Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Cupid
Hazaar Raasta Badal ke Deka

hamen pata hai ke
hum ne kitna sambal ke deka
nayee aur anjanai rehguzaron pe chal ke deka
magar mereee jaaN
har aik raasta tumhari janib palat gia hai
tamam naqsha ulat gaya ahi
aur iss safar mai
wajood zakhmoN se at gaya ahi
Nightmare
aaj se janan apna har pal tere naam
khwabon ka aur soch ka badal tere naam

jo teri tasweer banaye aur hans de
aankhon ka maasoom sa kaajal tere naam

janay dekhay khwaab ki khushboo sab ke liye
aur bin sochi baat ka sandal tere naam

lahje ka thahrao baat ak soonapan
aur jazbaat ki saari halchal tere naam

hum ne humaira kitni sadyan kaati hain
odhay hue khwahish ka aanchal tere naam
pakishan
aaj se janan apna har pal tere naan
khwabon ka aur soch ka badal tere naam

very nice....


mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar
jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..
Cupid
KAHEEN RUUK GAYEE HAI HAWA E DIIL

merey chaar soo
tera gham hoowa hai dhouwan dhouwan
badiu gard gard hai der se
ye fiza e dil ye fiza e dil
koyee habs aa ke teher gaya
merey shehr jaaN ki ki fizawon mai
kaheen ruk gayee hai hawa e diil
yahan har galee yahan har qadam
koyee khahishaton ki bheed hai
ye zarooraton ka dayar hai
tera dard hai teree zaat tak
sabhi apney apney azaab mai
suney kon teree sad e diil
gham e aashiqui be fareb hai
merey khaab dektey dektey
kayee wehshaton mai badal gaye
tereee ashiqui ke fishaar mai
hooyee taar taar qaba e diil
mah o saal ARSA E HIJR mai
sabhi geet noho mai dhal gaye
terey gham ki aandi mai boujh gaye
YE CHARAGH NAGHMA NAWA E DIIL
pakishan
GAIROH SE KUCH GILA NAHI APNO SE KUCH MILA NAHI
MEIN WOH GHUM KI KITAB HOON JIS KO KISI NE PARHA NAHI..
Cupid
batayen kaisi hai ye ghazal

....................................................................................................
...................

BAS YAHI HIA KE KINARA NAHI MILNEY WALA
WARNA ISS MOJ SE KYA KYA NAHI MILNEY WALA

Lakh chaha tHa ke darya se mila den iss ko
Abb khula hai ke ye sehra nahi milney wala

BAS ISSI KHAAB E MOHABAT PE QINA'AT KIJIYE
ABB KOYEE AUR ISHAARA NAHI MILNEY WALA

janey kis ehd e guzeshta ke pata poochta hai
wo naya shakhs hamara nahi milney wala

abb samaj lijiye rasta be zara aagey tak
shaam tak piir ye sitara nahi milney wala

Jitna iss Khaak pe betey hooyee mil jata hai
ser e aflak se itna nahi milney waala
Diva
Chiragh-e-Shab Tha Ya Aaftaab Na Dil Samajh Saka Na Mein
Wo Taabeer Thi Ya Mehz Khuwaab Na Dil Samajh Saka Na Mein

Wo Nazar Jo Tamam Umar Jhuki Jhuki Hi Rahi
Merey Liye Thi Betaab Na Dil Samajh Saka Na Mein

Sab Se Anjaan Apni Hi Dhun Mein Khoya Khoya Sa Magar
Wo Tha Khuli Kitaab Na Dil Samajh Saka Na Mein

Wo Jaan-e-Mehfil Jo Mujh Se Ghaafil Par Meri Hi Amad Ka
Rakhta Tha Barha Hisaab Na Dil Samajh Saka Na Mein

Meri Talkhiyun Ko Sehna Merey Tanz Pe Muskurana
Wo Shakhs Tha La Jawab Na Dil Samajh Saka Na Mein
Diva
QUOTE(Cupid @ Aug 18 2004, 12:03 AM)
batayen kaisi hai ye ghazal
*



Whose poem is this .. looks so painfully keen though.
pakishan
koi achi se saza do mujh koo
chaloo aisa karo bhola do mujh ko

tum se bichron tu maut ajaye
dil ki gehraiyon se dua do mujh ko
Nightmare
Teri qurbatain bhi saraab hain.. yeh bhala hoa jo nahi mileen ...
teri dooriyaan bhi azaab hain .... meri dasht e jaan say tali nahin ...

