Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Sajjad khan
Thanks friends

youn us ke bichhad jaane pe aansuu na bahaao
manzar ko taras jaayeingii bhiigii huii aankhein

raste mein qadam phuunk ke rakhanaa mere pyaaro
hain chaaroun taraf shahar mein bikharii huii aankhein
Sinlner
KUCCH TO APNEE NISHAANEEYAN RAAKH JAA
IN KITAABON MEIN TITLIYAAN RAKKH JAA

LOG TANHA NA LAUT JAAYEIN KAHEEN
TU RAASTON MEIN KAHAANIYAN RAKKH JAA

HO RAHA HAI AGAR JUDA MUJHSE
MERI AANKHON PE UNGLIYAAN RAKKH JAA

AAJ TOOFAN BHI AKELAA HAI
TU KINAARON PE KASHTIYAAN RAKKH JAA
Sajjad khan
Na mein nay koi sada uss ko dee na woh lota
Meree ana k maqabil rahi ana uss ki
Sinlner
Ulfat ke shanaawar tu kahiN doob na jaana
Daryaa-e-mohabbat ke kinaare nahi hote
Sajjad khan
naaseh ko konn samjhaay na samjhe ga Faraz
woh to sab ki baat sun le aur manmaani kare
Sinlner
mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii.n nahii.n
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii.n magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai


teraa vasl ai merii dilarubaa nahii.n merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasarato.n kaa to saath hai


teraa ishq mujh pe hai maharabaa.N mere dil ko haasil hai do jahaa.N
merii jaan-e-jaa.N isii baat par merii jaan jaaye to baat hai
Sajjad khan
wah bohat khoob

is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do
faraz is dayaar mein ik saya-e- diwaar main
main jo so gayaa hoon chain se mujhey neend se phir jaga na do
Sinlner
^thanks..

Aur bhi gham hain zamaane meN mohabbat ke sivaa
Raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
Sajjad khan
iqbal terey ishq nay sab bal diye nikaal
muddat sey aarzoo thi k seedha karey koi
Sinlner
Ek muddat se teri yaad bhi na aai hameiN
Aur hum bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahi
Sajjad khan
Amjad wo ankheen jheel say ghehri to hain magar
in mein koii bhe nuqash mery naam ka nahey!!
Sinlner
Ji bhar ke zulm kar magar is shart-e-khaas per
jab lutf ho to lutf ki bhi inteha na ho
Sajjad khan
Yeh soch rahe the kai sadda Mil kai chalain Gey
Haathon sai Mere Us ka Choota Haath to Daiko
Sinlner
Mareez-e-ishq ka kya hai, jiya jiya, na jiya na jiya
Hai ek saans ka jhagaDa , liya liya, na liya na liya
Sajjad khan
aaj os ne dard bhi apne alehda kar diye
aaj mein roya to merey sath wo roya na tha
Sinlner
Husn tamam ijtenab, ishq tamam izterab
Vasl ki shab guzar gayee yuNhi takallufaat main
Sajjad khan
ewww one of my favs

ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itanaa hai ki main tujh se faraamosh nahiin

main terii mast nigaahoun kaa bharam rakh luungaa
hosh aayaa bhii to kah duungaa mujhe hosh nahiin
Sinlner
Damn..too good...

Jaane Wale Ko Na Roko Keh Bharam Reh Jaaye
Tum Pukaaro Bhi To Kab Us Ko Thehar Jaana Hai
Sajjad khan
Thanks

na jaane aaj ye kis kaa khayaal aayaa hai
khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai
Sinlner
Khuwaab Mein Hi Nazar Aate Woh Shab-E-Hijar Kaheen
So Mujhe Hasrat-E-Deedar Ne Sone Na Diya
Sajjad khan
haam nay dushman ko bhee ahsan-e-muhabbat bakhsha
Maray apnay mujhay nafrat ke saza daytay hain
Immortal Friend
YEH OR BAT HAI KAY DUSHMAN HOWA HAI AJJ MAGER
WOH MERA DOST THA KAL TAK USAY BORA NA KAHO
NA JANAY KIN MAJBORYON KA KAIDII HO
WOH MERA SATH CHOR GAYA TU BEWAFA NA KAHO........
Sinlner
Inteha -E-Ishq Jab Hum Sunaenge,
Tumhare Bhi Aansu Bhar Aaenge,

