Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Sahil Haider
harf harf rut kar bhe agahi nahi milti
aag nam rakhnay say roshni nahi milti
aadmi se insan tak, aogay to samjhogay
kion chiraagh k neechay roshni nahi milti
Sajjad khan
baat bhee tayree rakhne hai saqi
zarf ko bhee na ruswa karain gay
jaam daay yah na daay aj haam ko
maykaday main sawayra karain gay
Sahil Haider
Muqader say kaho phir say sitam aijad mat kerna
Koi aabad hai dil main, ussay barbad mat kerna
Woh ek shab khawab sa ban ker utter aaye ga aankhoon main
Yeh palkein mond laina aur uss ko yaad mat kerna
Hansi main hee udda day ga zamana dil ki batoon ko
Kisi k samnay bhi paish tum rodaad mat kerna
Raha ho ker guhar palkoon say mil jatay hain matti main
Mujhay qaid-e-mohabbat say kabhi aazad mat kerna
Issi mosam main dil k qaflay lut-tay howay dekhay
Inn aankhoon main gulaboon ko kabhi aabad mat kerna
shahed
QUOTE(Sahil Haider @ Aug 29 2006, 04:13 AM) *

Muqader say kaho phir say sitam aijad mat kerna
Koi aabad hai dil main, ussay barbad mat kerna
Woh ek shab khawab sa ban ker utter aaye ga aankhoon main
Yeh palkein mond laina aur uss ko yaad mat kerna
Hansi main hee udda day ga zamana dil ki batoon ko
Kisi k samnay bhi paish tum rodaad mat kerna
Raha ho ker guhar palkoon say mil jatay hain matti main
Mujhay qaid-e-mohabbat say kabhi aazad mat kerna
Issi mosam main dil k qaflay lut-tay howay dekhay
Inn aankhoon main gulaboon ko kabhi aabad mat kerna




APNI PALKOOn KO KHULA RAKHIYEH,KAY AANAY WAALAY

AANKHOOn.ANKHOOn HI SAY,DIL -DIL KI NAZAR KERTAY HAIn
Sinlner
Mujh Ko To Hosh Nahin Tum Ko Khabar Ho Shaayad
Log Kehate Hain Ki Tum Ne Mujhe Barbaad Kiyaa
shahed
MUJHKO YAQEEn NAHEEn HAI,MAGAR KAH RAHAY HAIn LOGG

MERI TABAAHIUOOn MIAn ,TUMHAARA HI ,HAATH HAI
Sajjad khan
Nama hai dil jaloon ka zara bach k kholna….
Aaaheen bhari hain is main kaheen hath jal na jaye….
soosiii
Teri Judai se kya kya na sikha hai......
.Pehle hasna aur phir rona sikha hai.......
Tujh hi se sab sikha hai......
.Dard mein hasna bhi .......
Teri judai se sikha hai.......
Logo se Mohabbat karna .......
logo ke dard ko apna samjhna bhi.......
Teri judai se sikha hai.......
Dard sahna, dard mein muskrana Aur.......
Tanhai main rona bhi .......
Teri judai se sikha hai.......
Har waqt tarapna.......
Raaton ko uth uth ke rona bhi.......
Teri judai se sikha hai
soosiii

Ik karb-e-musalsal hey
joo khtam naheyn hoota
laakh koii poochey magar
ye raqm naheyn hoota
chaloo daastan-e-muahabbat
sounaa deytey heyn
poocha hey tum ney too
batta deytey heyn
muhabbat
shroo tum sey khtam tum pey
hoo gaeii hey
khushii sey pahley hii
ghum key aansou
roo gaeii hey
sounoo!!!!!!!
kahnaa achaa naheyn
per kahnaa bhee zaroorii hey
bin terey jaanaan
zaat merii adhoorrii hey
Sinlner
Firaaq-E-Yaar Qayaamat Se Kam Nahi Faraaz
Na Din Ko Chain Aata Hai Na Raaton Ki Neend Aati Hai
Sajjad khan
Yah Hada'in Na Toor Daina Mery Dairy Main Rahna
Mujhy Apny Dil Main Rakhna Mairy Hafzay Main Rahna
Mairy Hath Ke Lakeera'in Tera Naam Ban Kay Chamka'in
Meri Khuwahisho'n Ke Khushbo Mairy Zaichay Main Rahna.
soosiii

