Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
shy_grrl
tum mere liye sab kuch ho
main tumhain din mai sochta hon
or raat ko tum hare sapnay daykhata hon
main nay tumhara nam aasaman per likha
laykin hawaon nay us ko mita diya
main nay tum hara nam sahil per likha
lahron nay us ko dho dala
main nay tum hara nam apnay dil per likha
or wo hamasha wahan rahe ga
tum hari naram muskan
tumhara dilnashi lehja
mere qaenat hay
jaysay main tum say pehlay piyar keti thi,aaj bhi kerti hon ,or kal bhi kerti rahon gi
kiyon kay tum mera sab kuch ho
Sajjad khan
[quote]Originally posted by Sajjad khan


hammmmmmmm.............................
:sarc
Sunoo Acha nahin lagta ... !
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Saharay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta

Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta
[/quote]
Sajjad khan
hammmmmmmm........................
:sarc
Yeah saal bhi guzishta saal kee tarha gran guzra
sdaa ka tanhaa hoon yeah waqaat bhi tanhaa guzraa

Ikk mehrbaan milaa tha usaay bhi kho dya nadany main
abb kay who thundy hwa ka jhonka bhi rasta badul ker guzra
DiarY
yeh saal bhi udaas raha rooth ker gaya
tujh se milay bughair december guzer gaya

Sajjad khan
hammmmmmmmmmmmm.......................
:sarc
Saghir Siddique
Yeh jo deewaney say nazar aatey hain,
In mein kuch sahab-e-asrar nazar aatey hain.

Teri mehfil ka bharam rakhtey hain,sou jatey hain,
Warna yeh log tou beydar nazar aatey hain.

Merey daman mein shararon key siwa kuch bhi nahi,
Ap phoolon key kharidar nazar aatey hain.

Kal jinhey cho nahi sakti thi farishtoon ki nazar,
Aaj woh ronak-e-bazar nazar aatey hain.

Hashar mein kaun gawahi meri dey ga Saghir,
Sab tumharey hi tarafdar nazar aatey hain.


DiarY
[img]http://www.photobucket.com/albums/0803/dateless_diary/30baf0fa.gif[/img]
shy_grrl
Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahanay Say Maat Rookay
Aaj Barish Tamay Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujray Hoay Thik Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay

Teray Pekar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyar Say Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay
Nightmare
~Inkaar~

Bahut hi door waadeyoon se yeh sada aaee
Ke jab tum pyaar karna tu kabhi inkaar ke dar se
Kisi ki jeet ke dar se ya apni haar ke dar se
Kabhi bhi dil ki aawaazoon ko tum dil mein nahee rakhna
Inhain hontoo ke zindanoo se phir azaad kar daina
Ke jo aisa nahee karta ussay afsoos hota hai...

Ussay phir zindagi mein har lamha afsoos rehta hai
Ke us ne zindagi ke be-bahaa anmool tohfay ko
Faqat andaisha-o-afqaar pe qurbaan kar daala
Ke us ne chand barsoon ki faqat takleef ke badlay
Zindagi bhar ke pachtaawe ka yeh aazaab kyon paala

Ke jo aisa nahee karta
Woh phir tanhaee ke be-reham aur waseeh sehra mein
Muhabbat ki faqat do chaar bondoo ko tarasta hai
Zindagi ke kisi bhi morr se jab woh guzarta hai
Kisi apne se dil ki baat kehne ko machalta hai

Woh jab bemaar parta hai
Kisi hamdard kisi hamnawa ko yaad karta hai
Woh phir yeh socha karta hai
Koi ho jo mujhe parhaiz ki takeed karta ho

Koi ho jo meri takleef mein khud bhi tarapta ho
Dawa na loon kabhi jo mein tu phir daanta bhi karta ho
Koi tu ho... koi tu ho jo mujh se pyar karta ho

Inheen sochoo se ghabra kar woh phir khud hi se larta hai
Mein is be-reham duniya mein akele ji bhi sakta hoon
Muqaddar mein hain jo likhay woh aansoo pee bhi sakta hoon
Magar woh haar jaata hai
Aur jab woh haar jaata hai
Tu us ki aankh se chupke se ek aansoo larakhta hai
Ussay pachtaana parta hai

