mizz_sweety
Sep 16 2005, 02:53 PM
"aankhon sey ansoen ko ubherny nahi dia
matti mein in motion ko bhkerny nahi dia
jis rah par parey they tery qadmon key nishaan
iss rah sey meiny kisi ko guzerny mahi dia
chaha to chahton ki hadon sey guzer gey
nashha mohabton ka uterny nahi dia
har bar hai nia trey milny ka ziaqa
esa samar kissi bhi shajer ney nahi dia
ye hijer hai to is ka faqat wasal hai elaaj
hum ney waqat ko ye zakham bherny nahi dia
etny barey jahan mein too jay ga kahan
buss is aik khial ney mujhy marney nahi dia
iss ney hansi hansi mein mohabat ki baat ki
orr phir Husnain meiny ussy mukerny nahi dia
saiba
Oct 5 2005, 11:08 AM
Hum jo batten junoo main baktay hain
dakhna jawedania hoon gi
tere mehfil main hum nahi hoon gay
per hamari kahaniyan hoon gi
khizar_hayyat
Oct 26 2005, 03:05 AM
umeed-o- khauf ke raste pe chalti ja rahi hon mein
in hi raston pe gir ker sambhalti ja rahi hon mein
naey zamane ka qarb orhey lamhein nidhaal yadein
koi pooshak si jaise badalti ja rahi hon mein
bohot se khawab baki reh gaye rang bherne ko
aadhori khawaishon pe haath malti ja rahi hon mein ...
***Madiha***
Nov 12 2005, 03:42 AM
Tum udaas ho...
Raat ko chand ,taron se baatein mat kia karo
Phoolon ko daikh k mat chonka karo
koi tabiat ka poochay to mausam k baarey main mat bataya karo
Kaghaz per aari terchhi lakeerein mat khaincha karo
Warna ...........
Warna log kahein ge ,Tum udaas ho.
Cupid
Nov 12 2005, 01:48 PM
jo aap di ti wo tasveer cheen li hum se
baha ke legaya darya hamari chagal ko
lagi hai chot tho ankheN bahaye jata hai
bahot sambhal k rakta ta apne kajal ko
mere naseeb ke kam-fehm daye-ra rastey
kitab kehte hain lafz o sada k jungle ko
badan pe taroN se kante banaye jaata hai
sara rahi hai koi chand raat pagal ko
Cupid
Nov 12 2005, 01:50 PM
jo aap di ti wo tasveer cheen li hum se
baha ke legaya darya hamari chagal ko
lagi hai chot tho ankheN bahaye jata hai
bahot sambhal k rakta ta apne kajal ko
mere naseeb ke kam-fehm daye-ra rastey
kitab kehte hain lafz o sada k jungle ko
badan pe taroN se kante banaye jaata hai
sara rahi hai koi chand raat pagal ko
***Madiha***
Nov 23 2005, 05:03 PM
Apnay bistar pay bohut dair say main neem daraaz
Soochti thee keh wo is waqt kahan hoga?
Main yahan hon, magar is koocha-e-rung-o-boo main
Rooz ki tarha aaj bhi wo aaya hoga aur jab us nay wahan mujh ko na paya hoga…?
“Aap ko ilm hai wo aaj nahi aai hai??”
Mairi har doost say unsay yehi poocha hoga
Kiun nahi aai wo? Kia baat hoi hai akhir?
Khud say so baar is baat pay uljha hoga
Kal wo aaiy gi to main us say nahi boloonga
Aap hi aap wo kai baar rootha hoga
Wo nahi hai to bulandi ka safar kitna kathin hai
Seerhiaan charhtay howay us nay yeh soocha hoga
Rahdari main, haray lawn main phooloon kay qareeb
Us nay har simt mujhay aan kay dhoonda hoga
Naam bhoolay say jo maira aya hoga, ghair mehsoos tareeqay say wo chonka hoga
Aik jumlay ko kai baar sunaya hoga,
Baat kartay howay so baar bhoola hoga.
