Sajjad khan
Oct 2 2004, 04:50 AM
Main Mohabbat Hoon...
Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Sawaal Nahee....!!!!
Shadow Master
Oct 2 2004, 10:57 PM
Marfate-e-Raigan
Hum nay us ka haath chua tha
Woh muskura kr batanay lagi
Tumharay haath kitnay garam hain aur garam haath wafa kee
Nishani hotay hain
Yeh sun krr main itna khush hua tha k mujhay her baat
Bhool gai thee
Aur aaj mujhay yaad aa raha hai
US K HAATH KITNAY SARD THAY
Sajjad khan
Oct 4 2004, 03:00 AM
Na me pass us ko bula saka!
Na me dil ki bat bata saka!
Wo hansi hansi me hi chal diya!
Ke me hath tak na hila saka!
Mujhe kya hua mujhe kya khaber!
Mujhe kitna gehra khumar tha!
Me khara tha us kay hisaar me!
Mare ird-gird ghubar tha!
Yonhi sochta raha dair tak!
Magar us ko kuch na bata saka!
Na me paas us ko bula saka!
Na me dil ki bat bata saka!
Ye bhi theek hai woh chala gaya...
Mujhe band raaste pe chor kar!
Ye bhi theek hai na woh aaye ga...
Kabhi butt anaa ka tor kar!
Wo juda be kese hua ke me!
Koi rasm bhi na nibha saka!
Na me paas us ko bula saka!
Na me dil ki bat bata saka!
Na meri dushmani kisi din say ab!
Hai na dosti kisi raat se!
Mujhe cheen kar meri zat se!
Woh muqam hi kuch ajeeb tha!
Ke me khud ko bhi na bacha saka!
Na me paas us ko bula saka!
Na me dil ki bat bata saka!
Wo hansi hansi me hi chal diya!
Ke main hath tak na hila saka!
Shadow Master
Oct 4 2004, 10:54 PM
Woh Shaam Anokhi Thee JANA
Mousam kee pehli barish thee
Tu mujh say milnay aaye thee
Phir meray shanu,n say lag krr
Tu nay kuch kehna chaha to
Kuch aansoo jhilmil taroon say
Tere palkoon prr aa baithay
Phir teray laraztay hontun nay
Jo baat mujhay kehna chaye
Woh baat to janay kon see thee
Jo mujh ko keh na pai tu
Bas apnay hinaye hathoo,n ko
Meray samnay rakha aur ik dum
Kuch bhi na kaha, sab keh dala
Sajjad khan
Oct 6 2004, 02:31 AM
Acha Laga ...
Bheer main ik ajnabee ka samna acha laga
Sab say chup kar wo kisi ka dekhna acha laga
Surmai aankhon kay neechay phool say khilnay lagay
Kahtay kahtay kuch kisi ka sochna acha laga
Baat to kuch bhi nahin thi lykin us ka aek dam
Hath ko honton pay rakh kar rokna acha laga
Chay main cheenee milana us gharee bhaya bohat
Zer-e-lab wo muskurata 'shukriya' acha laga
Dil main kitnay ahad bandhay thay bhulanay kay usay
Wo mila to sab araday todna acha laga
Bay arada lams ki wo sansnee piyaree
lagee Kam tvja aankh ka wo dekhna acha laga!
Neem shab ki khamshee main bheegtee sadkon pay kal
Teree yadon kay jalv main ghoomna acha laga
Us adooy jan ko Amjad main bura kesay kahoon
Jab bhi aaya samnay wo baywafa acha laga
Shadow Master
Oct 6 2004, 10:20 PM
zabardast Sajjad
Shadow Master
Oct 6 2004, 10:31 PM
Aik Khawaish
Tamam umer isee iztarab main guzri
K tu gulaboon say apnay laday huay bazoo
Meray galay main hamail karay, bikhar jaey
Tu meray hathoon main phir haath day k itna hansay
K zindagee tere awaaz say nikhar jaey
Khamar-e-wasal say sir-shar ho k main bhi kabhi
Sameat lun tujhay aur mujh main tu sama jaey
K garam joshi-e-ulfat main rang bhar jaey
Teray gudaz badan kee musaftoon main rahon
laboon say chus lun sari harartain teri
Yeh aarzoo hai isay aarzo he rehnay do
Sajjad khan
Oct 7 2004, 02:03 AM
thanx SM kafee arsay baad nazar aya hain?
