Sajjad khan
Dec 1 2004, 11:04 AM
janam daikh lo mit gayee doooriyaan
may yaha hoon yahan hoon yahan hoon yahan
kaisee serhaday kaisee majbooriya
may yahaan hoon yahaan hoon yahaan......
Tum chupa na seko gi may woh raaz hoon
Tum bhulla na sako gi may woh raaz hoon
Goonjta hooon dil may to hairaan kyun ho tum
may tumharay he to dil ki awaz hoon
soon seko to soon lo derdhkano ki zubaan
kaisee serhadain kaisee majbooriyaan
may yahaan hoon yahaan hoon yahaan
may he may ab tumharay khayalo may hoon
may jawabo may sawalo may hoon
may tumharay her ik khawab may hoon bassa
may tumhari nazer k ujalo may hoon
daikhti ho mujhay daikhti ho jahan
may yahan hoon yahaan hoon yahaan
janam daikh lo mit gayee dooriyaa
may yahaan hoon yahaan hoon yaahaan
kaisee Serhadain kaisee majbooriyaan
may yahaan hoon yahaan hoon yahaan yahaan hoon yahaa
pakishan
Dec 13 2004, 07:53 AM
YEH OR BAT HAI KAY DUSHMAN HOWA HAI AJJ MAGER
WOH MERA DOST THA KAL TAK USAY BORA NA KAHO
NA JANAY KIN MAJBORYON KA KAIDII HO
WOH MERA SATH CHOR GAYA TU BEWAFA NA KAHO
kindness
Dec 13 2004, 09:15 AM
nice one pakishan!!!
quote:
learn to see the good side of people rather than just their bad habits and learn to forgive rather than take revenge!
pakishan
Dec 14 2004, 06:25 AM
▲▲ thanx your kindness....
Lazzat-e-zakhm-e-jigar tujh se chhupa bhi na sakoon
Dard is darja barha hai ke bata bhi na sakoon
Aaj rukhsat hua jaata hoon bas itna kah ke
Main gaya waqt nahin hoon ke phir aa bhi na sakoon
Tohfa-e-ishq jo zakhmon ka diya hai tu ne
Yeh tere harf hain jin ko main mita bhi na sakoon
Woh tere khat tujhe waapis main karoonga jin ko
Khud to parhta nahin auron ko suna bhi na sakoon
Teri furqat mein yehi haal hua hai apna
Khud sambhal bhi na sakoon tujh ko bhula bhi na sakoon
Yeh gham-e-dil jo zamane se mila hai mujh ko
Zeest ka baar hai aisa ke utha bhi na sakoon
Zikr kyon karte ho be wajh tum unka hum se
Door itna hai ke paas usko bula bhi na sakoon
Aaj maikhane mein mil jaayen jo mujh ko Ghalib
Zahid-e-khushk nahin hoon ke pila bhi na sakoon
Jalte rahne do yeh deepak jo ba shakl-e-imran
Ek akela hi bacha hai ke bujha bhi na sakoon
Maham
Dec 22 2004, 06:40 PM
ussi tarah se her eik zakhm khushnuma dekhay
woh aaye tou mujhe abb bhi hara bhara dekhay
guzar gaye hein bohot din rafaqat e shab mein
eik umr ho gai chehra woh chaand sa dekhay
mere sukoot se jis ko gilay rahe kya kya
bicharte waqt unn ankhoN ka bolna dekhay
tere siwa bhi kai rang khushnuma thay magar
jo tujhko dekh chuka ho woh aur kya dekhay
bus eik rait ka zarra bacha tha aankhoN mein
abhi talak jo musafir ka raasta dekhay
ussi se poochay koi dasht ki rifaqat ... jo
jub aankh kholay, paharoN ka silsila dekhay
tujhe aziz tha aur mein ne uss ko jeet lya
meri taraf bhi tou eik pall tera khuda dekhay
Sajjad khan
Dec 27 2004, 10:43 AM
great sharing all of u...
keep it up
i am back....
Suno december...!
Ussay pukaro, ussay bula do
Ussay mila do!
