Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Diva
Welcome back Angaraa and SM ..me fine ..you tell me where were you ??

Diva
karwaan sust..rahbar khamosh...

kese guzrega yeh safar khamosh..

bujh gaye kese kese pyare log..

hogaye kese kese ghar khamosh...

zaef hota hay..raat jagti hay...

koi toofan hay bar.tadar khamosh..

abhi woh kafle naheen aaye..

bethen na humsafar khamosh...

Nasir Kazmi
beaitabari


woh mere naseeb ki barishein kisi aur chut peh baras gayein;
dil-e-bekhabar meri baat sun ussey bhool ja bhool ja;

na woh ankh hi teri ankh thee na woh khaab hi tera khaab thaa;
tu yeh kis liye tera jagna useey bhool ja bhool ja;

jub bisat-e-jahan hi ulat gaye woh jo raste sey hi palat gaya;
useey rokne sey hasool kya useey mut bula useey bhool ja;
pakishan
QUOTE (angaara @ Jun 26 2004, 05:39 AM)

Main aayi tere liye....
jee haan aap log ki bhar po0or demand per me ... Angaara... is back to the MPF! rolleyes.gif

pata nahi kon bewaqoof log kaise kiase fazool demand ker daite hain.....

aur bhugatna hum ko parta hay.... sad.gif
pakishan
Koi Ye Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyoon Hai
Wo Jo Apna Thaa Wahi Aur Kisi Ka Kyoon Hai
Yahi Duniya Hai To Phir Aisee Ye Duniya Kyoon Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyoon Hai

Ik Zara Haath Badha Den To Pakad Le Daaman
Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan
Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyoon Hai

Dil-e-barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
Ik Loote Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyoon Hai

Tum Asarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyoon Hai
Shadow Master
@ Diva...main tha to yahan he but kuch problems thein, aab sab acha hai.. Aap sunao kesi ho?
Lagta hai aab MP prr interested things kuch kam ho gai hain , kia khayal hai??
Diva
Haan sahi kuch loag badal gaye hain 8.gif
Diva
Across the marble floor
A sorcerer’s silhouette caresses
With loves pastel shroud
Holding in hand, a bewitching shade
Lonesome silhouette in the crowd

Marking the walls with your glory
My fingers telling a story
Now I am scraping each passing portrait
To see if you still linger


Deep and very toudhing indeed smile.gif heheheeeeeee just blew my own trumpet
pakishan
Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sonchtaa Hoon Ke Ab Tera Kyaa Hoon Main

Bikhraa Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhoondtaa Hoon Main

Naa Jaane Kis Adaa Se Liya Toone Mera Naam,
Duniya Samajh Rahee Hai Ke Sab Kuch Tera Hoon Main

Le Mere Tajurbon Se Sabak Ae Mere Raqeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main
beaitabari
UB KEY DIL SUNBHAL JAYE YEH DARD THAM JAYE;
KASAM HAI PHIR MEIN KISI ARZOO KA NAAM NA LOON;
KASAM HAI PHIR MEIN KISI ARZOO KA NAAM NA LOON;
pakishan
uss ka milna dushwar bohat hai
jo meray haathon kee lakeeron mien nahien
uss shaks say hamien pyar bohat hai
dukh ke thees ko hamien sehna hee hai
ek shaks pay hamein etebar bohat hai
subeh say shaam hue uskay saath
baton mien abhe ikhtesar bohat hai
jissko meray ghar ka rasta nahien maloom
isee ka dil ko intezar bohat hai
nayee zakhmon kee abhee khabar nahien huee
purani chotoon ka khumar bohat hai
yeh ho nahien sakta hum unhien bhula dien
kiya karein un ka israr bohat hai..
***Madiha***
Abr-e-Bahaar Ne
Phool Ka Chehra
Apne Banafshii Haath Mein Lekar
Aise Chuuma
Phool Ke Saare Dukh
Khushboo Ban Kar Bah Nikle Hain.
A2F
aik din tanhai main bethay
mujhay kisi nay pooch lia tha
chup chup kion rehtay ho
kuch ukhray say kuch badlay say
kuch uljhay uljhay lagtay ho
itnay sawal tau main na samjha
bas aik hath utha ker apnay
dil per rakha aur ye bola
aur tau koi baat nhi hai
koi apna roth gya
dil tha khilona toot gya
pakishan
Dhuaan Utha Thaa Diwaane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat
Lekin Wo Khaamosh Rahe Duniya Ke Dar Se Saari Raat