Sajjad khan
Oct 7 2004, 02:09 AM
Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai
Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai
Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai
Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai
Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai
Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai
Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai
Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai
Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai
To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai
Shadow Master
Oct 7 2004, 10:14 PM
Haan Sajjad,
Kuch zindagi k silsalay thay...
Khair aab wapis aa gaya hun
Shadow Master
Oct 7 2004, 10:20 PM
Pathar Dil
Tum nay khud ek baar kaha tha mujh ko
PATHAR DIL
So aab main nay uss pathar pay
Tera naam likha hai daikho
Aab bolo kia
Apna naam mita pao gay.....???
Sajjad khan
Oct 8 2004, 02:26 AM
QUOTE(Shadow Master @ Oct 8 2004, 03:14 AM)
Haan Sajjad,
Kuch zindagi k silsalay thay...
Khair aab wapis aa gaya hun
welcome back brother
ap ke is baat say yaad a gaya
Gillay kagaz ke tarha zindage guzri apne...
koi likhta bhee nahin koi jalata bhee nahin
Sajjad khan
Oct 8 2004, 02:38 AM
dekh kar log musibat main
dekh kar log musibat main yuun tal jatay hain
aagg se jaisay kisi rassi kay bal jatay hain
tum to jalay ho aag se ye aam si hai baat
hum haath phool pay rakhtay hain tu jal jatay hain
hamara chehra tumhain kahta hai hum khush hain magar
hansi ki gaud main aksar gham pal jatay hain
tumhain to chahiye shathi umar bhar kay liye
hamesha kay liye par log kab mil jatay hain
khoob se khoob tar ki kiun talash kartay ho
unki bhi shaam aati hai tu who dhal jatay hain
har jaga ho raha chal chalao tum bhi karo
aadmi aam se bhi hon to chal jatay hain
log hain sakht badaltay nahin apni aadat
tu phir ye soch lo ab hum hi badal jatay hain
logoon pay itna bharosa nahin acha FARHAT
logoon ka kiya hai aaj aatay hain kal jataay hain
pakishan
Oct 9 2004, 06:37 AM
YAHI NAHI HAY K AANSU SAMAIT LAYA HOON
MAIN US KI AANKH KI KHUSHBU SAMAIT LAYA HOON
SHAB-E-FIRAAQ KI AAWAZ BHI THI LAIKEN MAIN
SHAB-E-FIRAQ K GAISU SAMAIT LAYA HOON
TERY WISAL KI BASTI K KONY KONY SAY
TERY KHAYAL K JUGNU SAMAIT LAYA HOON
ISI LIYAY TO ZAMANA ASEER HAY MERA
KISI K PYAAR KA JADU SAMAIT LAYA HOON
WAHAAN KATAY HOY SAR BHI PARY THAY LOGON K
MAGAR MAIN DHOOND K BAZU SAMAIT LAYA HOON
sardar_khan
Oct 9 2004, 07:53 AM
AANE WALI BHEEGI RUTT KE TEWARR DEKH KE JAANE KIYUN
MERE GHAR KE KATCHE AANGAN SEHME SEHME REHTE HAIN
Cupid
Oct 9 2004, 01:08 PM
QUOTE(pakishan @ Oct 9 2004, 04:37 PM)
WAHAAN KATAY HOY SAR BHI PARY THAY LOGON K
MAGAR MAIN DHOOND K BAZU SAMAIT LAYA HOON
bahot khuub
farhat abbas shah..
Cupid
Oct 9 2004, 01:35 PM
QUOTE(sardar_khan @ Oct 9 2004, 05:53 PM)
AANE WALI BHEEGI RUTT KE TEWARR DEKH KE JAANE KIYUN
MERE GHAR KE KATCHE AANGAN SEHME SEHME REHTE HAIN bahot khuub
Sajjad khan
Oct 12 2004, 03:15 PM
[B]its my fav gazal
i love it
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi, Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa, Ussay Bhool Jaa
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa, Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya, Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya, Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Jaa
Shadow Master
Oct 12 2004, 08:08 PM
KIA MILA MOHABBAT SAY?