Yeh jo larki abhi aai hai kaheen wo to nahi,
Us nay har chehra yehi sooch kay daikha hoga.
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqt mairay baghair
Haiy kis bazm main, Aah! wo tanha hoga
Kabhi san’natoon say wehshat jo hoi hogi usay
Us nay baisakhta phir mujhay pukara hoga
Chaltay chaltay koi manoos si aahat pay doostoon ko hi,
Kisi andaz say roka hoga.
Yaad karkay mujhay num ho gai hoon gi palkain,
Aankh main par gaya kuch keh kay tala hoga.
Aur ghabra kay kitaboon main jo li hogi panah
Har sitaray main maira chehra ubhra hoga
Sooch kar yeh kay behal jaiy yeh paraishani-e-dil
Yunhi bai wajah kisi shaks ko roka hoga.
It’tefaqan us shaam mujhay mairi doost mili
Main nay poocha kay suno, aaiy thay wo? Kaisay thay?
Mujh ko poocha tha? Mujhay dhoonda tha charoon janib?
Us nay aik lamhay ko daikha mujhay, aur phir hans di
Us hansi main wo talkhi thee kay us kay agay
Kia kaha us nay mujhay yaad nahi hai….
Laikin.. itna maloom hai….
Khawaboon ka bharam toot gaya!!
Sajjad khan
Dec 21 2005, 06:00 AM
Mera wajood"
mera wajood hai
azeeyaton ki qaid main
mera zehan hai
sochon ki qaid main
mujhay hai to bas ik aasra
meri maan ki ujli si yaad ka
main nahin hun mager ohir bhi
main ik azziyat-e-na tamaam
main ik khamashi-e-be naam
main ik masti-e-bad naam hun
hai wajood mera kanton ke hisaar main
bad mast masti ke jawar main
main hun be hison ke diyaar main
her pal hoon teri yaad ke khumaar main
mujhay chair na ay purnam fiza
main hun sho'ala ik dehakta hua
main dukhon ki aag
main hun tapi hui
mujhay sard na ker or jala
aye "Khuda-e-laazawal"
rok de is baarish ko
is ki her boond se phat'ta hai aabla
jo ye baras gai meray wajood pe
ye phat parai ga lawa numa
bas ik nazr-e-karam ker
meri maan ki is "lehad" per
ker roshan us ki "lehad" ko
ker baghbaa(n) us ki rooh ko
bakhsh de her khata us ki
razi ho jaa us se "ger ranjoor" ho
raahat kada main de jaga
apne reham se usai ay "Khuda"
hai ik gunah gaar ki ye iltija "ger manzoor" ho
Immortal Friend
Dec 23 2005, 08:23 AM
Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Tumhain hum yaad aayenge
a sepcial poem 4 sum1 special..........
Sajjad khan
Dec 23 2005, 02:01 PM
one of my favs
Baat niklay gee tu phir dur talaq jaya gee
loog baywajah udasi ka sabab poochain gay
yah bhee poochain gay kaay tum itnee parayshan kiyon ho
ungliya uthain gee sookhay howay baloon ke taraf
kuch nazar dakhain gay guzray howay saloon ke taraf
chooriyon paar bhee kai tanz kiya jayan gay
kamptay hathoon paay bhee fikray kasay jayan gay
loog zalim hain haar ak baat ka tana dain gay
un ke batoon ga zara sa bhee assar maat lana
warna chahray kaay tasoor say samjh jayan gaay
chahay kuch bhee ho sawalat na karna un say
maray baray main koi baat na karna us say
baat niklay gee tu phir dur talaq jaya gee
S@ra
Dec 23 2005, 10:56 PM
Kisi ka kya bigarr jaata agar hum ek hojaate
hamesha ki tarhan suraj mashriq se nikalta
aur hamesha ki tarhan shab bhar sitare jagmagaate
aur baharon main gul-o-bulbul mehakte aur chehekte
haan
kisi ka kya bigarr jaata agar hum ek hojaate
na main gumsum raha karti na tum phirte akele
na jeewan main kami rehti na aankhon main nami rehti
na mausam roohte hum se na roz-o-shab giraan hote
guzarte pal humain yun hasrat se dekha nahi karte
agar hum ek hojaate to roohon main bebasi jo paayi jaati hai
khalish si zindagi main phir pas-e-ehsaas kyun rehti
koi hasrat nahi rehti koi bhi aas kyun rehti
haan uddasi paas kyun rehti
kisi ka kya bigarr jaata agar hum ek hojaate...
