Cupid
Apr 11 2003, 12:00 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
jab raat ki nagin dasti hai
nas nas me zahar utarta hai
jab chand ki kirne tezi se is dil ko cheer ke aati hain
jab aankh ke ander hi aanso
zanziron me bandh jate hain
sab jazbo pe cha jate hain
tab yaad bahot tum aate ho
jab dard ki jhanjhar bajti hai
jab raks ghamon ka hota hai
khwabon ki taal pe saare dukh
wahshat ke saaz bajate hain
gaate hain khwahish ki laiy me masti me jhoomte jate hain
sab jazbon per chaa jate hain
tab yaad bahot tum aate ho tab yaad bahot tum aate ho
|
...................
Cupid
Apr 11 2003, 12:03 PM
[img]http://www.speedis.org/images/160518.jpg[/img]
Nightmare
Apr 11 2003, 12:21 PM
sochti hoon ke
buhut ziada khushi mian aksar
ansoo kioon a jatay hain....?
udaas mausmoon main
kisi bachay ki masoom hansi
tabeyat ko rangeen kioon kar daiti hay...?
achay bhalay saath chaltay hoay log
achanak raasta kioon badal laitay hain....?
aur kabhi umeedoon kay baraks
koey na-ashna apna kaisay ban jaata hay..?
phir sochti hoon ke...
december say pehlay
darakhtoon kay pattay jahaan pehlay zard hotay hain
aur phir bikhar jaatay hain
mausam ki is tabdeeli main...kahin kahin
gehray sabz rang ki tehniyoon pe
gulab ki surkh komplain bhi to phootti hain.!!!
na mumkin ....ko mumkin honay main
taqdeer ki aik...
zara si tabdeeli kaafi hoti hay.
Sajjad khan
Apr 11 2003, 02:27 PM
hammmmm....................
:sarc
kuch to sun ke hain hanste
to kuch hain rote
teire meire qisse ab bhi
hain galiyon mein hote
kuch tujhe mujhe ilzaam deite hain
kuch tujhe mujhe nakaam kehte hain
tere mere qisse loagon kay
zubaan per aam rehte hain
kuch tujhe bewafaa kehte hain
kuch mujhe bewafaa kehte hain
ishq kya balaa hai, loag tera mera
naam le ke kehte hain
kuch loag tujhe badnaam karte hain
kuch loag mujhe badnaam karte hain
lekin ishq kay naam per
dono ko salaam dete hain
kuch loag tere qabar per aate hain
kuch loag meri qabar per aate hain
hum phir jee uthein gay ek dooje kay liye
yeh dua kar kay jaate hain
DiarY
Apr 11 2003, 05:17 PM
| QUOTE |
Originally posted by Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/160518.jpg[/img] |
beautiful cupid:)
DiarY
Apr 11 2003, 05:26 PM
[img]http://www.speedis.org/images/161010.gif[/img]
shy_grrl
Apr 11 2003, 05:58 PM
TRUE LOVE
pehli baar malum pada tumahara humse you nazar milana,lekin muh se inkaar aur ikraar bhi nahi, hume to laga yeh ek mazak hoga,jab such battein pata chali to maan mein ek aag lagi ,samaj na aaye kya karna,na inkaar kar pati na ikrrar kar pati,bus sirf unse bolne ki caha lagi thi,jab hamara dil unse bolne ko chaha to unhone inkaar kiya,jab unka dil humse bolne ko caha to humne inkkar kiya, kya aise hi silsilla chalta rahega,to jeevan mein hamara kya hoga,is jeevan mein mein unse dosti nahi kaar payi to zindagi bhar chup chupke pyyar karna padega,is liye zindagi mein yeh ek chaha lagi rahegi mein unse dosti karu.