"Hum ne pyaar main paya to kya paya
Kabhi khood Ro diye kabhi Tum ko Rulaya
Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon
Who Zindagi main phir kabhi na behne paya
Saza mujhe mili aor jaza unhain bi
Aisa bhi kya insaf mai hai sar jhukaya
Himmat nahee thi us main Saath mera dene ki
Ab tak na jane who kaisy chal payai


Tukkray apne Wajood ke Rooz jodte hu mai
Usne merey dil KO aisa bikhraya
Zulm per zulm kerte rahy who aor
Khamoosh hi rahi, kabhi uff ker na payee !!!
soosiii
Tark e talukat pay roya Na tu Na mai
Lakin yeh kya k chain sai soya Na tu Na mai
Halat k talisam nai pathra dia, magar
Beetay samoon ki yaad mai khoya Na tu Na mai
Har chend ikhtlaf k pehlu hazar thaiy
WA kar saka magar lab e goya Na tu Na mai
Nohay faseel e zabt sai ounchay Na ho sakay
Khul k deyar e sang main roya Na tu Na mai
Jab bhi nazar uthi to falk ki taraf uthi
Bargashta aasman sai goya Na tu Na mai
Sinlner
HEy soosiii.......nice...zabardast madame jeee...
keep sharing........

"Tark e talukat pay roya Na tu Na mai
Lakin yeh kya k chain sai soya Na tu Na mai"

WAH.....

****

Dil Ko Har Waqt Tassali Ka Guma Hota Hai,
Dard Hota Hai Magar Na Janey Kahan Hota Hai !

Aap Be-Rehem Hi Sahi, Baat To Kijiye Mujhse,
Kuch Na Kahney Se Muhabbat Ka Guma Hota Hai !

Aap Aayen To Sakuun, Aap Na Aayen To Sakuun,
Dard Me Dard Ka Ehsaas Kaha Hota Hai!
soosiii

Thanx smile.gif sinlner


Muhabbat tark ki main nai geraiban cee liya main nai
Zamanay aab to khush ho yeh zehar pee bhi pee liya main nai

Abhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khalwat main
K aab tak kis tamanna k saharay jee liya main nai

Inhain apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai
K kuch muddat haseen khwaboon main kho kar jee liya main nai

Bas aab to Daman_e_Dil chor do bey kar umeedo
Bohat dukh she liay main nai bohat din jee liya main nai
M_Aamir
Kuch Log Samandar Hotey Hain..
Chup Chap Se Andar Hotey Hain...
Aankhoo me Wafa K Moti Aur .....
Seeney Me Muhabbat Rakhtey hain
Khushioo K Payember Hotey hain...
Kuch Log Samandar Hotey Hain...

Jab Mun Ki Aag Sulagti Hey ..
Wo Dhemey Dhemey Jaltey hain...
Sunsaan Wafa Ki Rahoo Per ...
Chup Chap Wo Tanha Chaltey Hain ...
Auroo k Liye Hamdam Howain ...
Per Khud per Sitamgar Hotey Hain ...
Kuch Log Samandar Hotey Hain...
Sajjad khan
lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log
tau zeher hi de sharaab keh ker saqi
jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log
soosiii
Bey Nyaz e Paiman Wafa Ho Jana
Tum Bhi Auron Ki Tarha Mujh Sai Juda Ho Jana

Main Bhi Palkon Pay Sajaa Loon ga Lahu Ki Bondein
Tum Bhi Pabasta e Zanjer e Hina Ho Jana

Gar’ch Aab Qurb Ka Imkaan Hai Bht Kam Phir Bhi
Kaheen Mil Jien To Tasweer Numa Ho Jana

Khalq Ki Sang Zaani Meri Khtawon Ka Silla
Tum To Masoom Ho Tum Dor Zara Ho Jana

Aab Meray Wastay Taryaq Hai Ilhad ka Zehar
Tum Kissi Aur Pujari K Khuda Ho Jana
Sinlner
Aey khuda jazba-e-ehsaas na bakhsha hota
Khoob hota jo mujhe pathar se taraasha hota
Sajjad khan
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
soosiii

Yaar nay dil ka haal batana choor diya....
Hum nay bhi gahrai mein Jana choor diya....
Jub us KO he doori ka ahsaas nahi....
Hum nay bhi ahsaas dilana choor diya.

may b these r not very nice 1 but i like it
Sahil Haider
surkh chilman main haseen taaj mehal ho jaise
aap ka husan mohabat ki ghazal ho jaise

