Nightmare
May 15 2003, 04:28 PM
bahot khoob sajjad khan
khaas taur pe ye shair
woh qatra qatra dil pe barasti hain rozoshab
jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya
Sajjad khan
May 16 2003, 01:55 AM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
bahot khoob sajjad khan
khaas taur pe ye shair
woh qatra qatra dil pe barasti hain rozoshab
jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya |
hammm......thanx dear
Sajjad khan
May 16 2003, 04:37 AM
hammmm..................................
:sarc
tum jis zameen per ho main uska khuda nahi
bus sarbasar aziyat-o-azaar hi raho
bezaar ho gai ho buhat zindagi se tum
jab bus main kuch nahi hai to bezaar hi raho
tum ko yehan kai saaya-e-paratau se kya gharaz
tum apnai haq main beech ki dewaar hi raho
DiarY
May 17 2003, 04:15 PM
khizaaaan ka koi bhi khedsha ub k nahee hay baqeee
k humne reshk e bahar pehlay hee kho dia hay
bhala lutanay ko paas apnay bacha hee kia hay
k dil luta k waqar pehlay hi kho dia hay
Sajjad khan
May 18 2003, 10:20 AM
hammm.............................
:sarc
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne baarhaa poocha
k dil ke khail meiN kya jeetne wale bhi roteY haiN
wo jiN ki chasme khudbee aurooN ko dekha nahi karti
bhala kis gham se dil ke taaR meiN mooti piroteY haiN
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
k kya maaninde sheesha patthar meiN baal aata hai
assaR angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazbaa
jo aiseY hosh mandooN ko bhi yuuN pagal banata hai
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
miza-je husN meiN yuuN yak bayak kya inqilaab aaya
sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
bari taa'kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya
tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate haiN
ta'aluq torna asaan thaa tu keoN aankh yeh nam hai
ana parwaR jafa paisha bhi yuun aansoo bahaate haiN
tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k jalneY aur jalaa'neY meiN bhala keoN lutf aata hai
bas ek jhooti aa'na ke waste barbaad ho jaana
khudi ke zeam meiN insaN kitne dukh uthaata hai
Nightmare
May 18 2003, 12:14 PM
barishon ki qasam
jin ki bondon say matti mehknay lagay
jin k mosam say ye dil behknay lagay
jin say aai fizaon main tazgi
sarey aalam pay chhai ajab sirkhushi
jin k mamnon ye khet ye gulistan
barishon ki qasam!
TUM TU WO KUCH HO
JO BARISHAIN BHI NAHI
Sajjad khan
May 18 2003, 12:51 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
barishon ki qasam jin ki bondon say matti mehknay lagay jin k mosam say ye dil behknay lagay jin say aai fizaon main tazgi sarey aalam pay chhai ajab sirkhushi jin k mamnon ye khet ye gulistan barishon ki qasam! TUM TU WO KUCH HO JO BARISHAIN BHI NAHI
|
nice bohat achee hay:)
Nightmare
May 18 2003, 12:54 PM
thankoo
Sajjad khan
May 18 2003, 12:57 PM
hammmm...........................
:sarc
jab main tumhai nishaat-e-mohabbat na day saka
gham main kabhi sakoon-e-rafaqat na day saka
jab mairai sare charagh-e-tamanna hawa kai hain
jab mairai sare khawb kisi bewafa kai hain
phir mujhhai chahnai ka tumhai koi haq nahi
tanha karahnai ka tumhain koi haq nahi
Sajjad khan
May 18 2003, 12:58 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
thankoo |
its my pleasure
Sajjad khan
May 18 2003, 12:59 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammm.............................