Ab is se pehle ke saans niklay
Ab is se pehle ke saal guzray
Wohi lakeerain, wohi sitaaray
Meri lakiron main qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pall
Koi bara ikhtitam kar do
Yeh zindagi bhi tamam kar do
Suno december ussay mila do!!
angaara
Jan 6 2005, 02:38 AM
Tujh se bichar kar na dekha gaya kissi ka milaap
Urra diye sub parinde shajar per baithe hue
uzmasami
Feb 19 2005, 01:27 AM
wo mujhay bhool baitha hai
na meri birth day per us nay mujhay koi call ki
na hi mera hal pocha
bhaut masroof hai shayed
mager wo jab bhi badal daikhta ho ga
bhut kuch pochta ho ga usay mery baray main
bhut kuch sochta ho ga
kay wo meri udasi ka kisi din hal nikalay ga
main aik khawab pareshan hon
mujhay wo apni ankhon main basa lay ga
mager ye us ki sochain soch say agay nhi barhtin
kay jaisay aynay main aks chahy bhi to baher nhi asakta
ye valentine day ki sham hai
ghantiyan bajti hain kano main
kabhi ahat pay ankhain kay shayed koi dakya ay
koi tohfa koi bouquett utha lay
mohabbat ka yaqeen jo meri mutthi main hai phisalti rat jaisa hai
koi lamhay thar jay
main is gahri udasi say nikal ker mal jati hon
mohabbat kernay walay kitnay couples
aj kay din ki khushi main nachtay gatay
wasal ki barish main nahatay
apnay honay kay nashay main gum
mager ab tum?
kahan ho tum?
mujhay wo bhol bhaitha hai
mager main us ki janib say koi tofa koi bouquett utha lai hon
gawara hi na thi mujh ko akailay pan ki ruswai
ye tofa kitna ccha hai
ye bouquett kitna taza hai
koi pochay to kah daiti hon ye jano nay baijha hai
ye dhoka hai
mager main shaher main us ki mohabbat kay bharam ko kis tarahh toron
jo mujh ko chour ker dil kay nay mausam main rahta hai
main us ko kis tarah chouron
mujhay us say mohabbat thi
mujhay us say mohabbat hai
ye bouquett aur tofa mujhay us ki inayat hai
www.uzma.tk
uzmasami
Feb 19 2005, 01:31 AM
Bohat israr kertay ho
Kay bhoolain tum ko hum
"Bolo" kaisay bhoolein tum ko
Meri zaat ka, hissa ho tum
Meri soch ka, mehver ho tum
Hum aik jan do qalib hain
Phir bhe kehtay ho
Kay bhoolain tum ko hum
Tumhari baat hum taalain kaisay
Bohat israr kertay ho........
Chalo hum maan jatey hain
Aur tumhain bhulane ki
ik koshish kertay hain
Mager waada nahe kertay!
www.uzma.tk
uzmasami
Feb 19 2005, 11:17 PM
Kabhi kabhi dil ye chahta hay
Tumhare shamoun ka hal pochoun
Sawal pochoun
Kay fiker-e-ferda mein kase guzrein
Yun he kabhi mera naam aya tumhary hountoun pay ik pal ko
Mere muhabat ke yad mehki kabhi tumhare bhe rastoun mein
Kabhi kise din tumhary subha ke dur pay jagi sadaye dustak
Kabhi ebadat ke kafiyat mein tumhein mera bhe guman guzra
Tumhary sehan-e-dua say mera bhe dehaan guzra
Kabhi tumhary badan pay bhe shub aazab ban ker thehar gye thee
Kabhi kabhi dil ye chahta hay sawal pochoun
Mager mein chup hoon
Humary mabain yeh jo deewar ajnabyet hay yeh ghanimat
Iss mein touqeer-e-hurf-o-lub hay
Yahein pay turq-o-talab ki had hay
www.uzma.tk
masoomah
Feb 21 2005, 10:02 PM
QUOTE(angaara @ Jan 6 2005, 02:38 AM)
Tujh se bichar kar na dekha gaya kissi ka milaap
Urra diye sub parinde shajar per baithe hue no dear dont say like that
ager app kay sath asa howa to app main to ik change anna chaey logon ko naey ghonslay bena kar daynay ka
masoomah
Feb 21 2005, 10:04 PM
QUOTE(uzmasami @ Feb 19 2005, 01:31 AM)
Bohat israr kertay ho
Kay bhoolain tum ko hum
"Bolo" kaisay bhoolein tum ko
Meri zaat ka, hissa ho tum
Meri soch ka, mehver ho tum
Hum aik jan do qalib hain
Phir bhe kehtay ho
Kay bhoolain tum ko hum
Tumhari baat hum taalain kaisay
Bohat israr kertay ho........
