ho To Roshni Bhi Na Ho


Woh Kia Bahar K Pewand-e-Khaak Ho K Rahay
KashaKash Roshan-o-Rang Se Bari Bhi Na Ho


Kahan Hai Or Khazana Bajuz Khazan-e-Khuwab
Lutanay Wala Lutata Rahay Kami Bhi Na Ho


Yehi Huwa, Yehi BeMehr-o-BeLehaz Huwa
Yehi Na Ho To Chiraghon Mein Roshni Bhi Na Ho


Milay To Mil Liye Bichray To Yaad Bhi Na Rahay
Taluqaat Mein Aisi Rawa Rawi Bhi Na Ho
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/bf2a974a.jpg[/img]
Sajjad khan
hammmm..................
:sarc
ankhoon ka rung baat ka lehja badal gaya
woh shaks eik shaam main kitna badal gaya
kuch din tu mera aks raha aainey main
phir youn hoa ke khud mera chehra badal gaya
jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
tu kia hoa jo hum se zamana badal gaya
Qadmoun talay jo rait bichee thi woh chal parii
us ne churaya haath tu sehra badal gaya
koi bhi cheez apni jaga per nahi rahi
jate hi eik shaks ke kia kia badal gaya
Diva
Chaht mein kya dunya dari Ishq mein kaisi majboori
Logoon ka kya samjhanay Duo un ki apni majboori

Mein Dil ki Baat rakkhi aur tu nay Dunyawaloon ki
Meri arz bhi majboori thee,Uun ka hukm bhi majboori

Rouk sako tou Pehli Barish ki boodon ko Tum roko
Kacchi mitti tou mehkay ge,Hai mitti ki majboori

Jab tak hansta gata mausam apna hai, sab apnay hain
Waqt parey tou Yaad ajati hai Masnui Majboori

Zaat kadey mein Pehroon baatein and milein tou mohr bulb
Mukhtari si mukhtari hai,majboori si majboori

Ik awara Badal say kyun mein nay Saya manga thaa
Meri bhi yeh Nadani thee,Us ki bhi thee majboori

Muddat guzri aik wadey Per aaj bhi qaim hain Diva
Hum nay Sari Omar nibhai ,Apni pehli majboori
cute143
kissi shaam aa jaaao
tum bin guzree shaamain bohot hueeein

aao yeh chehra dikhla jao
um bin ub yeh yaadain bohot hueein

yeh shaam kee surkhee lagnay lagee hei
buree ub tanha katee ratain ub bohot hueein

aaj aankhon say baat kertay hein
zaban say kee batain bohot hueeein

bolnay do jism ko apnee bolee
lams say makhdoosh mulaqatain bohot hueein

ub lao to milan kee khabar lana
hijar mein nikaltee feryadain bohot hueein
Sajjad khan
hammm.........................
:sarc
Yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kaya kitaab hai
Kahin ek haseen khawab hai kahin jaan leeva azaab hai

Kahin chhaon hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai
Kayee chehre is main chuppe hoye ek ajeeb say eh naqaab hai

Kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
Kahin cheen leti hai har khushi kahin mehrbaan behisaab hai

Kahin aansoon ki hai daastan kahin muskarahaton ka bayyan
Kahin barqaton ki hain barishain kahin tashunnagi behisaab hai
cute143
younhin kahin raat dhalay subha ho jaey
yeh pal bhar kee zindagee basar ho jaey

buss saath agar ho sakay day daina
shaid yeh mushkil raah asaan ho jaey

bahaar saa hei sub kuch tum say mil ker
daikhna bicher ker tum say khizaan naa ho jaey

jaanta hoon manzil hei mushkil ishq kee
soch lay gar koee kuch to sub kuch ho jaey

buss yehee sochay chal raha hoon mein
shaid hijar kee surat kahin visal ho jaey

ajeeb kashmakash mein mubtala hei yeh dil
kabhee tanhaee mein tumhara saath ho jaey
Diva
Posting it agian 'smile.gif'

bhool gaey pehchan sab apni nakal makani mein..sar pay liye phirtay hain zaefi ain javani mein

Mushkil hain halat tou kya hai bus yeh samajh li jiye..hojata hai jaan ka ziyan bhi aasani mein

Bhoolay say aik naam zaban pey kabhi aajaey tou..Garam mizagi jaag utthi hai hai surd biyani mein