Aao kuch dair zamaane se kahin door chalain
yuun jia jaaye k bus aakhiri pal ho jaise

kion nahi aata tujhe meri mohabat pe yaqeen
kion yeh lagta hay tere maathe pe bal ho jaise

yuun qareeb aain k bichdain to koi ranj na ho
saans laina bhi mohabat main khalal ho jaise

yuun uthi jaise koi barq chamak jaaye kahin
ik nazar saare sawalat ka hal ho jaise
Sajjad khan
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Sahil Haider
Har shama bujhi rafta rafta,Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray

Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray

Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aai hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray

Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray
Sajjad khan
yun muqadar mayra sawar jaya
sabz gumbad paar jaab nazar jaya

talib-e-magfirat ko kah de jiya
asstanay Rasool (SW) paar jaya
soosiii
^Aameen


Tum agar saath hote
Ye tanhaayian na hoti
Hume duniya mein ye
Ruswaayian na hoti.

Agar hum haath thaame
Saath saath chalte rahte
Zindagi ki rahon mein ye
Dushwaariyan na hoti.

Manzil ki khoj mein
Humsafar tum agar hote
Rahon mein kanto ki bhi
Hume koi shikaayat na hoti.

Din ke har ek lamha
Beete tumhare pehloo mein
Baithe kabhi saagar kinaare
Lahron se taal milaaye.

Pedon ki jhurmut mein
Titliyon se daud lagaaye
Chandni raaton mein
Taaron se aankh milaaye

Pure hote Khwaab ye saare
Tum agar hote saath humaare
Tum agar hote paas humaare
Tum agar hote saath humaare...
khizar_hayyat
tera dil dharakta rahega
mera dil dharakta rahega
magar duur duur
zamin par suhane samay aa ke jate rahein ge
yun hi duur duur
sitare chamakte rahein ge
yun hi duur duur
har ek shai rahe gi
yun hi duur duur
magar teri chahat ka jazba
ye vehshi sa naghma
rahega hamesha
mere dil ke andar
mere pass pass

Sajjad khan
yun bhi shehr e arzo se loutna kesa laga
abh kaho tootna aur bikherna kesa laga
ban gaya na roog akhir usko kho dena ke ghum
her kisi ke chahray mein usko jhankna kesa laga
Sinlner
nazar nazar se milaakar sharaab piite hai.n
ham unako paas biThaakar sharaab piite hai.n

isii liye to a.Ndheraa hai maikade me.n bahut
yahaa.N gharo.n ko jalaakar sharaab piite hai.n

hame.n tumhaare sivaa kuchh nazar nahii.n aataa
tumhe.n nazar me.n sajaakar sharaab piite hai.n

u.nhii.n ke hisse me.n aatii hai pyaas hii aksar
jo duusaro.n ko pilaakar sharaab piite hai.n


soosiii
^sharaab peena achi baat nhin 8.gif

Dil Pay ik tarfa qiyamat karna
Muskuratay huaiy rukhsat karna

Achi ankhain jo mili hain us
Kuch to lazim hua wehshat karna

Jurm kis ka tha, saza kis ko mili
Kya gai baat pay hujjat karna

Kon chahaiy ga tumhain meri tarha
Aab kissi sai na muhabbat karna

Ghar ka darwaza khula rakha hai
Waqt mil jaiy to zehmat karna!
sandhu_fakkar

QUOTE(shahed @ Aug 13 2006, 11:02 AM) *

woh meray haatooN ki raykhaaooN ki tarah saath hain

saath hi meray woh aatay hain,jidhar jaataa hooN main







Tu Kahii.n Bhi Rahe Sir Par Tere Yeh Ilzaam To Hai,
Tere Hatho.n Ki Lakiiro.n Me.n Mere Naam To Hai.....

soosiii
Us k aur apnay darmiyan main lab
kya hai bas rubaru ka rishta hai
Haye wo rishta haye khamoshi
Aab faqt guftagu ka rishta hai
sandhu_fakkar


Woh mera raunak-e-mehfil kahan hai
Meri bijli, mera haasil kahan hai
Mukaam uska hai dil ki khalbaton mein
Khuda jaane mukaam-e-dil kahan hai


Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,
Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,

Woh paas hamare rehte they, berut bhi bhahaar aa jaati thi
Ab laakh bhahaarein aayein to kya, ab laakh bhahaarein aayein to kya
Phoolon ne mahakna chhod diya,
Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
is dil ne dhadakna chhod diya

Humraah koi, saathi bhi nahin, ab yaad koi baaki bhi nahin
Ab phool khile jakhmon ke kya, ab phool khile jakhmon ke kya,
aankhon ne barasna chhod diya,
Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
is dil ne dhadakna chhod diya