Nightmare
Apr 12 2003, 04:41 AM
Tanha akeli ratoon main jab koi khushboo urti hai
Aankhen band kertey hi jab koi jhonka choo sa jata hai
Jab bin bahar key mausam main kuch kaliyaan jhoom key khilti hain
Udas amavas ratoon main koi jugnoo tara jagmagata hai
Anndhioon key baad kabhi jab khul key barish hoti hai
ghup andheri rahoon main koi door aik dia jalata hai
Aankhen kisi lams key tasawwur sey roshan hoti hain
Khuab koi chupkey sey aa key neendoon main so jata hai
Aesey main tumhari yaad key dareechey holey holey khultey hain
aik khayal ki khushboo sey yun aangan mehek sa jata hai
Dil key band darwazoon pey aik umeed ki dastak hoti hai
Meri rooh ka her ik chaak buhut ahistagi sey sil jata hai!!!!
Sajjad khan
Apr 12 2003, 09:42 AM
hammmmmmmmmmmmmm.......
:sarc
mujhase naaraaz ho to ho jaao, Kud se lekin Kafaa-Kafaa no raho
mujhase tum duur jaao to jaao, aap apane se tum judaa na raho
mujhase naaraaz ho to ho jaao, Kud se lekin Kafaa-Kafaa no raho
mujhape chaahe yakii.n karo na karo, tumako Kud par magar yakii.n rahe
sar pe ho aasmaa.n yaa ke na ho, pair ke niiche ye zamii.n rahe
mujhako tum bevafaa kaho to kaho ...
mujhako tum bevafaa kaho to kaho, tum magar Kud se bevafaa na raho
mujhase naaraaz ho to ho jaao
aao ik baat mai.n kahuu.N tumase, jaane phir koii ye kahe na kahe
tumako apanii talaash karanii hai, hamasafar koii bhii rahe na rahe
tumako apane sahaare jiinaa hai ...
tumako apane sahaare jiinaa hai, Dhuu.NDhati koii aasraa no raho
mujhase naaraaz ho to ho jaao, Kud se lekin Kafaa-Kafaa no raho
Cupid
Apr 12 2003, 12:59 PM
[img]http://www.speedis.org/images/162872.gif[/img]
Sajjad khan
Apr 12 2003, 02:42 PM
hammmmm.....................
:sarc
tere farraq ke lamhe shumar kirte hoye
bikher gaye hain tera intizar kirte hoye
to main bhi khush hoon koi us se ja ke keh dena
agar woh khush hai mujhe beqarar kirte hoye
main muskarata hoa aine main ubhron ga
woh ro padhe gi sanghaar kirte hoye
tumhain khabr hi nahin hai koi toot gaya
mohabatton ki buht paidar kirte hoye
woh keh rahi thee sumander nahin hain aankhain hain
main un main doob gaya aitbar kirte hoye
mujhe khabar thee keh ab laut kir na aaon ga
tujh ko yaad kiya dard paar kirte hoye
DiarY
Apr 12 2003, 03:24 PM
| QUOTE |
Originally posted by Cupid
[img]http://www.speedis.org/images/162872.gif[/img] |
beautiful
jagjeet sang it
Cupid
Apr 13 2003, 12:51 AM
awo
Nightmare
Apr 13 2003, 04:42 AM
SUNA HAI!!!
Suna hai, shikaar e khizaan ho ker bahar ki rut main
jo shajar sookh jatey hain woh phir harey nahee hotey
Suna hai, wafa deemak ban ker jinhen chaat jati hai
woh wafaoon key peker kuch aesey bikhartey hain
key kirchioon main bhi phir unka pata nahee milta
Suna hai, kabhi ye rut aesey bhi badalti hai
key sarey meherbaa lafz yekdam kaheen kho jatey hain
aur kisi meherbaa si saa at ka koi sira nahee milta
Suna hai, jab wojood reza hota hai
to toot phoot buhut beawaz hoti hai
faqat aik khamoosh sa mausam
aik sunsaan sa rasta
aik weeraan si saa at
aur aik gumnaam sa lamha
yun hamsafar hotey hain goya sadiyoon ki rafaqat ho
Suna hai,
aandhiion ki zad main aa ker phool jo bikhar jayen
woh phir simta nahee kertey
Kisi pur ranj si saa at ka jo nishana ban key kho jayen
woh phir palta nahee kertey
Aey charagar,
suna to main ney ye sab kuch hai
magar meri duayeen hain aik silsila
meri umeed hai mera hosla
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!!!!!!
