Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
shy_grrl
khuda woh waqat na laaye
sakoon ki neend tujhy bhi haraam ho jaye
teri mussarat pehem tamaam ho jaye
teri hayaat tujhy talkh jaam ho jaye
ghamon se aaina-e-dill gudaaz ho tera
hajoom-e-yaas se be-taab ho ke reh jaye
wafor-e-derd se seemab ho ke reh jaye
tera shabaab faqat khawaab ho ke reh jaye
gharor-e-husan sarapa nayaaz ho tera
taveel ratoon main tou bhi qaraar ko terse
teri nighah kisi gham ghusaar ko terse
khizan raseeda tamana bahaar ko terse
koi jabeen na tere sang-e-astaan per jhukay
keh jins-e-izat-o-aqidat se tujh ko shaad kere
faraib ferda-e-wada pe aaitmad kere
khuda woh waqat na laye ke tujh ko yaad aay
woh dill ke tere liye be-qaraar ab bhi hai
woh aankh jis ko tera intazaar ab bhi hai

Diva
Posting it again for some reason 'biggrin.gif'
Sarey Khwab khaak Huey By sahir ludhyanwi

Marta hai koi to mar jaey,Hum apna nishana kyun chorain
Dil waley bachain dil apna,Hum teer chalana kyun chorain

Majhboor na ho tou Ishq hi kya,Maghroor na hoon tou husn hi kya
Tum hum ko manana kyun choro,Hum tum ko satana kyun chorain

Jo hum ko nasihat kartey hain,woh apna zamana dekh chukey
Hum per bhi jawani aai hai,Hum apna zamana kyun chorain

Dunya to humaray samney hai,Jannat ka pata kya,ho ke na ho
Jannat main chupi doulat kay liya,Dunya ka khazana kyun chorain
Sajjad khan
[quote]Originally posted by Cupid


good one sajjad[/quote]
thanx
Sajjad khan
hammmmmmmmm............................
:sarc
Bass Itna Kehna

Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge

shy_grrl
lab par khamoshiyoo ko sajaee nazar churaee
jo ahl-e-dil hain bethay hain chup chap sar jhukaee

ab dosti woh fun hai jisey aee woh dikhaee
aur hai wafa woh khel jo sekhey woh nibhaee

kuch kehna jurm hai tu khatawar main bhi ho
yeh aur baat mera kehna woh samjh na paee

aur koi keh doo Saba say aaj kal yanha na aee
kaliya kanhi mehak na uthey phool khil na jaee
DiarY
is se pehlay


Is se pehlay k
dasht-e-imkaan main
wasl-e-jna ki arzoo na rahay
is se pelay ke baar-e-gham se kaheen
tujh ko panay ki justuju na rahay
is se pehlay k dhasht-e-khwahish se
fersh-afsurdgi bichay ser e rah
laut aao k muntazir hay nigah
is se pehlay k loh-e-kismet per
baab e ulfat tamam ho jayay
is se pehlay shaam ho jayay:!:!:!
Diva

hamako miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
hamase zamaanaa Khud hai zamaane se ham nahii.n


befaayadaa alam nahii.n, bekaar Gam nahii.n
taufiiq de Khudaa to ye ne'amat bhii kam nahii.n


[alam=sorrow; taufiiq=divine strength; ne'amat=divine blessing]


merii zubaa.N pe shikavaa-e-ahl-e-sitam nahii.n
mujhako jagaa diyaa yahii ehasaan kam nahii.n


yaa rab! hujuum-e-dard ko de aur vus'ate.n
daaman to kyaa abhii merii aa.Nkhe.n bhii nam nahii.n


[vus'ate.n=spread out]


zaahid kuchh aur ho na ho maiKhaane me.n magar
kyaa kam ye hai ki shikavaa-e-dair-o-haram nahii.n


shikavaa to ek chhe.D hai lekin haqiiqatan
teraa sitam bhii terii inaayat se kam nahii.n

marg-e-Jigar pe kyo.n terii aa.Nkhe.n hai.n ashk-rez
ik saanihaa sahii magar itanii aham nahii.n

Sajjad khan
hammmm.......................
:sarc
Aik din younhi Baithey Baithey..
Uss nay mujh say pooch lia tha..
Tum nay kisi say pyar kia hai..
Laikin main Khamosh raha tha..

Wo bhi tou sharmai thi..
Uski aank main kitney he rang..
Aik Lamhay ko Aaeay thay..
Main nay socha Barson pehlay..
Jitnay sapnay daikhay thay..
Un Adhoray sapnon ko..
Tabeeron ki khushbo say..
Ham Aahang ker dainay ka..
Aik yahi tou Lamha hai..
Laikin Phir yeh main nay socha..
Janay uskay dil main kia ho..
Janay mujh ko Samjhi kia ho..
Majbori thi warna main nay..


