Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Nightmare

abhi zid na kar dil-e-bekhabar
k pas-e-hajoom sitam garan
abhi kon tuj se wafa karay?
abhi kis ko fursatain is qadar
k sumait kar teri kirchi'aan
teray haq main khud se dua karay!

abhi zid na kar dil-e-bekhabar
k tah gubaar-e-gham-e-jahan!
kahan kho gaye teray chaara ghar
k rah-e-hayat main raay'gaan
kahan so gaye teray humsafar

abhi ghum ghusaroon ki choat seh
abhi kuch na sun abhi kuch na kah
rabia
ayeno ki ada na apnao
ayine tu khafa bhi hote hain

dard ki intaha na samjhao
dard tu be intaha bhi hote hain

khud ko shumar na karo logon men
log tu bewafa bhi hote hain
shy_grrl
pyar kay deep jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain

hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain

jaan say piyaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
sari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain

khaboon main bhi piya milan kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain

is jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain

piyar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai?
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain

apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain?
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain

us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain
shy_grrl
kash main ne uss se kaha hota
kash us ne bhi suna hota

kash woh mere baat sun leyti
kash mujhe bhi woh kuch keh deyti

kash us din woh kuch kahey deyti
kash us din ki shadi na hoti
aur ke mein us ko bata deyti ke

haan mujh ko tum se pyar hai aur sirf
tum hi ko mein chahti hoon tumhare
illawa main kisi ko deekhna bhi pasand nahin karti
haan woh tumhi ho ji ke liye main
kuch bhi kar sakti hoon aur main woh hoon
jo tum se itna pyar karti hai ke agar tum kaho
to tumhare liye asamaan se taarey bhi tordh laoon
kash us ne mere yeh baat sun li hoti
kash mein ne us ko bata diya hota
kash us ne bhi sun liya hota
ke main uss se pyar karti hoon
Diva
Khud us ney taelluk he koi jab nahin rakkha....Phir mein ney bhi us shakhs sey matlab nahin rakkha
Her ohda hua peish magar ishq mein hum ney....Juz dar badri koi bhi munsab nahin rakkha
Rukhsat ki ijazat na mili us sey wagerna....Saman ko bandhey huey mein kab nahin rakkha
Dil mein na teri yaad ko kis rozz sajaya....Ankhon mein teray khawab ko kis shab nahin rakkha
Us ney bhi dhong rachaye thay wafa key ....mein ney bhi utha ker koi kertab nahin rakkha
Kab ishq mein hum lamh-e-kamzoor sey guzrey....kab peish teray khud ko moaddab nahin rakkha
Khud nehr nikali hai tou pyas bujhai.....Behti hui ganga per kabhi lab nahin rakkha

beaitabari
ub kisey dhoondo tasawur mein basaney key liye;:love

chand koi na raha upna bananey key liye;:butterfly
Cupid
tujh se bich-da hoon tho meree ghazlon ko
lafzon ki taseeren aag lagateen hain
RitzCracker
[img]http://poetry.urdupoint.com/hali/images/musia_galib-01.gif[/img]
Diva
Tum ney bhi thukra hi dya hai Dunya sey bhi duur huey..Apni ana key sarey seshay aakhir chakna choor huey
Hum ney jin per ghazlein sochein un ko chaha logoon ney..hum kitney badnam huey woh kitnay mashoor huey
Tark-e-wafa ki sari kasmein un ko dekh key toot gayein..Un ka naz salamat tehra hum hi zara majboor huey
Ik ghari ko ruk ker poocha us ney to ahwal magar..baqi umer na murr ker dekha hum aesey maghroor huey
Ab key in ki bazm mein janey ka gurr mohsin izn miley..zakhm hi in ki nazar ghuzarein,askh to na manzoor huey
(by Mohsin naqvi)
aniaz
faslay aisaay bhi hoongay kubhi soochaa na thaa,
saamnay baitha tha mairay or maira na tha
aniaz
ankh meen us ki ansoo aisay,
dusht meen koyi jheel ho jaisay,

bhool giaa hoon yeh bhi such hay,
hairut bhi hay bhola kaisay?