Sajjad khan
Dec 24 2005, 12:55 AM
guzartay lamho main thak gaya hoon, bikhar gaya hoon
main saathiyon say bichar gaya hoon
ye saathion kee mufarqat bhee ajeeb shay hay
kay jitna arsa ye saath chaltay hain
chotee chotee fuzool baaton pay rooth jatay hain aur lartay hain
doston kay jawaan iraday shikast kartay hain
raastay kee saaoobaton say inhain daratay hain aap dartay hain
manzilon ko pukartay hain
magar inhee kay wujood hain jo musafaton ko nikhartay hain
guzartay lamho main sathion say bichar gaya hoon
main apnee tanhaee kay tahayyur say dar gaya hoon
main wo musafir hoon jis kay paaon main manzilain hain na rehgyzar hay
S@ra
Dec 24 2005, 11:32 PM
kashti toofan se
nikal sakti hai,
shama bujh ke
bhi jal sakti hai,
mayus na ho
irade na badal,
kismat kisi bhi,
waqat badul sakti hai
Sajjad khan
Dec 25 2005, 01:28 AM
chaloo....
chalain kaheen asee jagah
jahan tum ho or mainm hoon
jahan paay soraj nikalta ho apnay he liya
or jahan chand bhee niklay tu apnay liya
chaloo
chalin ase wadiyon main jahan dil ke awaz suni jatee hai
chaloo
chalin asee fizaoon main jahan ke thnadi hawain choote hoon man main
chaloo chalain
jahan dil ke awaz suni jate ho
chaloo tumhain main laay kaay chaloon
Miss_Asia
Dec 25 2005, 02:33 PM
-----------------
Sajjad khan
Dec 26 2005, 12:26 AM
Hansta chehra gulaan hojayee
Too meri hi kitaab hojayee
Choo kay teray haseen hontoon ko
Sadah paani sharab hojayee
Too meri hi kitaab ho jayee
Hansta chehra gulaab hojayee..!!
Umer bhar ka khumaar mil jayee
Palkoon say jo aadaab hojayee
Too meri hi kitaab ho jayee
Hansta chera gulaab hojayee...!!
Chorh di mainay sonch kar dunya
Saath tera janab hojayee
Too meri hi kitaab hojayee
Hansta chehra gulaab hojayee..!!
Sinlner
Jan 3 2006, 07:42 AM
kadmoN meiN tere aakhiri dhadkan bicHaa chale
maathe pe tere ik jo shikan thii , mitaa chale
waqt-e-nizaa itni tassalli to thii dil ko
tum be-wafaa hue to hue , HUM nibhaa chale
aaraam tha kuch aag ki garmii se zaKhm ko
aaye voh meri kabr par , shama bhujhaa chale
kaise banauuN us jagah khwaboN ka aashiyaaN
har samt fareboN ki jahaaN par hawaa chale
usne hamaari khwaahisheN pairoN tal'e rauNdiiN
har ik razaa pe jiski hum gardan jhukaa , chale
haathoN ki lakiiroN ko bajaa jaan kar chup huN
kismat meiN hai liKhaa jo uspe zor kya chale !
nakaam hasratoN ko bhulaane kahaaN jaate !!
nikle teri galii se suu-e-maikadaa chale
"Dilavar" yuN Gham-e-yaar tu seene meiN cHupa le
chehra bhi gar koi paDhe , kuch na pataa chale
Sinlner
Jan 9 2006, 09:47 AM
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko,
Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga,
Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo,
Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
A2F
Jan 11 2006, 02:30 PM
Ab mein hun, meri jaagti raatein hein Khuda hai
Ya door kahin girte huay patte ki sada hai
Woh husn hi thi jis ne Yousaf ko bikaya
Warna mandi mein kabhi peghamber bhi bika hai
Sinlner
Jan 16 2006, 12:01 PM
Na Khoobyaan meri hein naa mera koi Kamal hei..