--------------------------
zad
Apr 13 2003, 08:58 AM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmmm.....................
:sarc tere farraq ke lamhe shumar kirte hoye
bikher gaye hain tera intizar kirte hoye
to main bhi khush hoon koi us se ja ke keh dena
agar woh khush hai mujhe beqarar kirte hoye
main muskarata hoa aine main ubhron ga
woh ro padhe gi sanghaar kirte hoye
tumhain khabr hi nahin hai koi toot gaya
mohabatton ki buht paidar kirte hoye
woh keh rahi thee sumander nahin hain aankhain hain
main un main doob gaya aitbar kirte hoye
mujhe khabar thee keh ab laut kir na aaon ga
tujh ko yaad kiya dard paar kirte hoye |
nice.... i like the first four lines a lot..
tere farraq ke lamhe shumar kirte hoye
bikher gaye hain tera intizar kirte hoye
to main bhi khush hoon koi us se ja ke keh dena
agar woh khush hai mujhe beqarar kirte hoye
........... makes me feel so sad.... :sad :unhappy
Sajjad khan
Apr 14 2003, 02:50 AM
hammmm....................thanx zad......mr zad yah ap kay liya:)
[glow tcolor=black, fcolor=blue, size=4, strength=4]Tum say muhabat hay[/glow]
kissi kamzoor lamhay main...........
agar main tum say yah kahoon..........
mugha tum say muhabat hay tu.......
tum yah maat samjh lana kay..........
main na tum say sach kaha ho ga....
is dilnashin batoon ko.............
asay dil-paray main.........
mugha bachpan say ata hay.....
maree ankhayn mara chahra.......
mara yah basakhta chahra......
yah sab kuch ghoot kahta hay..........
is ghoot main ak sach yah bhee hay..........
kay..................
mugha tum say muhabat hay:)
zad
Apr 14 2003, 12:46 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmm....................thanx zad......mr zad yah ap kay liya:)
[glow tcolor=black, fcolor=blue, size=4, strength=4]Tum say muhabat hay[/glow]
kissi kamzoor lamhay main...........
agar main tum say yah kahoon..........
mugha tum say muhabat hay tu.......
tum yah maat samjh lana kay..........
main na tum say sach kaha ho ga....
is dilnashin batoon ko.............
asay dil-paray main.........
mugha bachpan say ata hay.....
maree ankhayn mara chahra.......
mara yah basakhta chahra......
yah sab kuch ghoot kahta hay..........
is ghoot main ak sach yah bhee hay..........
kay..................
mugha tum say muhabat hay:)
|
pehle baat sajjad i m not a mr. .......i m very much a miss !!!!!!!! im a girl !!!!!!! not a guy !!!!!!!!:sarc :huh
doosri baat ye ...ke thanku !!!!!!!!!!
:happy :cool
teesri baat ...bahut achi poem hai aur is ke timing bhi bahut achi hai coz i was sooo depressed and hurt today ......and reading this poem - i feel its written especially for me ........its so true ......