:sarc tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne baarhaa poocha k dil ke khail meiN kya jeetne wale bhi roteY haiN wo jiN ki chasme khudbee aurooN ko dekha nahi karti bhala kis gham se dil ke taaR meiN mooti piroteY haiN tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha k kya maaninde sheesha patthar meiN baal aata hai assaR angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazbaa jo aiseY hosh mandooN ko bhi yuuN pagal banata hai tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha miza-je husN meiN yuuN yak bayak kya inqilaab aaya sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana bari taa'kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha k tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate haiN ta'aluq torna asaan thaa tu keoN aankh yeh nam hai ana parwaR jafa paisha bhi yuun aansoo bahaate haiN tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha k jalneY aur jalaa'neY meiN bhala keoN lutf aata hai bas ek jhooti aa'na ke waste barbaad ho jaana khudi ke zeam meiN insaN kitne dukh uthaata hai |
DiarY
May 18 2003, 06:06 PM

beautiful sajjad
hows ur mom?
Sajjad khan
May 19 2003, 05:28 AM
| QUOTE |
Originally posted by diary
| QUOTE | Originally posted by Sajjad khan

hows ur mom? |
thanx dear
she is absalutly fine
lakin ak massla hay un ko hospital laa kaar janay main woh manti nahi hain lakin phir bhee laay jata hoon mushkil say
she is fine now
Sajjad khan
May 19 2003, 05:44 AM
hammmmmmmmmm......................
:sarc
Koi tu guftagoo karoo, sham bohat uddas hai
Tum meray pass hi raho, sham bohat uddas hai
Kuch bhi tu boltay nahi, khuaf ye toRtay nahi
Main nay kaha zara sunoo, sham bohat uddas hai
Mujh say na tum miloo gay magar, mujh say na kuch kahoo magar
Sham say aa kar kuch kahoo, sham bohat uddas hai
Dekho bohat hai ranjeedah, ummar rawa ki dastan
Iss maiN na aur dukh bharo, sham bohat uddas hai
Itna hai iztiraab kyN, karb maiN haiN janab kyN
Milna hai gar tu aa milo, sham bohat uddas hai
Mana ka tum khafa nahi, kehnay ko kuch bacha nahi
Acha sa shair hi parho, sham bohat uddas hai
Koi nahi idhar udhar, saray khamosh bam-o-dar
Kis say kahaiN dua karo, sham bohat uddas hai
Kuch tu ilaaj e gum karo, sabr e khasta jaaN sunoo
Aaj kisi ko khatt likho, sham bohat uddas hai
Nightmare
May 19 2003, 12:21 PM
bahot khoob sajjad khan
Nightmare
May 19 2003, 12:30 PM
dukh bichadne ka nahi hota
bulke un rishton ke tootne ka hota hai
jo burson ki rifaqut ke baad
aik pal mai toot jate hain
aur hum
tahi damun reh jate hai
shy_grrl
May 19 2003, 12:32 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
dukh bichadne ka nahi hota bulke un rishton ke tootne ka hota hai jo burson ki rifaqut ke baad aik pal mai toot jate hain aur hum tahi damun reh jate hai
|
wats rifaqut?
Cupid
May 19 2003, 12:41 PM
bahot achey sajjad khan.....
Sajjad khan
May 19 2003, 01:12 PM
hammm...............................
thanx very much all of uuuu
Nightmare
May 19 2003, 01:28 PM
| QUOTE |
Originally posted by shy_grrl
| QUOTE | Originally posted by Nightmare
dukh bichadne ka nahi hota bulke un rishton ke tootne ka hota hai jo burson ki rifaqut ke baad aik pal mai toot jate hain aur hum tahi damun reh jate hai
|
wats rifaqut? |
rifaqat................companionship
Sajjad khan
May 19 2003, 01:35 PM
hammmmmm....................................
:sarc
Ghazal to likhi hai per kahoon kaisay
Kissi ki baat kissi say kahoon kaisay
Teri baat per chup ek zamana hai
Teri baat per baat phir kahoon kaisay
Sunna hai wo khushiyoon kay daais say lota hai
Ussay ghum kay fasanay phir kahoon kaisay
Na jaan saki teray dil ki baat ab tak
Tujh say apna dil ki baat phir kahoon kaisay?