Raat Yun Jalte Dil Par Teri Yaadon Ki Barsaat Huyee
Jaise Ik Pyaase Ki Chitha Par Barkha Barse Saari Raat

Saari Raat To Sapne Dekhe Subah Ko Ye Mehsoos Hua
Humne Apna Sar Takraaya Ik Pathhar Se Saari Raat
crony
Ab koi aye tau kehna k musafir tau gya
Yeh bhi kehna k bhala ab bhi na jata logo

Rah tuktai hoey pathra si gaye thi ankhain
Ahh bertey hoey chalni hoa seena yarro

Hont jaltey thai jo liata tha kabhi app ka naam
Is tarah aur kisi ko na satana logo

Koi khabar uss ki hamain ho tau tumhey batlain
Kaun nagar,kaun gali,kaun muhala logo

Chand lafzoon ka muamma ta woh uljah sulja
uss nai tau naam bhi poora na bataya logo

smile.gif
Sajjad khan
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi


Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi


Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi


Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi


Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Diva
Kaha Din ko Bhi kis liye Ghar Viran Rehta hai ??
Yahan Kya Hum sa koi Be Sarosaman Rehta hai ??
Darr-o-Deevar Sannatey ki chader mein hein Khwabeeda
Bhala Aesi jaga Zinda koi Insan rehta hai??
Musalsal poochney pay Ik Chilmun say Javab aaya:
Yahan Ik Dil shikasta Sahibe Devan rehta hai
Jhijhak ker mein nay poocha:Kya kabhi Behir nahin aaya??
Javab aaya :Ussey khulvat mein itmenan rehta hai
Kaha Kya uskay Rishta Daar bhi milney nahin aatey??
Javab aaya:Ye sehra Raat Din sunsan rehta hai
Kaha:Koi tou hoga Usket Duukh Suukh bantney wala??
Javab aaya:Nahin- khali ye ghar ,Ye lawn rehta hai
Kaha Uskey aangan mein Kuch Phoolon kay Paudey bhi
Javab aaya khali phir bhi Guldan rehta hai
Kaha :Is muhalley mein nahin koi Pursan-e-haal uska??
Javab aaya: Khayal Mujhay uska her aan rehta hai
Khuda ka Shukr hai hum Ik Fiza mein sans leytay hain
Agar miltey nahin ,Itna tou Itmenan rehta hai .
Sajjad khan
ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
ABHI TOU KITABON MAIN GULAB HAIN TAAZA GYE
ABHI UNN DINNON KAY AZAB HAIN TAAZA
ABHI ROSHNI KAY WOH SAAYE HAIN ZINDA
ABHI ZAKHMI CHAHAT KI GOONJAIN HAIN ZINDA
ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
ABHI AASMAN KA RANG WOHI HAI..............
ABHI PARBATON PAY DHUND WOHI HAI
ABHI USS KI SORAT HAI AANKHON MAIN ZINDA.............
ABHI USS KI CHAHAT HAI KHOABON MAIN ZINDA..........
ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA.................
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY..........
ABHI MOSAMON KA TAGHAYYOR WOHI HAI
ABHI UNN FIZAON MAIN KHUSHBO WOHI HAI
ABHI DILL MAIN USS KI MOHABBAT BASI HAI
ABHI AANKH MAIN USS KI SOORAT SAJI HAI
ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GAY
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
umar
Aaj Jub barish hui
ye bhi aik khayal aia
koiun na aik badal ko
raazddaan banaoo main
jo bhi mujhe pe guzri hai
is ko bhi sunaoon me
tum se jo bhi kehna hai
is ko sub bataoon main
phir tumhare dil per wo
aaj hi bars jai
Sajjad khan
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
kindness
nice one
really good
Diva
Aashna Hotey Huey Bhi Koi Aashna nahin
Jantey Sab hain Pehchanta Koi nahin