Aur Kahogi Tum Humse Ke Tumhe
Dubaara Na Satayenge!
Immortal Friend
CHEEZ BEWAFAI SE BHARKAR KYA HOGI,
GHUME HALAT JUDAI SE BHARKAR KYA HOGI,
JISE DENI HO SAZA UMAR BHAR KE LIYE,
SAZA TANHAI SE BHARKAR KYA HOGI....
Sinlner
Inqalaab Aaya To Aaya Yun Mizaaj-E-Yaar Mein
Kuch Murrawwat Me Azaafa Kuch Mohabbat Mein Kami
Immortal Friend
YE AUR BAAT HAI


Meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat
To nay mahsoos na ki ye aur baat hai

Mai nay her dam teray hi khuwaab dekhay
Mujhay tabeer na mili ye aur baat hai

Mai nay jub bhi tujh se baat kerna chahi
Mujahy alfaaz na milay ye aur baat hai

Mai teri muhabat k samander mai duur tak nikli
Mujhay sahil na mila ye aur baat hai

Qudrat nay likha tha tujh ko meri taqdeer main
Teri qismat mai main na thi ye aur baat hai......
Sinlner
Khalaq Ki Be-Khabari Hai Yaa Meri Ruswaai
Log Mujh Ko Hi Sunaate Hain Fasaane Mere
Immortal Friend
dil ke daryaa meiN utar ke dekho
tum mohabbat mujhse karke dekho

phir tumheiN meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saagar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahoN se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka
meri c_h_a_h_a_t se mukar ke dekho....

Sinlner
Kuch Is Qadar Hai Gham-E-Zindagi Se Dil Manus
Khizaan Gai Hai To Baharon Mein Dil Lagta Nahi
Sajjad khan
Ye Harf-o-Lafz hain dunia se guftagoo k liey
Kisi se ham sukhani ke mukalmy thy AlaG
Sinlner
Gulon Ki Sharm-E-Lataafat Ka Paas Hai Warna
Meri Nigaah To Kaanton Ka Intekhaab Kare
Immortal Friend
teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai.............
Sinlner
Dard-E-Dil Ke Waste Paida Kiya Insaan Ko
Warna Taa'at Ke Liye Kuch Kam Na The Karro-Bayaan
Maham
Aye Khuda Toonay Mohabbat yeh banaai kyun hay?

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai?

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Me Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rehta Tha
Dil Me Aabaad Gulaboun Ka Nagar Rehta Tha
Zindagi Khaar Bhari Raah main Layi Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?

Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare Mere
Gam Ke Tufan Mai Doobe Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Yeh saza Phirbhi Mere Hisse Mai Ayee Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai?

Mai Agar Roun To Sehra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jahaan Mai Jo Agar Aah Bharun
Aasma Toot pare Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gehraaee Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banaye Kyun Hai?
Agar Banaye To Muhobaat Me Judai Kyun Hai?
Sinlner
^ IPB Image


Bohot khoob sawal hain....
thanx for sharing..

