Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/325525.jpg[/img]
Nightmare




baarishon ka mausam hay
rooh ki fizaaoN mai
gham-zada hawaaon mai
baysabab udaasi hay
iss ajeeb mausam mai
bayqaraar raaton ki
bayshumaar baatain hain
un-ginat fasaanay hain
jo buhut khamoshi say
dil pe sehtay phirtay hain
aur ba amar majburi
sab say kehtay phirtay hain
aaj mausam acha hay
aaj ham buhut khush hain
uzmasami
kaha kerti ho tum aksar
mujhey ek nam aisa do
pukaro jis sey tum mujh ko to yun
mehsoos ho jaisay
tumhari shairai sari
meri tareef thehri hai
jissay sun kermain khawabon ki si kafeeyat main kho jaonhawaon main uroon jaisay
jissay sun ker yeh dil kiya rooh tak sarshar ho jaye
jisay sun ker meri tashna labi seerab ho jaye
jissa sun ker lagay aisay kay barish jaisay phhlon ki
badan ke her kali jaisay ba-andaaz-e-zikar mehkay
jissay sun ker lagay aisay
key madham sey meethay surron main teerta meetha mahdur naghma
guzartay waqt key lamhay jissay sun ker thehar jayen
saman madhosh ho jaye
jissay sunker baharain jatey jatey phir sey loot ayenmujhey ek naam aisa do
so ay meharban larki!
main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
key jo mansoob ho tum sey
to tum ko javeedan ker day
ho koi nam aisa jo
mujasma-e-hussan-e-fitrat ho
buhat hi khoobsurat ho
kisi nazuk pari jaisa......
key jo hussan-e-jahan rang-o-boo ka istarra ho
teray malkooti peekar ko magar tashbeeh kis sey doon
agar main gul kahon tum ko?
magar phhool tu murjha ky aakhir sokh jatey hain!
agar tara kahon tum ko?
sitarey toot ker laiken fiza main kho jatey hain!
kahon qaus-e-kaza laiken?
sabhi rang ekthay mil ker bhi,
tere ruuh sey chhalkti noor ki kirno ko na punchay!
hinna ka naam don tum ko?
magar rang-e-hina tuchar din main roth jata hai!
agar badal kahon tum ko?
ghataon sey siwa laiken tere jazbat ki shidaat hai!
tumhain sawan kahon kaisay?
tumharey pyar ki barish tu her mausam barasti hai!
naseem-e-subha keh doon ya kahon baad-e-saba tum ko?
magar fitrat hawa ki tu azal sey bewafai hai!
teri waraftgi sochon, samander ki lehar keh doon!
magar mojjon ki tughiyani tu ek poonam ki shab tak hai!
teri aankhain agar sochon'tumhain may ka badal keh doon!
khumar-e-mai tu laiken raat bher ki bat hoti hai
agar sayya kahon'jhoonka kahon'khushboo kahon tum ko?
magar tum tu mujasma ho!
buhat kuch sochta hoon main
tumhara naaam kiya rakhon.....?
kahon jadoo , chirag-e-raah ya manzil kahon tum ko?
kahon main justju 'koshish kahon ya phir dil kahon tum ko?
shafaq keh doon'sahar keh doon ya keh doon chandni tum ko?
agar khawahish kahon ya arzoo ya zindagi tum ko?
agar sahir kahon'nasha kahon ya be-khoodi tum ko?
ada keh doon'wafa keh doon, haya keh doon agar tum ko?
agar sahil kahon'kashti kahon ya nakhudha tum ko?
agar taqdeer ya inaam ya kismat kahon tumko?
agar guncha kahon' lala kahon ' nargis kahon tum ko?
kahon main jaan ya jana ya jaan-e-jaan tum ko?
agar jharna kahon'darya kahon'sagar kahon tum ko?
kiran keh doon , ghata keh doon ya phir rim jhim kehon tum ko
agar jugnu keh doon, shaula kahon' shabnam kahon tum ko?
agar sheesha kahon' moti kahon 'reesham kahon tum ko?
yeh sarey naam teri zaat key pehlu sehi laiken________
magar jachta nahin koi yeh sarey naam fani hain!
tumhara nam aisa hi..........
jo tum ko javidan ker day
tumhain poora bayan ker day
suno ay meharban larki!
buhat hi soch ker main ney
tumhara naam rakha hai
mohabbat____naam___ kaisa hai ?
mohabbat jo kabhi marti nahin
uzmasami
jisay tum zindagi janoo
tumhay wo roog kheta ho
kay jis nay khud hi chahat say
tumhara hatt tahma ho
wo apnay dil kay darwazay
tumhi par band kar day to
muhabat mar bhi sakti hay
tumhay sangsar karnay ko
jo sang bantay logo may
saba ko roknay ko
qafal dalay darichoo may
kar kay band ghar ko
sans par pehray lagay to
mohabat mar bhi sakti hay
yee kis nay khay diya tum say
mohabat mar nahi sakti
jab koi tumhay jan say
guzar janay ko kheta ho
aadhi raah may khud hi
mur janay ka kheta ho
wo apni be-wafai ka
khud hi aetaraf kar lay to
mohabat mar bhi sakti hay
mohabat mar bhi sakti hay
DiarY
QUOTE
Originally posted by uzmasami