So jab tum pyar karna tu kabhi inkaar ke dar se
Kisi ki jeet ke dar se ya apni haar ke dar se
Kabhi bhi dil ki aawaazoon ko tum dil mein nahee rakhna
Inhain hontoo ke zindanoo se phir azaad kar daina
Ke jo aisa nahee karta ussay afsoos hota hai
Ke jo aisa nahee karta ussay pachtaana parta hai...
DiarY
wow
wow
wow
shy_grrl
tujh ko dekhay bina kion chata hon
sochta hon tu muskurata hon

tujhay panay ki kion lagan see hay
kion tujh ko apna banana chahta hon

guzray zamano main kitnee kahaniyan hain meree
main teray piyar ka ab tu fasana chahta hon

meray honton pay sajay hain geet ab teray
aa meray pass main tujhay gungunana chata hon

teray ehsas ki khushbu hay meree sanson main
main khudh ko bhol kay tujh ko basana chata hon

tujh ko bhi piyar hay mujh say main janta hon magar
teray iqrar ki khushbu churana chata hon

nahin ye ho nahin sakta bata sakon main kabhi
ba zariya ghazal tumhain kuch batana chahata hon
shy_grrl
[img]http://tamanbollywood.singcat.com/images/freestuff/dilwaledulhania.jpg[/img]
Aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki par ek saya sa lehrata hai
Dil ke darwaze par koi dastak de ke jaata hai
Gheri gheri kaali aankhen mujhse mujhko poochti hai
Haaton ki rekhaon mein ek chehra sa ban jata hai
Uski saanse resham jaisi gaalo ko chu jaati hai
Uske haaton ki khushboo hai ab tak mere balon mein
Haan, aisa pehli baar hua hai satrah athrah saalon mein
Undekha anjaana koi aane laga hai khayalon mein

Sher from DDLJ
Nightmare
tumhara naam kuch aise mere honto pe khilta hai
andheri raat main jaise
achanak chand badal ke kisi koney se jhankta hai
aur sare manzaron main jaise roshni si phail jati hai
kali jaise larazti ooos ke katre pehan kar muskurati hai
badalti rut kisi manoos si aahat ki dooli le kar chalti hai
to khusbu baagh ki deewar se roke nahi rukti
aisi khushbu ke dhaage se mera har chaak silta hai
tumhare naam ka tara meri saanso main khilta hai
tumhey main dekhta hun jab safar ki shaam se pehley
kisi uljhi hui gumnaam si chinta ke jadoo main
kisi sochey huay benaam lamhey ki khushbu main
kisi mausam ke daman main, kisi khwahish ke pehlu main
to is khush rang manzar main tumhari yaad ka rasta
na jane kis taraf phoot-ta hai
aur phir aise meri raah ke hamraah chalta hai
ke aankhon main sitaron ki guzargahein si banti hain
dhanak ki kehkashain si
tumhare naam ke in khushnuma harfo main dhalti hain
ke jin ke lams se honto pe jugnu raqs karte hain
tumhara khwaab ka rishta meri neendon semilta hai
to badal abaad hota hai
mera har chaak silta hai
tumhare naam ka tara meri raaton main khilta hai

Sajjad khan
hammmmmmmmm................................
:sarc
yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh daage
kisse kya khabhar hai kahan toot jayein
mohabat ke darya mein tinke wafa ke
na jaane yeh kiss mod par doob jayein

ajab dil ki waadi, ajab dil ki basti
har ikk moud ikk mausam nayi khwaisho ka
lagaaye hain hum ne bhi sapnon ke paudhe
magar kya bharosaa yahaan baarishon ka

jinhe dil se chaaha, jinhe dil se poojaa
nazar aa rahe hain wohi ajnabi se
rawaayat hai shaayad yeh sadiyon puraani
shikaayat nahin hai koyee zindagi se
Cupid
beautiful -sajjad khan........'smile.gif'
Sajjad khan
[quote]Originally posted by Cupid


beautiful -sajjad khan........'smile.gif' [/quote]
thanx
Sajjad khan
hammmm.............................................
:sarc
Andhayri raat main rehte to kitna achha tha
Hum apni zaat main rehte to kitna achha tha
Dukhoon ne bant liya hai tumhare baad humain
Tumhare hath main rehte to kitna achha tha
Cupid
[glow tcolor=white, fcolor=black, size=2, strength=1]shehr e diil-------tabdeeli[/glow]