Kisi aag nay woh dhuaan dia ... mujhay daikhnay bhi kahan dia ...
Wo musafatoon ka jahan dia ... kahin rasta hai kahin nahi ...

mujhay zindagi woh diyaa lagay ... kay abhi bujhay jo hava lagay ..
kabhi kia lagay kabhi kia lagay .... kisi zaviyay pay yaqeen nahi ....

kay shikasta paa main rukoon kahan ... yeh hai fasloon ka neyaa jahaan ...
hai agar zameen.. nahi aasmaan ...hai jo aasmaan to zameen nahi ..

Pas e chashm e nam woh zarror hai ... mera dil jafaoon say choor hai ...
Meri manziloon ka qasoor hai ... Teray rastoon say mileen nahi ....

Nightmare
kisi ibteda or intehaa ...
kay darmiyaan hay zindagi ..
jahan iss taraf na uss taraf ..
door tak kahin kuch nahi ...
jaisay door kahin kisi reh guzar ..
kay beech o beech koi ajnabi ...
dhool main khoo kay rastoon ko ...
hichkiyoon say roo paray ...
jisay reh guzar ki garam rait ...
or asmaan ko chor kar ...
nazar ki tamam wusatoon main aur kuch na mil sakay ...
dhoop ki tamazatoun ki intehaa ki woh sar zameen ...
jahan hasratoon kay beej say faqat SARAAB hi khil sakay
uss ajnabi ki pyaas kia ..
umeed kia or yaas kia ...
bajuz ajal ka intezaar ...
aur bacha hai uss kay paas kya !

iss ibteda or intehaa kay darmiyaan to main bhi hoon ..
iss ibtedaa or inteha kay darmiyaan tou tu bhi hai ..
jaisay door khain jangaloon main ..
rail ki dou patriyaan ..
jo qurbatoun ki anginat raat o din kay bawajood...
aik hath bhar kay faslay say ..
rah guzar main bat gaeen ...
Aah ! kay mil baithnay ki woh shabnami si hasratain ..
jo zaviyoon ki hair phiar ki ganjalon main phans gaeen ..
ain intehaoon kay darmiyaan ki sitam zareefi daikhiyay ...
jo chandni say khowaab thay woh rastoon main kho diyay ..
jo siskiyoon kay azaab thay ..
woh zindagi ko day diyay ... !
Cupid
QUOTE(Diva @ Aug 21 2004, 10:08 PM)
QUOTE(Cupid @ Aug 18 2004, 12:03 AM)
batayen kaisi hai ye ghazal
*



Whose poem is this .. looks so painfully keen though.
*



ye Aadil Ulfiqar ki hai
Cupid
SAFR E JANOOn

har khamoshi hooyee madgham
trerey sanatoN mai
har sada doop gayee aalm e kohraam ke beech
tu ne deka hai kabhi
dafn hooyee hain kesey
kitni majboor tamanayen dar o baam ke beech
wo jo ik nuqta e aghaz tha pagal pan ka
likh gia umr ke seeyah seeney par
ratjagey dhoop ke manzir sehra
terey veeran mizajoN ke naseeb
aur safar baandh gaya peroN mai
bekali gaadh gaaya rooh ki peshani mai
piir jo ik nuuqta e anjaam hai laa hasil kaa
doopta aur uberta hai talab ke diil mai
waqt ke dhool ke saye mai kabhi
terey deewaney terey raah naward
ik zara thak ke jo giir jayeN kaheen
thaam ke haath utha jaata hai
raah dar raah suja jaatha hai
aur wo iss jabr e musalsal ke aseer
bey sada nuuqta aaghaz aur anjaam ke beech
apney haathon mai liye apni apahach hasti
bhaagtey piirtey hain kisi lamha e beynaam ke beech
QAAFILEY RETH HOOYEE DASHT E JANOOn MAI KITNEY
PIIR BE AAWARA MIZAJOn KA SAFAR JAARI HAI....
pakishan
dil main kissi ki yaad ka toofan reh gaya
main neem jaan sokhta saamaan reh gaya