Khawab kee musafat say
Wasal kee tamazat say
Roz-o-Shab riazat say
Kia mila mohabbat say
Aik hijar ka sehra
Aik shaam yadoon kee
Ek thaka huwa AANSOO
insha_ji
Oct 13 2004, 08:10 AM
hum boond ban ke aye sehra mey
tumhe choone ki hasret mey
Diva
Oct 13 2004, 08:50 AM
Apni kismat main ghar nahi hai kia
Koi bhi humsafar nahi hai kia
Raat hi raat ka andhera hai
Shab ki koi sahar nahi hai kia
Jab say bichra hai yaad kartay hain
Usko iti khabar nahi hai kia
Har tamana hii ban gayi hasrat
Ab duaa main asar nahi hai kia
Jiskay saaye main thak kay baith rahain
Aisa koi shajar nahi hai kia
Sajjad khan
Oct 13 2004, 12:06 PM
Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
Na jany zamany ny mujboor is qader ker diya,
Ky wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
Mien tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaai,
Wo usay mil gaya jis ny is ko manga hi nahi,
Her ik say poucha tery na milny ka sabub,
Her ik ny kaha wo tery liye bana hi nahi,
Itni shiddut say chaha tha us ko,
Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi
Diva
Oct 15 2004, 08:42 AM
^ Good one Sajjad
her baar humay zakhm-a-judae na diya kar
gar mara nahie muj ko dekhae na diya kar
sach jhoot tari ankh say ho jata hai zahir
kasmain na utha itni saffae na diya kar
maloom hai rahta hai tu ab muj say gurayzain
pass aa kay mohabbat ki duhaae na diya kar
tufeek nahie tuj ko gar wahda nibhanay ki
auron ko bi dars-a-bahlae na diya kar
urr jain tu phir loat kay kab aatay hain SAGHAR
her baar parindon ko rahae na diya kar
Sajjad khan
Oct 17 2004, 11:57 AM
thanx v much zain ap say he sikha hai

wht about this one?
phir kabhi logon ki baton main nahin aaye ga woh
dekh lena mujh say mil kar theek ho jaaye ga woh
mere uss ke darmyan koi bara jhagra nahin
lekin uss ko tool de kar khoob phelaaye ga woh
choti choti ranjishon ko bhool jana chahiye
janay iss nuktay ko aakhir kab samjh paaye ga woh
uss ki khatir main to iss duniya say cut kar reh gai
woh zamana saz hai achha to kehlaaye ga woh
sulah kar lega aa ke mujh say lekin uss ke baad
jab milay ga bas yahi ehsaan jatlaaye ga woh
main bhi kuch aisi gai guzri nahin keh do ussay
aankh utha kar bhi ab nah dekhoon gi pachtaaye ga woh
dekho Shabnam,yeh ghazal uss tak bhi pohanchay gi zaroor
phir nah kurhna baith kar jab aur itraaye ga woh
Cupid
Oct 19 2004, 11:09 AM
Kabhi halki sii udasi kabhi halka sa saroor
Kitna aaram tha unn dour ki pehchano mai
Cupid
Oct 19 2004, 11:43 AM
Hum b jaagey haiN bahot aap b roye hain bahot
aayeN so jaayen ke sadmey abhi aagey hain bahot
fikr kis ko ke mera dard baha kar lejaye
warna darya tho merey des mai behtey hain bhahot
wo kisi ke tho hooye hum tho khud apney b nahi
wo buurey hongey lekin hum se tho achey hain bahot
ashk pii jaaney ka fum seek lia hai hum ne
warna ik shaks ko hum aaj b rotey ahin bahot
jiss pe chalta hoon kisi aur mai kho jaata hoon
warna har simt ko rastey tho nikaltey hain bahot
q zameeN par unheN bejha hai khuda ne "shaayer"
wo ji insab bahot kam haiN farishtey hain bahot
Diva
Oct 19 2004, 11:20 PM
Wow lemme copy it Cupid

Sajjad khan
Oct 20 2004, 05:11 AM
mujhe ghale se laga lo bohat udaas hoon main
gham e jhan se choora lo bohat udaas hoon main
yeh intaizar ka dukh ab saha naheen jata
mujhey paas bula lo bohat udaas hoon main
meri har saance main milne ki pyaas palti hai
sulgh raha badan aur rooh jalti hai
bachaa sakoo toh bachaa lo bohat udaas hoon main
bhatak chooka hoon bohat zindgi ki raahoon main
mujhey aa ke choopa lo tum apni baanhoon main
bin tere mar na jaey kaheen tera saad
mera sawal naan talo bohat udaas hoon main
Diva
Oct 20 2004, 12:32 PM
QUOTE(Sajjad khan @ Oct 17 2004, 10:57 PM)
thanx v much zain ap say he sikha hai

wht about this one?