Daitaa Wohi Kareem Wohi Jal-e-Jalal hei,
Kuch apnay dam par loon to chinanay ka dar b ho..
Us k diyee ko cheen ley koi, kis ki yeh majal hei...
Sinlner
Jan 17 2006, 05:12 PM
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyo.n tuu kahii.n bhii ho mere saath hai
mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii.n nahii.n
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii.n magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai
teraa vasl ai merii dilarubaa nahii.n merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasarato.n kaa to saath hai
teraa ishq mujh pe hai maharabaa.N mere dil ko haasil hai do jahaa.N
merii jaan-e-jaa.N isii baat par merii jaan jaaye to baat hai
Immortal Friend
Jan 23 2006, 12:23 PM
Hogaye do roz main aabad bhi barbaad bhi
Ab tamanna hai yeh hi aaye na us ki yaad bhi
Wafa jis se ki woh be wafa hogaya
Woh wada Mohabbat ka kya hogaya
Woh itna batade kabhi paaaaas aake
Mila us ko kya hamain yun mita ke
Khata kya thi jo woh khafa hogaya
Woh wada Mohabbat ka kya hogaya
Sinlner
Jan 23 2006, 12:35 PM
Wafa jis se ki woh be wafa hogaya
Woh wada Mohabbat ka kya hogaya
Nice..........
Sinlner
Jan 23 2006, 12:35 PM
Roz Subha Khud Say Ek Wadah Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain
khizar_hayyat
Jan 24 2006, 01:46 AM
wafa ke wade wo sare bhula gaya chup chap
wo mere dil ki diwarein hila gaya chup chap
gham e hayyat ke tapte hue beyaban mey
humein chor ke wo tanha chala gaya chup chap
na jane wo kaun sa badnasib lamha tha
jo gham ki aag mein mujh ko jala gaya chup chap
mein jis ko chota hon wo zakham deta hai
wo phol aese chaman mey khila gaya chup chap
Sinlner
Jan 24 2006, 05:01 AM
Dunya Ka Kuch Bura Bhee Tamasha Nahin Raha---
Dil Chahta Tha Jis Tarah Waisa Nahin Raha
Tum Se Milay Bhee Hum To Judaii Kay Mor Par---
Kashti Hoi Naseeb To Darya Nahin Raha
Kehtay Thay Ek Pal Na Jiyeen Gay Teray Baghair---
Hum Dono Reh Gaye Hain Wo Wada Nahin Raha
Kaatay Hain Is Tarah Se Teray Baad Roz-O-Shab---
Main Saans Lay Raha Tha Par Zinda Nahin Raha
Aankhain Bhee Daikh Daikh Kay Khawaab Aa Aagain Hain Tang---
Dil Main Bhee Ab Wo Shouq Wo Lapka Nahin Raha
Kaisay Milaain Aankh Kisi Aainay Se Hum---
AMJAD Hamaray Paas To Chehra Nahin Raha
Immortal Friend
Jan 26 2006, 05:10 AM
YOUN NA MIL JUJH SE KHAFAA HO JAISE
_____________________________________________________
Yun na mil mujh se, khafaa ho jaise
Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise
Log yun dekh kar hanns dete hain
Tu mujhe bhool gayaa ho jaise
Maut bhii aaii to is naaz ke saath
Mujh pay, ehsaan kiyaa ho jaise
Aise anjaan bane baithay ho
Tum ko, kuchh bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aatii hi rahin
Tu ne phir yaad kiyaa ho jaise
Zindagii beet hi rahi hai
Ek bejurm, sazaa ho jaise
Sinlner
Jan 26 2006, 06:47 PM
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rehna
Saawan ka mahina aate hi Baadal to chaa jaayenge,
Har Haal me lekin Barsenge iske bharose mat rehna
Suraj ke Manind Safar par roz nikalna padta hai
Baithe Baithe Din Badlenge Iske Bharose mat rehna,
Behti Nadi mein Kache Ghade Hain,Rishte Naate Husn Wafaa
Dur Talak yeh Behte Rahenge, Iske Bharose mat rehna...