Chalo hum maan jatey hain
Aur tumhain bhulane ki
ik koshish kertay hain
Mager waada nahe kertay!
www.uzma.tkhoon zaberdadt
masoomah
Feb 21 2005, 10:10 PM
QUOTE(pakishan @ Dec 14 2004, 06:25 AM)
▲▲ thanx your kindness....
Lazzat-e-zakhm-e-jigar tujh se chhupa bhi na sakoon
Dard is darja barha hai ke bata bhi na sakoon
Aaj rukhsat hua jaata hoon bas itna kah ke
Main gaya waqt nahin hoon ke phir aa bhi na sakoon
Tohfa-e-ishq jo zakhmon ka diya hai tu ne
Yeh tere harf hain jin ko main mita bhi na sakoon
Woh tere khat tujhe waapis main karoonga jin ko
Khud to parhta nahin auron ko suna bhi na sakoon
Teri furqat mein yehi haal hua hai apna
Khud sambhal bhi na sakoon tujh ko bhula bhi na sakoon
Yeh gham-e-dil jo zamane se mila hai mujh ko
Zeest ka baar hai aisa ke utha bhi na sakoon
Zikr kyon karte ho be wajh tum unka hum se
Door itna hai ke paas usko bula bhi na sakoon
Aaj maikhane mein mil jaayen jo mujh ko Ghalib
Zahid-e-khushk nahin hoon ke pila bhi na sakoon
Jalte rahne do yeh deepak jo ba shakl-e-imran
Ek akela hi bacha hai ke bujha bhi na sakoonnice
uzmasami
Feb 27 2005, 06:52 AM
Usay may bhool jana chahti hoon
Suno may muskurana chahti hoon
Dukhi rehne ki adaat ho gai hay
Magar aab gun-guna-na chahti hoon
Purane sab taluq todh kar aab
Nayi duniya basana chahti hoon
Woh nazmain paao say lipti hay lekin
Me un say jaan churana chahti hoon
Main uutna paas aati ho tumhare
May jiitna dur jaana chahti hoon
Mere humdam haqekat he yeh meri
Me tere paas ana chahti hoon
Ubharnay ki koi khwahish nahin hY
Kay me aab doob jana chahti hoon
www.uzma.tk
***Madiha***
Mar 6 2005, 11:33 AM
hamaare daramiyaan aisa koi rishta nahin thaa
tere shaano’n pe koi chhat nahiin thii
mere zimme koi aangan nahin thaa
koi vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahin paayaa
kisii iqraar ne merii kalaaii ko nahin thaamaa
havaa-e-dasht kii maanind
tu aazaad thaa
raaste terii marzii ke tabe the
mujhe bhii apanii tanhaai pe
dekhaa jaaye to
puuraa tasarruf thaa
magar jab aaj tu ne
raastaa badla
to kuch aisaa laga mujh ko
ke jaise tu ne mujh se bevafaai ki
mizz_sweety
Mar 11 2005, 10:13 AM
Uss ki aankhon mein muhabbat ka sitara ho ga
Ik din aaye ga woh shakhs humara ho ga
Jis kay honay se meri saans chalaa karti thi
Kis tarha uss kay baghair apna guzara ho ga
Ishq karna hai to din raat ussay sochna hai
Aur kuchh zehan mein aaya to khasaara ho ga
Kaun rota hai yahan raat kay sanaatton mein
Meray jaisa hi koi hijr ka maara ho ga
Jo meri rooh mein baadal se garajtay hain
Uss ne seenay mein koi dard utaara ho ga
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga uss ko
Meray Maulaa ka Waseeh ju hi ishaara ho ga...!!!
saiba
Mar 20 2005, 07:09 AM
zindagii ke mele me.n
zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa
is qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.n
aa.Nkh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
angaara
Mar 28 2005, 12:46 AM
Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aate Ho.....
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
Tou Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai....
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
Tou Tumhare Gham Yaad Aate Hain...
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat suno0o
Tou Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
Tou Tumhare Labb Yaad aaye......