phir kabhi logon ki baton main nahin aaye ga woh
dekh lena mujh say mil kar theek ho jaaye ga woh
mere uss ke darmyan koi bara jhagra nahin
lekin uss ko tool de kar khoob phelaaye ga woh
choti choti ranjishon ko bhool jana chahiye
janay iss nuktay ko aakhir kab samjh paaye ga woh
uss ki khatir main to iss duniya say cut kar reh gai
woh zamana saz hai achha to kehlaaye ga woh
sulah kar lega aa ke mujh say lekin uss ke baad
jab milay ga bas yahi ehsaan jatlaaye ga woh
main bhi kuch aisi gai guzri nahin keh do ussay
aankh utha kar bhi ab nah dekhoon gi pachtaaye ga woh
dekho Shabnam,yeh ghazal uss tak bhi pohanchay gi zaroor
phir nah kurhna baith kar jab aur itraaye ga woh
Ye Kiss Ki hai ?? Female poet hai kya ?? Do tell me haan ..waiting for your reply
Diva
Oct 20 2004, 12:33 PM
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo
Na Bantey Hoo , Sanwertey Hoo
Na Koi baat Kartey Hoo
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
Hamesha Khoye Rehtey Hoo
Oudasee Ankh Main Ley Kar
Har Eik Chehrey Ko Taktey Hoo
Koi jab Yaad Ata Hai
Tu Thandee Aah Bhartey Hoo
Tu Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
Kis Sey Pyaar kartey hoo
Kahan Dil Choor Aye Hoo ?????
Diva
Oct 20 2004, 12:35 PM
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chup ke Chup ke Ro Lena
Jab Ankhein Bhegi Hon Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chup ke Chup ke Ro lena
Jab Palkein Karab Se Mondi Hon Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chup ke chup ke Ro Lena
Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Bondein Lagti Hon
Who Lamha Har giz Mat Khona Aur Chup ke Chup ke Ro Lena
Cupid
Oct 20 2004, 12:38 PM
bahot khuub Diva-nii & sajjad khan...aap dono ki pasand bahot umda hai...der aalaa
Cupid
Oct 20 2004, 12:39 PM
batawo ye kaisi hai
Sajjad khan
Oct 21 2004, 03:49 AM
QUOTE(Diva @ Oct 20 2004, 05:32 PM)
Ye Kiss Ki hai ?? Female poet hai kya ?? Do tell me haan ..waiting for your reply
zain she is female
Sajjad khan
Oct 21 2004, 03:51 AM
thanx cupid bhai.....