Saaya banke saath chalenge iske bharose mat rehna,
Sajjad khan
Feb 25 2006, 02:56 AM
WARNING:
this is not a gazal tread this is a poem thread so please try ur best
Thanks
Sajjad khan
Feb 25 2006, 02:57 AM
"Meri soch ki udhan hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho.
Sinlner
Feb 25 2006, 03:48 AM
^ i jst read somthing about ghazal up there......
Sinlner
Mar 7 2006, 06:06 PM
Raastay khud hi tabahi k nikalay humnay ,
kar diya dil kisi patthar k hawalay humnay ,
Haan!! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro,
apna hi ghar jala k dekhay hai ujjalay humne..
Sinlner
Mar 9 2006, 10:54 AM
Jaan Se Maar De Mujhe Laikin
Chor Jaane Ka Mujh Pe Zulm Na Kar
mizz_sweety
Mar 28 2006, 03:52 PM
Uljhan
Mujhay khof hai
Woh niba k kisi merhalay pay
yeh aa k keh day k abb nahi
meray dil ko terii talub nahi
Moonlite_mermaid
Apr 2 2006, 03:13 PM
zubaan khamoosh rahee aansoon se kaam liya
utha jo dard to main ney jigar ko thaam liya
na tujhh se shikwa kiya aur na inteqaam liya
nazar se daaman-e-sabro raza ko thaanm liya
meree nigahon ne kee aarzoo-e-deed agar
dikha ke jalwa nighahoon ne inteqaam liya
suroor-o-kaif ki duniya khareed lee main ney
badha ke haat na saqee se kooi jaam liya
pyaam hum ne diya jab bhi us gul-e-tar ko
naseem-e-subh se naamaa bree ka kaam liya
kisee jawaab ki khahish na thee merey dil main
khushee hai tum ne agar naama-e-ghulam liya
jab us baare me tafteesh kee lab-e-gul ney
naseem-e-subh ke lehjay me uska naam liya
meree aseeri ka mansooba saaz tha sayyaad
kab apne haat me gulshan ka intezaam liya
mein sar-buland raha kaam gah-e-hastee mein
ma-e-haqaaiq-e-ulfat ka talkh jaam liya
mein deikhtaa raha aaghoosh-e-abr ko
meree nigah me jisney mah-e-tamaam liya
Sinlner
Apr 2 2006, 07:32 PM
Shaoor-e-zaat se jab hum kalam hotay hain
Fana ke bojh ko hum aansuon se dhotay hain
[b]Khushi ke phool bas ik pal mein sookh jaien gai
Chalo hayat mein kuch talkhiyan parotey hain
Hamari neend hamesha ki neend hoti hai
Hum ahl-e-dard to sirf aik bar sotay hain
Zara si dair mein mulk-e-adam ke san.natay
Riday waqt ke saray nishaan dhotey hain
Wafa ki raah mein chalta nahen hai saath koi
Keah ronay walay hamesha akailay rotay hain
Woh ja chuka hai to kiya gham keah sab ko jana hai
Hasan hum is liye daman ko kiyun bhigotey hain
Sajjad khan
Apr 8 2006, 01:56 PM
Ahh One Of My Fav's
"khuda woh waqat na laay "
khuda woh waqat na laay kay sogawar hou tu
sakoon ki neend tujay b haraam hou jaaiy
tairi musarratay peham tamaam hou jaaiy
tairi hayaat tujay talkh jaam hou jaaiy
ghumoo say aaina dil gadaaz hoo tara
hajoomay yass say baytab hoo k rah jay
wafuray dard say simab hoo k rah jay
tara shabab fakat khuab hoo k rah jay
gharoor husan sarapa niaz hoo tara
tawil raaton may tu b karar ko tarsay
tari nigah kissi ghum gissar ko tarsaay
khizan rasida tamana bahar ko tarsay
koi jabin na taray sangay astaan pay jukay
k jinsay ajzoo akidat say tuj ko shaad karay
faraib-e-wada-e-farda pay aitmaad karay
khuda woh waqat na laay k tuj ko yaad aayey
woh dil k taray liay baykarar abb be hay
woh ankh jisko tara intazar abb be hay
FAIZ AHMED FAIZ
Sinlner
Apr 9 2006, 12:56 PM
zindagi ke guzertay lamhon mein
ek naya moar aanay wala hai
neend bus khatam ho rahi hai ab..