            kaha kerti ho tum aksar
mujhey ek nam aisa do
pukaro jis sey tum mujh ko to yun
mehsoos ho jaisay
tumhari shairai sari
meri tareef thehri hai
jissay sun kermain khawabon ki si kafeeyat main kho  jaonhawaon main uroon jaisay
jissay sun ker yeh dil kiya rooh tak sarshar ho jaye
jisay sun ker meri tashna labi seerab ho jaye
jissa sun ker lagay aisay kay barish jaisay phhlon ki
badan ke her kali jaisay ba-andaaz-e-zikar mehkay
jissay sun ker lagay aisay
key madham sey meethay surron main teerta  meetha mahdur naghma
guzartay waqt key lamhay jissay sun ker thehar jayen
saman madhosh ho jaye
jissay sunker baharain jatey jatey phir sey loot ayenmujhey ek naam aisa do
so ay meharban larki!
main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
key jo mansoob ho tum sey
to tum ko javeedan ker day
ho koi nam aisa jo
mujasma-e-hussan-e-fitrat ho
buhat hi khoobsurat ho
kisi nazuk pari jaisa......
key jo hussan-e-jahan rang-o-boo ka istarra ho
teray malkooti peekar ko magar tashbeeh kis sey  doon  
agar main gul kahon tum ko?
magar phhool tu murjha ky aakhir sokh jatey hain!
agar tara kahon tum ko?
sitarey toot ker laiken fiza main kho jatey hain!
kahon qaus-e-kaza laiken?
sabhi rang ekthay mil ker bhi,
tere ruuh sey chhalkti noor ki kirno ko na punchay!
hinna ka naam don tum ko?
magar rang-e-hina tuchar din main roth jata hai!
agar badal kahon tum ko?
ghataon sey siwa laiken tere jazbat ki shidaat hai!
tumhain sawan kahon kaisay?
tumharey pyar ki barish tu her mausam barasti hai!
naseem-e-subha keh doon ya kahon baad-e-saba tum ko?
magar fitrat hawa ki tu azal sey bewafai hai!
teri waraftgi sochon, samander ki lehar keh doon!
magar mojjon ki tughiyani  tu ek poonam ki shab tak hai!
teri aankhain agar sochon'tumhain may ka badal keh doon!
khumar-e-mai tu laiken raat  bher ki bat hoti hai
agar sayya kahon'jhoonka kahon'khushboo kahon tum ko?
magar tum tu mujasma ho!
buhat kuch sochta hoon main
tumhara naaam kiya rakhon.....?
kahon jadoo , chirag-e-raah ya manzil kahon tum ko?
kahon main justju 'koshish kahon ya phir dil kahon tum ko?
shafaq keh doon'sahar keh doon ya keh doon chandni tum ko?
agar khawahish  kahon ya arzoo ya zindagi tum ko?
agar sahir kahon'nasha kahon ya be-khoodi tum ko?
ada keh doon'wafa keh doon, haya keh doon agar tum ko?
agar sahil kahon'kashti kahon ya nakhudha tum ko?
agar taqdeer ya inaam ya kismat kahon tumko?
agar guncha kahon' lala kahon ' nargis kahon tum ko?
kahon main jaan ya jana ya jaan-e-jaan tum ko?
agar jharna kahon'darya kahon'sagar kahon tum ko?
kiran keh doon ,  ghata keh doon ya phir rim jhim kehon tum ko
agar jugnu keh doon, shaula kahon' shabnam kahon tum ko?
agar sheesha kahon' moti kahon 'reesham kahon tum ko?
yeh sarey naam teri zaat key pehlu sehi laiken________
magar jachta nahin koi yeh sarey naam fani hain!
tumhara nam aisa hi..........
jo tum ko javidan ker day
tumhain poora bayan ker day
suno ay meharban larki!
buhat hi soch ker main ney
tumhara naam rakha hai
mohabbat____naam___  kaisa hai ?
mohabbat jo kabhi marti nahin  