Humne yeh duvaa jab bhi maangi, taqdeer badal de aye maalik
Awaaz aayi ke ab humne, awaaz aayi ke ab humne, taqdeer badalna chhod diya,
Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
taaron ne chamakna chhod diya

Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,
is dil ne dhadakna chhod diya
Sahil Haider
main bhi rota raha wo rulata raha
teer dil pe musalsul chalata raha
us k aangun men main yun pighalta raha
deep khoon-e-jigar se jalata raha
khud sisukta raha dhoop men umer bhar
kone kone men poday lagata raha
dil ki takhti is tarha se ghisti gae
nam taira mein likhta mitata raha
aik aansu ki shidut se wo jal gaya
jo sumandur se nazrien milata raha
aaj hunsta raha mairi maiyat pe wo
muskarana jise main sikhata raha
han ghareebi mairi kuch ziada na thi
piyas peeta raha bhook khata raha
Sahil Haider
Sari duniya mein faqat ek ujale ke liye ..
Bus mera ghar hi mila tum ko jalane ke liye ..
Jane ye kaisi musibat hai mere seene main ..
Yaad kerta hoon tumhein roz bhulane ke liye
soosiii
"Apnay Ghar Ko Wapis Jao" Ro Ro Kar Samjhata Hai
Jahan Bhi jaon Mera Saya Meray Peechay Aata Hai

Us Ko Bhi To Ja kar Dekho, Us Ka Bhi Haal Mujh Sa Hai
Chup Chup Reh Kar To Dukh Sehnay Sai To Insan mar Jata Hai

Mujh Sai Muhabbat Bhi Hai Is Ko Lekin Yeh Dastoor Hai Is Ka
Ghair Sai Milta Hai Hanss Hanss Kar Mujh sai Hi Sharmata hai

Kitnay Yar Hai Phir Bhi Munir Is Aabadi Main akaila Hai
apnay Gham K Nashay Sai Apna jee Behlata Hai.
soosiii

Phir kabi samnay aa k zara ye baat bata.......
Ab kahan hogi mere dost mulaqaat bata........
Tu to alam hai samhajta hai kitaboon ki zaban........
Mera chehra kabi parh k mere halaat bata........
Bas ho jaye mujhe meri muhabbat hasil........
To koi aisi dua aisi manajaat bata....
Sahil Haider
Tazaad-e-jazbaat mein yeh naazuk maqaam aaya to kya karo gey
Main ro raha hoo'n tum hans rahe ho, main muskuraya to kya karo gey

Mujhey to iss darja waqt-e-rukhsat sukoo'n ki talqeen kar rahe ho
Magar kuch apney liye bhi socha, main yaad aya to kya karo gey

Abhi to tanqeed ho rahi hai, merey mazaq-e-junoo'n pe lakin
Tumhaari zulfoo'n ki barhami ka sawaal aya to kya karo gey

Tumhaarey jalwoo'n ki roshni mein nazar ki hairaaniyaa'n mussalam
Magar kisi ne nazar ke badley yeh dil aazmaya to kya karo gey

Utar to saktey ho paar lakin ma'aal par bhi nigaah kar lo
Khuda na karda sukoon-e-Sahil na raas aaya to kya karo gey

Kuch apney dil pe bhi zakhm khao merey lahoo ki bahaar kab tak
Mujhey sahaara banaey walo main larkharaya to kya karo gey

Abhi to daaman chura rahe ho , bigar ke qaabil* se jaa rahe ho
Magar kabhi jo dharkanoo'n mein shareek paya to kya karo gey
soosiii
^Hoob smile.gif

So wo hamaray akhari aansu thaiy
jo hum nai mil kar galay bahaiy thaiy
Na janay waqt un aakhnon sai phir kis tour paish aaya
Magar meri faraib_waqt behki hoi aankhon nai
Is kay baad bhi aansu bahaiy hain
Meray dil nai bohat sai dukh rachaiy hain
Magar youn hai kay mah_o_Saal ki is raiyagani main meri aankhain
Galay miltay huaiy rishton ki furqat kay wo aansu phir na ro Paien
sandhu_fakkar
QUOTE(shahed @ Aug 8 2006, 11:03 AM) *