aankhon main ashk aa gaey phoolon ko dekh ker
gulshan meri umeed ka veeran reh gaya ...
Nightmare
Chalo Kuch Dair Intezaar Karein


chalo kuch dair intezaar karein
shayed kai us kai dil sey bad gumani ki barf pighal jaye
shayed kai us ki ana ka sooraj aik din dhal jaye
shayed kai woh kuch ham sey milney ko machal jaye

chalo kuch dair intezar karein
ho skata hai woh ana ki deewar gira daley
ho sakta hai woh aihd-e-dosti nibha daley
ho sakta hai woh hamein aakhree bar bula daley

chalo kuch dair intezar karein
mumkin hai apni qismat main bhi koi kamal ho jaye
us ka dil bhi hamaree tarah dard sey be haal ho jaye
khushiyoun ki aarzoo main dard sey nidhaal ho jaye

chalo kuch dair intezar karein
muqadar ki tareek ratoun kai janey ka
us bichrey dost kai lout aaney ka
us ko bhi khayal aaye hamein mananey ka

chalo kuch dair intezar karein
kuch dair aur khud ko be qarar karein
chalo tumharey liye shikast ka iqraar karein
chalo kai phir tajdeed-e-dosti aik baar karein

chalo kuch dair intezar karein
pakishan
Kuch ishaq tha kuch majboori jo main nay jeevan haar diya
Main kaisa zinda admmi tha aik shaksss nay mujh ko maar diya
Cupid
Kuch ishaq tha kuch majboori tee so main nay jeevan vaar diya
Main kaisa zinda admmi tha aik shaksss nay mujh ko maar diya


onlymeintu
QUOTE(Simple Girl @ Jan 5 2003, 10:08 PM)
very nice cupid:) bohat udasi hai aaj:D 6.gif
*


Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sarahay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujh say
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta -----

Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta
onlymeintu
QUOTE(Diva @ Aug 12 2004, 06:53 AM)
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Tu  Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum ****re To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile

*


Agar Ham Dost Hotey To
Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti To
Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Magar Itna Hi Jana Hey
K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
Paraya Keh Kar Jana Hey
Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
Agar Ham Dost Hotey To........
Nightmare
merey ashkon ko palkon per machalna bhi nahin aata
hisar-e-zabt say mujh ko nikalna bhi nahin aata
gaye ho aisi rahon main akela chorr ker mujh ko
ke jin per theek say mujh ko tu chalna bhi nahin aata
mujhey lagta hay jaisay main wo gham ka soraj hon
ke jis ko sham ho janey perr dhalna bhi nahin aata
tumhari bay-rukhi ik din humain berbaad ker day gi
humain nazron say girr ker phir sambhalna bhi nahin aata
na rehtay muntazir terey tu phir hum aur kia kertey
humain teri tarah rastey badalna bhi nahin aata
Nightmare
Zuban-o-lafz ki sari ki sari
an kahi batain
tumhari nazr karne ko
meri betab see aankheen
buhut himmat to karti hain
magar phir haar jati hain.......!
tumhari bolti aankhon se takra kar
har ik koshish ko
thukra kar
kisi roothee hoe ,sehme hoe se
tufl ki manind
mere ahsas ke jhole main aakar
let jati hain......
mere sachey sey ik jazbey ki
angasht-e-shahadat tham kar
phir so bhi jati hain.........
meri be khuab see aankheen.....!
Sajjad khan
Wo apni bay gunahion ka jawaz danay laga hai
Humain bhi iss pay thora yaqeen honay laga hai

Pehlay wo kabhi youn deikhta na tha
Mager ab mera bhi khial honay laga hai

Chahatain hummari dum torr chukki thi
Sahara hummain aab woo danay laga hai

Tanhayian muskrahatain theen char soo meray
Shehnayoon ka saman aab too honay laga hai