Ik akela chand nahin thaa chaudhvein ki raat ..Kitnay aks chamaktey dekhay hum nein pani mein

Hum mein itni chahat kyun thee intni qurbat kyun?..Aakhir aesi kya nisbat hai Aag aur Pani mein

DIva kahan us par chali ho, tum ko yaad nahin ..Kaisey kaisey bhanvar chupay hain ik tughyani mein
Sajjad khan
hammmm.........................
:sarc
Us se poochna tu hai
Kia sila wafa-on ka
Hai yehi din aur raat
Us ko soochte rehna
Khud ko khoojhte rehna
Us se poochna tu hai
Kia yehi mohabbat hai
Us k hee khwaab-on se
Apni hee dua-on ko
Khud hee be-asar kurna
Khud hee be-samr kurna
Us se poochna tu hai
Zindagi yehi hai kia
Us ka saath ho aur bus
Durmiyaan koi na ho
Dil ho wahmon k beech
Raazdan koi na ho
Us se poochna tu hai
Us k baad bhe kaise
Din ye kion nikulta hai
Raat kyoon ye dhulti hai
Umer bhee tu jalti hai
Saans kaise chulti hai
Us se poochna tu hai
Khud bhee soochna tu hai
cute143


apnay hathon say tarsha apnee hee mohabbat kaa but
aaj apneea ankhon kay agay khud hathon say torr diya

jiss sahil kee tamanna lay ker chalay thay dil mein
jub nazar choonay lagee uss ko woh kinara chorr diya

samajhtay rahay apnee daeemee khushee umar bhar jissay
saath chalnay kaa waqt jub aya uss nay rukh morr diya

milnay kay intezaar mein jiss kay din raat kat-tay thay
aaj paas bithana door mujhay paas bulana chorr diya

meree surkh aankhon ko daikh ker hairaan naa hona tum
raaat ko chain say sona kub kaa ankhon nay chorr diya

ub khushee atee hei to mein jaldee say chup jata hoon
bohot pehlay hee mein nay uss say bhee milna chorr diya

Sajjad khan
hammmmmmm...........................
:sarc
Taqdeer main likhi hain Mohabbat ki talkhiyaan
Ye zaher shoq se kabhi main ne piya nahin
Diva

Muhabbaton Kay Diay Roh Main Jalata hai
Tumhara Qurb Meray Saray Ghum Mitata Hai


Yeh Aik Hum Hain Jo Teray liye taraptay hain
Yahan Kisi kaliye Kon Ghum uthata Hai ?


Meray Dukhoon key samandar saY us ka Kia Rishta ?
Woh Sirf Apni Hi Rodawad-e-Ghum Sunata hai


Wagarna Shiar-e-Sukhan say Hamara Kia Nata !
Hamaray Zehan Main Aik Naam Jagmagata Hai


agar wuh roothey tu karta hon Minateen Us ki
Agar Main Rooth Jaon Tu Woh Kab Mujhe manata Hai !


Meri Wafa Pay Abhi Tak Yaqeen Nahi hai Us Ko
Mera Rafeeq Mujhe Ab ! Bhi Azmata hai


Yeh Kis ka naam darakta hai Meri Sansoon Main
Yeh Kon Hai Jo naye RastaY Dekhata hai ?


Usi ki Rahteen Mujh ko Aziz hain
wuh aik shakhs jo har pal Mujhey Rulata hai
cute143
Diva....its nice 'smile.gif'
cute143
jaanna chaho gay kaisa thaa mein tum bin
kaisay jeeta thaa mein tum bin

yaqeen jano her baadal bin bersay guzra
mera her pal tumharee yaad mein guzra

kissi qeemat per yeh waqt kat-ta naa thaa
lakh chahoon waqt guzerta naa thaa
Sajjad khan
hammmm......................
:sarc
jo zindgi hai mari

jo zindgi hai mari
jo har hoshi hai mari
ab suchta hoon yaaro
woh babasi hai mari
khud ko kuhda na samja
yha bandgi hai mari
haan ishk hai junoa hai
kab dil lagi hai mari
galti ko maaf kejia
yha akhri hai mari
Diva
Khuun se jab jala diya ek diyaa bujha hua
Phir mujhe dey diyaa gayaa ek diyaa bujha hua

