Sinlner
Nov 5 2006, 08:59 AM
Mana Teri Nazar Mein Tera Pyaar Hum Nahi,
Kaise Kahen Ki Tere Talabgaar Hum Nahi,
Khud Ko Jala Ke Khak Kar Dala, Mita Diya,
Lo Ab Tumhari Raah Mein Dewaar Hum Nahi,
Jis Ko Sanwara Humne Tamannaon Ke Khoon Se,
Gulshan Mein Us Bahaar Ke Haqdaar Hum Nahi,
Dhokha Diya Hai Khud Ko Muhobbat Ke Naam Se,
Kaise Kahen Ki Tere Gunahgaar Hum Nahi.....
soosiii
Nov 5 2006, 11:14 AM
Tumhain janan ijazat hai koi bhi rasta chun lo
Hamaray muntazir thehro, ya hum ko alwida keh do
tumhain janan ijazat hai
Hamaray paoun main to waqt ki zanjeer lipti hai
Qabl is kay k thak jao hamaray sath chal k tum
Muhabat ki thaka,wat tum ko hum sai bad,guman kar daiy
Qabl is kay k har ik wapsi ki rah kho jaiy
Jo socha bhi nahi hum nai' wohi kal ko jo ho jaiy
Tumhain janan ijazat hai, koi bhi faisla kar lo
Hamaray muntazir thehro, ya hum ko alwida keh do
Hamara tum sai wada hai tumhari yaad ko hum to
Sada dil k dareechay main yunhi aabad rakhain gaiy
Tumhain hum yaad rakhain gaiy
Tumhain janan ijazat hai
Tum apnay hoslon main jab thaka,wat si
Kabhi pao
Kissi pyaaray sai mukhday ki haseen aankhon
Main kho jao
Ijazat hai tumhain janan agar us pal jo
Tum chaho
Koi bhi faisla kar lo
Hamaray muntazir thehro ya hum ko alwida keh do.
Sinlner
Nov 5 2006, 12:02 PM
Is Tarah Us Se Guftugu Kerta
Aaeena Us Ke Rubaru Kerta...
Mujh Ko Apni Bhi Arzoo Na Rahi
Aur Kia Tark-E-Arzu Kerta...
Har Qadam Mein Ulajh Ker Kanton Se
Apne Daman Ko Kia Emin Rafu Kerta...
Mujh Ko Maloom Tha Woh Mera Nahin
Kis Liye Us Ki Justuju Kerta...
Haal-E-Dil Us Ko Mein Sunata "Abii"
Woh Agar Mujh Se Guftugu Kerta...
Asma_Here
Nov 5 2006, 04:45 PM
Jab koi pyaar se bulaye ga
Jab koi pyzar se bulaye ga
Tum ko aik shakhs yaad aayega
Lazzat-e-gham se aash\\“naa ho kar
Apne mehboob se juda ho kar
Dil kaheen jab saku\\“n na paaye ga
Tum ko aik shakhs yaad aayega
Tere lab pe naam hoga pyaar ka
Sham\\“a dekh kar jaley ga dil tera
Jab koi sitara timtimaye ga
Tumko aik shakhs yaad aaye ga
Jab koi pyaar se bulaye ga
Tum ko aik skhaks yaad aayega
Zindagi ke dard ko saho ge tum
Dil ka chaen dhoond\\“te raho ge tum
Zakhm-e-dil jab tumhey sataaye ga
Tum ko aik shakhs yaad aaye ga
Jab koi pyaar se bulaye ga
Tum ko aik shakhs yaad aayega
khizar_hayyat
Nov 6 2006, 02:18 AM
ab ke yun dil ko saza di humne
us ki har baat bhula di humne
ek, ek phool bohot yaad aya
shaak e gul jab wo jala di humne
aaj tak jis pe wo sharmate hain
baat wo kab ki bhula di humne
shahr e jahan raakh se abad hua
aag jab dil ki bhuja di humne
aaj phir yaad bohot aya wo
aaj phir us ko Dua di humne
koi to baat hai us mey Faiz
har khushi jis pe luta di humne.. (Faiz Ahmed Faiz)
Sinlner
Nov 6 2006, 03:27 AM
Pehley Tere Wisaal Ne Gum Sum Rakha Mujhe
Phir Hijar Ke Sawaal Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Ik Umar Rakha Chand Ne Wehshat Mein Aur Phir
Ik Shakhs Ke Jamal Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Ik Umar Aaine Se Ulajhney Mein Kat Gayi
Phir Bujhtey Khud-O-Khaal Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Jab Mein Khula To Aap Hi Us Ka Jawab Tha
Ik Umar Jis Sawal Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Bikhri Padi Theen Chaar Soo Dunya Ki Raunaqen
Lekin Kisi Khayan Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Us Ki Judai Saniha Aisa Na Thi Magar
'Abii' Ye Kis Malal Ne Gum Sum Rakha Mujhe...