Hoi khushi hummain ya sunn kay bohat
Baray mai woo meray her ek say pochnay laga hai

Hoo gaya hai abb hummain iss baat per yaqeen
Dheiray dheirya usay bhi piyar honay laga hai
pakishan
teraa Khayaal dil se mitaayaa nahin abhi
bedard mai ne tujh ko bhulaayaa nahin abhi

kal tuune muskuraa ke jalaayaa thaa Khud jise
siine aa wo charaag bujhaayaa nahin abhi

gardan ko aaj bhi tere baahon ki yaad hai
chaukhat se teri sar ko uthaayaa nahin abhi

behosh hoke jald tujhe hosh aa gaayaa
mai bad-naseeb hosh main aayaa nahin abhi
Diva
Koi yeh kaise bataye keh woh tunha kyun hai
Woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyun hai
Yehi dunya hai phir aisee yeh dunya kyun hai
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyun hai

Ek zera haath berha dain to paker lain damen
Us ke seene mein sama jaye humari dherkan
Itni qurbat hai to fasila itna kyun hai

Dil-e-berbaad se nikla naheen ab tuk koi
Ek lote gher pe dya kerta hai dustak koi
Aas jo toot gayee phir say bandhata kyun hai


Tum musarat ka kaho yah isse ghum ka rishta
Kehte hain pyar ka rishta hai janm ka rishta
Hai janm ka jo yeh rishta to badelta kyun hai
Diva
QUOTE(onlymeintu @ Aug 26 2004, 03:06 PM)

Agar Ham Dost Hotey To
Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti To
Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Magar Itna Hi Jana Hey
K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
Paraya Keh Kar Jana Hey
Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
Agar Ham Dost Hotey To........
*



Tum say ulfat kay takazey na nibhaey jatey...
Werna hum ko bhi tumanna thi Keh chahe jatey

Dil kay maroon ka na kam ghum ke yeh woh undoh naseeb..
Zakham bhi dil mein na hota tou karahey jatey

Kum nighahi ki humein khud kahan thee toufeeq..
Kum nighahe kay liye Uzr na chahe jatey

Kash aey abr-e-bahari teray behkay say qadam..
Meri umeed kay sehra mein bhi gahe jatey

Lazat-e-dard sey aasooda kahan dil waley..
Hein faqat dard ki hasrat mein karahey jatey

Hai teray fitna-e-raftar ka Shohra kya kya..
Garcha dekha nahin kisi ney sar-e-rahe jatey

Dee na mohlat humein hasti ney wafa ki werna..
aur kuch din gham-e-hasti say nibhaey jatey
Sajjad khan
Rooh baychain hai ek dil ki azziyat kiya hai
Dil hi shola hai to phir Soz-e-mohabbat kiya hai

Woh mujhay bhool gayi, iss ki shikayat kiya hai
Ranj to yeh hai keh ro ro kay bhulaya hoga

Jhuk gayee hogi jawan sal umangon ki jabin
Chah gaya hoga dhuwan ghoom gayee hogi zameen

Mit gayee hogi lalek , doob gaya hoga yaqeen
Apnay pehlay hi gharonday ko jo dhaya hoga

Dil ney kuch aisey bhi afsaney sunaye hongey
Ashk aankhon ney piye or na bahaye hongay

Band kamrey mein jo khat merey jalaye hongay
Har taraf mujh ko tarapta huwa paya hoga

Tum ney ghabra key nazar laakh bchayee hogi
Maiz say jab meri tasweer hatayee hogi
Shadiyanpak masti group member

on mein meri yaad jo aayee hogi
Sar na kandhay sey sahailee key hataya hoga ..