aisaa rungeen aaj thaa us ka,
mairaa guzraa kul jo jaisay,

durd ki saari doolut mairee,
tairee aankh meen aansoo kaisay?

beetay lumhay, guzray moosum,
loot aaeen gay laikin kaisay?

tairay bin thaa jeewun mairaa,
hathoon meen kashkool ho jaisay

shy_grrl
aksar shab-e-tanhai mein kuch dair pehley neend se
jag uthay spaney mere kuch dair pehley neend se
khoyee khoyee soochti main asmaan ko deekh kar
jab tuuta tara guzarta kuch dair pehley neend se
dehshat to hai mujhko apni iss mohabbat se magr khoney
nahin deyti mujhko sapnoon mein kuch dair pehley neend se
kuch to aaya tha mujhe burray waqtoon ka khayal
kho gaye sab chain jab nazar aaya kuch dair pehley neend se
arzoo ho rahi hai hum bhi tere rooh barooh rehte kanwal
moot ne jab aghosh mein liya kuch dair pehley neend se
beaitabari
bahein ashq kyun tumharey inhein rook lo khudarah;

mujhey dukh qabool sarey yeh sitam nahin gavarah;:butterfly
Cupid
BAAZ AYA MAI SHEHR KEHNEY SEY
Sajjad khan
hammm.......................how are u all...............

:sarc
hamari basti mein a ker hamara gehr jalaney waley
hamrey mohsin apney dost hamarey chahney waley
kaya kaya apni sakhawet ki ujret talab kertey hain
wohi hamarey hathon mein kashkol thamaney waley
yeah kherati mae dukhter-e-raz nahi laho hey apnon ka
ham badmast piyey jatey hain makar maekhaney waley
ab dalo hamain lahoo mein bighoey tukerey ham terey sag
adet hamari to biger gayi ab ham nahin kahin janey waley
ham ney ujla damen phelaya payey kuch lahoo alood sikey
or kaya dain gey? ham abhi bhi hain daman phelaney waley
ham ney bech dali pehchan ikhtayar or apni adna si izat
kuch shatir they kuch hawi they hamara dam laganey waley
Cupid
hey sajad khan kahan tey aap itney dino tak.....kaisey ho.....
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/e8e1083d.gif[/img]
Sajjad khan
QUOTE
Originally posted by Cupid


            hey sajad khan kahan tey aap itney dino tak.....kaisey ho.....

bas cupid jee moms ke tabiat theek nahi thee.........main theek hoon ap sunoo kasay ho ap?
Sajjad khan
hammmm.....................
:sarc
Kat'ti nahin hai ghumm ki raat
Aa ke thehar gayi hai kya
Neend to khair so gayi
Maut bhi marr gayi hai kya
Jalte hain armaan mera dil rota hai
Qismat ka dastoor nirala hota hai
Kaun mere toote dil ki faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka malik sota hai
Qismat ka dastoor nirala hota hai
Ayi aisi mauj ke sahil choot gaya
Warna apni kashti kaun dubota hai
Qismat ka dastoor nirala hota hai
Nightmare
Mohabbat bakhsh daiti hai
kabhi ra'anaiyan aisi
kay jaisay dhoop kay hotay
kabhi badal baras jaye
kay jaisay bin kahay koi
kahin dil main utar jaye
kahin pariyon ki waadi main
baray say takht per baithay
koi phoolon kay daman say
koi rangon kay anchal say
saron per saaebaan kar day

mohabbat bakhsh daiti hai
kabhi tanhaiyan aisi
kay jaisay aag si barsay
jo sara tan jala rakhay
kay jaisay dhoop kay honton ko
sholay phir jala baithain
kay jaisay rastay main hee
koi rahi bhatak jaye
kay jaisay man kay andar kuch,
chanak say toot sa jaye
kay jaisay dil pighal jaye
Mohabbat kia hai phir socho!
kia ra'anai? ya tanhai ?
Nightmare
QUOTE
Originally posted by Sajjad khan