AIK USSI SAY PYAR KIA HAI..

Cupid
'user
Diva
Wo jo ik talluk-e-khaas thaa vo he na raha 'sad.gif'..wow
Awesome ..Keep it up Cupid
DiarY
gud 1 cupid


teri baat baat k yeed hay mujhay aaj bhi:(
TERI BAAT BAAT:(
Sajjad khan
hammmmm...............................
:sarc
Beywafa hum hain to jaan e wafa yoonhi sahi
Dhoond lena jo tum ko koi wafadaar mile

Beywafa kehna munasib nahin har kisi ke liey
Dost to bohat mil jayain gay dosti ke liey

Tumhare bus main aagar ho to bhool jao humain
Tumhain bhulane main shayad humain zamane lagain

Beywafaee ka gila kis se karain hum
Khud humain rasm e Mohabbat na nibhani aai

mai marr jaun gi to gunn mere gaayen ge loag
yehi dastoor-e-duniya hai, tum bhi kuch aisa hi karna
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/b964aa79.jpg[/img]
DiarY
beautiful







khushhaal se tum bhi lugtay ho.
yun afsurda to hum bhi nahee..
per jan'nay wale jantay hain.
khush tum bhi nahee
khush hum bhi nahee

tumapni khudi k pehray main...
aur daam e gharoor main jakray hueuy...
hum apnay zaum k nerghay main..
una haath hamaray pakray huay

mehsoor e talatum aaj bhi ho..
go tum ne kinaray dhond liyey...
toofaan se sambhlay hum bhi nahee..
kehnay ko kinaray dhoond liyey

ik mudat se ghaltan paichan..
tum rabt o guraiz k dharoan mein..
hum apnay aap se uljhay huay..
pachtawoan k angaroan mein

khamosh se tum ho muhur ba-lub..
jug beet gaey kuch baat kiyeey...
suno khel adhoora chortay hain..
bina chaal chalay bina maat kiyeey

jo bhagtay bhagtay thukk jaein..
wo sayey rukk bhi saktay hain..
chalo toro qasam iqraar kerain..
hum dono jhukk bhi saktay hain
DiarY
[img]http://www.photobucket.com/albums/0803/dateless_diary/8680724d.gif[/img]
shy_grrl
Ankh mein koi khawab utarney mahi deta
Yeh dil kah mujhay chain se marney nahi deta

Bichray to aageeb piyar jitata hay khitoon mein
Mill jay to phir haad se guzarney nahi deta

Wo shakhas khizaan root mein bhi mohtat hay kitna
Sukay howay pholoon ko bhikharney nahi deta

Eik rooz teri peyass kharidey ga wo gabhrao
Pani tujhay to panghat se jo bharney nahi deta

Wo dil main tabassom ki kiraan gholney wala
Rothay to roton ko bhi sawarney nahi deta

Main us ko manaon kah gham e deer se uljhun
Moahin wo koi kam bhi karney nahi deta
Cupid
wah,,,,,,,
Main us ko manaon kah gham e deer se uljhun