Jab Kabhi Barste Badal dekhon
Tou Tumhari Yaad Main Do0obi...Woh Shaam Yaad aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
Tou Tumhare Khushbo0o Main Basse Khat Yaad aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Bo0ond Ko dekhon
Tou Tumhari piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
Tou Tumhara Bepanah-wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamkte Sitaron Ko Dekhon
Tou Tumhari Nazro0on Ki Shararat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samander Ko Kinare Se Takrata Dekhon
Tou Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand ko,
Pho0ol Ko,
Baraste Badlon Ko Dekhon
Tou Tumhari Yaad Aaye
Bus...Jab Jab Main Saans Lo0on
Tou Tum Yaad Aate Ho...!!!
saiba
Mar 31 2005, 11:58 AM
tuu mujhe itane pyaar se mat dekh
tuu mujhe itane pyaar se mat dekh
terii palako.n ne narm saaye me.n
dhuup bhii chaa.Ndanii sii lagatii hai
aur mujhe kitanii duur jaanaa hai
ret hai garm, paa.Nv ke chhaale
yuu.N damakate hai.n jaise angaare
pyaar kii ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-vafaa me.n jaataa hai
tere dil ko Khabar rahe na rahe
tuu mujhe itane pyaar se mat dekh
mizz_sweety
Apr 3 2005, 08:22 AM
Mumkin Hai Aisa Lamha Ho Tarteeb-e-Waqt Mein
Dastak Ko Tera Haath Uthhay Aur Mera Darr Na Ho
***FrEaKy ChiCcAaAaA***
Apr 4 2005, 01:36 PM
baharon mein ghataon mein tujhey mehsoos kiya
jeewan ki rahoon mein tujhe mehsoos kiya
jab bhi barasne lagi yeh pyaasi ankheen
maine in nigahoon mein tujhe mehsoos kiya
meri sanson mein rahe teray khayaal se hulchul
dil ki panahon mein tujhe mehsoos kiya
khushboo hi khushboo bikhar gayi har sou
maine in hawaoon mein tujhe mehsoos kiya
dinn ke ujaloon mein tujhe mehsoos kiya
raat ki bahoon mein tujhe mehsoos kiya
Morg
Apr 9 2005, 03:28 PM
A Friend is he, who proffers Friendship's hand
When care or grief our kindred feelings claim
Not he whom prosperous days alone command
And is a Friend or Brother but in name.
written by
bahadur shah zafar II , the last mughal badshah.
saiba
Apr 15 2005, 12:29 PM
Friends Forever
Written with a pen
Sealed with a kiss
If you are my friend,
Please answer this:
Are we friends or are we not?
You told me once, but I forgot...............................
So tell me now and tell me true,
So I can say, I am here for you.
Of all the friends I've ever met,
You're the ones I won't forget...............................
And if I die before you do,
I'll go to Heaven
And wait for you.
Sajjad khan
Apr 19 2005, 02:49 AM
Jam takrao waqt nazok hai
rang chalkao waqt nazook hai
hasratoon ki hasi kabroon pay
phool barsao waqt nazook hai
aik farab aur Zindgi k liya
hath phalao waqt nazook hai
rang urnay laga hai phooloo ka
ab to aa jao waqt nazook hai
tasnagi tasnagi aray tuuba !
zulf lahrao waqt nazook hai
bazm sager hai gosh bar awaz
kuch to farmao waqt nazook hai
saaher
Apr 19 2005, 04:03 AM
aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vahii Khudaa degaa
meraa qaatil hii meraa mu.nsib hai
kyaa mere haq me.n faisalaa degaa
zindagii ko qariib se dekho
isakaa cheharaa tumhe.n rulaa degaa
hamase puuchho dostii kaa silaa
dushmano.n kaa bhii dil hilaa degaa
ishq kaa zahar pii liyaa "Faakir"
ab masiihaa bhii kyaa davaa degaa
Sajjad khan
Apr 19 2005, 05:43 AM
Ye Zindgi Kabhi Kabhi Kiyon
Ullajh Si Jaati Hai
Laakh Koshishon Per Bhi
Phir Sulajh Na Paati Hai
But-Ti Hai Itney Tukron Mein
Ke Phir Simit Na Paati Hai
Jaankon Apnay Maazi Mein
Tu Samjh Nahi Paati
Jo Bhi Main Ne Paaya Tha
Kiyon Voh Main Ne Khoya Hai
Sochti Hoon Janan Phir!