Sajjad khan
Apr 14 2003, 01:31 PM
| QUOTE |
Originally posted by zad
| QUOTE | Originally posted by Sajjad khan
hammmm....................thanx zad......mr zad yah ap kay liya:)
[glow tcolor=black, fcolor=blue, size=4, strength=4]Tum say muhabat hay[/glow]
kissi kamzoor lamhay main...........
agar main tum say yah kahoon..........
mugha tum say muhabat hay tu.......
tum yah maat samjh lana kay..........
main na tum say sach kaha ho ga....
is dilnashin batoon ko.............
asay dil-paray main.........
mugha bachpan say ata hay.....
maree ankhayn mara chahra.......
mara yah basakhta chahra......
yah sab kuch ghoot kahta hay..........
is ghoot main ak sach yah bhee hay..........
kay..................
mugha tum say muhabat hay:)
|
pehle baat sajjad i m not a mr. .......i m very much a miss !!!!!!!! im a girl !!!!!!! not a guy !!!!!!!!:sarc :huh
doosri baat ye ...ke thanku !!!!!!!!!! :happy :cool
teesri baat ...bahut achi poem hai aur is ke timing bhi bahut achi hai coz i was sooo depressed and hurt today ......and reading this poem - i feel its written especially for me ........its so true ...... |
hammmmmm.....................
pahli baat........ap ko mr kahna kay liya sorry..........doosri baat ap ko yah poem achee lagi thanx very much.......tisri baat.........kay ap itni parashan kiyon rahti hain......chooti baat kay apna dukh share karna say kame hotay hain.......is liya share kaar liya ke jiya....banchwin baat bbye bbye take care Allah hafiz
Sajjad khan
Apr 15 2003, 03:45 AM
| QUOTE |
DARR
Darr lagta hai meri baat aam na ho jaye
Darr lagta hai meri muhabbat na kaam na ho jaye
teri berukhi se hitch-kitchati hoon mein
teri talkhiyoon se ghabrati hoon mein
kaise mann loon ke tu sirf mera hai
kaise yaqeen karloon ke ye awara dil mera hai
teri dil-kashiyon ko kaise bhula doon mein
teri phirti nighahoon ko kaise kaid karloon mein
janey kis wahem mein ji rahi hoon
janey kyun jee behla rahi hoon
teri be-imaan baatoon se waqif hoon mein
teri jhooti aankhon ko parhna jaanti hoon mein
ghairoon ko khushiyaan tu laakh deta hai
har morr par ik raqeeb mujhe milta hai
teri khamooshiyoon ko kya naam doon mein
teri be-tabiyoon ko kyun badnaam karoon mein
aye kaash ke tu hosh karta kuch dair ko
aye kaash ke tu samajhta iss nazuk rishte ko
teri muhabbat ki aazmaish mein har rahi hoon mein
teri furqatoon ki aag mein jal rahi hoon mein
....................................................................
do tell me if u liked it .....:sarc |
hammmmm..............bohatttttttttttttttttttttttttttttt ache hay yah poem bohat ache.......thanx very much kay ap na hamain is kabil samjha kay yah baat share ke......thanx very much wasay ak baat kahoon bora maat manya ga.................lagta hay ap ka dil tota hoa hay shayad:(yah share ap kay liya........
yah baat hay apna raqib kay liya...............
aa kay wabasta hay us husan ke yaadain tugh say.......
jis na is dil to pari khana bana rakha tha.........
jis ke ulfat na bhula rakhee thee duya apni......
dahar ko dahar ka afsana bana rakha tha......
Nightmare
Apr 15 2003, 10:18 AM
nazm uljhi hui hai seene me
shair atke hue hain hoton me
lafz kaaghaz pe baithte hi nahin
udtey phirte hain titliyon ki tarah
kab se baitha hua hon mai jaanam
saadah kaaghaz pe likh ke naam tera
bus tera naam hi mukammal hai
is se behter bhi nazm kya hogi
DiarY
Apr 15 2003, 03:26 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmm....................thanx zad......mr zad yah ap kay liya:)
[glow tcolor=black, fcolor=blue, size=4, strength=4]Tum say muhabat hay[/glow]
kissi kamzoor lamhay main...........
agar main tum say yah kahoon..........
mugha tum say muhabat hay tu.......
tum yah maat samjh lana kay..........
main na tum say sach kaha ho ga....
is dilnashin batoon ko.............
asay dil-paray main.........
mugha bachpan say ata hay.....
maree ankhayn mara chahra.......
mara yah basakhta chahra......
yah sab kuch ghoot kahta hay..........
is ghoot main ak sach yah bhee hay..........
kay..................
mugha tum say muhabat hay:)
|
beautiful:)
Sajjad khan
Apr 15 2003, 03:26 PM
hammmmmm................