Sahil Haider
Nov 7 2006, 05:48 AM
Suno uddasi shajar shajar k her aik patay pay likh rahi hai,
Judayon k payam saray
Jo bujh rahay hain umeed k woh chiragh saray
Jo na umeedi k jal utthay hain,
Woh naam saray
Tamam patay khazan raseeda sisak rahay hain
Fizaoon main bain jagtay hain
na mitnay wali thakan safer ki,
Bohat hee pur khar rastay hain
Abhi abhi tha lahoo ragon main,
Abhi bhi sirf chingaryan hain
Abhi to chehra gulab hota...Abhi to ankhon main khawab hota
Abhi to ek saath jeenay marnay k ehad bhi hain paday adhoray
Abhi to mehandi, gulab gajroon ko woh mehak bhi mili nahi hai
Abhi to kann kann yeh chodyoon ki bhi tum nay janaa ! suni nahi hai
Abhi say kasay yeh tum nay socha.................?
Kitab-e-hasti say aab judai ka baab kholein
Sinlner
Nov 7 2006, 08:39 AM
Pyaas Lagna Thi Lagi,Sarshar Hona Tha Hoey
Hum Ko Bhi Garq-E-Sarab Dar Hona Tha Hoey...
Hum Teri Aahar Per Sarkon Pe Nikal Aaye To Kiya
Hum Ko To Ruswaa Sar-E-Bazar Hona Tha Hoey...
Tu Kahe To Apne Haathon Se Shae Rag Kaat Lein
Hum Ko Tere Haath Ki Talwar Hona Tha Hoey...
Har Qadam Jaari Thi Nadedah Saharon Ki Talash
Har Qadam Minnat Kash-E-Agiyar Hona Tha Hoey...
Aik Din 'Khalid' Humeinye Sawaang Bharna Tha Bhara
Jhoot Gharne The Gharey ,Fankaar Hona Tha Hoey...
soosiii
Nov 7 2006, 12:25 PM
Mooj mein samandar hai saheloon per kashtiyan
Mein bhunwar main Jane ka intizar kerta hoon.
Barf bare ho rahi hai aur dil sulagta hai
Aashiyan ke jalne ka intizar kerta hoon.
Doston ki chahat ka aur saber Kya dekhoon
Khud hee tut Jane ka initzar kerta hoon.
Her jagah tujhi ko sada dekhne ki aarzoo
Sath tere chalnay ka initizar kerta hoon.
Phool main meri pagan rate ka gharoonda hai
Bus khushi ke Milne ka initzar kerta hoon.
Mein aajiz hoon mager taariki mere sath
Ek deya jalnay ka initizar kerta hoon..........
zindgi k melay main
Nov 8 2006, 12:00 PM
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham
aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the
ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham
sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii
ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n
kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye
is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n
barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz
sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n
Sinlner
Nov 9 2006, 03:40 AM
mujh say mukhlis tha na waqif meray jazbaat say tha
uss ka rishta to faqat apnay mufadat say tha
abb jo bichra hai to kiya roye judiye teray pay
yah andhesha to humian pehllay mullaqat say tha!!