Kya Voh Ik Saza Thi Meri
Issliye Ke Chaha Tha
Main Ne Bas Tera Hona
Or Sirf Tumhein Paana
Aaj Main Ne Soocha Tu
Aaj Main Ne Jana Hai
Bas Yahi Khata Thi Meri
Jiski Ye Jaza Hai Mili
Haan!
Yahi Khata Thi Mari
Main Ne Teri Khavahish Ki!
saiba
Apr 19 2005, 11:16 AM
Thaanii thii dil mein ab na milenge kisii se ham
par kyaa kare ke ho gaye naachaar jii se ham
ham se na bolo tum ise kyaa kahate hai.n bhalaa
insaaf kiije puuchhate hai.n aap hii se ham
kyaa gul khilegaa dekhiye hai fasl-e-gul to duur
aur suu-e-dasht bhaagate hai.n kuchh abhii se ham
kyaa dil ko le gayaa ko_ii begaanaa aashnaa
kyuu.N apane jii ko lagate hai.n kuchh ajanabii se ham
Sajjad khan
Apr 19 2005, 11:22 AM
Aansoo men na dhoondna humen
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
saiba
Apr 19 2005, 11:23 AM
yaad kyaa dast-e-hunar hai ki sa.Nvarataa gayaa mai.n
us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa mai.n
is ko tahaziib-e-junuu.N kahiye ki mujh se pahale
jaise bikhare hai.n sabhii log bikharataa gayaa mai.n
naqsh kitane the ki maaduum hue sil_silaavaar
aur har naqsh ke pahaluu se ubharataa gayaa mai.n
ek tasviir banaa_ii thii mukammal na hu_ii
ek hii rang lahuu rang thaa bharataa gayaa mai.n
harf-e-ikraar hii kahataa rahaa beKhaufii se
yaanii inkaar ke aashob se Darataa gayaa mai.n
apane andar ke talaatum ne rakkhaa hai aabaad
Khud hii ikraar kiyaa Khud hii mukarataa gayaa mai.n
har nafas ba.Dhataa gayaa us kii tamannaa kaa Kharosh
lamhaa lamhaa isii vahashat me.n nikharataa gayaa mai.n
[Kharosh = wail/plaintive cry]
zindagii kuu-e-malaamat hai ko_ii kyaa Thahare
apanii hii vazaa kaa mai.n huu.N so Thaharataa gayaa mai.n
Sajjad khan
Apr 19 2005, 11:25 AM
tum ko maloom bhi shayad yeh kabhi ho kay na ho
meri raatain teri yaadon say saji rehti hain
meri saansain teri khushboo mein basi rehti hain
meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai
haan meray dil mein tera aks basa rehta hai
is tarhan meray dil kay bohat pass ho tum
jis tarhan pass sheh-rag kay Khuda rehta hai
tum ko maloom bhi shayad yeh kabhi ho kay na ho
meray aangan mein lagay phool gawahi daingay
main nay arsay say kisi phool ko dekha bhi nahin
tujh ko socha to phir tujh ko hi socha hai faqat
main nay teray siwa kisi or ko socha bhi nahin
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho Kay Na Ho....!