           
QUOTE
Originally posted by Cupid


            hey sajad khan kahan tey aap itney dino tak.....kaisey ho.....

bas cupid jee moms ke tabiat theek nahi thee.........main theek hoon ap sunoo kasay ho ap?


salam sajjad khan
aap ki ammi ki tabiyat ab kaisi hai.....Khuda unhen jald sehatyaab kar de .......ameen
Cupid
UDASSI RAYEGAAN MEREE

na uss ki aankh se aabsoo thamey hain
aur na uss ke zard chehrey par khusi ka rang aya hai
judai sanp hai
adm e tahafuz sanp se be kuch zyada zehr rakta hai
ussey sulgey hooye halat se kaisey nikaloon
haath jaltey hain
paron mai iss qadar taqat nahi hai ke
kisi mehfooz aur qayem shajar pe gonsla tameer kar daloon
merey hathon ki larzish qed kar dalo
karahen cheen lo
afsos ko zinda na rehney do
mujey iqrar hai
beyshak
udassi raygaan meree
Nightmare
BATAIN KUCH BAY MANI SI

AAO BATAIN KARTAY HAIN
BAY MANI SI BATAIN
KABHI KABHI WO NAGHMA BHI
KITNA ACHA LAGTA HAY
JISMAY KOI KHAYAL NA HO
AUR KOI SUR TAAL NA HO
LAKIN JAZABY SAY PUR HO
AUR JAZBAY KI SHIDAT MAY
LAFZON MAY KUCH RABT NA HO
HONTON PAR KOI ZABT NA HO
AQL AUR DANISH KI BATAIN
SARAY MANSAB AUR ZATAIN
APNI SAMAJH SAY BAHIR HON
APNAY BATAIN ZAHIR HON
WARNA APNI HAR BAAT
APNI KHUSHBOO KHO DAY GI
Sajjad khan
QUOTE
Originally posted by Nightmare


           
QUOTE
Originally posted by Sajjad khan


           
QUOTE
Originally posted by Cupid


            hey sajad khan kahan tey aap itney dino tak.....kaisey ho.....

bas cupid jee moms ke tabiat theek nahi thee.........main theek hoon ap sunoo kasay ho ap?


salam sajjad khan
aap ki ammi ki tabiyat ab kaisi hai.....Khuda unhen jald sehatyaab kar de .......ameen

w salamz....
thanx dear thanx very much i need your prayers
Sajjad khan
hammm...........................
:sarc
dost kia khoob wafaoon kA sila datay hain
her nayay mor pe ek zakhum naya datay hain
tummse to khair gahre bahr ke mulaqat sahe
loog sadion ke rafaqat ko bohla datay hain
kesay momkin hai ke duaa bhi na ho aur dil bhi na jalay
chot parte hai to pathar bhi sada dataty hain
kon hota hai mosebat mein kese ka aa dost!
aag lagte hai to patay bhi hawa datay hain
jin pe dil ko hota hai bahrosa aye dost
waqat parnay per wohi loAg daga datay hain
shy_grrl
Hai dowa yaad magar harfay dowa yaad nahin
meri nagmaat ko andazay nawa yaad nahin

woh jin ke liye bechaye the rahoon mein lahoo
wohi hum se kehte hain ahday wafa yaad nahin

zindagi jaberi muslsal tran kaati hai
janey kis jurum ki paayi hai saza yaad nahin

main ne tuutey hoye taroon ki chamak deekhi hai
kon howa kab howa mujhe se khafa yaad nahin

aa aik sajda karein almay madhosi mein
log kehte hain sagar ko khuda yaad nahin
Diva