tumharee judai mai suney hoooye geeet puraney lagtey hain
ghamnaak suron se ut-tha hoowa dard diil ko bas chooo ke guzer jaatha hai
pehley ki tarah ghar nai kar jatha
na har shey ko apni lapet mai ley pata hai
waqt ne shayed sama`at ke pardon ko mutasir kia hai
ya phir dil ke taaron ko
ye bhe ho sakta hai ke dil ke taron ne waqt ko mutasir kia ho
shy_grrl
Hum tou youn apni zindagi se miley
ajnabi jaisey ajnabi se miley
har wafa aik jurm ho gye
dost aisi berukhi se miley
phool hi phool mangey thay
dagh hi dagh zindagi se miley
shy_grrl
MaiN un say kah raha hooN mujhay yaad kijye
Wo hus kay kah rahay haiN faryaad kijiye
Aa aa kay doost muj say yay kah kar challay gaay
Kay appnay app ko na yun, barbaad kijiye
Eak wo haiN kay apnee hee dhun mai maghan rahay
Eak hum haiN kay har shaher koo aabad kijiye
Ki saree zindgi tou safar hee mai buss tamam
Aub sham hoo chuki hay, kuch aaram kijiye
Eak bar wo kahdaiN, tou daydooN mai aapnee jan
Aub marnay kay leeyaa bhi, intizar kijiye
Hum say jo poochtay haiN udasi kaa sub subab
Ghum appnay suna kay kyun uhnaiN, ishkbar kijiye
Waada wo kar gaay haiN aanay kaa khowab mai
Aub un ki baat ka kaya , aaitbar kijiye
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/2a57e3cc.jpg[/img]
Diva


bezameen loagoan ko,...!
beqaraar aankhon ko,...!
budnaseeb qadmoan ko,...!
jiss taraf bhee ley jaaein,...!
raastoan ki marzee hei,...!
benishaan jazeeron per,...!
budgumaan shehroan mein,...!
bezubaan musaafir ko,...!
jiss taraf bhee bhatka dein,...!
roak lein ya barhney dein,...!
thaam lein ya girney dein,...!
wasal ki lakeeron ko,...!
kho dein ya milney dein,...!
rastoan ki marzee hei,...!
ajnabee koi laaker hamsafar bana dalein,...!
saath chalney waalon ki raakh bhee uraa daalein,...!
ya musaaftein saaree,...!
khaak mein mila dalein,...!
RAASTOAN KI MARZEE HEI,...!
Cupid
bahot khub

RAASTON KI AJEEB ADAT HAI
MEREY PERON SE AA LIPATEY HAIN
Sajjad khan
hammmmmmmm...................................
:sarc
Kiya ISHQ mujh hi se kertay ho?

Bay baat bigartay rehtay ho

Bay chain hamesha rehtay ho

Yeh sab nishani ISHQ ki hai

Kiya ISHQ kisi say kertay ho?

Ratoon ko jagtay rehtay ho

Aur taray bhi tum gintay ho

Yeh sab nishani ISHQ ki hai

Kiya ISHQ kisi say kertay ho?

Zikr jo mera chalta hai

Chehray ka rang badalta hai

Bay chain say tum ho jatay ho

Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?

shy_grrl
bhool sakta hai bhala koun yeh pyari aankhain
rang mein doobi hui neend say bhari aankhain

meri her saans ne her sooch ne chaha hai tumhain
jab se dekha hai tumhain, tab se saraha hai tumhain
bas gai hain meri aankhon mein tumhari aankhain

tumjo nazron ko uthao to sitare jhuk jaain
tumjo palkon ko jhukao to zamane ruk jaain
kyun na banjain in aankhon ki pujari aankhain