saiba
Apr 19 2005, 11:28 AM
ham un se agar mil baiThate hai.n kyaa dosh hamaaraa hotaa hai
kuchh apanii jasaarat hotii hai kuchh un kaa ishaaraa hotaa hai
kaTane lagii.n raate.n aa.Nkho.n me.n dekhaa nahii.n palako.n pe aksar
kabhii shaam-e-Gariibaa.N kaa jugnuu kabhii subah kaa taraa hotaa hai
ham dil ko liye har des phire is jins kaa gaahak mil na sakaa
ai banjaaro ham log chale ham ko to Khasaaraa hotaa hai
ham apanii zabaa.N se kuchh bhii kahe.n shaayar hai Khayaalo.n se khele.n
aa jaao to baaham mil baiThe kabhii hijr bhii pyaaraa hotaa hai
daftar se uThe kaife me.n gaye kuch sher kahe kuchh kaafii pii
puuchhaa jo mu'ash kaa "Inshaajii" yuu.N apanaa guzaaraa hotaa hai
Sajjad khan
Apr 19 2005, 11:30 AM
Meri Ankhoon Kay Samundar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapnay Ki Lagan Kaisi Hai
Ab Kisi Chhat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai
Baruf Kay Roop Main Dhul Jain Gay Saray Rishtay
Mujh Se Pochcho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Teray Visal Ki Khawahish Ko Na Marnay Doon Ga
Mosum-e-Hijr Kay lehjay Main Thakun Kaisi Hai
Raig-zaron Main Jo Bunti Rahi Kaanton Ki Rida
Uss Ki Majboor Si Ankhoon Main Kiran Kaisi Hai
Mujhey Masoom Si Pagal Larki Pay Tarus Ata Hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
saiba
Apr 19 2005, 11:33 AM
kisii ne jo dil kii kahaanii sunaa_ii
kisii ne jo dil kii kahaanii sunaa_ii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii
chaman me.n jo ko_ii kalii muskaa_ii
tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii
kahii.n ko_ii Khushbu kaa jho.Nkaa jo aayaa
to aisaa lagaa jaise tum aa gaye ho
har aahaT tumhaaraa hii paiGaam laaye
tumhaarii muhabbat bahut yaad aa_ii
meraa ek pal aaj kal ek sadii hai
kahaa.N vo mausam suhaane suhaane
kahaa.N pyaarii pyaarii tumhaarii vo baate.n
merii jaan lene lagii hai judaa_ii
bataao kahaa.N aake tum ko pukaare.n
nazar har taraf bas tumhe.n Dhuu.NDhatii hai
chale aao viiraan raahe.n sajaa do
merii har tamannaa javaa.N ho rahii hai
milo tum to mil jaaye saarii Khudaa_ii
tumharii muhabbat bahut yaad aa_ii
Sajjad khan
Apr 19 2005, 11:35 AM
Meray Janey Pe Ae Janan!
Perishan Tum Nahi Hona
Kabhi Chhup Ker Nahi Rona
Judai Zeher Hoti Hai
Mujhey Maloom Hai Lakin
Firaq-o-Hijer Ka Mosum
Yaqeenen Beet Jaye Ga
Yaqeenen Vasal Ke Lamhay
Dobara Lout Aein Ge
Vohi Shaamein, Vohi Raatain
Vohi Qissey, Vohi Baatain
Vohi Phir Daastan Ho Gi
Muhabbat Meherban Ho Gi
saiba
Apr 19 2005, 11:39 AM
ajanabii cheharo.n me.n ik meraa shanaasaa meraa dil
Dhuu.NDhataa phirataa hai ko_ii apane jaisaa meraa dil
ankahe jazbo.n kii kitanii daastaane.n kah gaye
khoyii khoyii terii aa.Nkhe.n royaa-royaa meraa dil
shahar kii viiraa.N sa.Dak par jalatii bujhatii raushanii
apane hone yaa na hone kaa tamaashaa meraa dil
hijr ke saharaa me.n terii yaad kaa u.Dataa Gubaar
ik musaafir be-sar-o-saamaan-o-tanhaa meraa dul
daaman-e-dariyaa me.n kuu.Njo.n ke utarane kii sadaa
Dubate suuraj kaa manzar Thaharaa-Thaharaa meraa dil
be-hamiiyat zindagaanii be-sadaa apanaa lahuu
karb ke lamho.n ke haatho.n zaKhm sahataa meraa dil
Sajjad khan
Apr 19 2005, 11:39 AM
Mujhay Or Kahin Le Chal Sanval
Jahan Sheher Hon Sarey Veeraney
Jahan Log Sabhi Hon Baigaaney
Jahan Sub Ke Sub Hon Deevaney
Jahan Koi Humein Na Pehchaney
Mujhay Or Kahin Le Chal Sanval
Jahan Nafrat Dil Mein Buss Na Sakey
Jahan Koi Kissi Ko Duss Na Sakey
Jahan Koi Kissi Pe Huss Na Sakey
Jahan Koi Bhi Gunjal Kass Na Sakey
Mujhay Or Kahin Le Chal Sanval
Jahan Dard Kissi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Bhi Uddas Na Ho