:sarc
aap ko bhuul jaayein ham itane to bevafaa nahin
aap se kyaa gilaa karein aap se kuchh gilaa nahin
shiishaa-e-dil ko todna unakaa to ek khel hai
hamase hii bhuull ho gaii unakii koi Khataa nahin
kaash wo apane Gam mujhe de dein to kuchh sukoon mile
wo kitanaa badanasiib hai Gam hii jise milaa nahin
karanaa hai gar vafaa to kyaa kaise vafaa ko chhod dooN
kehte hain is gunaah kii hotii koii sazaa nahin
DiarY
Apr 15 2003, 03:29 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
nazm uljhi hui hai seene me
shair atke hue hain hoton me
lafz kaaghaz pe baithte hi nahin
udtey phirte hain titliyon ki tarah
kab se baitha hua hon mai jaanam saadah kaaghaz pe likh ke naam tera
bus tera naam hi mukammal hai
is se behter bhi nazm kya hogi |
this is beautiful NM:)
welldone!
Sajjad khan
Apr 15 2003, 03:45 PM
hammmm................
:sarc
[glow tcolor=red, fcolor=black, size=4, strength=4]ANSOO[/glow]
Thamthay thamthay thamain gay ansoo
Rona hai ye hansi nahin hai
Bholay ban kar haal na poocho
Bahtay hain ashk to behnay do
Jiss se barhay bay chaini dil ki
Aisi tasalli rehne do
DiarY
Apr 15 2003, 04:27 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmm................
:sarc [glow tcolor=red, fcolor=black, size=4, strength=4]ANSOO[/glow]
Thamthay thamthay thamain gay ansoo
Rona hai ye hansi nahin hai
Bholay ban kar haal na poocho
Bahtay hain ashk to behnay do
Jiss se barhay bay chaini dil ki
Aisi tasalli rehne do
|
wah:)
Sajjad khan
Apr 16 2003, 02:06 AM
| QUOTE |
Originally posted by diary
| QUOTE | Originally posted by Sajjad khan
hammmm................
:sarc [glow tcolor=red, fcolor=black, size=4, strength=4]ANSOO[/glow]
Thamthay thamthay thamain gay ansoo
Rona hai ye hansi nahin hai
Bholay ban kar haal na poocho
Bahtay hain ashk to behnay do
Jiss se barhay bay chaini dil ki
Aisi tasalli rehne do
|
wah:) |
thanx again
Sajjad khan
Apr 16 2003, 02:13 AM
hammmm..............
:sarc
Kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aaya
Baat nikli to har baat pe rona aaya
Hum to samjhtay thay ke hum bhool gaye hain in ko
Kiya hoa aaj ye kis baat pe rona aaya
Kis liye jitay hain hum kis ke liye jitay hain
Bar ha aise sawalaat pe rona aaya
Koun rota hai kisi aur ki khatir aay dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
zad
Apr 16 2003, 03:14 AM
last three of ure poems were very nice sajjad bhai .....bahut khoob !!!!!!!!
Cupid
Apr 16 2003, 01:59 PM
| QUOTE |
Originally posted by Nightmare
nazm uljhi hui hai seene me
shair atke hue hain hoton me
lafz kaaghaz pe baithte hi nahin
udtey phirte hain titliyon ki tarah
kab se baitha hua hon mai jaanam saadah kaaghaz pe likh ke naam tera
bus tera naam hi mukammal hai
is se behter bhi nazm kya hogi |
gulzar,......?
Cupid
Apr 16 2003, 02:01 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmm................