wow
wow
1 o the best poems iv ever read
gud one:)
Nightmare

bahot khoob..... thanks for sharing
welcome to the board uzmasami
Nightmare


~Iqraar~

Bahut hi door kaheen waadeyoon se yeh sada aaee
Ke jab tum pyaar karna tu iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai kisi ke muskuraane ki
Kisi ke muskuraane aur phir nazrain jhukaane ki
Inhee jhukti huwi nazroo se us ke aah bharne ki
Woh jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai kisi ke lab-kushaee ki
Kisi ke lab se pur-taseer harfoon ki rihaee ki
Kisi ke band hontoo se kisi madha saraee ki
Haan jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ussay umeed hoti hai ke woh nakaam na hoga
Ussay umeed hoti hai ke woh badnaam na hoga
Ussay umeed hoti hai ke jo sapnay us ne dekhay hain
Woh sapnay aik din sharminda-e-tabeer honge
Woh sapnay jin mein us ne khud ko bahut masroor dekha hai
Woh sapnay jis mein us ne ek haseen chehray ko dekha hai
Woh chehra jis pe bal khaati zulfoon ka pehra hai
Woh chehra jis pe do aankhoon ka kaala rang ghehra hai
Woh chehra jis pe do hanstay huwe se lab hain
Hazaaroon phool barastay hain woh lab jab boltay hain
Woh lab jin se nikaltay huwe alfaaz jo sun lay
Woh bas ulfat mein par jaye hazaaroon khwaab woh bun lay

Kissay kaise bataayain us ke hai lehjay ka assar kya
Ke jaise ek diya tarekeyoon ko cheerta huwa
Ke jaise barsoon se pyasi kisi zameen pe baarish
Ke jaise sadeyoon se be-jaan jism per dam-e-Essa
Woh haseen aur woh khud ek chotay se ghar mein rehtay hain
Woh donoo choti choti batoon pe roz hanstay rehtay hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf khushiyan hi khushiyan hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf hi pyar ayyaaan hai

Yeh sapnay woh hi bunta hai jissay umeed hoti hai
Ke sapnay aik din sharminda-e-tabeer bhi honge
Magar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir
Woh sapnay toot jaayain tau
Woh gar nakaam ho jaaye tau
Woh lab na muskuraayain tau
Agar aisa na ho tu phir

Agar aisa na ho tu phir bahut takleef hoti hai
So jab tum pyaar karna tuk abhi iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ke jo iqraar karta hai ussay takleef hoti hai...
Cupid
nice poems uzmasami....welcum to board
Cupid
uth-ra tha lamha bar ko koyee dukh shaa-ooor mai
boley chaley na roye par asab takh gaye-----------
Cupid
hazaro khahishen dil ke nehan-khano mai hotee hain
ye bey-abad kasbey be kahan veeran rehtey hain

bhala ki afra-tafri hai hamaree zaat mai lekin
hamen iss bediyani mai bhe terey diyan rehtey hain
Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/330395.jpg[/img]
uzmasami
Lots of thanks