Nightmare
lia tha aik wadaa tum ney mujh sey
hameysha khush hee rehna hey
to dekho.....
dekh lo aaker ...

meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain ....


merey honton ko dekho tum,,
hameysha muskuratey hain .......

koi bhee ghum agr aayaa,,,
usey hans kar sahaa main ney...


merey chehrey ko dekho tum ,,
hamysha pursakon hoga,,,,



to socho gey,,,
kia tha main ney jo tum sey
wo wadaah kardia pora........


magr ik baat phir bhee hey

kabhi jo waqt mil jaye
to meri shaairi parhna

tumhen mehsoos to hoga
kaheen talkhi bhara jumla
kaheen pe sard sa lehja....
kaheen pe dard ki jheelein....
kehen lehjey ki karwahat.....


Suno.... Main Khosh To Hon ,

Lekin.......

Lahoo Har Lafz Rota Hay.....!!!
__________________
pakishan
mohabat ke laiy kuch khaas dil makhsoos hotay hain
yeh woh naghma hai jo har saaz pe gaiyaa nehi jataa
Nightmare
Agar sehra sey guzro to merey sAhiR sey keh deyna
tumhari bey sabab doori mujhey aksar rulati hey !!

merey sAhiR sey keh deyna
Musafir aaj tak chup hey
key uskey hath main TUM ney
jo apna hath rakha tha
WO ab tak YAD karta hey....

merey sAhir sey keh deyna
key sadiyoun ki musafat ney
merey pairon sey bandhi hey
thakan AB key baras itni
key apni doobti nabzon sey main khaiyef si rehti hoon

na janey kab kahan pey ummr ki yeh dor kat jaye
main apney aur tumharey beech key in faslon ko
chand sanson ki kammi sey HAR na jaoun
bisat-e-jaa'n pey pheli dooriyoun key bojh ko ley kar
younhi chup chap mar jaoun ....

merey sAhiR sey keh deyna
key usskey ISHQ key tilsam sey ab tak wo nahi nikley
key jinko uski Ankhon ney faqat IK bar bhi dekha
merey sAhiR sey keh deyna
key sarey shehar ko merey
younhi pathar na rehney dey...
merey tilsam kadon main lout kar aaye
key wo pathar tarastey hain
tumhari chasm ki junbish unhain Ik bar phir kar dey
kisi zee rooh ki manind ........

merey sAhiR sey keh deyna !1
bichar kar TUM jo miltey THEY
to youn mehsoos hota THA
key jesey MARG key dhundhley kinaron tak pohanchtey hi,........
adhoora kam koi zindagee ko YAD aa jaye.....

kaho phir sey chala aaye .....
key uskey lout aaney sey
hamari doobti nabzon ko wesey hi
kabhi to SANS aa jaye.................

agar SEHRA sey guzro to..........
merey SAHIR sey keh deyna !!!!
Sajjad khan
MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per din bhar us ka khayal zehan se jaata hi nahi
aur ek halki se jagmagahat rehti hai chehre per

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per jab bhi koi kaam karti hoon us ki yaad aati hai
aur ek dhemi se chamak rehti hai aakhoon mai

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per aksar tanhayee main us ki baatein yaad aatien
aur ek nazuk se muskarahat rehti hai hutoon per

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per buhat dil karta hai us se milne ko
per ek sharmili se sharm rehti hai dil main

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per jab us ke aane ka intazar rehta hai
aur ek ajeeb se hal chal rehti hai dil main

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
per jab bhi woh bolta hai toh
ek anjaani se shararat rehti hai us ki baatoon main

MUJHE NAHI PATA YEH KIA HAI
Nightmare
Agar jangal se guzro to
Mere jugnoo se keh dena
Tumhari besabab doori
Mujhe aksar rulati hai
Meri shamain andheri hain
Meri ratain bhi teera hain
Mere sab taaq khali hain
Meri aankhain sawali hain

Mere jugnoo se keh dena
Mohabat aaj tak chup hai
Ke iss ke hath main us ne
Jo dehka dagh rakha tha
Wo ab tak bat karta he

Mere jugnoo se keh dena
Mere jazbo-n ne raho-n main
Moharain rok rakhi hain
Inhain azn-e-safr dedo
Inhain dil se guzarne do

Mere jugnoo se keh dena
Meri aankhon ko ‘qum’ keh do
Ye umron se yonhi bejan hain
Khuabon ke madfan main
Inhain phir se jila de do