DiarY
May 19 2003, 05:23 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
thanx dear
she is absalutly fine lakin ak massla hay un ko hospital laa kaar janay main woh manti nahi hain lakin phir bhee laay jata hoon mushkil say she is fine now |
INshAllah she'll b ok:)
ill pray for her:)
Sajjad khan
May 20 2003, 02:32 AM
| QUOTE |
Originally posted by diary
| QUOTE | Originally posted by Sajjad khan
thanx dear
she is absalutly fine lakin ak massla hay un ko hospital laa kaar janay main woh manti nahi hain lakin phir bhee laay jata hoon mushkil say she is fine now |
INshAllah she'll b ok:)
ill pray for her:) |
yah inshaAllah
thanx very much dear
Nightmare
May 20 2003, 04:00 AM
mohabbat kainati wusa`aton say bhi
kahin aagay ki aur laa-mehdood wusa`t hay
kisi chehray ko ankhon---aur khwabon ki dunya pay naqsh kerna
uss k baray, sochna
aur apni her khwahish ko bus uss zaat tak mehdood ker lena
MOHABBAT hay
uss k baray main koi jhilmilati baat likh dena
ya phir likh ker mitta dena
kabhi rangon ki lehron per
ussay bay sa`ut honton say sada dena
sada ko bazghasht aur ghoonj main dhul ker
khala`on se tahi daman palatay dekhna
aur Phir sada dena
MOHABBAT hai
Cupid
May 20 2003, 04:03 AM
laa mehdud wusa`t hai
i will post complete poem soon
Nightmare
May 20 2003, 04:09 AM
thanks in advance
Cupid
May 20 2003, 12:56 PM
[img]http://www.speedis.org/images/225569.jpg[/img]
Nightmare
May 20 2003, 01:05 PM
| QUOTE |
Originally posted by Cupid
[img]http://cupid.esmartweb.com/bagher.jpg[/img] |
poem nazar q nahi aa rahi hai??????????
Sajjad khan
May 20 2003, 01:57 PM
hammm......................
:sarc
one of my fav
yoon zindagi kee raah mein...
takra gaya koi...
ik roshni andheron mein...
bikhra gaya koi...
woh haadsa woh pehli mulaqaat kya kahoon...
kitni ajab thee surat-e-halaat kya kahoon...
woh qehr woh ghazab woh jafa mujh ko yaad hae...
woh us ki bayrukhi ki ada mujh ko yaad hae...
mitTa naheen hay zehen se...
yoon chaa gaya koi...
pehle woh mujh ko dekh kar...
barham see ho gayi...
phir apnay hi naseem khayalaon mein kho gayi...
baychargi pe meri usay rehm aa gaya...
shayad mere tarapnay ka...
andaaz bha gaya...
saanson se bhee kareeb mere...
aa gaya koi...
ab us dil-e-tabah kee haalat na poochiay...
benaam aarzooun kee lazzat na poochiay...
eik ajnabi tha rooh ka...
armaan ban gaya...
ik haadsa tha pyaar ka...
unwaan ban gaya...
manzil ka raasta mujhay...
dikhla gaya koi...
yoon zindagi kee raah mein...
takra gaya koi...
Cupid
May 21 2003, 03:50 AM
AIK ADHOORI NAZM
mai kya likoon.?
mohabat kayenaati wusa`ton se be
kaheen agey ki laa mehdood wusa`t hai
kisi chehray ko ankhon---aur khwabon ki dunya pay naqsh kerna
uss k baray, sochna
aur apni her khwahish ko bus uss zaat tak mehdood ker lena
MOHABBAT hay
titarti aab-sharon mai buji tandi hawa sehna
shabon ke gunbadon mai goonjti becheniyon ke darmiyan rehna
har ik mosam ko apney androoni mosmo ki zad mai le aana
kabi miil ke kisi se
bekhabar Aadey samander tak safar karna
kabi tanha kisi sahel pe aa ke der tak lehron ko gin-na
aur khala mai dektey rehna MOHABAT HAI.