aur Diary abi tak mai iss akhri sher ko youn pad-ta tha..:huh

KOYEE RISHTA NAHI RAHA PIR BE
AIK TASVEER LAAZMI SEE HAI....:sarc
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/be0791f3.jpg[/img]
DiarY
sawad e zindagee main
aik aisee shaam aatee hay
k jis k surmayee aanchal main
koi phhool hota ha
na hathoan main koi tara
jo aa ker bazoo-oan ko thaam le
phir bhi
rag o pai main
koi ahat nahee hoti
kisi ki yaad aatee hay
na koi bhool pata hay
na koi ghum sulagta hay
na koi zakhm silta hay
galay milta hay koi khwab
na koi tamanna hath malti hay
sawad e zindagee main aik aisee shaam aatee hay
jo khale hath aatee hay
Sajjad khan
hammmm.............................
:sarc
Hum labe-shikwa ko bhi si lete hain
chand ghadiyan ho, has kar ji lete hain
ek bar samajh liya jise dost ka hath
us hath se phir zaher bhi pi lete hain
DiarY
Mujhey tou jagna har shab terey khayaloun main
Jo so bhi jaon tu khwaboon main dekhna tujh ko
Tu chand ban kei merey ghar main chandni kerta
Magar rutoun ki ghata nai chupa lia tujh ko
Main janta hoon kei tu bewafa nahi hai magar
Kabhi mili hi nahi mohlat-e-wafa tujh ko
Kabhi parhay gi agar tu , too mil hi jaiy ga
Kabhi parhay gi agar tu , tou mil hi jaiy ga
Meri ghazal main kahin mera madda tujh ko
Diva
Wow nice Sajjad .. :cool
Sajjad khan
hammm..........................
:sarc
Ajnabi shehar kay ajnabi raastey
Meri tunhaye per muskaratey rahey
Mae bohat dair tuk yoonhi chulta raha
Tum bohat dair tum yaad aatey rahey
Zehar milta raha, zehar peetay rahey
Rooz murtey rahey, rooz jeetay rahey
Zindigi bhi humey aazmaati rahi
Aur hum bhi ussey aazmaatey rahey
Zakhum jub bhi koi zehn-o-dil main laga
Zindigi ki taraf aik dareecha khula
Hum bhi kissi saaz kay taar hain
Choot khatey rahey, gungunatey rahey
Ajnabi shehar kay ajnabi raastey
Meri tunhaye per muskaratey rahey
Sukht haalaat kay taiz toofaan main
Ghir gaya tha hamara junoon-e-wafa
Hum chiraag-e-tammunna jalatey rahey
Wo chiraag-e-tammunna bujhatey rahey
Ajnabi shehar kay ajnabi raastey
Meri tunhaye per muskaratey rahey
Mae bohat dair tuk yoonhi chulta raha
Tum bohat dair tum yaad aatey rahey…
Diva
i really love this ghazal

Ajnabi shehr kay Ajnabi rastey..Meri tunhai pay muskuraney Lagey 'smile.gif'

was searching for Lyrics ..Got it 'biggrin.gif'
Nosheen
tuj say mil ker too yeh lagta hay kay ay ajnabi dost!
tu meri pehli mohabbat thi meri akhari dost


log to her baat kaa afsana bana datay hein
yeh to duniya hay meri jaan kai dushman kai dost

teri kamat say bhi lapti hay amar bail koi
meri chahat ko bhi duniya kaa gaiyee meri dost...'sad.gif' 'sad.gif'
Sajjad khan
QUOTE
Originally posted by Diva


            i really love this ghazal  

Ajnabi shehr kay Ajnabi rastey..Meri tunhai pay muskuraney Lagey 'smile.gif'

was searching for Lyrics ..Got it 'biggrin.gif'

thats gr8;)
Sajjad khan
hammmm.............................
:sarc
Sawan ki bhegee raatoon main
Jab phool khilain barsaton main
Jab chaidain sakhyan baton main
Menu yadaan terian andian ne
Dil ko pakad ke reh jati hoon
Pooch na kaise sharmati hoon
Sari batain sun leti hoon
Aadhi batain keh jati hoon
Khushboo nahin milti kaliyon main
Koi rang nahin rang ralyon main
Gaoon ki sooni galiyon main
Menu yaadan..........
Apna dukhda keh nahin sakti
Aur judai she nahin sakti
Kachhe ghade par beh nahin sakti
Beth kinare reh nahin sakti
Main pahn ke payal paon main
Tera rasta dekhon gaoon main
Peepal ki thandi chaoon main
Menu..........
Kab tak tum pardes raho ge
Aao ge na khat likho ge
Main ro ro ke jaan de doon gi
Phir tum kis kop jaan kaho ge
Dhondo ge jungle bele main
Har basti main, har mele main
Gao ge yehi akele main
Menu..........
DiarY
Hum ne to khair tujh se shikayat kabhi na ki...

hum ne to khair tujh se shikayat kabhi na ki
aisa nahe k dil ne baghawat kabhi na ki

mehsos kia kare ga wo auro k dard ko
jis ne khud apne aap se ulfat kabhi na ki

chaha hai mai ne jis ko baree shiddato k saath
us tarha us ne mujh say mohabbat kabhi na ki

har daastaa tere bohut ghaor se suni
laikin bayan apne hikayat kabhi na ki

ik khwab tha k apne shabo par raha moheet
kia khwab tha? kisee se wazahat kabhi na ki

ik aag the k jhulse rahe jis mai umar bhar
ik dard tha k jis mai khayanat kabhi na ki
shy_grrl
yeh dil usi ko chahata hai!!
hum mara koi milan hi nahi phir bhi...
yeh dil usi ko chahata hai!!!!
woh aasman ka tara hai
mein zameen ki dhool..
yeh jante hue bhi
yeh dil usi ko chahata hai!!!
hum saahil ke do kinare hain
jo kabhi mil nahi sakte
yeh mante hue bhi
yeh dil usi ko chahata hai!!!
na honge woh humein hasil kabhi
janta hai yeh dil bhi sabhi
phir bhi aakhir kyoun sanam????
yeh dil usi ko chahata hai....!!!!
Diva