Aaj bhi tashnagi ki qismat mein..sam-e-qatil hai salsabil nahin

Sab khuda kay wakil hain laikin..Aadmi ka koi wakil nahin

Hai kushada azl sey roo-e-zamin..Harm o Dair bay faseell nahin

Zindai apnay roag say hai tabah..Aur derman ki kuch sabil nahin

Tum bohat jazib-o-jamil sahi..Zindagi jazi-o-jamil nahin

Na karo behs haar jao gi..Hussn itni bari daleel nahin
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/2ddd55f5.jpg[/img]
Nightmare


aey umer-e-rawan aa pass merey
ik raz ki baat batani hay
ik khwab sunana hay tujh ko....ik tees si dil k ander hay
ik rang dekhana hay tujh ko
aey umer-e-rawan
aa pass merey....
ye neem shabi ki khamoshi
ye neend ki palken bojhal si
ye parda-e-der
ye zehar nazer
ik khof sa zehan-o-dil main hay
tanhaii meri chupkey say kahey
aey umer-e-rawan aa pass merey
tujh say tu faqat kehna hay mujhey
raftar ko apni dheema rakh
milnay ki gharri jo thehri hay
do char sadi ya ab k bars
IK SHAKHS SAY MILNA HAY MUJH KO
aey umer-e-rawan ...
Sajjad khan
hammmmmmmm....................................
:sarc
mujhay tum say muhabbat ho gayi thi ...
kay tum apnay akailay-pan kaa dukh lay kar meray restay main aaye they...
tumhaari aankh say tanhaayi kaa aazaar behtaa thaa ...
so main nay tum ko aisay logon say milaaya ...
aisi mehfilon kee awwalee'n saf pay bithaaya ...
jahaan honton kee jumbish nojawaa'n qisson main dhalti hay ...
qehqahon kee rasm chalti hay ...
tumhain apni sama'at say bhi shikwaa thaa ...
kay tum nay naghmagi kay din nahee daikhay
haraf ko awaaz kay pehloo main khaabeedaa nahee paaya ...
tumhaari guftagoo maayoos sannaaton ka jangal thi ...
so main gungunaati subhaa kee maanind lehjon ko ...
tumhaari rooh kee mehroom khilwat main bulaa laaya ...
kayi rass gholti shaamain tumhaari rooh main aabaad kar daalee'n ..
mager honaa wohi thaa ...
mager honaa wohi tha jo ta'aluq jornay waalon kaa daireenaa muqaddar hay ...
guzishtaa raat tum nay mujh ko bay-masraf samajh kar ...
apnay hangaamon par nazar rakhi ...
lihaazaa abb ijaazat do ...
meray restay kee jaanib ghor say daikho ...
wo daikho aik darmaandaa musaafir ...
meri qurbat kay liye bay-chain lagtaa hay ...
tum uss kee aankh say tanhaayi ka aazaar behta daikh saktay ho ...
ussay apni sama'at say bhi shikwaa hay ...
aur uss kee guftagoo maayoos sannaaton kaa jungal hay ...
Diva
Munir Niazi