kisi koye hoye ko gher iradi tor par
har ajnabi chehrey mai doon-tey rehna
hamesha bekhayali mai
KITABON, CHAND, TARON, BADLON PAR
uss ke barey jilmilatee baat lik dena
ya pir likkar mita dena
kabi rangon ki lehron par
ussey besot honton se saada dena
sada ko baazgasht aur goonj mai dhal kar
khalawon se tahi daman palat-tey dekna
AUR PIR SAADA DENA
mohabat hai.
mai kya likoon...?
kabi aisa be hota hai
bahot he root kar, naraz ho kar
na-pasandeeda khyalon, nafraton ki ot se
ya mukhtalif heelo bahano se
kisi ko jaank-tey rehna
kisi ko sochtey rehna
wo maney ya na maney--bas ussey likna ussey kehna
MOHABAT HAI
Sajjad khan
May 21 2003, 07:48 AM
hammm..........................
:sarc
Iss Duniya Ki Bheer Main
Koi Tanha Na hoo
Yeh Zaroori Tu Nahi
Hanstey Laboon Kay Peechay
Koi Siski Na Ho
Ye Zaroori Tu Nahi
Muskarati Aankhoon Kay Peechey
Koi Aansoo Na Ho
Ye Zaroori Tu Nahi
Ye Dil Under Say Tootey
Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day
Ye Zaroori Tu Nahi
Hum Under Say Jal Jaeen aur Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day
Ye Zaroori Tu Nahi
Duniya Aapne Diya Hue
Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey
Ye Zaroori Tu Nahi
Cupid
May 22 2003, 02:34 AM
titliyon ke mosam mai
nochna gulabon ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
dek kar parindon ko
bandhna nishano ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
shehr ke ye bashindey
nafraton ko BO kar be
intizar kartey hain
fasl ho mohabat ki
bhool kar haqeeqat ko
dekna sarabon ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
khamoshi mera shewa
guf-tagu hunar uss ka
meree begunahi ko
log kaisey manen gey
bath bath par jab ke
mangna jawabon ka
reet iss nagar kihai aur janey kab se hai
Sajjad khan
May 22 2003, 02:30 PM
hammmmmmmmmmm.......................
:sarc
Raat yoon Dil main teri khoi hoi yaad aai
Jaise veranay main chupke se bahaar aa jaye
Jaise khizaoon main holay se chalay baad-e-naseem
Jaise bimaar ko bay waja qaraar aa jaye
DiarY
May 22 2003, 03:59 PM
| QUOTE |
Originally posted by Cupid
titliyon ke mosam mai
nochna gulabon ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
dek kar parindon ko
bandhna nishano ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
shehr ke ye bashindey
nafraton ko BO kar be
intizar kartey hain
fasl ho mohabat ki
bhool kar haqeeqat ko
dekna sarabon ka
reet iss nagar ki hai aur janey kab se hai
khamoshi mera shewa
guf-tagu hunar uss ka
meree begunahi ko
log kaisey manen gey
bath bath par jab ke
mangna jawabon ka
reet iss nagar kihai aur janey kab se hai |
this is beautiful
Cupid
May 23 2003, 02:02 AM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmmmmmmmmm.......................