Mera dil bohat udaas hai:(
yeh raatain bay sukooN haiN:sarc
yeh din bay aaraam haiN
nujhay mohabbat ki piyaas hai
Mera dil bohat udaas hai

Go kay tu mujh say bichar gaya
Mera chayn bhi mujh say lay gaya
Na janay kyoon phir teri aas hai
Mera dil bohat udaas hai

Tujhay bholnay ki jab koshish kari
Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari
yun laga tu kahiN aas pass hai
Mera dil bohat udaas hai

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
Zainab yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai




Sajjad khan
hammmm........................
:sarc
[glow tcolor=red, fcolor=black, size=5, strength=5]one of my fav[/glow]
Hum tere shahr main aye hain musafir ki tarah

sirf ek bar mulaqat ka moqa de de

Meri manzil hai kahan, mera thakana hai kahan

Subah tak tujh se bichad kir mujhe jana hai kahan

Sochne kaliye ek raat ka moqa de de

Apni aankhon main chupa rakhe hain jugnoo main ne

Apni palkon peh saja rakhe hain aansoo main ne

meri aankhon ko bhi barsaat ka moqaa de de

aaj ki raat mera dard i mohabbat sun le

kapkapate hoye honton ki shikayat sun le

aaj izhar i khiyalat ka moqaa de de

bhoolna thaa to yeh iqrar kiya hi kiyon thaa

bewafa tu ne mujhe piyar kiya hi kiyon thaa

sirf do chaar sawalat ka moqa de de

DiarY
wow
its beautiful
n so deep
i luv it
Sajjad khan
[quote]Originally posted by DiarY


wow
its beautiful
n so deep
i luv it[/quote]
thanx budy
Diva
phir se mausam bahaaron ka aane ko hai
phir se rangeen zamana badal jaayega
ab ki bazm-e-charaagaan sajaa lenge ham
ye bhi aramaan dil kaa nikal jaayega

aap kar de jo mujh pe nigaah-e-karam
meri ulfat ka rah jaayega kuch bharam
yuun fasaana to mera rahega yahin
sirf unavaan us ka badal jaayega

mere mitne ka un ko zara gam nahi
zulf bhi unki ai dost barham nahi
apne hone na hone se hota hai kya
kaam duniya ka yu hi to chal jaayega

aap ne dil jo 'Zainab' ka toda to kya
aap ne us ki duniya ko chhoda to kya
aap itne to aakhir pareshan na ho
vo sambhalte sambhalte sambhal jaayega


Cupid
um pe beetey tho mai poochon tum se...'sad.gif'
Diva
itni muddat baad mile ho
kin socho mein gum rahate ho

tez hawaa ne mujh se puchaa
ret pe kya likhte rahte ho

kaun si baat hai tum mein aisi
itne achchhe kyon lagate ho

ham se na poocho hijr ke qisse
apni kaho ab tum kaise ho
Cupid
dhalta soorej phela jungle rasta goom
hum se poocho kaisa aalam hota hai
Diva
Raat itni haseen thi

Ke saare so rahe the,

Hum hi aise badnaseeb the

Jo aap ki yaad me ro rahe the!!!

i think am posting it again ...dont remember actually
cute143
One of My Favourite here....

Tumhain jab kabi milan fursatain meray dil say booj uttar du
Main bohat dino say udas hon mujay koi sham uddar du

Mujay apnay roop ki doop du k chamak sakin meray khal o kud
mujay apnay rang may rang du mera sara zang uttar du

kissi ore ko meray hall say na garz hai na wasta
main bikhar gya hun samat loo may bigar gya hun sanwar du

meri wahshaton ko barha dia hai judaion k azab nay
meray dil pa hath rakhoo zara meri darkano ko karar du


Tumhain jab kabi milan fursatain meray dil say booj uttar du
Main bohat dino say udas hon mujay koi sham uddar du
DiarY
Tera khayal mere aas paas rehta hai
Koi Jamaal mere aas paas rehta hai