plz vist my poetry site

http://www.uzma.tk


koi waada nahin hum main
na aapas main buhut batain
na milnay main buhut shoukhi
na aakhir shab manajati
magar aik unkahi si hai
ju hum dono samajhtay hain
ajab aik sarkhushee si hai
ju hum dono samajhtay hain
yah saray dilruba manzer
tilismi chandani raatain
sunahray dhoop kay mausum
yeh halkay sukh ki barsaatain
sabhi ik zid main rahtay hain
mujhay paham yeh kahtay hain
MUHABBAT YUN NAHIN AACHI
MUHABBAT YUN NAHIN AACHI
Cupid
beautiful collection........
[img]http://www.speedis.org/images/333402.jpg[/img]
Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/333379.jpg[/img]
Nightmare
zamanay ko qarenay se woh apnay saath rakhta hai
magar mere liye usko koi lamha nahin milta
uzmasami
sahil samandar par
bay kinar tanhai
sham cheen leti hay
ishq kii riwayat bhi
gham ki sheraoo par
apnay apnay rahi ka
nam cheen leti hay
dil say dunya dari ka
kam cheen leti hay
zindagi ki ghatoo may
dard chup kay behta hay
khas khas moqoo par
jan-o-dil par japtay ga
beqarar ratoon may
hijar chup kay behta hay
khuwab kay daraktoo par
tehniyoo say liptay ga
sangdil zamanay ki
kat dar batoon may
aag chup kay behti hay
aik aik chingari
roh ko jalati hay
zindagi ki nagri may
gam gam par janan
almiyee utartay hain
kon kon sa rona
kesay kesay roeen gay
kon kon sa daman
be-zaban ashkoo say
kab talak behghoo gay
kon kon sa dukhra
aik aik lamhay ko
kis tarha sunaoo gay
kesay kesay zakmoo ko
raeega dilasoo say
kis tahra solaoo gay
is tamam alam may
jagtay bhi rehna hay
zindagi bhi sehna hay
hal dil bhi khena hay
haal-e-dil say ghabra kar
roh ki zamenoo par
ranjishoon ko mat bona
gham ki lehar may beh kar
jesay harnay walee
bay kinar rotay hain
istarhay say mat karna
tum udas mat hona ....
tum udas mat hona.....
uzmasami
ghamoo ki jo faseel hay
wo is qadar taweel hay
ghazab to hay yee aik nahi
faseel dar faseel hay
tum is ki har mundeer par
arzuoon kay teal (oil) say
chiragh-e-dil jaloon na
zara sa muskhoraoo na
zara sa muskhoraoo na
wo phir say yadd aa gaya
jo rooth kar chala gaya
usay khayal bhi nahi
kisi ka dil dukha gaya
abb us ki mehtee yad may
shaboo ko jagh jagh kar
yee rat jagee manaoo na
zara sa muskhoraoo na
zara sa muskhoraoo na
yee ghgam hamesha aeen gay
yee dil yohi jalain gay
magar khushi kay atay hi
yee gham bhi bhool jain gay
malool ho kay gham say tum
zara palkoon pay yonhi
sitaray jilmilaoo na
yee ansoo pee bhi jaoo na
zara sa muskhoraoo na
zara sa muskhoraoo na
Cupid
bahot khub....bahot pyari poems hain dono....nice choice....
Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/335904.jpg[/img]
Chess_King4
-
Nightmare
Gar kuch din aur issi tarah baigangi rahi
Dastak jo daine aao gey dar bhool jao gey

Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/338544.jpg[/img]
uzmasami
Bhut si kitabay
bhut si Cds aur casetes
bhut si bay tuki batain
dostoon say phone par taweel guftagoo
ya phir ulji rahoo par chaltay hoee
yohi waqat betana
be-simat rastoo may be-waja khakh urhana
ya phri Net kay uljawoo may
be tarha khud ko uljana
bat be bat hasnay kay bhanay
bhut hain khush
dunya ko dikhhanee ko
kitnay bhanay doonhta hay dil
faqat usay bhulanay ko