:sarc Raat yoon Dil main teri khoi hoi yaad aai
Jaise veranay main chupke se bahaar aa jaye
Jaise khizaoon main holay se chalay baad-e-naseem
Jaise bimaar ko bay waja qaraar aa jaye |
faiz...one of my fav poet
Cupid
May 23 2003, 02:02 AM
thanku dairy
Nightmare
May 23 2003, 02:07 AM
qasam lay lo k chahat main
koi bhi aik lamha
kabhi aisa nahi guzra
k tum ko sochte na hon
kisi say baat kerte hon
koi bhi kaam kerte hon
kabhi aisa nahin hota
k tum ko sochtay na hon
koi lamha ho khushyon ka
koi sa`at jo bhari ho
fatah ka jashn ho koi
ya koi jang hari ho
koi rang ho tabiat ka
koi bhi mood tari ho
kabhi aisa nahin hota
k tum ko sochtay na hon
kahin uftad perti ho
kahin aawaaz perti ho
kahin tader rukna ho
kahin say jaldi jana ho
kabhi aisa nahi hota
qasam lay lo
kabhi aisa nahi hota
K TUM KO
SIRF TUM KO
SOCHTE NA HON
Sajjad khan
May 23 2003, 12:37 PM
hammmmmmmmmmmmmmm.......................
:sarc
Tum jo aao gay to musam dosra ho jaye ga
Lu ka jhonka bhi chale ga to saba ban jaye ga
Tum jo chale jaoo gay to musam dosra ho jaye ga
Phir baharoon main khazaan ka sa samaan ho jaye ga
Cupid
May 25 2003, 01:16 PM
[img]http://www.speedis.org/images/227639.gif[/img]
Sajjad khan
May 25 2003, 01:57 PM
hammmmmmmmmmm...............
:sarc
Phir ajj woh bholi kahani yaad ati hai
Tumhare saath guzri zindagani yaad ati hai
Tumhe bhole hue bhi ek zamana ho gaya lekan
Jhalak jati hai ankhen jab purani yaad ati hai
Woh jis mein markazi kirdar hasil tha kabhi mujhko
Mein jitna bholti hon woh kahani yaad ati hai
Mere dil ko gham-e-duniya ki dulat bakhshne wale
Mujhe reh reh ke teri meherbani yaad ati hai
Ujarte dil ki duniya dekhna khamosh rehjana
Abhi tak Doston woh bezubani yaad ati hai
Sajjad khan
May 25 2003, 02:11 PM
hammmmmmmmmmmm.............................
:sarc
hamain ehsas hota hai
kabhii ham bhii akaile thay
kabhii ham ne bhii in tanhayioN ke dard jheley thay
agarcha shehr main dil ke liye lakhoN jhamele thay
hazaroN rang mailey thay
magar itni buhat si ronakoN main hum akaile thay
phir ik din hum ni in tanhayiyon se dosti ker li
akaile reh ke jeeney ka qareena aa gaya hum ko
ye aalam hai ke tanhai ka ab mausam nahin rekhte
koi bhi gham ho dil ko muztarab paiham nahin rekhte
akaile dekh ker tum ko najane kiyoN khayal aaya
kabhi hum ne bhi in tanhayion ke dard jhaile thay
kabhi hum bhi akaile thay
DiarY
May 26 2003, 07:40 PM
mY fAv PoeM!
[img]http://www.speedis.org/images/228892.jpg[/img]
DiarY
May 26 2003, 07:41 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmmmmmmmmmm.............................
:sarc hamain ehsas hota hai kabhii ham bhii akaile thay kabhii ham ne bhii in tanhayioN ke dard jheley thay agarcha shehr main dil ke liye lakhoN jhamele thay hazaroN rang mailey thay magar itni buhat si ronakoN main hum akaile thay phir ik din hum ni in tanhayiyon se dosti ker li akaile reh ke jeeney ka qareena aa gaya hum ko ye aalam hai ke tanhai ka ab mausam nahin rekhte koi bhi gham ho dil ko muztarab paiham nahin rekhte akaile dekh ker tum ko najane kiyoN khayal aaya kabhi hum ne bhi in tanhayion ke dard jhaile thay kabhi hum bhi akaile thay |
this is beautiful
DiarY
May 28 2003, 07:51 PM
[img]http://urdu.paknews.com/images/Nazam/2002/07/24/mujh_ko_apney.gif[/img]
PakiRebel
May 28 2003, 11:20 PM
| QUOTE |
Originally posted by diary
mY fAv PoeM!