Tu kon hai mere dil main kahan se aya hai
Yehi sawal mere aas paas rehta hai

Mujhe khaber hai azaan bhi phiron phir bhi
Tmhara jaal mere aas paas rehta hai

Kabhi kabhi koi milti bhi hai khushi mujh ko
Mager milaal mere aas paas rehtahai

Main jis zameen per rehta hon apni dunia main
Koi zawal mere aas paas rehta hai


Farhat abbas shah
NightmareGirl
QUOTE
Originally posted by Sajjad khan

Ajnabi shehar kay ajnabi raastey
Meri tunhaye per muskaratey rahey
Mae bohat dair tuk yoonhi chulta raha
Tum bohat dair tuk yaad aatey rahey
Zehar milta raha, zehar peetay rahey
Rooz murtey rahey, rooz jeetay rahey
Zindigi bhi humey aazmaati rahi
Aur hum bhi ussey aazmaatey rahey
…


real niceee
DiarY
BEET GAYA


Ik mohabat ka bakht beet gaya
Tum se milne ka wakt beet gaya

Baad-shahi bhi kya ajab shae hai
Aankh jhapki to takht beet aya

Hum to ab dhoop ke musafir hain
Apna ik tha darakht beet gaya

Aak lamha teri judai ka
Jis kadur bhi sakht tha beet gaya
Diva
Khvaab thaa yaa Khayaal thaa kyaa thaa
hijr thaa yaa visaal thaa kyaa thaa
'Mussafi' kal jo chup saa baiThaa thaa
kyaa tujhe kuchh malaal thaa kyaa thaa

cute143

Samnay baath k dil ko jo churay koi
Aasi chori ka pata khak lagay koi
Diva
churana tha daaman hum se tum ek baar kahte hum chordete
tere liyah tou Khuda qasam hawaon ka rukh morr detay
tum agar karte wafa tou phir dekhte wafa meri
tere liyah tou dil sey apnay ahsason ka rishta torr detay
Sajjad khan
hammmm........................
:sarc
DIL KI AWAZ

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta

iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahta hoon main tujhe aaj bhi par

teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri

isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main

tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim

warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

Diva

gulshan ki faqat phulon se nahi kaanto se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein gam ki bhi zaroorat hoti hai

ai vaaiz-e-naadaan karta hai tu ek qayaamat ka charcha
yahan roz nigaahe milti hai yahan roz qayaamat hoti hai

vo purasish-e-gam ko aaye hai kuch kah na saku chup rah na saku
khamosh rahu to mushkil hai kah duun to shikaayat hoti hai

karna hi padega zabt-e-alam peene hi padenge yah aansu
fariyaad-o-fugaan se ai naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai

jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahi hai paani hai
jo aansu na chalke aankhon se us ashq ki qeemat hoti hai



cute143
Iss zamaanay say na ham koi gilaa rakhain gay
Dil lagayein gay to na shart-e-wafa rakhain gay

Na dikhayein gay kabhi dil pay lagay zakhm unhaein
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gay

Jaan day dain gay agar aik ishaara ker dain
Ham usay apnay liye bhi na bacha rakhain gay

Sab hata dain gay teri rah ki rukawat hamdam
Ghar kay darwazay ko her waqt khula rakhain gay

Unki her baat ko bhoolay say na bhoolain gay kabhi
Unki yaadon ko bhi seenay say laga rakhain gay

Toot bhi jaayegi umeed jo teray aanay ki
Ik diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gay

Khak ho jayein gay Eesha yeh duniya waalay
Jalnay walon ko bhi ham aour jala rakhain gay
Sajjad khan
hammmmmmm..........................
:sarc
KAHAN HO TUM???
MERE DIL KO BEHLA KAR
MERI SANSON KO MEHKA KAR
MERE MAAZI KO BHULA KAR
NAYE SAPNE DIKHA KAR
KAHAN CHALE GAYE HO??
KAHAN HO TUM??
TUM BIN ADHOORA SAMAN HAI
SOONI ZINDAGI HAI
UDAAS RAATEIN HAIN
TANHAI KI SOGHATEIN HAIN
DIL MEIN TUFAAAN HAI MILNE KAA AARMAN HAI
KAHAN HO TUM??
MERA DIL AKAILA HAI
MERE JIVAAN MEIN ANDHERA HAI
MERE RASTAY MEIN KANTE HAIN
JO MERE DIL MEIN CHUBTAY HEIN
IN KANT! ON KO HATA KAR MERE RASTAY MEIN PHOOL SAJA DO
KAAHAN HO TUM??
WOH HASEEN PAL DIKHA DO
MERI ZINDAAGI SAJA DO
JO NAHIN KAHA HAI , WOH KEH BHI DALO
K MERA DIL BOHAT BE QARAR HAI
BUSS.....
AIK BAAR BATA DO
KAHAN HO TUM????????????
DiarY
gud one
keep it up man
'smile.gif'
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.