Ek he daastaan-e-shab ek he silsila tuo hai
Ek diyaa jala hua ek diyaa bujha hua

Mahafil-e-rang-o-nuur ki phir mujhe yaad aa gai
Phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua

Mujh ko nishat se fuzuu.N rasm-e-vafaa aziz hai
Mera rafiq-e-shab rahaa ek diya bujha hua

Dard kii kaa_inaat me.n mujh se bhii raushanii rahii
Vaise merii bisaat kyaa ek diyaa bujhaa huaa

Vab merii raushanii-e-jaa.N harf-e-suKhan me.n Dhal ga_ii
Aur mai.n jaise rah gayaa ek diyaa bujhaa huaa
Sajjad khan
hammm...................
:sarc
[glow tcolor=red, fcolor=black, size=5, strength=5]one of my fav i love it........[/glow]
kaho ik din

kaho ik din tum aao gey,
sitaroon se bhari palkein,
jhuki hein ab meri nazrein,
tumhe jo yaad kerti hein,
baharein laut lao gey,
kaho ik din tum aao gey.

woh sari teri perchaiyan,
tasawar ki woh tanhaiyan,
jo aankhon se barasti hein
kaho sab chor aao gey.
kaho ik din tum aao gey.

ye arzan hai khazan hum per,
pholon ka hai eeman tum per,
muhabat tor lao gey,
kaho ik din tum aao gey.

kyun nazrein teri piyasi hein,
kaho kis ki matlashi hein,
hakiqat ban ke aao gey,
khawabon ko tor jao gey.
kaho ik din tum aao gey.


Shadow Master
INTASAAB
ALVIDA
Ay dost bohat kuch kehnay ke
Bohat kuch sunnnay kee tamanna the mujh ko
Magar her baar meri aana nay mujhay rook leya
Aur aab tumhari khawaish ha
Keh
Main tum se bichertay samay kuch mangoon
To ay dost!
Aapni zindagi ka intasaab
Meray naam likh do........
Diva

ishq nay kya kya ranj sahay tum kya jano
aag main kitnay phool khilay tum kya jano

hijr ki kaali raat main kaisay kaisay loge
khaak main mil kar khaak huay tum kya jano

hum nay ek tumharay naak ki khushboo sey
kitnay dasht bahar kiyah tum kya jano

apni kitaab-e- umar ki saari satron main
hum nay kis kay khuab likhay tum kya jano

tum bichray tou hum nay apni palkon par
kitnay darya rok liyah tum kya jano

sur ki chaon main lafz ki kaliyaan khilnay tak
hum tou sab kuch bhool gaye tum kya jano
cute143
QUOTE
Originally posted by Diva

tum bichray tou hum nay apni palkon par
kitnay darya rok liyah tum kya jano



excellent 'wink.gif'

aey gule nokhez apnee rahat per khush naa ho
kal ik mousam khizan kee bhee ana hei

her patta jhar jaey gaa darakhton say
tere say jhukee dalee ko sookh jana hei

kitna khush hei titlion ko ird gird daikh ker
yeh naa bhool keh kuch dair kaa yarana hei

her sheh ko zawal hei iss jahan mein
her sheh ko ik din mitti mein mil jana hei

kaisee hei yeh zeest poocho naa mujh say
meree nazar mein to buss ujra virana hei
DiarY
QUOTE
Originally posted by Diva


             
ishq nay kya kya ranj sahay tum kya jano
aag main kitnay phool khilay tum kya jano

hijr ki kaali raat main kaisay kaisay loge
khaak main mil kar khaak huay tum kya jano

hum nay ek tumharay naak ki khushboo sey
kitnay dasht bahar kiyah tum kya jano

apni kitaab-e- umar ki saari satron main
hum nay kis kay khuab likhay tum kya jano

tum bichray tou hum nay apni palkon par
kitnay darya rok liyah tum kya jano

sur ki chaon main lafz ki kaliyaan khilnay tak
hum tou sab kuch bhool gaye tum kya jano



wow
its really ko0L
luv it
Shadow Master
POEM


Hawa-e-gham taiz thee magar
Meray khayal kee mundeer prr
Teri yad ka deya!
Raat bhar jalta raha!
Shadow Master
QUOTE
Originally posted by Diva