Hum nay Khud Peida Kiya hain Zindagi mein Masley
Verna Sachi baat Ye hai Masla Koi Nahin

KhudKushi Bhi Jurm Hai Aur Mey Kashi Bhi Haram
Kon Kis Mushkil mein Hai ye Koi Deikhta nahin

Mukhtasir Lafzon mein hai Ye Ab Mizaj-e-Dosti
Rabta Beshak hai Sab say Vasta Koi nahin
dears_always_give_tears
tumhein na chahtey hen or na hi yaad kertey hen
tumhari yaad ka ab wakat hi milta nahin muj ko
buht mudat sey khud ko bhi sochna chor rekha hey
perhai ki museebat hey
kabi testoo'n ki tiaari
kabi ye "notes" likhney hen
bhala is mara mari main
main tum ko kis tera sochoo'n
magar jub shaam ka pahla sitara
asmaan ki sarmai chader per aa ker jagmagata hey
uterti hey udaasi dherey dherey roh k andir
merey seeney k pinjrey main
prindey ki tera dil pherpherata hey
to tum.......
ankhoo sey ansoo bun k bahtey ho
yahi wo wakat hey jaanaa'n
k jub tum yaad atey ho
phir asey main ye wahshi dil
mujey be hud stata hey
kisi surt bahlta hi nahin muj sey ...............
Sajjad khan
phir kabhi loagon ki baaton main nahi aiy gaa wo
dekh layna mujh se mil k theek hu jaiy gaa wo

meray aur us k dermiyaan koi bara jhagra nahi hai
lakin uss ko tool de gaa khoob phelaygaa wo..

choti choti ranjishoon ki baaton ko bhool jana chaheiy
janay iss nuktaay ko kab sumjh paaiy gaa wo

uss ki khaatir main tu duniya se kut ker reh gaai
wo zamana saaz hai acha tu kehlaay gaa wo

sulhaa tu keray gaa aaker mujh sey lakin
jab milay gaa bus yea hee ahsaaan jatay ga awo

main bhee kuch aisi gaai guzri nahi hoon keh do ussay
aankh uthaa k bhi naa dekhoungi...pachtaaiy gaa wo

dekho Shabnum.. ,yea ghazal us tak bhi pohnchay gi zaroor
phir naa kurhnaa baith k jub itraay gaa wo
pakishan
itana tu karam hum pe ay sayyaad kare hai
par nooch ke ab qaid se aazaad kare hai

ay baad-e-sabaa un se ye kah dijiyo jaa kar
pardes mai ek shakhs tujhe yaad kare hai

aave hai teri yaad to hans deve hai aksar
dewana tera yun bhi tujhe yaad kare hai

likh likh ke mita deve hai tu naam ye kis kaa
sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai

Sajjad khan
Mujhe dariya nahi likhna mujhe sehra nahi likhna
Tasalsul se safar main hon mujhe thehra nahi likhna

Purane rabton ki rakhh ab tak dil main baqi he
Meri jalti hatheli par nia wada nahi likhna

Anna se jeet kar usko agar jo main ne khoya he
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhri sarhad pe khadi hon
Mujhe fateh nahi likhna mujhe muhra nahi likhna

Tumhrai aankh main gar main kabhi chup chap jal joan
Tum apni aankhon main lekin mera sadma nahi likhna

Gawahi apne dil se lo tumhara dil kia kehta he
Mujhe jhota nahi likhna mujhe saccha nahi likhna

Main uski yad main gum hon ke apne aap main gum hon
Mujhe mehfil nahi likhna mujhe tanha nahi likhna