u 2 a great sence of shairi
i like your shairi:)
Sajjad khan
Oct 21 2004, 03:52 AM
US K HATHOON SAY
us k hathoo say jo khusboo -e - hina aati hai
aiysa lagta hai k jannat ki hawa aati hai
na kabhi koi karey tujh say terey jaisa sulook
hath uthtey hi lab pay yehi duwa aati hai
terey ghum ko ye barhana nahi rehnay daiti
meri aankhoon pay jo ashkoon ki rida aati hai
us k chehray ki tamazat bhi hai shamil is may
aaj taapti huwi sawan ki ghata aati hai
ghoomney jab bhi terey chehrey may jati hai wafa
been kerti huwi wapis woh sada aati hai
hai wohi baat her ek lab pey buhut aam yahan
ham say jo kehtay huwey un ko haya aati hai
us k hathoo say jo khusboo -e - hina aati hai
aiysa lagta hai k jannat ki hawa aati hai
Diva
Oct 23 2004, 10:22 AM
Thanks STupid Cupid
Maray Saber Ka Na Lay Imtihaan
Meri Khamoshi Ko Sada Na Day
Jo Teray Bagair Na Jee Saka
Usay Jeenay Ke Doa Na Day
To Aziz DIL o Nazer Say Hai
To Qareeb Rag o Jaan Say Hai
Meray Jism o Jaan Ka Yah Faasla
Kaheen Waqt Or Barha Na Day
Tujhe Bhool Kay Na Bhola Sakoon
Tujhe Chah Kay Bhi Na Paa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Woh Trap Jo Shula e Jaan Main Thi
Meray Tan Badan Say Lipat Gaee
Jo Bujha Sako To Bujha Esay
Na Bujha Sako To Hawa Na Day
Tujhay Ager Milain Kabhi Fursatein
Meri Shaam Phir Say Sanwaar Day
Ager Qtal Karna Hai To Qtal Kar
Yoon Judaaiyoon Ke Saza Na Day
angaara
Oct 24 2004, 02:01 AM
Jo guman tha ab yaqeen hai
Jo yaqeen hai woh khayal hai
Jo khayal hai woh dharkan hai
Jo dharkan hai woh sirf ek harkat hai
Yeh harkat hai tou dil hai
Yeh dil hai tou jism hai
Gar jism hai tou hayat hai
Hayat hai tou wajo0od hai
Wajo0od hai tou umeed hai
Umeed hai tou roshini hai
Yeh roshini hai tou jahan hai
Yeh jahan hai tou her nemat hai
Nematen hai tou Rab hai
Rab hai tou uski ibadat hai
Yeh ibadat hi tou mohabbat hai
Yeh mohabbat hai tou kashish hai
Yeh kashish hai tou chahat hai
Yeh chahat hi tera khayal hai
tera khayal hi mera yaqeen hai
Sajjad khan
Oct 24 2004, 04:44 AM
ISHQ
Ishq junoo.n bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaao.n pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zamee.n bhi hai aur aasmaa.n bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaa.n bhi hai
Kabhi bistar ki salwato.n sa
To kabhi mandir ki moorto.n sa
Kabhi uryaaniyo.n ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorto.n sa
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishto.n say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq...
pakishan
Oct 25 2004, 01:11 AM
Chalo ik bar phir se ajnabi ban jain ham donoo
Na main tum se koi umid rakhon dil nawazi ki
Na tum meri taraf dekho ghalat andaz nazron se
Na mere dil ki dharken larkhrai meri baton se
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazron se
tumhe bhi log keahte hain k ye jalwe paraie hain
Taruf rog ban jai to is ka bhulna behter
Taluq rog ban jai to is ka torna behter
Wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
Use aik khubsurat mord deker chorna acha
Sajjad khan
Oct 25 2004, 03:39 AM
Ao koi baat karen
Ankh ki seep may jo band hai
Us khuaab ki baat
Hijr kay khauf say sehmi hai jo
Us raat ki baat
Lab pe Aa Aa kay jo ruk jati hai
Us baat ki baat
Ao koi baat karen
Is say pehlay kay
Ghutan baRh jai
Hont khamosh rahen aur
Thakkan baRh jai
Lamha-e-Iqrar guzar jai
Harf mar jai
Kyoun zamanay say daren?
Ao koi baat karen...