zindgi k melay main
Nov 10 2006, 10:04 PM
yaar thaa gul_zaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa
laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa
haath kyo.n baa.Ndhe mere chhallaa agar chorii huaa
ye saraapaa shoKhii-e-rang-e-hinaa thii mai.n na thaa
mai.n ne puuchhaa kyaa huaa vo aap kaa husn-o-shabaab
ha.Ns ke bolaa vo sanam shaan-e-Khudaa thii mai.n na thaa
mai.n sisakataa rah gayaa aur mar gaye farahaad-o-qais
kyaa unhii.n dono.n ke hisse me.n qazaa thii mai.n na thaa
Sahil Haider
Nov 11 2006, 05:41 AM
jiinaa azaab kyuuN hai ye kyaa ho gayaa mujhe
kis shaKhs kii lagii hai bhalaa bad-duaa mujhe
bananaa paDaa hai aap hii apanaa Khudaa mujhe
kis kufr kii milii hai bhalaa ye sazaa mujhe
ye kah ke main ne rakkhaa hai har aaiine kaa dil
agale janam men ruup milegaa nayaa mujhe
nikle the donon bhes badal kar to kyaa ajab
main DhuuNDhataa Khudaa ko phiraa aur Khudaa mujhe
tuu mutamaiin nahin to mujhe kab hai aitaraaz
miTTii ko phir se gooNdh merii, phir banaa mujhe
Sinlner
Nov 11 2006, 12:33 PM
Meri mohabbatoon ka suboot maangnay...
Woh aa gaya mujh say mera wajood maangnay ...
kis tarah ka waada tha jo poora ker na saka...
main kuch bhi na day saka woh jab bhi aaya kuch maangnay
Sahil Haider
Nov 12 2006, 06:20 AM
Is mein koi shikavaa na shikayat na gila hai
ye bhi koi Khat hai k mohabbat se bharaa hai
kyaa yaad dilaenge mujhe mere sitamgar
har naqsh-e-sitam Khud mere sine pe likha hai
mujh ko meri aavaaz sunaai nahin deti
kaisaa ye mere jism mein ik shor machaa hai
chehre mein hai aainaa k aainay mein chehra
maaluum nahin kaun kise dekh rahaa hai.....
khizar_hayyat
Nov 12 2006, 01:16 PM
titlion si ek larki
dheere se mere dil mey
aa ke jab wo utri
us se jab kaha mene
dil mey mere bas jao
utrey huey wo ye boli
yahan mey na bas paon gi
baasi hon ek aur nagar ki
usey ye kon batlaye
apne mehekte paron ke
sare ke sare rang
chor gai hai mere maan mey
Sinlner
Nov 14 2006, 04:10 AM
Badal Gaye Mere Mausam To Yaar Ab Aaye Hain
Ghamon Ne Chaat Liya Gham-Ghusaar Ab Aaye Hain
Yeh Waqt Is Tarha Rone Ka To Nahi Lekin
Main Kya Karun Keh Mere Sogavaaar Ab Aaye Hain
Sinlner
Nov 15 2006, 11:59 AM
Tujhe Ye Shoq Ke Mohabat Ki Bheek Mangoo Main
Meri Ye Zid Ke Taqaza Mera Asool Nahi
Sahil Haider
Nov 19 2006, 01:58 PM
Puhanchay Jo Sar Arsh Tu Nadar Bohat Thay
Dunya Ki Mohabat Main Griftar Bohat Thay
Ghar Doob Gaya Aur Inhay Awaz Nahi Di
Halankay Meray Silsilay Uss Par Bohat Thay
Chaat Parnay Ka Waqat Aaya Tu Koi Nahi Aaya
Diwar Geranay Ko RazaKar Bohat Thay
Hanste Hui Ankhoon Ka Nagar Kehtay Rahay Ham
Jis Shahare Main Noo-hay Pas-say Dewar Bohat Thay
Ya Bay Rukhi Aik Rooz Tu Maqsoom Thi Apne
Hum Teri Tu-waja Kay Talab Gar Bohat Thay
Asa-aysh E Duniya Ka Fasoon Apne Jaga Hay
Us Sukh Mian Magar Rooh Kay Aazar Bohat Thay
Awaargi
Nov 20 2006, 02:17 AM
Mujh mein khushbu basi usi ki hai,
Jesay yeh zindagi usi ki hai.