Nightmare
Ab bhi shair rahoon
Kis ki khatir rahoon
koun hay jo merey lafz-o- maani ke aankhoon say bethey hoay
Aansoon main chupey dard chunta phiray
khwaab bunta phiray
koun hay jo merey khoon hotay hoay dil ki aawaz par
apni aawaz kay hont rakhta phiray
koun aankhain meri dekh kar ye kahay
"kiya howa jaan-e- jaan "
kab sey soee nahi
iss sey pehley tu tum itna roi naheen
aab bhala kis liay khoob surat se aankhain pareshaan hain
apni haalat pay khud itni hairan hain"
kyoon bechain ho?
kyoon betaab ho?
mousam-e-hijar ke sham-e- tanhai main
Aabla paii main
koun ho humsafar, gard hay rehguzar
koi rasta nahi, koi rahi nahi
dar pay dastak ke koi gawa'hi nahi
dil kay veraan-o- barbaad safhaat par
jis qadar lafz likhay thay bekaar hain
aik lambi judaai kay aasaar hain
sochti hoon kay ab
in khayalon say khvabon say bahir rahon
kuoo main shair rahon
kis ki khatir rahoon
shy_grrl
pathar mujhe jo kehte hain
unhooney ne mere andar utar kar nahin deekha
main to moom hoom
zara si aanch se pighal jaoongi
aur fir jis surtat mein chahoge
dhal jaoon gi 'sad.gif'
Cupid
ooooooooooooo---- beautiful shy grl.........'smile.gif'
aniaz
AARZOO

mujhay moojzoon pay yaqeen naheen,
pur aarzoo hay kay jub qaza,
mujhay buzm-e-dehur say lay uthay,
tu ik baar phir yeh uzn day,
kay lehud say loot kur aa sakoon,
tairay dur pay aa kay sada kuroon,
tujhay ghum ghusaar ki ho tulub,
tu tairay hazoor meen aa rahoon,
jo yeh na ho tu suaay udam,
meen ik baar phir rawaana hoon...
Cupid
hamen aur zindagee dey ke hai dastaan adhoori
Nightmare
Apni apni tanhaai ki deewar mein chune hoay
Apni apni bud-naseebi k haathon luttay hoay
Hum
Koun koun se zakhmon pur paha rakhein
Ab tu parinde paal laine se bhee tanhaai nahi kut-ti
Na ebaadut se naseeb badultay hein
Rookhi sookhi kha kur lait jane se
Ab neend nahi aatee
Aablay gin-ne bhaith jayein tu gintay hee rahein
Dukh chun-ne bhaith jayein tu chuntay hee rahein
Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/349315.jpg[/img]
DiarY
[img]http://www.speedis.org/images/351015.jpg[/img]
shy_grrl

Matlabi hai yeh duniya
yahan kaun kisika hota hai
dhoka bhi wohi deyta hai
jis per bharosa hota hai
shy_grrl
jo tu naaraz hua to zindagi bhi ruth jaayegi
jo tu na raha to zindagi bhi paas na aayegi

bhool maine ki hai, sazaa tu mujhko de
par baat na karke jeete ji mujhe maar na de

teri baaton me rukhapan, aankhon me naarazgi dekhi na jaayegi
na jaane kab tere hothon par hansi aayegi

manaa maine bahut badi ki hai khata
par ab tu mujhe itna na sataa

rooh ko sukoon, dil ko chain mil jaayega
ek chand aur har taara mil jaayega
mil jaayega mujhe khushi ka har saaman
bas ek mauka deyke, ab to maan ja
RitzCracker
[img]http://www.okonlife.com/poems/img1/rok12.gif[/img]

Happily I walked with the tavern down the line
Passed an old drunk, holding a bottle of wine
"Do you not fear God?" was reproach of mine
said, "Mercy is God’s sign, in silence I wine and dine."

-from Omer Khayyam's Rubaiyat
shy_grrl
iss ajnabi seher mein main bicharey panchi ki tarhan rehti hoon
koi nahin mera yahan main apne aap se yeh kehti hoon
mujhe to buss manzil ki talash hai
main mazil ke mutalik soochti rehti hoon
koi to mil jaye jo apna kahey
main chand ke saaye zameen per tanah rehti hoon
Cupid
[img]http://www.photobucket.com/albums/0703/teriram/58002a43.jpg[/img]
Nightmare
aik nazm kho gaye hai
duniya ki wosato'on main
kuch lafz is ke gum hain
neelay samandaron main
kuch harf mit gaye hain
mo'sam ki barishon main
is ka koi kinaya
badlon ne le liya hai
unwa'an, ruftagan ke
khawabon main jagta hai
uljhi hoye hain rahain
main jin pe chal raha hoon
bikhray howay hain manzaR
main jin main ghir gaya hoon
is munatshir jahan main
aik nazam dhondhta hooN
Cupid
terey firaq ke lamhey shumar kartey hooye
bikar gaye hain tera intizar kartey hooye