Khamoshi Say Bikharna Aa Gia Hay
Humin Ab Khud Ujarna Aa Gia Hay

Kisi Ko Baywafa Kehtay Nahi Hum
Humain Bhi Ab Badalna Aa Gia Hay

Kisi Ki Yad Main Rotay Nahi Hain
Humain Chupchaap Jalna Aa Gia Hay

Gulaboon Ko Tum Apnay Pass Rakho
Humain Kaanton Pay Chalna Aa Gia Hay
Sajjad khan
Ya Rab! Gham-E-Hijra'n mein itna kia hota
jo hath jiger pe hai wo dasht-E-Dua hota...
Immortal Friend
kahan aake rukne the raaste, kahan mour tha usey bhool ja
jo mil gaya usey yaad rakh, jo na mila, usey bhool ja

woh tere naseeb ki barishein kisi aur chhat per baras gayeen
dil-e-bekhabar meri baat sun, usey bhool ja, usey bhool ja

mein to gum tha tere hi dhiyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gayi mere kaan mein, mere saath aa, usey bhool ja

kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, usey bhool ja

kion ata hoa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein
woh jo darj tha tere bakht mein, so woh hogaya, usey bhool ja

na woh aankh hi teri aankh thi na woh khwaab hi tera khwaab tha
dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jagna, usey bhool ja

jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raste hi palat gaya
usey rokne se husool kiya, usey mat bula, usey bhool ja..........

Sinlner
Tujh se mil kar bichad gaye, tujh se bichad kar mil gaye
Aisi bhi qurbateN raheeN, aise bhi faasle rahe
Tu bhi na mil saka, umar bhi raaigaN gai
Tujh se to khair ishq tha, khud se bade gile rahe
Sahil Haider
shakki hai wo magar usko nahi karne ki adat hai
main Sahil hoon magar mujko yakeen karne ki adat hai

ushe bhi sar bulandi par humesha naaz rehta hai
humain bhi aasmanon ko zameen karne ki adat hai

suna hai tere khanjar ki lahoo se pyas bhujti hai
humain bhi khoon sarf e aasteen karne ki adat hai

tumhara kaam hai shehron ko sahraa me badal dena
hume banjar zameenon ko haseen karne ki adat hai
[b]

Koyee Mujh Ko Aisee Daleel Day
Keh Main Toot Kar
Terey Naqsh Aankh Kee Pottliyon Se Mitaa Sakoon

Koyee Mujh Ko Aisee Daleel Day
Keh Main Dill Se Phir
Teri Omr Bhar Kee Rafaaqaton Ko Bhulaa Sakoon

Koyee Mojh Ko Aisee Daleel Day
Keh Main Omr Bhar
Teri Yaad Kaa Koyee Jashn Hee Na Manaa Sakoon

Agar Aisee Koyee Sabeel Hai To Phir Aazmaa
Jo Naheen To Phir
" Mojhay Yaad Kar, Mojhay Yaad Aa "
Sajjad khan
raushan kahiin bahaar ke imkaan huye to hain
gulashan mein chaak chand garebaan huye to hain

in mein lahuu jalaa ho hamaaraa ke jaan-o-dil
mahafil mein kuchh chiraag farozaan huye to hain

Hum aksar dostoun ki bewafai seh tu lete hai
Magar sach hai k dil aksar hamare toot jate hain
khizar_hayyat

ye pyar ka khail ajab hai ke kuch pana nhi sab kuch khona hai
ek jese hain din raat yaha bas rona hai bas rona hai

ye likhi thi taqdir meri bas dair se tum ko milna tha
ab kis ko dein hum dosh yahan jo likha wo hona hai

ye dosti ka jo rishta hai is rishte pe koi shaq nhi
ye rishta nhi hai khoon ka per ye chaandi hai ye soona hai

hai yaad teri jaagir meri aur aansoo meri dolat hain
yun jaal jaal ker hi marna hai aur lehed mey jaa ker sona hai
Sahil Haider
hairaa'n hoon yeh kaun sa dastoor e wafa hai
tou misl e rag e jaa'n hai tou kiyon muj se khafa hai
tou eahal e nazar hai tou nahi tuj ko khabr kiyon
pehloo mein tere koi zamaney se khara hai
likha hai mera naam samandar pe hawa ne
aur doono ki fitrat mein sakoo'n hai na wafa hai
shikwa nahi muj ko k hoon mehroom e tamanna
gham hai tou faqqat itna kay tou dhaik raha hai
hum rakhtey hain da'wa k hai qaboo hamein dil per
tou samaney aajaye tou yeh baat juda hai
gham hai k musalal issi shiddat se hai taza
youn kehney ko is umer ka her lamha naya hai
shahed
[