Woh kahein aas paas hai mojood,
Hu-ba-hu yeh hansi usi ki hai.
Khud mein apna dukha raha hoon dil,
Lekin is mein Khushi usi ki hai.
yaani koi kami nahi mujh mein,
Yaani mujh mein kami usi ki hai.
[font=Verdana][b]
Tumhein Bakh'shi hai dil pe Hukmarani Aur kya detay
Yehi thi bas hamaari Raajh'dhani aur kya detay
Woh hum se maangti thi umar ka ik Dil-nasheein hissa
Na detay usko hum apni jawaani aur kya detay
Sitaroon se kisi ki maang bharna ik fasaana hai
Tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay
Awaargi
Nov 20 2006, 03:26 AM
.................
Tujhay Khoo k soochti hoon meray daaman-e-talab mein
koi khwaab hai to kiyoun hai, koi aas hai to kiyoun hai
Mein ujarr k bhi hoon teri, tu bicharr k bhi hai mera
Yeh yaqeen hai to kiyoun hai, yeh qayaas hai to kiyoun hai
.................
Sahil Haider
Nov 22 2006, 05:06 PM
Dushaman ko bhi seenay se lagana nahi bhooley
Hum apne buzurgon ka zamana nahi bhooley
Tum aankhon ki barsaat bachaye huwe rakhna
Kuch log abhi aag lagana nahi bhooley
Yeh baat alag, haath qalam ho gaye apne
Hum aapki tasweer banaana nahi bhooley
Ik umer huwi main tau hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi mere dil ko dukhana nahi bhooley!
Sahilon Sahilon Phira karte
zor chalta tu kia se kia karte
gar na hota makan matti ka
barishon ke lie dua karte
bas main hota tu khwab ki surat
teri aankhon main hum basa karte
hum ko likhne ka fan agar aata
hum tujhe chand sa likha karte
ban ke khushbo agar bikharna tha
tum hawa se tu mashwara karte
"Chashme Zahir" se dekhne wale
kion mere haq main faisla karte
--------------------------------------------------------------------------------
Sinlner
Nov 23 2006, 11:10 AM
Tujh Se Mil Kar Bichad Gaye, Tujh Se Bichad Kar Mil Gaye
Aisi Bhi Qurbaten Raheen, Aise Bhi Faasle Rahe
Tu Bhi Na Mil Saka, Umar Bhi Raaigan Gai
Tujh Se To Khair Ishq Tha, Khud Se Bade Gile Rahe
Sahil Haider
Nov 23 2006, 12:03 PM
Un bad-nasiboN ko kya khabar ke wafaa ke roz-e-jazaa meiN kya hey
Bhula chukay hain jo dil se apnay mohabaton ke nisaab saarey
koi jo poochey to kya bataaooN ke kehkashaaoN ke dikha ke manzar
koi meri qismat meiN likh gayaa hey shab-e-firaaq ke azaab saarey
meiN kin umeedoN ke waastey sey moj’zoN ki duaaeiN maaNgooN!
ke ban ke aaNsu beh gaey heiN meri nigaahoN sey khwaab saarey
meiN jis ke rastoN meiN gulsitaaN ki ronaqoN ko bicha raha tha
wo meri raahoN ko de gaya hey taptey sehra ke saraab saarey
rangat us ki urri hui thi, nigaheiN us ki jhuki hui theeN
merey ik sawaal ka poochna tha ke bhool gaya wo jawaab sarey
Awaargi
Nov 24 2006, 06:06 AM
Aye Khuda Jo bhi mujhay Pind-e-shikay-bai day
Uss ki ankhoon ko mery dard ki gehraai day
Itna bay-sarfa to na jaye meray ghar ka Jalna
Chashm-e-Giryaan na sahi, Chashm-e-tamashaai day
Teray logoon se gila hai meray aainoon ko
In ko pathar nahi deta to beenai day
Na-janay kon si wazaa' ka bismil hai FARAZ
Yeh to qatil ko bhi ilzaam-e-maseehai day
Awaargi
Nov 25 2006, 12:00 AM
Hum Dasht ke basi hamein wirsay mein mili hai
Yeh ruuh piyasi hamein wirsay mein mili hai
Dukh dard se sadiyon ka ta’aluq hai hamara
Ankhoon ki udaasi hamein wirsay mein mili hai
QUOTE(Sahil Haider @ Nov 23 2006, 10:03 PM)

Un bad-nasiboN ko kya khabar ke wafaa ke roz-e-jazaa meiN kya hey
Bhula chukay hain jo dil se apnay mohabaton ke nisaab saarey
koi jo poochey to kya bataaooN ke kehkashaaoN ke dikha ke manzar
koi meri qismat meiN likh gayaa hey shab-e-firaaq ke azaab saarey
meiN kin umeedoN ke waastey sey moj’zoN ki duaaeiN maaNgooN!