khuwab bus tootnay he wala hai !!
Sajjad khan
Apr 9 2006, 01:09 PM
Alright Alright One Of My Fav.s Again
ABHE MANZIL NAHIN AYEE'
Abhi ik mourh aaya hay
abhi manzil nahin aayi
abhi apnay diyey say
or kitnay hee diyey mujhko jalaaney hain
abhi to is safar main
or kitnay mourh aney hain
abhi main taaza dam hoon
abhi seenay main jalta woh dia
waisey hee roshan hay
abhi zulmat kadey main
apnay hissey k diyey mujhko jalaney hain
k yoon bhi roshni taqseem karney k safar main
manziloun ko qaid kia hogi
puraaney sathiyoun ko chorney ka
gham to hay dil main!
k jin k saath chalney say
safar nay apni saari mushkilain khud hee samaiti theen
nayey rastoun pay unki yaad meri hamsafar hogi
puraaney sathiyoun ko chorney ka gham to hay dil main
magar mujh ko abhi tou
roshni taqseem karni hay
abhi tou morh aaya hay
abhi manzil nahin aayi~!!
Sinlner
Apr 10 2006, 04:49 AM
ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
tere jamaal kaa paratau nigaah me.n hotaa
kabhii sabaa se kabhii gul se guftaguu karate
tere Khayaal me.n gum hoke ek Gazal kahate
aur us Gazal ko na rusvaa kuu-ba-kuu karate
ham ahal-e-dil ko bahut thaa ye nashshaa-e-Gam bhii
usii sharaab se raushan subuu-subuu karate
ye ehataraam-e-junuu.N hai ki sii liyaa daaman
vagarnaa ek tamaashaa-saa kuu-ba-kuu karate
hame.n yaqii.n hai ki gar tuu qariib bhii hotaa
to duur jaake kahii.n terii justajuu karate
sandhu_fakkar
Apr 10 2006, 08:29 AM
QUOTE(Sinlner @ Jan 24 2006, 12:05 AM)

Roz Subha Khud Say Ek Wadah Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain
[size=2]
Kitni Baar Kasam Li Ke Unka Naam Na Lein.
Par Jitni Baar Kasam Lee, Unheen Ka Naam Leke.....
Sajjad khan
Apr 11 2006, 12:14 AM
Aaj Jab Barish Hoye
Yeah Bhee aik Kahayaal Aya
Kiyoon Na aik Badal Ko
Raaz Daar Banaoon Main
Jo Kuch Mujh Per Guzri Hai
Is Ko Saab Sunaoon Main
Tum Say Jo Bhee Kahaina Hai
Is Ko Saab Bataoon Main
Phir Tumharay Dil Per Wo
Aj Hi Baras Jaye........!!
sandhu_fakkar
Apr 12 2006, 11:40 AM
Bhoole Hain Rafta-Rafta Unhein Muddaton Mein Hum.