Mere jugnoo se keh dena
Ghamon ne rag cheda hai
Aziyat raqs karti hai
Meri tanhai ka chracha
Daroon-e-zaat phela hai

Mere jugnoo se keh dena
Faqat us ki kami ne
Zindagi main soug rakha hai
Mere jugnoo se keh dena
Kion jangal main bhtakta hai
Kion khod ko rok rakha hai
Tumhari besabab dori mujhe aksar rulati hai
Agar jangal se guzro to
Mere jugnoo se keh dena…………….!!!!!!
Sajjad khan
Zindagi kabhi kabhar kuoon ulajh si jati hai
Umeed ki yeh kiran jany kis simat ko jati hai

Rehber ki beaitnaie ne uljha dia hai mujhe ko
Warna yeh mooj e derya sahil hi ko jatie hai

kis se inkar keron kis ka iqrar keroon
Abb to ankh be ansoon ko nae rah dikhlati hai

Abb to dua go hoon ajj main apney rab se
phir kuon taqdeer hi tadbir se shermati hai

Ger a jain umeeden bahar ban k
chaley jo carvan to manzil a hi jati hai

Bhujh gia jo chrag e dil ger is bahar main
Perwana b behak uthey ga k yaad a ti hai
Smiling Honey
"Tere liye is DIL main pyaar aaj bhi hai!

Is dil main tera intizaar aaj bhi hai!
Chaho ge ek din tum bhi humein!
Mann main yeh umeed aaj bhi hai!
Pyaar kab tak na karo ge hum se!
Hontoon per yeh sawal aaj bhi hai!
Dil de diya tumhein ek nazar main hum ne!
Pyaar tumhein kiiya hadh se ziyada hum ne!
Intizaar hai bas tere izhaar ka!
is dil main to iqrar aaj bhi hai!
Chahein ge tujhe yon he umer bhar!
Saath jo mil jaye tera humko!
Kal bhi tujh se mohabbat thi or aaj bhi hai!
Tere liye is DIL main pyaar aaj bhi hai...


Nightmare
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah milay
Mein hazaar lamhon ko kheench kar
Ye jo chalta waqt hey bandh don ……!!!

Ye jo gardishen hain zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahein ,,,,,

Mein taka karon tujhey jazb sey ,
Yunhi pyar se yunhi ishq sey ,
Teri har adaa ko samait lon
Main hisaar-e-jaan mein saja rakhon
Na to keh sakey , na mein keh sakon
TU jo paas ho to mein jee sakon
TU jo door ho na jia karon …..!!!

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Mere humsafar to jo na miley
Main hazaar dharkanon ko kheench kar
Ye jo chalta dil hai bandh don ….!!!

Ye jo silsiley hain meri saans key
Teri doori mein he haar don
TU jo pas ho to main jee sakon
TU jo door ho , na jiya karon ,

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Mere hum safar tu jo na miley ,….!!!
___________
Sajjad khan
woh larki thee ik nazuk si
jo baat baat pay hasti thee
jis ki gehri aankhon main
umeedon ki masti thee
jis ke khawab sunehray thay
aur khawabon ki ik basti thee
jis ke haath ki kaali choori
chan chan kar ke bajti thee
dehteez pay jis ke nazuk dil ke
pyar ki shamma jalti thee

phit youn huwa,ik aandhi aai
khawabon ki basti ujaar gai
umeeain sab tor gai
choori ki chan chan maand hooi
hansi labon say rooth gai
ab uss ki sookhi aankhon main
dard ki nadiya behti thee

woh to ik maasoon kali thee
woh to bas tanha hi bhali thee
jhootay sachhay khawab dikha kar
woh phir kion ab lot gaya??????
Cupid
user posted image
Sajjad khan
one of my fav


Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho !

Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho,
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho !

In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum,
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho !

Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kehtay kyon ho,
Milnay aaatay ho to phir laut kay jaatay kyon ho !