ke ban ke aaNsu beh gaey heiN meri nigaahoN sey khwaab saarey
meiN jis ke rastoN meiN gulsitaaN ki ronaqoN ko bicha raha tha
wo meri raahoN ko de gaya hey taptey sehra ke saraab saarey
rangat us ki urri hui thi, nigaheiN us ki jhuki hui theeN
merey ik sawaal ka poochna tha ke bhool gaya wo jawaab sarey
VERY NICE POST SAHIL, KIYA YEH AAP KI APNI LIKHI HUI HAI...? AGAR NAHI TO POET KA NAAM BATA DEIN.....
Sahil Haider
Nov 25 2006, 04:39 PM
salam.
sorry yaar i don,t know abt poet.
Kissee kay waaday pay kyun aitebaar hum nay kiya,
Na aa'nay walon ka kyun intezaar hum nay kiya
Na woh humaray hu'ay, aur na hum apnay rahay
Mohabaton ka ajab karobaar hum nay kiya.
Woh khel khel rahay thay, woh khel khel chukay,
Khata humaree thee, kyun unn say pyar hum nay kiya.
Asma_Here
Nov 27 2006, 06:14 AM
^ AWESOME!
Sahil Haider
Nov 27 2006, 06:34 PM
bichRay tu qurbatooN ke dua bhi na kar sakaY
ab k tujhaY sapurd-e-khuda bhi na kar sakaY
taqseem ho k rah gaye suu kirchioN maiN hum
naam-e-wafa ka qaraZ adaa bhi na kaR sakaY
nazak mizaj log thaY hum jaisaY aa'eNA
tootaY kuch is tarha k sada bhi na kaR sakaY
khush be na rakh sakaY tujhaY hum apni chah maiN
achi tarha se tuj ko khafa bhi na kar sakaY
hum muntizaR rahaY koi mashQ-e-sitam tu ho
tum maslihat shinaas, jafaa bhi na kaR sakaY
Awaargi
Nov 28 2006, 02:12 AM
Teray waadoon pe kab tak mera dil faraib khaye ga
Koi esa wada kar k meri aas toot jaye
Awaargi
Nov 28 2006, 03:00 AM
......................................................
Here Guys, One of my super Favs. :
......................................................'
Tumhein Jab kabhi milein Fursatein Meray dil se boojh utaar do
Mein buhat dino se udaas hoon mujhay koi shaam udhaar do
Mujhay apnay roop ki dhoop do, k chamak sakein meray khaal-o-khad
Mujhay apnay rang mein rang lo, mera saara zang utaar do
Meri weh'shatoon ko berr'ha dia hai Judaiy'on k azaab nay
Meray dil pe haath rakho zara, meri dharrkano'n ko qaraar do
Kisi aur ko meray haal se na gharaz hai na koi waasta
Mein bikhar gaya hoo'n samait lo, Mein bigarr gaya hoon sanwaar do
Tumhein Sub'ha kesi lagi kaho, meray khwahishoo'n k dayaar ki
Jo bhali lagi to yahein raho, isay chah'too'n se nikhaar do
Sinlner
Nov 28 2006, 11:22 AM
Woh be-wafa kahe mujhe jis se wafa karoon,
Main badnaseeb apne muqaddar ka kya karoon.