In say nain mila kay dekho ..yeh dhoka bhi kha kay dekho

Duuri mein kya bhaid chupa hai..Is ka khoj laga kay dekho

Kisi akeli sham ki chup mein..Geet puraney ga kay dekho

Aaj ki raat bohat kali hai..soch kay deep jala kay dekho

dil ka ghar sunsan para hai ..Dukh ki dhoom macha kay dekho

Jaag jaag kay umer kati hai..need kay dwarey ja kay dekho
Sajjad khan
hammmmmmmmmmm.......................
:sarc
bikhri zulfoon ko sajaney ki ijazat dey do
ha mujhey paas mein aney ki ijazat dey do
dil bhi kiya cheez hai rokey sey nahi rukta hai
lab sey shabnam ko churaney ki ijazat dey do
khawb ankhoon mein basaney ki ijazat dey do
rateen rangeen bananey ki ijzat dey do
dil bhi kiya cheez hai rokey sey nahi rukta hai
bey qaraari ko mitaney ki ijazat dey do
paas ata hoon sanam door chala jata hon
kitna nazuk hai badan chooney sey ghabrata hon
piyaas nazroon sey bujhaney ki ijazat dey do
ha mujhey paas mein aney ki ijazat dey do
dil bhi kiya cheez hai rokey sey nahi rukta hai
lab sey shabnam churaney ki ijazat dey do
khawb ankhoon mein basaney ki ijazat dey do
piyaar ka khawb ho tum meri nigahoon mein raho
ban key dharkan dilbar ki panahon mein raho
mujh ko sansoon mein basaney ki ijazat dey do
rateen rangeen baney ki ijazat dey do
dil bhi kiya cheez hai rokey sey nahi rukta hai
bey qaraari ko mitaney ki ijazat dey do
bikhri zulfoon ko sajaney ki ijzat dey do
khawb ankhon mein basaney ki ijazat dey do
Cupid
QUOTE
Originally posted by Diva


            Munir Niazi

In say nain mila kay dekho ..yeh dhoka bhi kha kay dekho

Duuri mein kya bhaid chupa hai..Is ka khoj laga kay dekho

Kisi akeli sham ki chup mein..Geet puraney ga kay dekho

Aaj ki raat bohat kali hai..soch kay deep jala kay dekho

dil ka ghar sunsan para hai ..Dukh ki dhoom macha kay dekho

Jaag jaag kay umer kati hai..need kay dwarey ja kay dekho


wah
Kisi akeli sham ki chup mein..Geet puraney ga kay dekho
Sajjad khan
hammmm....................
:sarc
Tere roone ki ab is zamane ko perwah nahin hai
Kyoon kay ab zamane mein
Rooney waaloon kay liye jaga hi nahin hai
Magar phir bhi
Agar tu is zamane kay saath chalna chahta hai
To tootey dil se hasna seekh le
Aur hans
Kiyon kay gham tujh ko hai
Is zamane ko nahi hai....
Nightmare
barish ki ik nazam...

Rut ki pehli shararat mein
khuley aasman taley
badiloon ki chatri aurhey
thandi hawa ki athkelion mien
neher kinaarey lambi serrk pey
matti ki khushbu key sang
barish key jhoomtey naachtey qatrey saath liey
door tak chalna
kitna acha lagga
teri sangat mein
Cupid
QUOTE
Originally posted by Sajjad khan


            hammmm....................
:sarc  
Tere roone ki ab is zamane ko perwah nahin hai  
Kyoon kay ab zamane mein  
Rooney waaloon kay liye jaga hi nahin hai  
Magar phir bhi  
Agar tu is zamane kay saath chalna chahta hai  
To tootey dil se hasna seekh le  
Aur hans  
Kiyon kay gham tujh ko hai  
Is zamane ko nahi hai....


:huh :huh
Cupid

ABBHI DIL MAI MOSAM E SABZ HAI

Sar e loh e diil abhi naqsh hain tereee khahishen
abbhi barg barg pe lokh raha hoon kahaniyan mai wisal ki
abhi fikr q ho naseeb hijr o malal ki
abhi sabz rout hai bahar ki meree har taraf
abhi diil mai mosam e sabz hai
kaheen bad e subh e naseem chalti hai dheerey dheerey khayal mai
abhi shakh shakh pe rang rang ke phool kiltey hain dam ba dam
abhi raat dafn hai qabar mai
kaheen roshni kaheen noor hai
terey qurb mai terey ishq mai
abhi lazaton ka saroor hai
abhi ranj o dard ka kafila
kaheen dour hai badi dour hai
abhi rang khez hain sa'aaten
abhi barawar hain ye chahaten
abhi dil mai mosam e qurb hai
abhi barg barg pe likh raha hoon kahaniyan
kisi shoq e harf e wisal ki
abhi likh raha hoon kahaniya
terey rang e husn e jamal ki..
Nightmare
Ye dil jazbon ka maskan hai
jazira matt kaho is ko
ye jazbey khushbuon, rangon ko ley kar
dhadkanon main phuul bantey hain
ye jazbey un-chuu'ay ehsaas jaisey hain
kisi ka honey aur apna banaaney ki anokhi pyaas jaisey hain
ye dil jazbon ka maskan hai jazira matt kaho is ko
tumhen ma'luum hai aksar jazeera duub jata hai...