Cupid
Oct 25 2004, 12:04 PM
Sajjad khan
Oct 26 2004, 01:53 AM
"main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thai
din main so baar mera naam liya kerte thai
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethe ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thai
mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi
aur ger bhool gaye ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thai
jee main aata hai main aaj tumhain tarpa doo
dard jo tum ne diya hai woh tumhain lota doon
aur ger jurm na samjho to ye dohra doon
tum mujeh hasil-e-armaan kaha kerte thai
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thai
angaara
Oct 30 2004, 01:28 AM
bohat chotti si baton per ro0othna aur maan jana phir
koi jab tum se ro0othe ga, mein tum ko yaad aa'ooN gi
woh baton mein bohat sakhtee magar dil mom jaisa hai
kisi lerki ko socho gai, to tum ko yaad aa'ooN gi
tou yo0on kerna barestey aasman ko dekhna hi chore dena tum
ke baadal jab bhi barsey ga, mein tum ko yaad aa'ooN gi
tumhara saath khawish thi nahiN koi thi majbo0ory
tanha jab kabhi serkoN per chalo gai, tab bhi yaad aa'ooN gi
mein tum mein bas chukee ho0on jis tarah mehndi hai haathon per
khud apni zaat ko dhoondo gai, tab bhi yaad aa'ooN gi
tum meri mohabbat ho aur mein tumharee ek zaro0orat ho0on
tum mujh ko jab bulao gai, mein wapis lout aa'ooN gi
Sajjad khan
Nov 1 2004, 05:42 AM
Hamareh bas main
Humaray Bass Mein Agar Apney Faislay Hoote
Tou Hum Kabhi Kay Gharoon Ko Palatt Gaye Hoote
Kareeb Reh Kar Sulagney Sey Kitnaa Behtar Thaa
Kisi Maqaam Par Hum Tum Bichar Gaye Hoote
Kabhi Tou Rait Ko Hum Muthiyoun Mein Bharr Laite
Kabhi Hawaayoun Se Apney Mukaalmay Hoote
Humaarey Naam Pe Koi Charaagh Tou Jaltaa
Kisi Zubaan Pe Humaarey Bhi Tazkaray Hoote
Hum Apna Koi Alag Raastaa Banaa Laite
Humaarey Dil Ney Agar Hooslay Kiye Hoo
Sajjad khan
Nov 8 2004, 01:09 AM
Farz karo ham taare hote
Ik duuje ko duur duur se dekh dekh ker jalte bhujte
Aur phir ik din
Shaakh-e-falak se girte aur taarik khallaa'oN maiN kho jaate!
Darya ke do dhaare hote
Apni Apni moj maiN behte
aur sammunddar tak undhee, wehshee aur moun zor musaafat
ke jadu maiN tanha rehte!
Farez karo ham bhuur same key panchi hote,
uRtay uRtay aik duujay ko chhuute aur phir khule gagan ki gehree
aur bay sarfa ankhon maiN kho jaate!
Abar-e-behaar ke jhonke hote
Mausam ke ik be naksh se khawab milte
milte aur juda ho jaate
Khushak zameenoN kay haathoN par sabz lakeeraiN kunda karte
Aur un-dekhe supne baute
Apne apne aansu ro ker chen se sote,
Farz karo jo kuch ham haiN wo na hote?
( Amjad Islam Amjad )
pakishan
Nov 20 2004, 08:18 AM
mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar k inkaar nahin kiya
han badnaseeb hon mai jo tumhara piyaar nahin mila
tum thehrey khushnaseeb jo dil beqarar nahin kiya
phir uthain jab zalim samaaj ne hum tum pe ungliyan
hum hoe sangsaar per tujhe ruswa nahin kiya
maire wafaoon k seley tum ne ki bewafae
hum ne to kabhi is ka tasawer bhi nahin kiya
kis k liye likh raha hai yeh ghazal Muaviya
jis ne tere waadoon ka aitebaar nahin kiya
Sajjad khan
Nov 22 2004, 08:28 AM
Aankhen hain ashk baar ke yaad arahe ho tum
Dil hai Beqaraar ke yaad arahe ho tum
Aankhon se Dil tak hai tasawur ki roshni
Roshan hai raah guzar ke yaad arahe ho tum
Kis pe guzra hai woh aalam jo mujh pe hai
Ho kis ko atebaar ke yaad arahe ho tum
pakishan
Dec 1 2004, 07:37 AM
laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai.
lovebites
Dec 1 2004, 09:14 AM
Mohabbat mein nahin hai furk jeene aur marne ka,
usi ko dekhkar jeete hain jis kafir pe dum nikle.
zara kar jor seene par ke teere pur sitam nikale,
jo vo nikle to dum nikle jo dil nikle to dum nikle.
khuda ke vaste parda na kaabe ka utha zalim,
kahin aisa na ho ya bhi wahi kafir sanam nikle.
kahan maikhane ka darwaza 'galib' aur kahan waeez,
par itna jantein hain kal vo jaata tha ki hum nikle.
Tumhe danishtan mehfil mein jo dekha ho to mujrim huin,
nazar to aakir nazar hai be-eraada uth gayi hogi.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.