Main apne lafzon se shuhrat tumhain de jaongi ik din
Mujhe mash-hoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi usko mitana chaho…na mitte
Mujhe apna samjh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup
Meri aankhain to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na meri kasak us dil main reh jae
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna
pakishan
Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain

Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain

'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain
Sajjad khan
Aik Shakhs Pass Rah Kar Bhi Samjha Nahi Mujhay
Iss Baaat Ka Malaaal Hai Shikwaa Nahi Mujhay

Main Issko Baywafayee Ka Ilzaam KAisay Doon
Iss Nay Ibtaada Hi Saay Chaha Nahi Mujay

Kia Kia Umeeday Bandh Kar Ayaa Tha Saamnay
Afsos Teri Ankh Nay Parkhah Nahi Mujay

KubTak Thehrna Tha Mujay Iss Kay Paas
Acha Huwa Kay Ussnay Bhi Roka Nahi Mujay
pakishan
Tere saath guzra lamha jab bhi yaad ayega
is janam ke baad bhi tera khayal layega

agar bakshi zindagi khuda ne baar baar mujhe
tujh se mohabbat karne ko hardum jee chahega..
angaara
Shayari ki hai maine tijarat naheen
Dil main jo bhi khayal aagaya likh dia
Aik khat main likha hasil-e-zindagi
Dosre mein tumhen bewafa likh dia

Mera apna na tha koi mere siwa
Maine chaaha kissi ko, na chaaha gaya
Maine jitne mohabbat bhare khat likhe
Un pe apne hi ghar ka pata likh dia

Raat perchayiun mein basar ho gayi
Chand taare na nikle saher ho gayi
Parh na paye najumi mere haath ko
Likhne wale ne na jaane kya likh dia

Aaj dil ke khundar say guzar ho gaya
Rote rote girebaan tar ho gaya
Aanso0on ne tere naam ke saamne
Bewafa Bewafa Bewafa likh dia
Diva
Haq vafaa ka jo ham jataane lage
Aap kuch kehke muskuraane lage

Ham ko jeena parega furqat mein
Vo agar himmat aazamaane lage

[furqat=separation]

Dar hai meri zubaan na khul jaaye
Ab vo baatein bahut banane lage

Jaan bachti nazar nahin aati
Gair ulfat bahut jataane lage

Tum ko kernaa paregaa Uzr-e-jafaa
Ham agar dard-e-dil sunane lage

[uzr-e-jafaa=reason for being unfaithful]

Bahut mushkil hai shevaa-e-tasliim
Ham bhi aakhir ko ji churaane lage

[shevaa-e-tasliim=style of greeting]

Vaqt-e-rukhsat thaa sakht "Hali" par
Ham bhi baithe thay jab vo jaane lage
pakishan
Kitab-e-zindagi ka woh meri khoobsurat baab tha
Youn harf harf parha jaisey woh mera nisaab tha

Sar-e-raah mujhay choor kar jo kisi oor ka ho liya
Wohi shaaks jisey chaha main nay behisaab tha
pakishan
aadatan tum ne kar diye waade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raahon main baar-haa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maangenge zindagii YAA RAB
ye gunaah hum ne ek baar kiyaa

Diva
Zameen pe chal na saka aasmaan say bhi gaya
Par kata kar parinda udaan say bhi gaya

Parayee aag mein kuuda to tujhe kya mila
Usey bachha na sakaa apni jaan say bhi gaya

Tabah kar gayee shaher mein kachhe makaan ki chahat
Main apne gaon ke pachhe makaan say bhi gaya
pakishan
Tabah kar gayee shaher mein kachhe makaan ki chahat
Main apne gaon ke pachhe makaan say bhi gaya

very nice..........