[/b]

HASTI KI SHIKASTA BASTI MAIn,JABB JASHN KAA SAAMAAn HOTA HAI,

HER BOOND LAHOO KI JALTI HAI,HER ZAKAM CHIRAAGAAn HOTA HAI
Sajjad khan
nasha to mot hai gham_e_hasti ki dhoop main
bikhra ke zulf saath chalo!main nashe main hoon
main dagmaga raha hoon biyabaan_e_hosh main
mere abhi qareeb raho!main nashe main hoon
Sahil Haider
JUDAAI DENE WAALE

judaai dene wale tum se umeede wafa kaisi
talauq toot jaay jab
mohabat roth jaaye jab
to phir rasman duaa kaisi
milan ki iltejaa kaisi
bhanwar main dolti kushti pe Sahil ki tamana kia
ukhartii saans hoon to zindagii ki aarzoo bhi kia
jo manzil kho chuki ho us ki phir se justaju bhi kion
razaaye dost par achaaaa......sar e tasleem kham karna
sisakne se yahi behtar hay na umeed hi marna
magar dil nay tumhian kis waste se yaad rakha hay
tumhain kion shairy main aaj tak abaad rakha hay
abhi tak main nay khud ko kion bohat barbaad rakha hay
hawa k dosh par kio naghma e faryaad rakha hay
judaai dene wale aashnaai ki qasam tujh ko
tumhaari bewafaai kaj adaai ki qasam tujh ko
mujhe itna bata dena
wafa ki chahton ki mashalain kaise bujhaate hain
nishaan kaise mitaa thay hain
bhulana ho jinhain un ko bhala kaise bhulaate hain.
Sajjad khan
yehi bhaut hay kay dil osko dhond laya hay
kisi kay saath hi sahi woh nazar to aya hay
karo shikaayatain takta raho kay piyaar karo
gaee bhaar ki surat woh laut aya hay
Sahil Haider
Soch Rahay Thay Jab Kabhi Tanha Milangay Yaar Se
Ye Kahaingain, wo Kahaingain, yun Kahaingay Piyar se
Din Diye Jab Wo khuda Ne, Hosh Sab Jatay Rahain
Reh Gaye Tasweer ki manend Khare Deewar Se.
Sajjad khan
Yah Hada'in Na Toor Daina Mery Dairy Main Rahna
Mujhy Apny Dil Main Rakhna Mairy Hafzay Main Rahna
Mairy Hath Ke Lakeera'in Tera Naam Ban Kay Chamka'in
Meri Khuwahisho'n Ke Khushbo Mairy Zaichay Main Rahna.
shahed
QUOTE(Sajjad khan @ Aug 12 2006, 03:41 PM) *

Yah Hada'in Na Toor Daina Mery Dairy Main Rahna
Mujhy Apny Dil Main Rakhna Mairy Hafzay Main Rahna
Mairy Hath Ke Lakeera'in Tera Naam Ban Kay Chamka'in
Meri Khuwahisho'n Ke Khushbo Mairy Zaichay Main Rahna.



woh meray haatooN ki raykhaaooN ki tarah saath hain

saath hi meray woh aatay hain,jidhar jaataa hooN main
Sajjad khan
QUOTE(shahed @ Aug 13 2006, 09:32 AM) *

woh meray haatooN ki raykhaaooN ki tarah saath hain

saath hi meray woh aatay hain,jidhar jaataa hooN main


Yeh rakh rakhaaoo mohabat seekha gai os ko
woh roth kar bhi mujhy muskuraa kay milta hay
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.