:sarc [glow tcolor=red, fcolor=black, size=4, strength=4]ANSOO[/glow]
Thamthay thamthay thamain gay ansoo
Rona hai ye hansi nahin hai
Bholay ban kar haal na poocho
Bahtay hain ashk to behnay do
Jiss se barhay bay chaini dil ki
Aisi tasalli rehne do
|
nice one
Cupid
Apr 16 2003, 02:03 PM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmm..............
:sarc Kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aaya
Baat nikli to har baat pe rona aaya
Hum to samjhtay thay ke hum bhool gaye hain in ko
Kiya hoa aaj ye kis baat pe rona aaya
Kis liye jitay hain hum kis ke liye jitay hain
Bar ha aise sawalaat pe rona aaya
Koun rota hai kisi aur ki khatir aay dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
|
Kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aaya
Baat nikli to har baat pe rona aaya
Sajjad khan
Apr 16 2003, 02:10 PM
hammmmm.................
:sarc
Suna hai waqt murhum hai
Zamaney bhur kay zukhmoon ka
So aik din bhur hi jaayin gay
Jo ghaa'o choor jatey hain
Magr jub bhi koi sudma
Kahin sey bhi milay mujh ko
GhumooN ki sub ruttooN main tum
Bohat hi yaad aatey ho..
Cupid
Apr 16 2003, 02:12 PM
wo jo chup hon tho qayamat ki gata hoti hai
muskurayen tho baharo ka samaa hotha hai
Sajjad khan
Apr 16 2003, 02:22 PM
hammmmm................
:sarc
Pholay phalay nahi abhi zakhm e arzoo
Khaloo abhi kuch aur mari zindagee kay sath
Cupid
Apr 17 2003, 10:58 AM
[img]http://www.speedis.org/images/170943.jpg[/img]
Sajjad khan
Apr 17 2003, 12:26 PM
hammmmm............
:sarc
Beywafa hum hain to jaan e wafa yoonhi sahi
Dhoond lena jo tum ko koi wafadaar mile
Cupid
Apr 18 2003, 03:45 AM
[img]http://www.speedis.org/images/174429.jpg[/img]
Cupid
Apr 18 2003, 03:46 AM
[img]http://www.speedis.org/images/174433.jpg[/img]
Sajjad khan
Apr 18 2003, 04:10 AM
hammm................
:sarc
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne baarhaa poocha
k dil ke khail meiN kya jeetne wale bhi roteY haiN
wo jiN ki chasme khudbee aurooN ko dekha nahi karti
bhala kis gham se dil ke taaR meiN mooti piroteY haiN
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
k kya maaninde sheesha patthar meiN baal aata hai
assaR angaiz hai ab tak muhabbat ka wohi jazbaa
jo aiseY hosh mandooN ko bhi yuuN pagal banata hai
tumhaRi bheegti palkooN se meiN ne barhaa poocha
miza-je husN meiN yuuN yak bayak kya inqilaab aaya
sitaara dekhna aur dekh kar afsurda ho jaana
bari taa'kheer se tum ko sitaroon ka hisaab aaya
tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k tarke rabt per kya mujh se wehshi yaad aate haiN
ta'aluq torna asaan thaa tu keoN aankh yeh nam hai
ana parwaR jafa paisha bhi yuun aansoo bahaate haiN
tumhaRi bheegti palkooN se mein ne baarhaa poocha
k jalneY aur jalaa'neY meiN bhala keoN lutf aata hai
bas ek jhooti aa'na ke waste barbaad ho jaana
khudi ke zeam meiN insaN kitne dukh uthaata hai
Nightmare
Apr 18 2003, 10:48 AM
kis qadar lafz hain
jo hum boltay hain , roltay hain
kaun sa lafz hay kholay ga jo darr maani ka
is ka pata kaun karay !
tum tu khushboo ho sitaroon ki guzargah ho tum !
tum kahaan aa o gay is dashtay pur-israr ki pehnai main !
kaisay utro gay tamannaoon ki gehrai main !
reh gaya main
so aiy janay wafa
main to jo kuch hoon tumharay he khamay chashm say hoon
tum he jab lafzay pasay lafz say aagah naheen
kis tarah sehray mafaheem ka darwaza khulay !
lafz ki kokh main taseer kahaan say uttray !