Jahan Zolmut Ki Boo Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Ziyada Pass Na Ho
Mujhay O Kahin Le Chal Sanval
saiba
Apr 19 2005, 11:44 AM
zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
zindagii ek kiraaye kaa ghar hai ek na ek din badalanaa pa.Degaa
maut jab ham ko aavaaz degii ghar se baahar nikalanaa pa.Degaa
Dher miTTii kaa har aadamii hai baad marane ke honaa yahii hai
yaa zamiino.n me.n turbat bane.nge yaa chitaao.n pe jalanaa pa.Degaa
raat ke baad hogaa saveraa dekhanaa hai agar tum ko din suneharaa
paao.n phuulo.n pe rakhane se pahale tum ko kaa.NTo.n pe chalanaa pa.Degaa
aitabaar un ke vaado.n kaa mar kar varnaa ai dil mere zindagii bhar
tujh ko bhii mombattii kii tarah qataraa qataraa pighalanaa pa.Degaa
ye javaanii hai pal bhar kaa sapanaa Dhuu.ND le ko_ii mahabuub apanaa
ye javaanii agar Dhal ga_ii to umr bhar haath malanaa pa.Degaa
Sajjad khan
Apr 20 2005, 12:59 AM
this poem make my cry
Ajj Bhi Taapti Dhoop Ka Sahra
Taray Naraam Laboon Ki Shabnaam
Teri Bikhri Bikhri Zulfoon Kay
Saaye Sey.......Mahroom Raha
Ajj Bhi Pather Hajar Ka Lahma
Sadiyoon Sey Baye Khu-aab Rutoon Ki
Aankoon Ka.......Mak-soom Raha
Ajj Bhi Apnay Wasal Ka Tara
Rakh Uraati.....Shookh-e-Shafaak Ki
Manzal Sey.......Madoom Raha
Ajj Bhi Shaiher Main Pagal Dil Ko
Teri Deedh Ki Aas Rahi
Mudaat Ki Gum Sum Tanhai
Ajj Bhi Meray Pass Rahi
Ajj Bhi Shaam Udass Rahi.
saiba
Apr 20 2005, 12:20 PM
zindagii se ba.Dii sazaa hii nahii.n
aur kyaa jurm hai pataa hii nahii.n
itane hisso.n me.n baT gayaa huu.N mai.n
mere hisse me.n kuchh bachaa hii nahii.n
sach ghaTe yaa ba.De to sach na rahe
jhuuTh kii koii intehaa hii nahii.n
ja.D do chaa.Ndii me.n chaahe sone me.n
aaiinaa jhuuTh bolataa hii nahii.n
Sajjad khan
Apr 21 2005, 08:30 AM
Chupaana Raaz Iss Dil Ke
Agar Tum Chhor Do Janan
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Agar Tum Bol Do Jana
Tu Jeevan K Safar Main
Raasta Asaan Ho Jaye
Humarey Paas Bhi Jeeney Ka Kuch Saman Ho Jaye
Wagarna Hum,
Tumhare Dil Ke Darvazey K Bahir
Aass Main Baithey Rahain Ge
Kabhi Tu Bund Darwazey Ko Kholo Ge
Mere Shaney Pe Sar Rakh Ker
Kabhi Dheere Se Bolo Ge
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai...!!!
saiba
Apr 21 2005, 12:30 PM
ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
ajal me.n, ziist me.n turabat me.n, hashr me.n zaalim
tere sitam ke liye mai.n hii intaKhaab huaa
nigaah-e-mast ko saaqii kii kaun de ilzaam
meraa nasiib ki rusavaa meraa shabaab huaa
hamaare ishq kii das-biis ne bhii daad na dii
kisii kaa husn zamaane me.n intaKhaab huaa
fanaa kaa daavaa hazaaro.n ko thaa zamaane me.n
habaab ne mujhe dekhaa to aab-aab huaa
Sajjad khan
Apr 23 2005, 12:56 AM
Kash Mein Teri Ankh Ka Kajal Hota
Teri Ankh Ki Jheel Ka Sahil Hota
Kash Mein Tere Honton Ki Lali Hota
Kash Mein Tere Kanon Ki Bali Hota
Tere Husn Ka Her Dam Sawali Hota
Kash Mein Teri Payal Ka Ghungru Hota
Her Waqt Tere Kadmon Mein Surkhuru Hota
Kash Mein Tere Hath Ki Lakeer Hota
Teri Kismat Khud Badalta
Kash Mein Tere Kadmon Ki Dhool Hota
Lakh Hatane Se Tere Mein Na Jata
Kash Mein Teri Sanson Ki Mehak Hota
Teri Baton Ki Chehak Hota
Kash Mein Tere Hath Ka Kangana Hota
Bas Her Pal Tujhe Dekhta Rehta
Kash Mein Tera Aaina Hota
Tera Aks Apni Ankhon Mein Utar Leta
Kash Mein Sahil Ki Rait Hota
Tere Kadmon K Parne Ka Intezar Kerta
Kash Mein Tere Labon Ki Muskan Hota
Her Pal Tere Labon Pe Chaya Rehta
Kash Mein Tere Mathey Ki Bindiya Hota
Tere Husn Mein Aur Izafa Kerta
Kash Mein Tera Anchal Hota
Tere Husn KO Sab Ki Nazar Se Bachaye Rekhta
Agar Tere Sath Koi Bhi Mera Bandhan Hota
Mein Her Pal Rab Ka Shuker Ada Kerta..