Diva
Tum say ulfat kay takazey na nibhaey jatey...Werna hum ko bhi tumanna thi Keh chahe jatey

Dil kay maroon ka na kam ghum ke yeh woh undoh naseeb..Zakham bhi dil mein na hota tou karahey jatey

Kum nighahi ki humein khud kahan thee toufeeq..Kum nighahe kay liye Uzr na chahe jatey

Kash aey abr-e-bahari teray behkay say qadam..Meri umeed kay sehra mein bhi gahe jatey

Lazat-e-dard sey aasooda kahan dil waley..Hein faqat dard ki hasrat mein karahey jatey

Hai teray fitna-e-raftar ka Shohra kya kya..Garcha dekha nahin kisi ney sar-e-rahe jatey

Dee na mohlat humein hasti ney wafa ki werna..aur kuch din gham-e-hasti say nibhaey jatey

(Shan ul haq Haqqi)
Cupid
wah-----
Zakham bhi dil mein na hota tou karahey jatey
Diva
thanx ji
credit goes to the poet
Sajjad khan
hammm........................
:sarc
bhool shayed bohat baRi kar lee
Dil nay duniya say dostii kar lee
Tum muhabbat ko khel kahatay ho
Ham nay barbaad zindagee kar lee
Us nay dekha baRi inaayat say
AaNkhoN aaNkhoN maiN baat bhee kar lee
Aashiqi maiN bohat zaroori hai
Bewafai kabhi kabhi kar lee
Ham naheeN jaanate CHiraGHoN nay
KyoN andheroN say dosti kar lee
DhaRkanaiN dufn ho gaee hoNgee
Dil maiN deewar kyoN khaRi kar lee
Diva
Jab tera hukm mila turk-e-mohabbat ker di
Dil magar us pay woh dharka,keh Qiyamat kar di

Tujh say kis tarah mein izhar-e-tamanna kerta
Lafz sooja tou muafi nay baghawat ker di

Tujh ko pooja hai kay isnam parasti ki hai
Mein nay wehdat kay mufaheem ki kasrat kar di

Mujh ko dushman kay iradoon per bhi pyar aata hai
Teri ulfat ney mohabbat meri aadat ker di

Pooch betha hoon mein tujh say teray koochay ka pata
Teray halat ney kaisi teri soorat ker di

Kya tera jism ,teray hussn ki huddat mein jala
Rakh kis ney teri soney ki si soorat ker di
Sajjad khan
hammmm................
:sarc
kuch ishq tha kuch majbori thee su mae ne jeevan waar diya
mae kaisa zinda aadmi tha aik shaks ne mujh ko maar diya
aik sabz shaakh gulab ki thee aik duniya apne khwaab ki thee
wo aik bahaar jo ayee nahi us k liye sub kuch haar diya
ye saja sajaya ghar saathi meri zaat nahi mera haal nahi
aay kaash! kabhi tum jaan sako jo is sukh ne azaar diya
mae kholi hoee aik such-ai mujhe jaan-ne wale jantay hain
mae ne kin logoon se nafrat ki mae ne kin logoon ko pyaar diya
wo ishq bohat mushkil tha magr aasaan na tha yoon jeena bhee
is ishq ne zinda rehne ka mujhe zurf diya pundaar diya
mae rota hoon aur aasmaan se taary toot-ta dekhta hoon
un logoon pur jin logoon ne mere logoon ko azaar diya
mere bachoon ko Allah rakhe un taza hawa k jhoonkoon ne
mae khushk paer khazaan ka tha mujhe kaisa burg-o-baar kia
kuch ishq tha kuch majbori thee su mae ne jeevan waar diya
mae kaisa zinda aadmi tha aik shaks ne mujh ko maar diya
aniaz
simply beautiful...by IQBAL...he wrote this poem while he was sitting in MASJID-E-QURTABA of spain....