Tum Mairay Saath Ho Hamrah Naheen
kaun say khawab kay jugg main nehaan hain hum tum !
kaisay girdaab bay tamanna main rawaan hain hum tum !
LAFZ KAY PAAR JO DAIKHAIN TO RAaH NAHEEN
AUR TUM LAFZAY PASSAY LAFZ SAY AAGAH NAHEEN .
Cupid
Apr 19 2003, 02:02 AM
[img]http://www.speedis.org/images/176630.jpg[/img]
Sajjad khan
Apr 19 2003, 03:29 AM
hammmm................
:sarc
Zara yeh to bataao
Tum ne mujh say ziada zindagi ki
Baharain daikhee hain
Dunya ke nashaib-o-faraz say bakhoobi waqif ho
Yeh dunya itni zalim
Khud-gharz aur behiss kyon hai?
Jis main tum bhi shamil ho
omaer
Apr 19 2003, 10:49 AM
well............it is my own peom.....i rite it my own self....bakalem khud:)
main ne kehna to chaha....
per wo sun na sake....
main ne dil se kaha...
wo aankhoon se parhe...
main ne kehan kuch aur tha ...
wo samjhe kuch kuch aur...
baat mohababt ki thi..
ban gai nafret ki...
hum ne mitani to chaha is nafret ko....
mager afsoos....! mita na sake...
hum apna kehte rahe ....
wo gair hote rahe...
hum ne rokna to chaha ....
wo ruk na sake...
hum ne bholna to cahaha ...
mager bhula na sake.......
so hows it..???tell me
Nightmare
Apr 19 2003, 11:43 AM
aaj jab baarish hui
yeh bhi ik khyal aaya
kyun na aik baadal ko
raazdan banaon mai
jo bhi mujh pe guzri hai
us ko sab sunaon mai
jo bhi tum se kahna hai
us ko sab bataon mai
phir tumhare dil per woh
aaj hi baras jaye
Nightmare
Apr 19 2003, 11:43 AM
aaj jab baarish hui
yeh bhi ik khyal aaya
kyun na aik baadal ko
raazdan banaon mai
jo bhi mujh pe guzri hai
us ko sab sunaon mai
jo bhi tum se kahna hai
us ko sab bataon mai
phir tumhare dil per woh
aaj hi baras jaye
Sajjad khan
Apr 19 2003, 12:45 PM
hammmm............
:sarc
Yeh her aik pal jo khaabon main basar kartay hain
Subh o shamm tthandi aakhain bhara kartay hain
Qatra Qatra jo gira aashq khooN rang howa !!!!!!!!!!
Kartay kartay barri mushkil say sahar kartay hain
Nightmare
Apr 20 2003, 03:42 AM
koi chaon ho
jise chaon kahne me dopahar ka guman na ho
koi shaam ho
jise shaam kahne me shab ka koi nishan na ho
koi wasl ho
jise wasl kahne me hijr rut ka dhuan na ho
koi llfz ho
jise likhne padhne ki chaah me
kabhi aik lamha giraan na ho
ye kahan hua hai ke hum tumhen
kabhi apne dil se pukarne ki sa'i karen
wahin aarzoo be amaan na ho
wahin mausam-e-gham-e-jaan naho
Cupid
Apr 20 2003, 04:07 AM
| QUOTE |
Originally posted by Sajjad khan
hammmmm............
:sarc Beywafa hum hain to jaan e wafa yoonhi sahi
Dhoond lena jo tum ko koi wafadaar mile
|
Aa ke abb tasleem karlen tu nahi tho mai sahi
kon maney-gaa ke hum mai bewafa koyee nahi :sarc
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.