             

apni kitaab-e- umar ki saari satron main
hum nay kis kay khuab likhay tum kya jano

tum bichray tou hum nay apni palkon par
kitnay darya rok liyah tum kya jano



very nice
Diva
Thanks Cute ,Diary & Shadow Master ....
Diva

Ab kay rut badli to khushboo ka safar dekhay gaa kon



Ab kay rut badli to khushboo ka safar dekhay gaa kon
Zakham pholon ki tarah mehkeingay par dekhay gaa kon

Dekhna sab rakhs-e bismil mein magan ho jayeingay
Jis taraf say teer aaye gaa udhar dekhay gaa kon

Woh hawis ho ya wafa ho baat mehroomi ki hay
Log to phal phool dekhaingay shajar dekhay gaa kon
Shadow Master
QUOTE
Originally posted by Diva


           
Ab kay rut badli to khushboo ka safar dekhay gaa kon




Woh hawis ho ya wafa ho baat mehroomi ki hay
Log to phal phool dekhaingay shajar dekhay gaa kon



BEAUTIFUL


Shadow Master
Kesi kamzor lamhay main

Kesi kamzor lamhay main
Agar main tum se yeh keh doon
MUJHAY TUM SE MOHABBAT HA
To tum iss waqeya ko zeest ka unwaan na krr laina
Yeh he na k buss ek muskrahat
Apnay rukhsaroon prr bikhra krr
Zara dheemay lehjay main
Yeh keh daina
MUJHAY TUM SE MOHABBAT HA
Magar is waqeya ko zeest ka unwaan na krr laina
Kesi kamzoor lamhay main...........
kukku
1st poem posted by me(kukku)

Merai MAULA!
Suna hai rabbe gafaar b hai tu!
Teri bakhshish ka darr mera b rasta daikhta hai
Agarcha hon mein mujrim tera aur hon tera aasi
Tu phir b muj ko akhir bakhshana tu chahta ho gha

Tu phir aisa karain dono
K ik sooda karain dono
Zameen pai ik banda hai tera Tu wo mujai de dai
Tu meri zindagi le lai tu meri bandaghi le lai

Mujai iss aaj k badlai tera koi kal nehi Laina
mujai apni kissi naiki ka iss din phall nehi laina

'smile.gif'
Sajjad khan
hammm....................sorry i am late:)
:sarc
ik shaks ko kho dainay ka dar kion nahi jata
ye raaz meray dil main utar kion nahi jata
manzil pay pohanch kar usay khona hi paray ga
yeh teh hai to phir shok_e_safar kion nahi jata
Shadow Master
Nice KUKKU

AAKHRI SHAAM

Woh aakhri shaam yaad rakhna
Teri nigahoon se jab main apni nigha
Chura k pallat raha tha
To tum nay kuch bhi nahin kaha tha
Magar hawa main nami achanak he berh gai thee
kukku
Hum he betaab nehi dard judaee ki kasam
Karwatain raat gaye takk wo b badalta ho gha...

Jis ki chahat mein zamaanai ko bhula rakha hai
tuj ko ai dil wo b yaad tu karta ho gha 'smile.gif'
Shadow Master
FARMAISH

Aakhir 1 din
Uss nay mujh se keh he dala
Mujh prr bhi 1 nazam kaho tum
Aise nazam
K jiss main maira naam na aay
Main khud aaon
kukku
QUOTE
Originally posted by Shadow Master


            FARMAISH

Aakhir 1 din  
Uss nay mujh se keh he dala
Mujh prr bhi 1 nazam kaho tum
Aise nazam
K jiss main maira naam na aay
Main khud aaon