jaagti raaton ko sapnon ka khazana mil jaye
tumjo miljao jeene ka bahana mil jaye
apni qismat pe kerain naaz hamari aankhain
shy_grrl
zindagi jis per waar dali hey
abtu woh dost bhi khayali hye
tera inkar dekh ker hum ne
apni takdeer bhi azmali hey
meri gurbat ka tazkara karke
tum ne izzat meri uchali hey
khoobsorat hain hazar lakin
ap k baat hi nirali hey
apna maazi jaladya hum ne
teri tasweer bas bachali hey
arahey hey sadayein koyil ki
jese barsaat honey wali hey
dil men ikraar utha hey warna
ungli datoon men kion dabali hey
Cupid
wah shy grl...kya khub kaha
Sajjad khan
hammmmmmmmmm..............................
:sarc
Main apna aaj apna kul Tumhare naam karti hoon
Main is Jeevan ka hur aik pal Tumhare naam karti hoon
Hawa-ein, Surdiyan, gurmi, baharein, barishein, Jara
Main har Mosum ka har har pal Tumhare naam karti hoon
Sitare, Titliyan, jugno, Gul-o bulbul, dhunk, khushboo
Ye saray Husn ki chulbhal Tumhare naam karti hoon
Mera guzra howa Kul tu Mere Mazi ka hissa hai
Main apna aaj apna kal Tumharay naam karti hoon
Barasta, bheegta mosum hai Kamzori Meri laikin
Main yeh Sawan, ghata Badal Tumharay naam karti hoon
Tumharay Bin yeh Har Aik pal Mujhe Baychain rakhta hai
MainApna Dil jo hai Baykul Tumharay naam karti hoon
Diva

Khuun se jab jalaa diyaa ek diyaa bujhaa huaa
phir mujhe de diyaa gayaa ek diyaa bujhaa huaa

ek hii daastaan-e-shab ek hii sil_silaa to hai
ek diyaa jalaa huaa ek diyaa bujhaa huaa

mahafil-e-rang-o-nuur kii phir mujhe yaad aa ga_ii
phir mujhe yaad aa gayaa ek diyaa bujhaa huaa

mujh ko nishaat se fuzuu.N rasm-e-vafaa aziiz hai
meraa rafiiq-e-shab rahaa ek diyaa bujhaa huaa

dard kii kaa_inaat me.n mujh se bhii raushanii rahii
vaise merii bisaat kyaa ek diyaa bujhaa huaa

sab merii raushanii-e-jaa.N harf-e-suKhan me.n Dhal ga_ii
aur mai.n jaise rah gayaa ek diyaa bujhaa huaa
Sajjad khan
hammmmmmmmmmm.................................
:sarc
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kahin zamin to kahin aasman nahin milta
Jise bhi dekhain woh apne aap main gum hai
Zuban mili hai magar hum_zuban nahin milta
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholay
Yeh aisi aag hai jis main dhoan nahin milta
Tere jahan main aisa nahin keh piyar na ho
Jahan umeed ho is ki wahan nahin milta
Cupid
nice choice SAJJAD KHAN & DIVE-ni:)
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/64a4e4c8.jpg[/img]
Sajjad khan
[quote]Originally posted by Cupid


nice choice SAJJAD KHAN & DIVE-ni:) [/quote]
thanx
ur choice is 2 cool
Sajjad khan
hammmm..............................
:sarc
Khadshoon ki zanjeer pari hai neend bhari sab ankhoon main
Sapnay kaise baat karain, sapnay kaise baat karain
Jin loogon ka rasta taktay umerain rizk khaak huin
Ab who loogg aur un kay sapnay daikhnay wali
Ankhain bujh kar raakh huin
Raakh kay iss anbaar main hoon gay kaise kaise zinda khwaab
Khwaboon ki iss raakh ko laikin chairay kon
jis rastay per chaaoon na pani is pe dairay dalay kon
jis mitti main rait milli ho iss main kaise baag lagain
darya he paayab ho jab tau,iss main kishti kaise
khusboo ik awara jhoonka,iss jhonkay ko ghairay kon
kaise dunya ko batlaaon tum hotay ho meray kon?
Diva
[quote]Originally posted by Cupid


nice choice SAJJAD KHAN & DIVE-ni:) [/quote]