tho mai be khush hoon koyee uss se jaa ke keh dena
agar wo khush hai mujey beqarar kartey hooye

mai mukurata hoowa ayeeney mai ubroonga
wo ro padeygee achanak singar kartey hooye

tumhen khabar he nahi hai ke koyee toot gaya
mohabato ko bahot payedar kartey hooye
Nightmare
wo abar meray dasht-e-tamana main utarta
aiey kaash samandar kabi darya main utaRta

kirnoo ki dhanak oo'rah k aik roz achaanak
wo muj se bichar kar meri dunia main utarta

aik akaas meray dil k dreechay maiN dharkta
aik khawab meri ankh k sehra main utarta

be-noor na rahti shab-e-hijraaN ki hatheli
wo jaan-e- dua dast-e-tamana main utarta

wo chand kisi mahal k khawabon ka muqadar
keon meray bujhay ghar ki tamnna main utarta

javaid kisi shaab meray khawaboon ka musafir
ankhoon se niqal kar dil-e-tanha main utarta
Cupid
QUOTE
Originally posted by RitzCracker


            [img]http://www.okonlife.com/poems/img1/rok12.gif[/img]

Happily I walked with the tavern down the line
Passed an old drunk, holding a bottle of wine
\\"Do you not fear God?\\" was reproach of mine
said, \\"Mercy is God’s sign, in silence I wine and dine.\\"

-from Omer Khayyam's Rubaiyat

guru ji ...aap hamarey section mai....
Nightmare
na sama'eytoon main tapash ghulay na nazaR ko waqf-e-azab kar
jo sunaie day usay chup sikha jo dekhie day usay khawab kar

abhi muntashir na ho ajnabi na visal-e-rut k karam jataa
jo teri talash main ghum huway kabhi un dino ka hisaab kar

meray sabar peR koi ajaar kia meri dopahar pe ye abar keon?
mujhay oo'ranay day ye azee'aatein meri adtain na kharab kar

ye hajoom-e-shahar sitam gara'n na sunay gha teri sada kabhi
meri hasratoon ko sukhan suna meri khaahishoN se khitaab kar

ye jaloos-e-fasl-e-bahar hai tahee dast yaar saja isay
koi ashaak phir se sharar bana koi zakham phir se gulaab kar

Nightmare
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
vo jo harf harf charaagh thaa
use kis havaa ne bujhaa diyaa

kabhii lab hilenge to puuchhanaa

sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
vo jo nikahaton kaa hujuum thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa

kabhii gul khilenge to puuchhanaa

abhii kyaa kahen abhi kyaa sunaayen
yuun hii Khvaahishon ke fishaar men
kabhii be-sabab kabhii beKhalal
kahaaN kaun kis se bichhad gayaa
kise kis ne kaise ganvaa diyaa

kabhii phir milenge to puuchhanaa
shy_grrl

chot iss tarhan se laga hi ke
pani ka glass jahir lagta hai
bin saraab ho kar bhi
isme nasha lagta hai

gehroon se bhi jo gher hote hain
unhe kya pata hai
o be-wafaoon se to kam hote hain

bhagbaan kisi ko khush deyte to kisi ko dua
per hum to woh badnaseeb hain
jinhein bhagbaan sirf bad-dua deyte hain

zakham se bhara hai yeh dil
iss zakham ka koi ilaaj nahin
be-wafaoon se bhari hai yeh duniya
inn bewafaoon ka koi ilzaaj nahin

zakhm se yeh dil bhara hai
iss zakham ka haal kya koi poochega
be-wafaoon se yeh duniya bhari hai
inn bewafaoon se kaun kya poochega

apne jab dushman ban jatey hain
to dil tuut hata hai
dushman ki baat kya karein
jab apne hi chod jaate hain