Kishton Mein Khudkushi Ka Mazaa Humse Poochhiye.....
Sajjad khan
Apr 12 2006, 12:14 PM
Na main dil ki baat bata saka
Na main pass os ko bula saka
Wo hansi hansi main chal diye
K main haath tak na hila saka
Mujay keya howa mujay keya habar
Mujay kitna gehra khumar tha
Main khara tha os key hisaar main
Meray ird-gird ghubaar tha
Younhee sochta raha dair tak
Magar os ko kuch na bata saka
Ye bhee theek hai wo chala gaya
Mujay band rastay pe choor kar
Ye bi theek hai...na wo ayega
Kabi buth anna ka tor kar
Wo juda be kese howa ke main
Koi rasm bhi na nibha saka
Na meri dushmani kisi din say ab
Hai na dosti kisi raat say
Hai bacha hi keya jo wo le gaya
Mujay cheen kar meri zaat sey
Wo muqaam hi kuch ajeeb tha
Ke main khud ko bhi na bacha saka
Na main pass os ko bula saka
Na main dil ki baat bata saka
Wo hansi hansi main chal diye
Ke main haath tak na hila saka
Sinlner
Apr 13 2006, 03:44 AM
Rasm-E-Ulfat Hi Ijaazat Nahin Deti Warna
Hum Bhi Aisa "Bhoolein" Ke Sada "Yaad" Karo
Sajjad khan
Apr 13 2006, 01:12 PM
kuch khwab khwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai
chahat ka wada wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai
tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai
tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
Pane se khone ka maza aur hai,
Band ankho se dekne ka maza aur hai,
asu bane lafz aur lafz gazal,
teri yadon ke sath
JINE KA MAZA KUCH aur hai.
Hoti nahi MoHaBBat surat se,
MoHaBBaT to dil se hoti hai,
surat unki khud hi pyari lagti hai,
kadar jinki dil me hoti hai.
Sinlner
Apr 20 2006, 09:02 AM
Tum nahi to zindugi mein aur kya reh jaye ga
Door tak tanhayion ka silsila reh jaye ga
Sajjad khan
Apr 20 2006, 01:19 PM
akhri saans bi tumhari hai
zindgi naam ko humari hai
akhri saans bi tumhari hai
teri chahat kahan par le ai
tumse mil kar bi beqarari hai
mujse poocho hamak sitaron ki
main ne ro kar shab guzari hai
app kay hath pe lakirain hain
warna takdeer tu humari hai
dil humara hai tu lo toro
ye cheez mari nai tumhari hai
Sinlner
Apr 22 2006, 02:30 AM
KALIYOON KO BHI PEROON SE MASALNA PADA MUJHE
JINE KA APNA DHANG HI BADALNA PADA MUJHE
HAATH KO BHI HAATH JAHAN SUJHTA NAHIN HAI
UN RASTOON PE AKSAR CHALNA PADA MUJHE
KYA PUCHTE HO MERI TARAQQEE KI DASTAAN
HAR ROJ NAYE SANCHE MAIN DHALNA PADA MUJHE
CHUPANA JISE BADA HI AHAM THA -E- DOSTO
VO RAAJ BAAR- BAAR UGALNA PADA MUJHE
PUCHHO MAT TUMHARI JUDAI KI AAG MAIN
GILI LAKDI KI TARAH JALNA PADA MUJHE
APNE SAFAR KI CHARCHA KAISE KAROON "____"
THAK KE THA CHUR-CHUR MAGAR CHALNA PADA MUJHE
Sajjad khan
Apr 22 2006, 12:17 PM
Meri duaa hai ke khus rahoo tum
Miley na koi ghum jahan bhi raho tum
Samundar ke terha dil hai gheera tera
Khusyoun say bhara rehey daman tera
Tum joo kahooo woh har kowaish puri ho tumhari
Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari
Toofa kai doon tumhey duaaoon ke siwa
Ke khuda humeshah rehey razi tum say sa