Ahaaaa!
Tu phir kia kiya:D
Shadow Master
Phir yeh nazam perr lo, Dear KUKKU

Kaisay bataoon main tumhain meray leay tum kon ho
Kaisay bataoon
Kaisay bataoon
Aay
Kaisay bataoon main tumhain
Tum dharkanoo k geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagee, Tum bandgee
Tum roshni, Tum tazgi
Tum her khoshi, Tum peyaar ho
Tum pareet ho, Maan meet ho
Aankhoon main tum, Yadoon main tum
Sansoon main tum, Aahoon main tum
Neendoon main tum, Khaboon main tum
Tum ho mere her baat main
Tum ho meray din raat main
Tum subah main, Tum shaam main
Tum sooch main, Tum kaam main
Meray leay pana bhi tum
Meray leay khoona bhi tum
Meray leay hansna bhi tum
Meray leay roona bhi tum
Aur jaagna, soona bhi tum
Jaoon kahein, Daikhoon kahein
Tum ho wahan, Tum ho wahein
Kaisay bataoon main tumhain
Tum nahin to main kuch bhi nahin
Kaisay bataoon main tumhain
Meray leay tum kon ho?
Yeh jo tumhara roop ha
Yeh zindgee kee dhoop ha
Chandan se tarsha ha badan
Behtee ha jis main gagan
Yeh shookhian, Yeh masteian
Tum ko hawaoon se melein
Zulfain ghataoon se melein
Hontoon peh kalleyan khil gayein
Aankhoon ko jhilee mill gaye
Chehray main khiltee chandnee
Awaaz main ha ragnee
Sheeshay k jaisa aang ha
Phoolon k jaisa raang ha
Nadeeon k jaise chaal ha
Kia hussan ha, Kia haal ha
Yeh jism kee rangeneian
Jaisay hazaroon titleian
Bahoon kee yeh gola-e-aan
Aasal main yeh percha-e-aan
Yeh nagreean hain khwaab kee
Kaisay bataoon main tumhain
Haalat dil-e-baitaab kee
Kaisay bataoon main tumhain, Meray leay tum kon ho
Kaisay bataoon main tumhain
Meray leay tum dharam ho
Meray leay imaan ho
Tum he ibbadat ho mere
Tum he to chahet ho mere
Tum he mara armaan ho
Takta hoon jissay main her pal
Tum he to woh tasveer ho
Tum he to mere taqdeer ho
Tum he sitara ho mera
Tum he nazara ho mera
Yoon jahan main meray ho tum
Jaisay mujhay ghearay ho tum
Poorab main tum, Pacham main tum
Utter main tum, Dhaken main tum
Saray meray jeevan main tum
Her pal main tum, Her khail main tum
Meray leay riftaar bhi tum
Meray leay manzil bhi tum
Meray leay sagir bhi tum
Meray leay sahil bhi tum
Main daikhta baas tum ko hoon
Main soochta baas tum ko hoon
Main janta baas tum ko hoon
Main manta baas tum ko hoon
Tum he mere pehchaan ho
Kaisay bataoon main tumhain
Deavi ho tum meray leay
Meray leay bhagwaan ho
Kaisay bataoon main tumhain meray leay tum kon ho
Kaisay bataoon main tumhain meray leay tum kon ho
Diva
Wo shakhs tou mujhay heran kerta jaata thaa
Keh Zakham Dey kay mujhay Unko Bharrta jaata thaa

Dareecha kholtey jo haath In mein thee Zanjeer
Gali say ik musafir ghuzarta jaata thaa

Banaey jaata thaa mein apney haath ko Kashkol
Sou meri rooh mein khanjar uterta jaata thaa

Ussey malal say takti theen gaoon ki gelyan
Wo naghma gar jo Seay lab ghuzarta jaata thaa

Banaye jaata thaa usko haseen janey kon
Badan wo phool na thaa Aur mehkta jaat thaa

Talash-e-Zarr mein Javan kooch ker jaatey thay
Kamal gaoon ka sab hassan merta jaata thaa
cute143
^ 'smile.gif'

yeh yaad jaa hee nahin rahee
mein issay khud hee bhejna nahin chahta

kiya keroon gaa bhula ker tum ko
tumharay siwa kuch yaad kerna nahin chahta
Shadow Master
Kesi LARKI se maat kehna

Kesi larki se maat kehna
Kesi larki se maat kehna
K uss se payaar kertay ho
Agar bay dehanee main bhi yeh iqraar krr baithay
Kesi se payaar krr baithay
To phir wadoon kee doroon main ulajh krr toot jao gay
Tumharay payaar ka uss ko agar ehsaas ho jaye
To ho sakta ha tum uss ka rang-o-roop ban jao
Mohabbat k safar main shayed aisa moor aa jaye
K tum narazgee ka bermilla izhaar krr baithay
Koi inkaar krr baithay
To yeh samjho k koi sheesha koi dil toot jaye ga
K in k dil bohat nazuk, bohat kamzor hotay hain
Kesi larki k dil ka tootna bhi mout hoti ha
Kesi larki se maat kehna
Sajjad khan
hammmmmmmmm.................
:sarc
ISHQ