Sinlner
Nov 30 2006, 12:28 PM
Us Ne Apna Bana Ke Chod Diya
Kya Aseeri Hai Kya Rihaai Hai
Sahil Haider
Nov 30 2006, 07:59 PM
na sama'tooN maiN tapash ghulaY na nazaR ko waqf-e-azab kaR
jo sunaie daY usaY chup sikha jo dekhie day usaY khawab kaR
abhi muntashiR na ho ajnabi na visal-e-rut k kaRam jataa
jo teRi talash maiN ghum huwaY kabhi un dino ka hisaab kaR
meRay sabaR peR koi ajaR kia meRi dopahaR pe ye abaR keoN?
mujhaY Oo'ranY daY ye azee'aateiN meRi adtaiN na khaRab kaR
ye hajoom-e-shahaR sitam gara'N na sunay gha teRi sada kabhi
meRi hasratooN ko sukhaN suna meRi khwa'heshoN se khitaab kaR
ye jaloos-e-fasl-e-bahaR hai tahee dast yaaR saja isaY
koi ashaak phiR se sharaR bana koi zakham phiR se gulaab kaR
Awaargi
Nov 30 2006, 11:22 PM
QUOTE(Sahil Haider @ Dec 1 2006, 05:59 AM)

na sama'tooN maiN tapash ghulaY na nazaR ko waqf-e-azab kaR
jo sunaie daY usaY chup sikha jo dekhie day usaY khawab kaR
abhi muntashiR na ho ajnabi na visal-e-rut k kaRam jataa
jo teRi talash maiN ghum huwaY kabhi un dino ka hisaab kaR
meRay sabaR peR koi ajaR kia meRi dopahaR pe ye abaR keoN?
mujhaY Oo'ranY daY ye azee'aateiN meRi adtaiN na khaRab kaR
ye hajoom-e-shahaR sitam gara'N na sunay gha teRi sada kabhi
meRi hasratooN ko sukhaN suna meRi khwa'heshoN se khitaab kaR
ye jaloos-e-fasl-e-bahaR hai tahee dast yaaR saja isaY
koi ashaak phiR se sharaR bana koi zakham phiR se gulaab kaR
Great post, Sahil... Wonderfull
Har shamma bujhi rafta rafta, Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray
Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray
Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aai hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray
Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray
Sahil Haider
Dec 4 2006, 05:02 PM
maiN udaas rastaa hooN shaam ka teRi aa'htooN ki talash hai
ye sitaraY sab haiN bujhaY bujhaY mujhaY jugnoo'N ki talash hai
zaRa sair karnay ko aiye haiN hamiN aur kuch nahi cha'hiye
wo haiN door kaanteY leye huwye jinhaiN machlioo'N ki talash hai
wo jo aik darya tha aag ka sabhi rastooN se guzar gay'aa
tumhiN kab se rait k shahar maiN na'ee barishooN ki talash hai
meray dostooN ne sikha dee'ya mujhay apni jaaN se khelna
meri zindghi tujhay kia kahbar mujhay qaatilooN ki talash hia
Sahil Haider
Dec 6 2006, 07:05 PM
mujhay hayratooN se hai wasta meray dil ka qisa ajeeb hai
jo visaal ruut maiN bichar gaya wo tu jaaN se bhi qareeb hai
mujhay hosh tha tu khbar na thi maiN jano'N maiN tha tu pata chala
wo jo meray dil ka makeeN hai wohi jism-o-jaaN ka haseeb hai
tujhay janta bhi nahi koi mera haraf haraf hai mu'etbaR
tujhay zar mila mujhay shuhratiN ye bhi apna apna naseeb haiN
mujhay kon tuj se raha'ee day mujhay apna ap dekha'ee day
meray dil maiN ab bhi ghari huiwe teri arzoo ki saleeb hai
maiN mohbatooN ka safeer hooN mera kaam khushbo bakhairna
nahi is se koi bhi muamla k WO door hai ya qareeb hai
mujhay zindghi maiN sakooN milay yehi arzoo hai meray Khuda
mujhay teeragi se najat day k tu roshni ka naQeeb hai
Sahil Haider
Dec 9 2006, 04:59 PM
meri daastan-e-hayaat ki ye tehreer to ik aesa bayaaN hey
jisey koi dil sey na sun saka jisey parrh saki na nazar koi
sar-e-bazm saarey dostoN ne meri aap-beeti suni magar
koi dil ka aalam na samajh saka go gham-zada tha har koi
tera shab-o-roz ka intizaar meri nazar sey sab kuch le urra
merey ratjagoN ke naseeb meiN ab tak nahi hey sahar koi
merey hosley bhi thak gaey ke meri rah-guzar sey bani nahi
jab raastey hoN na-meharbaaN to kya karey phir safar koi
do chaar saaNseiN aaj bhi merey paas heiN tu bhi paas aa
teri nigaahoN ki talkhiyoN meiN gar bach gayaa hey zehar koi
ye to mohabbatoN ki maang thi jo tujhey zindagi ka laqab diya
is sodey ke aevaz sanam meiN ney kab maaNga tha samar koi
tu kis leeye hey gham’zada ke ye teri hi zid thi aey hum’nawa
k kisi ki aaNkheiN nam na hoN chahey mar bhi jaey agar koi
Sahil Haider
Dec 13 2006, 09:53 AM
mayray shumaray ki her mohabat,Kasam hay tum ko ... ab daan ker do...