thanxo!
Waisey i'm Divani 'biggrin.gif'
Diva


Tumhain Yaad Hai Na
Humari Aakhri Mulaqaat Ki Raat
Aankhon Se Barasti Barsaat Ki Raat
Mein Ne Tum Se Kaha Tha
Juda Tum Se Ho Ke
Jee To Loon Gi Lekin
Gar Tumhari Ijazat Ho To
Tumhari Yadon Ka Sahara Chahye Mujh Ko
Tumhain Yaad Hai Na
Mein Ne Tum Se Kaha Tha
Ek Ye Hi Aasra Chahye Mujh Ko
Magar JanaN
Ye Kya Kiya Tum Ne
Apni Yadon Ko Cheen Liye Tum Ne
Mujh Se Merey Jeeney Ka
Aakhri Sahara Cheen Liya Tum Ne
Ab Kiya Karoon Janan
Ke Ab Zinda Reh Nahee Sakti
Mazeed Dard Seh Nahee Sakti
Apney Bardaasht Ki Hadon Ko Choo Rahi Hoon Mein
Zindagi Se Ab Bicharh Rahi Hoon Mein
Apna Wadaa Poora Kar Raha Hoon Mein
Tumhain Yaad Hai Na!
Wo Aakhri Mulaqat Ki Raat
Ye Hi Kaha Tha Mein Ney
Cupid
QUOTE
Originally posted by Diva


           
QUOTE
Originally posted by Cupid


            nice choice SAJJAD KHAN & DIVE-ni:)


thanxo!
Waisey i'm Divani 'biggrin.gif'

mujey maloom hai--'tongue.gif' 'tongue.gif'
Nightmare
QUOTE
Originally posted by Cupid


            'user

good
Sajjad khan
hammmmmmmmmmm...............................
:sarc
Yah dil na jane kion udaas sa tanha tanha sa rehta hai
Koi to ho tera apna kabhi kabhi mujh se kehta hai
Main kia karon shayed mere naseeb main hi hai tanhaaye
Tabhi to har koi mujh se door door sa rehta hai
Kabhi mera dil muskurata tha batein karta tha mujh se
Magar ab to woh bhi hamesha he tota tota sa rehta hai
Main kahin hota hon or mera yah dil kahin or hota hai
Meri tarhan ab to yah bhi khoya khoya sa rehta hai
Jis ko zindagi se barh kar chaha tha hum ne
Ab to wo bhi hum se rotha rotha sa rehta hai
DiarY
[img]http://www.roshanpakistan.com/urdu/poetry/farhat%20abas/images/kabhi_safar_poem.gif[/img]
shy_grrl
ek baat hai,
jo tumhe hai kahni.
ek raaz hai,
jo tumhe hai bataana.
ek khayaal hai,
jis say tumko hai milana.
ek khawab hai,
jisme chehra hai tumhara.
ek sapna hai,
jisme pehra hai tumhara
ek dil hai,
jise tumne hai churaya.
apne hoton ki hasee,
maine tumse hai payee.
apna dil maine,
tumko diya.
maine mohabbat sirf,
tumhi se ki.
apni chahat maine,
tumhare naam ki.
woh pal jo humne,
saath guzaare.
wohi pal baar baar yaad,
dilatay hain tumhari
ab jaldi se aa jaiye tu
Ab intzaar kiya nahin jaata.
Diva
Don't know whether someone posted it already ...per dubara perhnay mein kya harj hai


Wo loag bohat khush kismet thay
Jo ishq ko kaam samajhtey thay
Ya kaam say aashqi kertay thay
Hum jeetay ji majboor rahey
Kuch ishq kya ,Kuch kaam kya
Kaam Ishq kay aarey aata raha
Aur ishq say kaam ulajhta raha
Phir aakhir tung aaker hum nay
Donoon ko Adhoora chorr diya
shy_grrl
Rait Pe Likh Ker Naam Mera Mitaya Na Kero
Ankhain Sach Bolti Hein Pyar Chupaya Na Kero

Loog Har Baat Ka Afsana Bana Lete Hain
Sab Ko Halaat Ki Rawadad Sunaya Na Kero

Yeh Zaroori Nahin Her Shakas Maseeha He Ho
Pyar K Zakham Amanet Hain Dekhaya Na Kero

Shaher-a-Ehsaas Mein Patheraoo Buhat Hey Sanam
Dil K Shishay Ko Jharokoon Mein Sajjaya Na Kero