HASTI KI SHIKASTA BASTI MAIn,JABB JASHN KAA SAAMAAn HOTA HAI,

HER BOOND LAHOO KI JALTI HAI,HER ZAKAM CHIRAAGAAn HOTA HAI


QUOTE(Sinlner @ Aug 30 2006, 04:01 PM) *

Mujh Ko To Hosh Nahin Tum Ko Khabar Ho Shaayad
Log Kehate Hain Ki Tum Ne Mujhe Barbaad Kiyaa



Wah G Wah

Apne Haal Ka Khudd Ehsaas Nahi Mujhko,
Par Logon Se Suna Hai Ki Preshaan Hoon Main.....

soosiii
^nice

Tujh par bhi na ho guman mera
Itna bhi kaha na maan mera
Main dukhtay huaiy dilon ka Eesa
Aur jisam lahuluhan mera
Kuch roshni shehar ko mili to
Jalta hai jalay makaan mera
Yeh zaat yeh kainat kya hai
Tu jaan meri jahan mera
Tu aaya to kab palat k aaya
Jab toot chuka tha maan mera
Jo kuch bhi hua yehi bohat hai
Tujh ko bhi raha hai dhiyan mera
soosiii
Aye Khuda aaj yeh faisla ker de,
Usey mera ya mujhay us ka ker de,
bohat dukh sehey hain main ne.
Itni khushi toe aab mera muqader ker de,
bohat mushkil lagta hai us se door rehna,
Judai k safar ko kam ker de,
jitna door chela jay woh mujh se,
Usey utna kareeb ker de,
nahi likha agar naseeb main us ka naam,
To khatam ker yeh zindagi,
aur mujhay FANAA ker de
Sinlner
baat chali teri aankhon se ja pahunchi paimaane tak
kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhe maiKhaane tak

ishq ki baate.n Gam ki baate.n duniyaa vaale karate hain
kis ne shamma ka dukh dekha kaun gaya paravaane tak

ishq nahee hai tum ko mujh se sirf bahane karati ho
yuun hi bahaane qaayam rakhana tum mere mar jaane tak

itanaa hi kahanaa hai tum se mumkin ho to a jaana
aa hi gaye to rukana hoga aankhon ke patharaane tak
soosiii
Barish Sang malamat main wo bhi hamrah hai
Main bhi bheegon, Khud bhi bheegta hai sath sath
Larkiyon k dukh ajab hotay hain Sukh us sai ajeeb
Hanss rahi hain aur kajal bheegta hai sath sath
Sinlner
ohh damn,, zabardast soosiii jee.,. bohot khoob n true..!

deevaangi ne aaj yeh kyaa haal kar diyaa?
kaaNpe haiN mere haath to lab thartharaaye hai

duniya meiN dard-e-dil jo rahaa saath mustaqil
so yooN huaa ke GHam hi mujhe raas aaye hai
A2F
meri qismat mein gham gar itna tha
dil bhi Ya Rab kaaii diye hotey
soosiii
thanx sinlner ji smile.gif

Zahkm_e_Dil par jo asar soz_e_nihan ka thehray
Ghair mumkin hai rafu,gar! koi tanka thehray

Waqt kuch aur teri yaad ka mil jaiy
Do ghari ko jo qadam umar_e_rawan ka thehray

Hum sai milta hai zamanay ko teray ghar ka pata
Hum to pathar teray koochay main nishan ka thehray

Apni mehfil sai nikala hai to yeh yaad rahay
Hum bhi nikla hua ik harf zuban ka thehray

Koi bhi shakhs na ho phir gham_e_douran ka aseer
Dard agar her dil main saray jahan ka thehray

Gham bhi insan ka muqadar hai khushi bhi maqsoom
Dil main phir yeh waswasa kyon sood_o_ziyan ka thehray

Aab to paima,esh_e_hasti main hain mashghool Anjum
Dekhiay fasila kya manzil_e_jaan ka thehray
Sinlner
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa

tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa

bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa
nafas nafas jinhe.n Khatraa hai Duub jaane kaa

sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Sahil Haider
isee mukam say kal phir guzar k daikhna hey
bus aik baar tumhaiN aankh bhar k daikhna hey

zara yeh takhta-e-jaaN doobney ki dair hey bus
kayee jazeeroN ney ooper oobher k daikhna hey

guzar raha hooN meiN pani say, or pani ney
kisi ghari meray sar say guzar k daikhna hey
zindgi k melay main
daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile

Khud se mil jaate to chaahat kaa bharam rah jaataa
kyaa mile aap jo logo.n ke milaane se mile

kaise maane ke unhe.n bhuul gayaa tuu ai 'Kaif'
un ke Khat aaj hame.n tere sarahaane se mile
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.