Ishq junoo.n bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaao.n pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zamee.n bhi hai aur aasmaa.n bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaa.n bhi hai
Kabhi bistar ki salwato.n sa
To kabhi mandir ki moorto.n sa
Kabhi uryaaniyo.n ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorto.n sa
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishto.n say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq...
Shadow Master
Kabhi Zawaal Nahin Aata

Kabhi zawaal nahin aata
Andar kee chup mohabtoon ko
Manzloon main bhataktay logoon ko
Ann kahe batoon ko
Batoon main chupi haqeeqtoon ko
Kabhi zawaal nahin aata
Bachpan kee sharartoon ko
Sharartoon main chupi hansi ko
Hansi main chupay dhuk ko
Chand se kee hazaroon batoon ko
Kabhi zawaal nahin aata

[Amjad Islam Amjad}
Diva
Hamko mita sake ye zamane mein dam nahin
Hamse Zamana Khud hai Zamane se ham nahin


Befayeda Alam nahin, bekar Gam nahin
Taufiq de Khuda to ye Neiamat bhi kam nahin


[alam=sorrow; taufiiq=divine strength; ne'amat=divine blessing]


Meri zuban pe shikva-e-ahl-e-sitam nahin
Mujhko jaga diya yehi Ehsaan kam nahin


Yaa rab! hujum-e-dard ko de aur Vusatein
Daman to kya abhi meri Aankhein bhi num nahin


[vus'ate.n=spread out]


Zahid kuch aur ho na ho Maikhane mein magar
Kya kam ye hai ki shikva-e-dair-o-haram nahin


Shikva to ek chhe.D hai lekin haqiqatann
Tera sitam bhi teri inayat se kam nahin

Marg-e-Jigar pe kyun teri Aankhein hain Ashk-reiz
Ik sanihaa sahi magar itni Ehm nahin

kukku
Mein Sharaabi Hon!

Joom kar gaoo, mein Sharaabi hon
Rakks farmaoo! mein Sharaabi hon

Aik sajda b-e-naam-e- m-e-khaana
Dosto Aoo! mein Sharaabi hon

Loog kehtai hain raat beet chuki
Muj ko samjaoo! mein Sharaabi hon

Aaj inn raoshami gataoon ko
Yoon Na Bikhraao! mein Sharaabi hon

Haadsai rooz huwai rehtai hain
Bhool b jaoo! mein Sharaabi hon

Muj pai zaahir hai aap ka baatin
Muun na khulwaoo! mein Sharaabi hon
beaitabari

un sey shikayat kis moon sey ho? jin key hoon ehsaan bahut;

jin ki komal yaad ney dukhta dil sehlaya sari raat;

woh yaad aye jin key ansoo ponchney wala koi naa thaa;

sojey naien dekhaye upney aur rolaya sari raat;

:butterfly
Sajjad khan
hammm.............................
:sarc
In Hi Patharon Pay Chal K, Aaa Sako To Aao
Hamaaray Ghar K Rastay Koi Kahkashan Nahi
Diva

Suna hai Phir Chup Chup kay Unkay Ghar mein aatey jaatey ho
Insha Sahib nahaq main Gee ko Vehshat mein Uljhatey ho

Dil ki Baat Chupani Mushkil,Laikin khoob chupatey ho
Bin mein Dana ,Shehr kay Under Devaney Kehlatey ho

Bey kal bey kal rehtay ho Per mehfil kay Aadab kay saath
Aankh Chura kay Dekh bhi leytay ho Bhoolay bhi ban jaatey ho

Peet mein aesay laakh jatan hain,Laikin Ik sab nakaam
Aap jahan mein ruusva hogay ,Wauz humain fermatey ho

Hum say naam janoon ka Qayem,Hum Say dasht ki aabadi
Hum say Dard ka Shikva kertay ??Hum ko Zakham Dikhatey ho ??
Shadow Master
POEM

Kabhi janay waloon k peechay na jana
Kabhi aanay waloon ka rasta na daikhna
K janay waloon ko kabhi aana nahin ha
uzmasami
bheer dehki to yeh khayal aya
janay kab bichray howay log milay
jee may aya abhi tum say khahin
eid ka chand mubarak ho tumhay
hum hain khamoosh hamain hay yahi
lab khulain gay to pukarain gay tumhay
tum say bichray howay barsoo bitay
tum say khena hay yahi ajj hamay
mangna bhool na jana hum ko
chand dekh kar jo hat ythain
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.