silsala-e-rooz-o-shub,
nuqsh gar-e-haadisaat,
silsala-e-rooz-o-shub,
asal-e-hayaat-o-mamaat,
tujh ko purukhta hay yeh,
mujh ko purukhta hay yeh,
silsala-e-rooz-o-shub,
saruf-e-kaainaat,
awwul-o-akhir fanaa,
zaahir-o-baatin fanaa,
nuqsh-e-kuhun ho kay now,
munzil-e-akhir fanaa,
hay mugur us nuqsh meen,
rung-e-sabaat-e-dawaam,
jis ko kia ho kissi,
murd-e-khudaa neen tamaam,
murd-e-khudaa kaamul,
ishq say sahib kuroo,
ishq hay usul-e-hayaat,
moot hay us pur haram,
ishq dum-e-jibraeel,
ishq dil-e-mustafaa,
ishq khudaa ka rasool,
ishq khudaa ka kalaam,
ishq kay mizraab say,
nughma-e-taar-e-hayaat,
ishq say noor-e-hayaat,
ishq say naar-e-hayaat,
aay HURM-E-KURTABA,
ishq say tairaa wajood,
ishq saraapa dawaam,
jis meen naheen hay rubt-o-ghood,
rung ho ya khisht-o-sung,
chung ho ya hurf-o-soot,
moojzaa-e-fun ke hay,
khoon-e-jiggur say namood
Sajjad khan
hammmmmmmmmm..............
:sarc
nazar main tujhe ko nazar kar raha hoon
wafa ke siwa bus ek dil hi tu hai mere paas
dua ke siwa khuda kare ke tera saath ho
qayamat tak koi bhi tera muqabil na ho baqa ke siwa...
tere bagayir mujhe ko kuch sunaee na de
sunae na de mujhe kuch teri sada ke siwa
main bhool jaoon tujhe..khud ko bhool jaoon main
tujhe na aaye nazar koi bhi mere siwa

beaitabari
tumharey shehr ka masuam bara sohana lagey;

mein aik shaam chora loon agar bura naa lagey;

bholana chahoo tu bhola do mujhey magar

tumhey bholaney mein shaiad mujhey zamana lagey;:love

tumharey shehr ka masuam bara sohana lagey;

mein aik shaam chora loon agar bura naa lagey;:love :butterfly
Diva
Jo ahl-e-dil ho wo dard-e-ashana hi hota hai..ghan-e-darakh ka saya ghana hi hota hai

Mujhey tou ras na aaya kabhi tera milna ..Ke tujh say mil kay mera gham siva hi hota hai

Yeh kya kay tujh say bichar ker bhi mein nahin tunha..Jidhar bhi jaon tera hi samna hota hai

Agarcha ghair ki karta hai chhup ker warr aksar ..Magar wo ghair koi ashna hi hota hai

Sabhi kay bus ka nahin dasht-e-aghi ka safar ..Woh koi meri tarah sarphira hi hota hai

Uchal sakta hai darya bhi yun tou sahil per..Magar woh shakhs jisay doobna hi hota hai

Khula yeh raaz bhi apney salook say Diva ..Keh ehl-e-ishq ka dil aaena hi hota hai

(Rehman Khawar)
Diva
hey beaitbari nice one yaar
Sajjad khan
hammmmmmmmm....................
:sarc
Abhi wo dard baki hai
Agarchey waqat marhum hai
magar kuch waqat lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqat lagna hai
abhi wo dard baqi hai
mein kaisai nayee ulfat mein apni zaat ko gum kar doon
keh mere jism-o-wajdaan mein
abhi wo fard baki hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigaah-e-sard baki hai
abhi tu ishq kay rastoon ki mujh per gard baki hai
abhi wo dard baqi hai!
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.