main hoon adhora, hon na mukamal ... mujhay samaytoo, ehsaan ker do...
bohot hi jelti hain mayri ankhain...sulaghti hain yeh hazaar din say...
inhain do thundak,inhain do sapnay...woh khab do kay hayraan ker do...
nahee hay geRhti, nahi hay ben-ti, koee gaazal... koi shairi bhi....
tum mayri sari kahanioN main ... mohabaatoN ko , unwaan ker do...
khyaloN main ik mehekta insaN , tumaray jaysa hay , tum nahi ho...
tum apni sochoN kay dairo ko khud mayray dil maiN Mehman ker do...
bohot khaber hay, bohot fikar hay...mujhay zamanay ki khawahishon ki...
aseer ker lo , mujhay tum apna ... zamany bher say , unjan ker do...
mayri husi khokheli hay kitni, bayrung hay yeh ... hay phiki phiki...
tum mayray khaali say kehkehon main ik Taazgee ka toofaan ker do...
baybes cee Aahhhh`ain ... dheemi cee dherkan, bayjaaN roh hay....
tum mayray jeenay k baqi din main , tamam khusiaan Saman ker do...
baynor duniya,bayreng mosam...kion main hi daykhoN, kion main hi paon??
tum mayray charoN traf hi rengoN ka, MosamooN ka, JahaN ker do....
Asma_Here
Dec 14 2006, 02:15 AM
Aur ahista kejiye baatien
dharknen koi sun raha hoga
lafz girne na payen honton se
waqt ke haath dil ko chun leingey
kaan rakhte hein ye dero dewaar
raaz ki sare baat sun leingey
aur ahista kejiye baatien
aaiye band kerlien derwaze
raat sapne chura na lejaye
koi jhonka hawa ka awara
dil ki baton ko ura na lejiye
na le jaye
Aaj itne kareeb ajao
dorion ka koi nishan na rahe
apne charon taraf ki ye dunya
sans ka shor bhi na sun paye
na sun paye
aur ahista kejiye batien
Aur ahista kejiye baatien
dharknen koi sun raha hoga
lafz girne na payen honton se
waqt ke haath dil ko chun leingey
kaan rakhte hein ye dero dewaar
raaz ki sare baat sun leingey
aur ahista kejiye baatien--- For mera para sha bacha
Ghazal by Panjak Udhas. Meri pehli
Sinlner
Dec 18 2006, 11:42 AM
^lol. i was jst listening to this song right now..
n came here n read it ... nice!