paraye to humein chod ke chaley jaate hain
per apne to dil tordh ke chaley jaate hain

aankhoon se ansoo nikley to bahaye jaate hain
per dil se ansoon nikley to dik tak
poonch jaate hain

ghar se bhagna chaha to
bili ne rasta kaat diya
ghar aakey marna chaha to
bhagbaan bijli kaat diya

apne dost ki ek baaat yaar rakhna
har riste se badhkar dosti ka rishta
phool se bhi khoobsoort hai yeh rishta
guzrey hue kal ko bhulade yeh rishta
dosti ki kasma hai
yeh baat ko bhul na jana
dosti kia hai to bewafai mat karna
shy_grrl
unki har baat dil lubhaati hai
har adaa , har khataa bhi bhati hai

dil main mere khayaal aaye to
baat unki zubaan pe aati hai

paas baithe.n to aisa lagataa hai
jaise woh har janam ki saathi hain

sab mere haal par pareshaan hain
ek woh hain ki muskuraati hai.n


geet mera likha hi hai shaayad
woh jo haule se gun gunaati hain

hai agar sakht woh usulon ki
to meri neend kyon churaati hain

mere raba mujhe bataa to zara
ishq karke bhi kyon chupaati hain
Cupid
hai agar sakht woh usulon ki
to meri neend kyon churaati hain

wah
shy_grrl
aasmanon mein kabhi dekha hai tumne?
ah koi sard neeli si basi hai
sun ke deekho to kabhi saagar ki baatein
dard per jaise bicha rakhi hansi hai

jangloon mein chal ke dekho tum kabhi to
pedon ke peechey kashmakash chup rahi hai
inn pahadoon ka bhi dil hota hai deekho
aik tamana jis mein barsoon chup rahi hai

zakham hone lagte hain phir se harey se
bhul jaoo yaad mujh ko yoon karo na
udane lagte hain yeh armaan banwarey se
tum mere khuwaboon mein yoon aaya karo na

na kaho, kuch na kaho, kuch na kaho na!
shy_grrl
koi mujh ko apna kaha karay
mujhay saath le kar chala karay
main hoon ek band kitab si
mujh ko harf harf parha karay
mujhay apnay dil main samoo le aur
mere dil main khud raha karay
meri har ada ho janta
meri sochoon ko parha karay
ho num kabhi meri aankh to
mere ghum ki woh dawa karay
mujhay rakhay apnay ikhtiyaar main
mere hisaar main raha karay
ho aaisi bekhudi iss main
haath uthayee apnay liye
mere haq main woh dua karay
chahay sard ho ya garm ho
mere hur mijaz se nibah karay
mere dard ko mehsoos karay
meri khatir muztarib phira karay
main hasoon to mere saath hansay
main roon to saath rooya karay
meri sharaton main shareek ho
meri khata maaf kiya karay
kabhi mujh se karay shararat woh
kabhi mujh pe khafa hoa karay
mere aaitibaar ko na tooray kabhi
mujh ko maan apna ata karay
mujh ko hans k mana le woh
jab kabhi koi khata karay
meri saath rahay woh omer bhar
mujhay khud se kabhi na juda karay
hai aab to yeh hi aarzo hayat
meri soochoon sa koi hoa karay
beaitabari
WAFA KEY WADEY WOH SAREY BHOLA GAYA CHUP CHAP;:butterfly

WOH MERE DIL KI BAHAREIN CHURA GAYA CHUP CHAP;:love
Cupid
chup chaap terey shehr se janey ka irada
pather be na sochey jo lahoo soch raha hai
Cupid
[glow tcolor=red, fcolor=black, size=2, strength=1]Honey se goum hojaney mai[/glow]

jab raat bulaney lagti hai
jab shaam sataney lagti hai
dil hashr utaney lagta hai
kuch rog naye aajatey hain
kuch rog tikaney lagtey hain
teree yaad se wapis aney mai
hamen aik zamana lagta hai
kisi roz yahi ho jayega
dil sehra mai k-ho jayega
hum se iss dukh ke seeney mai
kab teek nishana lagta hai
honey se goum hojanaye mai
bas aik bahana lagta hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.