Twilight's Child
Apr 24 2005, 10:39 AM
ham log
daaeroN mai chaltay haiN
daaeroN mai chalnay say
daaeray to bharrhtay haiN
faaslay nahi ghaT-tay
aarzuain chalti haiN
jis taraf ko jaatay haiN
manzilaiN tamanna ki
saath saath chalti haiN
gard urrti rehti hay
dard barrhta rehta hay
raastay nahi ghaT-tay
subah-dam sitaaron ki taiz jhilmilahat ko
roshni ki aamad ka paish baab kehtay haiN
ik kiran jo milti hay, aaftaab kehtay hain
daaera badalnay ko inqalaab kehtay haiN
-Amjad Islam Amjad
Sajjad khan
Apr 25 2005, 01:40 AM
Kya pata kab zindagi se hath dho jaon gi main
Maut ki aaghosh mein chup chaap so jaaon gi main
Aaj main betaab hoon, bechain hoon, bekhwaab hoon
Kal tumko tanhaai ka dukh de ke kho jaaon gi main
Jab talak zindah hoon rangon ke jahan se khel loon
Phir to inn rangeeniyon se door ho jaaon gi main
Tu bhulana bhi agar chaho to yeh mumkin na hoga
Apni yaadein teri palkon pe piro jaaon gi main
Kya bharosa zindagi ka, ik nazar to dekh lo
Chand lamhon baad to bas khaak ho jaaon gi main
saaher
Apr 25 2005, 01:43 AM
:'(
zindagi ka bherosa nahi hai.. :'( ...aisay na bola kerain ,,,,,aap nay cash kahaan chhopaya hua hai........ ooon hooon ooon zaya na ho jai...
aap k baghair dunya kitnee soni ho gee ...saving account k papers, kahaan hain..ooon hoooon ooon!!!
aap nay aisee baat moo say q nikaliiiiiiiiiiiiiiiiiiii

life insurance tau lee ker hee rakhi ho gee na ......
aap k baad mayra kiya ho ga.....hai hai q aisee batain kertay hain aap....makaan k kaghzaat bank k locker may hain kiya...........????
Sajjad khan
Apr 25 2005, 01:47 AM
bas sahaar kabhee kabhee zindag mazaq kartee hai ap say
saaher
Apr 25 2005, 01:52 AM
read edited messege ...
Sajjad khan
Apr 25 2005, 01:59 AM
thanx
another one
Ye Zindgi Kabhi Kabhi Kiyon
Ullajh Si Jaati Hai
Laakh Koshishon Per Bhi
Phir Sulajh Na Paati Hai
But-Ti Hai Itney Tukron Mein
Ke Phir Simit Na Paati Hai
Jaankon Apnay Maazi Mein
Tu Samjh Nahi Paati
Jo Bhi Main Ne Paaya Tha
Kiyon Voh Main Ne Khoya Hai
Sochti Hoon Janan Phir!
Kya Voh Ik Saza Thi Meri
Issliye Ke Chaha Tha
Main Ne Bas Tera Hona
Or Sirf Tumhein Paana
Aaj Main Ne Soocha Tu
Aaj Main Ne Jana Hai
Bas Yahi Khata Thi Meri
Jiski Ye Jaza Hai Mili
Haan!
Yahi Khata Thi Mari
Main Ne Teri Khavahish Ki!
Cupid
Apr 28 2005, 05:54 AM
kya mujey yahan pe kuch post karney ki ijaazt hai?
Sajjad khan
Apr 28 2005, 05:57 AM
sir ap ka thread hai karain please
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.