Ha Jo Jafa bhi apne ki Kaidey se Ki
Ha Hum hi kaar bandey Asoole Wafa Na They
Sahil Haider
Dec 22 2006, 06:00 PM
Udaas Kaaghazii Mausam Men Rang-O-Buu Rakh De
Har Ek Phuul Ke Lab Pe Meraa Lahuu Rakh De
Zubaan-E-Gul Se Chattaanen Taraashne Vaale
Sukuut-E-Naqsh Men Aaraaish-E-Namuu Rakh De
GiraaN Lage Hai Jo Ehsaan Dast-E-Qaatil Kaa
UTh Aur Tegh Ke Lab Pe Rag-E-Guluu Rakh De
Chalaa Hai Jaanib-E-MaiKhaanaa Aaj Phir Vaaiz
Kahiin Na Jaam Pe Lab Apane Ba Vazuu Rakh De
Khudaa Kare Meraa Munsif Sazaa Sunaane Men
Meraa Hii Sar Mere Qaatil Ke Ruu-Ba-Ruu Rakh De
Samandaron Ne Bulaayaa Hai Tujh Ko Aye 'Bekal'
Tuu Apanii Pyaas Kii Sehraa Men Aabaruu Rakh De
Sahil Haider
Dec 28 2006, 06:41 PM
Usse Main Nay Hi bola Tha
K Meri Raah Tum takna
Main Us Mosam Main Aa,on Ga
Baharain Rooth Jain Gi
Hawaaian Khushk Ho Kar
Dard K Qissay Sunain Gi
Usse Main Nay Hi Bola Tha
K Mera Intezaar Karna
Main Us Mosam Main Aa,on Ga
Nahi Jab Gull Kahin Khiltay
Aur Uss Mosam K bichday
Phirr Kabhi Wapas nahi miltay
Usse Main Hi Bola Tha
K Raahon Par Nazar Rakhna
Main Us Mosam Main Aa,on Ga
Main December Main Aa,on Ga
Main Sab Waday Niba,on Ga
Bahrain Lay Kar Aa,on Ga
Tumhaari Aankh Ki Barsaat
Main Khud Bheeg ja,on Ga
Magar Tum Intezaar Karna
December Tak Meri Rehna,
Magar,..............................
Main Wapas Laut Bhi Jata
Wo Intezaar To Karta??????
Wo Meri Raah To Takta?????
Main Wapas Laut bhi Jata?????
zindgi k melay main
Dec 30 2006, 11:20 AM
^wow bohat khoob
na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kar
kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kar
merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare
Sahil Haider
Jan 8 2007, 06:08 AM
Jaage Huye Mile HaiN, Kabhi So Rahe HaiN Hum
Mausam Badal Rahe HaiN Basar Ho Rahe HaiN Hum
Baithe Hain DostoN Mein Zaroori HaiN Qehqahe
Sab Ko Hansa Rahe HaiN Magar Ro Rahe HaiN Hum
AankheiN KahiN, Nigaah KahiN, Dast-O-Pa kahiN
Kis Se KaheiN Ke Dhoondo Bahut Kho Rahe HaiN Hum
Har Subha Phaink Jati Hai Bistar Pe Koi Jism
Ye Kaun Mar Raha Hai, Kise Ro Rahe HaiN Hum
Shayad Kabhi UjaloN Ke Oonche Darakht HoN
SadiyoN Se AansuoN Ki Fasal Bo Rahe HaiN Hum
Sahil Haider
Apr 5 2007, 11:40 AM
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa
Main Tark E Ta'alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa
Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa
Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa
Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa
MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa
Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa
Cupid
Nov 14 2008, 09:41 AM

che watan matam matam vi
aw pa har yo kor k ghum vi
che barood vi da asmaaNa
aw da zmake lande bum vi
che pa shoondo bas jarra vi
starge hum dake da num vi
che guloono pa mosam ke
da golo dazo mosam vi
bajawar waziristan ke
hum pa swat k moharam vi
no za ba dasey akhtar sa km
che bachi mai qatal kegi
mor aw plar mai jobal kegi
sar sajde la che teetegi
pa bumoona ra-waregi
raba kala ba sahar shi
che zama ghareeb akhtar shi
insha_ji
Nov 14 2008, 09:51 AM
salam cupid where you been for so long welcome back.
Cupid
Nov 14 2008, 10:26 AM
salam, thank u insha ji,..bas yar, studies,..ap sunawo kya ho raha hai:)
insha_ji
Nov 14 2008, 10:55 AM
bus yaar kaam kaaj or yahan wahan tum sunao sub set hey.