[img]http://www.speedis.org/images/228892.jpg[/img] |
ohh great....This is one of best of Perveen shakir.
aur khawbon ka bharam too giyaa...nice Zeeeeeeee
Javaria
May 29 2003, 12:00 AM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmmmmmmmmmm.............................
:sarc hamain ehsas hota hai kabhii ham bhii akaile thay kabhii ham ne bhii in tanhayioN ke dard jheley thay agarcha shehr main dil ke liye lakhoN jhamele thay hazaroN rang mailey thay magar itni buhat si ronakoN main hum akaile thay phir ik din hum ni in tanhayiyon se dosti ker li akaile reh ke jeeney ka qareena aa gaya hum ko ye aalam hai ke tanhai ka ab mausam nahin rekhte koi bhi gham ho dil ko muztarab paiham nahin rekhte akaile dekh ker tum ko najane kiyoN khayal aaya kabhi hum ne bhi in tanhayion ke dard jhaile thay kabhi hum bhi akaile thay |
thats sad........but beautiful!
Nightmare
May 29 2003, 02:58 AM
Ajab din the muhabbat ke
Ajab mausam the chahat ke
Kabhi gar yaad aajayen tu palkoon per
Sitaray jhilmilaatay hain
Kisi ki yaad main ratoon ko aksar
Jaagna mamool thaa apna
Kabhi gar neend aajati tu hum yeh soch lete the
Abhi tu woh hamaare wastay roya nahee hoga
Abhi soya nahee hoga
Abhi hum bhi nahee rotay
Abhi hum bhi nahee sotay
So phir hum jaagte aur us ko yaad karte the
Akele beth kar weraan dil abaad karte the
Hamaare samne taaron ke jhurmat main akela chaand hota thaa
Jo us ke husn ke aagay bahut hi maand hota thaa
Falak per raqs karte an-ginnat raushan sitaroon ko
Jo hum tarteeb detay the
Tu us ka naam banta tha
Hum agle roz jab milte
Tu guzree raat ki har be-kali ka zikar karte the
Har ek qissa bataate the
Kahaan kis wakt kis tarah se dil dharka bataate the
Main jab kehta ke janaan aaj tu main raat ek pal nahee soya
Tu woh khamoosh rehti thee
Per us ki neend mein doobi huwi do jheel si aankhain
Achanak bol uth'tee theen
Main jab us ko bataata
Ke mein ne raat ko raushan sitaroon me
Tumhaara naam dekhaa tha
Tu woh kehti, 'Razi' tum jhoot kehte ho
Sitaray mein ne dekhay thay
Aur un raushan sitaroon mein tumhara naam likha thaa
Ajab masoom larki thee
Mujhe kehti thee lagta hai ke
Ab apne sitaaray mil hi jaayenge
Magar us ko khabar kya thee
Kinaray mil nahee sakte
Muhabbat ki kahaani mein
Muhabbat karne waaloon ke
Sitaray mil nahee sakte
Cupid
May 30 2003, 01:25 AM
[glow tcolor=red, fcolor=black, size=2, strength=1]DASHT E KHAB----SHAB E AWARA[/glow]
Kabhi kabhi
jab tum younhi achanak
rooh se aaankon mai aa nikaltey ho
haqiqaten khab ban jateen hain
aur judai
aik khab aalood sarab guzeda khushi mai dal jati hai
kabhi kabhi
jab tum younhi achanak
rooh se aankon mai aa nikaltey ho
tab raat q ho jati hai
aur tum kahan chaley jatey ho
MEREY JAGTEY HE
Cupid
May 30 2003, 05:13 AM
[img]http://www.speedis.org/images/241491.jpg[/img]
Cupid
May 30 2003, 01:05 PM
[img]http://www.speedis.org/images/241512.jpg[/img]
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.