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !

pakishan
Lab-e-khaamosh Se Izhaar-e-tamanna Chaahe,
Baat Karne Ko Bhee Tasveer Ka Lehja Chaahe

Tu Chale Saath To Aahat Bhee Na Aaye Apni,
Dar Mein Aahan Bhee Na Ho Yun Tujhe Tanha Chaahe

Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairaabi Ka,
Ret Par Soyen Magar Aankh Mein Dariya Chaahe

Aise Tairaaq Bhee Dekhe Hain 'muzaffar' Humne,
Gharq Hone Ke Liye Bhee Jo Sahara Chaahe
Sajjad khan
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukraye Huay H
Diva
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya
pakishan
Zindagee Bina uss k na mukamal hay Beshak
Magar wo hay K har pal stata hay koi.
Sajjad khan
Kaati hai ghum ki raat baray ehtram se
aksar bujha chuke hain chiragon ko shaam se

roshan hai apni bazm or is ehtimaam se
kuch dil bhi jal rahay hain chiragon k naam se

muddat hui hai khoon-e-tamanna kiiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil k jaam se

subha-e-bahar hamko bulati rahi magar
ham khailte rahay kisi zulfon ki shaam se

har saans per hai maut ka pehra laga hua
ahista ay hayat guzar is maqaam se

kaati tamaam umar fareb-e-bahar main
kaante samet'te rahay phoolon k naam se

ye aur baat hai k DUA ham ne use di
awaaz us ne di hai hamain har maqaam se.
Diva
Be atebaar waqt per jhinjila ke ro parre
Kho ker kabhi usse to kabhi Paake ke ro parre

Khushiyan humare paas kahan mustaqil rahin
Bahar kabhi hanse to Ghar Aa ke ro paree

Kab tak kisi ke sog main royenge beth ker
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parre

Sajjad khan
Mujhay Dushmanoo Ki Khabar Na Thi
Mujhay Dostoon Ka Pata Na Tha
Tere Dastaan Kuch Or Thee
Mera Waqiya Kuch Or Tha
Kabhi Lot Aain TO Poochna
Nahin Dekhna Inhay Goor Say
Jinhay Rasty Main Khabar Hoi
K Yeh Rasta Koi Or Tha
Diva

Bahut roee hoon tab ja ke kaheen qaraar mila hai
Is duniya mein kissay sacha pyar mila hai

Guzar rahi hai zindagaani imtehaan ke daur se
Aik khatm huwa tu dosra tayyar mila hai

Mere daaman ko khusheyoon ka nahee malaal
Gham ka khazaana isko beyshumaar mila hai

Woh khushnaseeb hain jinhain mehboob mil gaya
Mein khush hoon mujhe intezaar mila hai

Gham nahee hai mujhe dhushman huwa zamaana
Jab dost hathoon mein liye talwaar mila hai

Sab kuch khuda ne tum ko kaise de diya
Khwaab ko tu is ke dar se sirf inkaar mila hai ...
Sajjad khan
kaash aa jay woh aankhon main smanay wala
yaad aata hai bohat mujh ko bhulanay wala

janay woh shakhas mujh ko tujh sa kion lagta hai
rasta mujh ko teray ghar ka dikhanay wala

teri aankhon ki kassam abb to main peeta hi nahin
koi milta jo nahin tujh sa pilany wala

aaj sahil pay therna bhee kuch theek nahin
aisa lagta hai kay toofaan hai aanay wala

ham nain mana kay thay parwaz main kuch kam lakin
kon thaa itna tujhay ooncha uranay wala

sheher bhee jal gia iss aag kay sholon main
kitna ghafil thaa meray ghar ko jalany wala
sardar_khan
TU BHI NA MIL SAKA HAMEIN UMR BHI RAIGAAN GAYI

TUJH SE TO KHEIR ISHQ THA KHUD SE BARE GILE RAHE
immaculate
very nice sajid bhai rolleyes.gif
pakishan
Yai haqiqat hai k hota hay asar baaton main
Tum bhi khul jaaogay do chaar mulaaqaaton main

Tum say sadiyon ki vafaaon kaa koi naata na tha
Tum say milnay ki lakeerain thi meray haathoon main
Sajjad khan
thanx sardar bhai:)
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.