Diva
musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe

ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa
mere paa.Nv sholo.n pe chalate rahe

mere raaste me.n ujaalaa rahaa
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe

vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe

muhabbat adaavat vafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe

sunaa hai u.nhe.n bhii havaa lag ga_ii
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe

lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe

bashir badar
shy_grrl
tujhay kon apna bana sakay,tujhay kon dil main choopa sakay
ye kisay majal kay apna dil teri barga main bana sakay

meri zindagi hay wo dastan jo teri samajh main na aa sakay
tera husun hay mera razdan jo zooban pay raz na la sakay

teri ankh say jo chalak gaie wo mukadirat hi main na thi
gham-e-zindagi to fareeb tha samay-e-zindagi bhi na kha saki

kabhi aa gai to jaga gai , jo bahad gai to soola gai
magar apna markaz-e-zindagiteri har nazar na bana saakay

ye sitam nahi hay to aur kia,zara mujh say aankh milaian
k na meri simth hi aa sakay na mujh ko bila sakay

meray ishik say inhay kamsay kam koi zindagi-e-nazar ata
bhala wo koi haseen hay jo jaga sakay na sulla sakay

zara dekh to sahi baykhabark teri nazar na rahi nazar
n kisi aur ka to nay zikar kia jo hamay faraib na kha sakay
shy_grrl
andhion main diya jalaoo gay
aur kis kis ko azmaoo gay

jis ke chahat main khud ko bhol gaye
usay tum kis terha bholaoo gay

hum nain likha hai apnay khon say isay
yeh wafa ka naksh tum kis terha mitaoo gay

aoo keh apni asal ko lout chalain
aur thehro gay tu bahoot pachtaoo gay

mushtahir hogay jab ruswa ho ker
charagh-e-ishq ashqoon say phir bhojaoo gay

nahin hoga jab jahan main waheed
phir us jaisa kahan say tum laoo gay

andhion main diya jalaoo gay
aur kis kis ko azmaoo gay
Sajjad khan
hammmmmmmmmm.............................
:sarc
Meri ratain teri yadoon se saji rehti hain
meri saansain teri khushboo main basi rehti hain
meri aankhon main tera sapna saja rehta hai
haan mere dil main tera akd basa rehta hai
is tarah mere dil ke buht pass ho tum
jis tarah pass hi sheh rag ke khuda rehta hai
Cupid
good one sajjad
Cupid
[quote]Originally posted by shy_grrl


tujhay kon apna bana sakay,tujhay kon dil main choopa sakay
ye kisay majal kay apna dil teri barga main bana sakay

meri zindagi hay wo dastan jo teri samajh main na aa sakay
tera husun hay mera razdan jo zooban pay raz na la sakay

teri ankh say jo chalak gaie wo mukadirat hi main na thi
gham-e-zindagi to fareeb tha samay-e-zindagi bhi na kha saki

kabhi aa gai to jaga gai , jo bahad gai to soola gai
magar apna markaz-e-zindagiteri har nazar na bana saakay

ye sitam nahi hay to aur kia,zara mujh say aankh milaian
k na meri simth hi aa sakay na mujh ko bila sakay

meray ishik say inhay kamsay kam koi zindagi-e-nazar ata
bhala wo koi haseen hay jo jaga sakay na sulla sakay

zara dekh to sahi baykhabark teri nazar na rahi nazar
n kisi aur ka to nay zikar kia jo hamay faraib na kha sakay
[/quote]

bahot khub sharmeelee
Diva
Shy Zabardast ji ...
Diva


Tum sey mil kar, Tumhein bhulaana, Mushkil hai, Aasaan nahin
Deewaney Dil ko samjhaana, Mushkil hai Aasaan nahin

Hur Rasta, hur Manzar ab tou, koi Fasaana lagta hai
Jab sey Tum aaey ho, saara Sheher suhaana lagta hai

Jaatey lamhon ka ruk jaana

Mushkil hai, Aasaan nahin

Jhukti Aankhein, Rukti Saansein, Dard adhoora kehti hain
Dil ki poori baatein aksar, Dil ke andar rehti hain

Dil ki baat, Zubaan par laana

Mushkil hai, Aasaan nahin

Jo Hum chaahein woh Tum chaaho, Phir bhi kiyon yeh ' Doori ' hai ?
Mil kar bhi Hum mil nahin paatey, Yeh kaisi majboori
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.