Haath Uss ke bhi huey hon gey yaqeenun Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey
Sajjad khan
Chalo Aaj yeh faisla karte hain

Bholne ka

tum mujh ko main tum ko

tum mujhy bhool paao gi

shayad haan

kyon keh tum ne kabhi chaha hi nahi dil ki os gehraayi se

jaha sachai basti haikabhi tum ne manaa hi nahi

mere pyaar ko meri baat komeri bikhri hoi iss zaat ko

haan tum mujhy bhool sakti ho

kyon keh meri koi ahmyat hi naa thiteri nazar mein tere dil mein

teri zindagi ke kisi pal mein

manaa tum ko chahne waal eour buhatiss duniya mein iss mehfal mein

tujh ko fikar ghair ki rahi har dam hoi naa kabhi mere ehsaas mein aankh nam

haan tum mujhy bhool jaao gi

magar main kia karoon

din ko sakoon raat ko neend pata nahikisi pal dil-o-dimaagh se tera khyaal jata nahi

tumhein bhool jaon mujh se ho pata nahi

aik sachi baat karta hoon main tum se buhat pyaar karta hoon

jaan se zyda yaar karta hoon bin ter aye meri jaan

naa jeeta hoon naa marta hoon

meri zindagi ka tum hosla ho phir yeh kase ho sakta hai WaSeE

mein tujh se tu mujh se juda ho
pakishan
Bewafa hotay hain jo log dughaa detay hain
Hum to dushman ko bhi ay dost dua detay hain

Kon aaiga meri payaas bujhaanay kay liay
Jaanay kiya soch kay sehra main sadda detay hain

Umer bhar saath nibhanay kaa jiss say wada karen
Aik pal main hee ussay dil say bhullaa detay hain

Meray dushman say woh kartay hain baaten hans kar
Iss terhaa woh mujhay jeenay ki saza detay hain

Uski yaaden to hain wesay bhi mera sarmaya
Yaar kay dard ko bhi dil main jagga detay hain
Cupid
SAWAL

sawaal ye hai tumharii rafaaqten be raheen-----.
akeley kaisey rahey hum tumharey hotey hooye
Cupid
unn se milna hayat hai lekin
ya bichadney ki baat hai lekin
mai akela hoon dasht e hijraa'N mai
gham tumhara be sath hai lekin
dard e dil se hazar shikwaey hon
iss mai tera be haath hai lekin
dasht e karb o bala mai rehta hoon
diil mai merey farat hai lekin
deep jaltey hain khoon e sheh rag se
chayee aalam pe raat hai lekin
hai tamana sabhi ko jeeney ki
jeena marney ki sath hai lekin
bar sar e dar be wahi qisa
ishq o masti ki baat hai lekin
pakishan
kaash Khwaabon hi mai aa jaao bahut tanahaa huun

yaa mere zahan se yaadoon ke diye gul kar do
mere ehsaas ki duniyaa ko mitaa do ham-dam
raat taare nahi aangaare liye aati hai
in baraste huye sholoon ko bujhaa do ham-dam
dil ki dharkan ko sulaa jaao bahut tanahaa huun

andheree raat mai jab chaand khilne lagtaa hai
tumhaare pyaar ke dipak jalaa ke rotaa huun
tumhaare aany ki jab aas jaane lagti hai
mai in chiraagoon ko khud hi bujhaa ke rotaa huun
zindagi aisi mitaa jao bahut tanahaa huun

sochte sochte jab soch bhi mar jaati hai
waqt ke qadmoon ki aahat ko sunaa kartaa huun
ashk thamte hain to aahoon kaa dhuaan uthtaa hai
raat bhar yuun hi taraptaa huun jalaa kartaa huun
baar-e-Gam kuch to ghataa jaao bahut tanahaa huun

Diva
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum ****re To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile
Sajjad khan
Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi wazey nahin hui tasveer zindage ki
Der perda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Her sawal apni jaga joon ka toon raha
Zabaan pay shikayaton kay kuch jawab baaqi hain

Khali hua behtey behtey yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti say kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin bay-rukhi kay kuch mehtaab baaqi hain

Mer bhi nahin saktey ab to sukoon-e-zalim
Hasratain reh jaain gee kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahay aatish-e-ishq kay angaroon main
Parastish kay or bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz kay nazaron say mehek aaye gee kaisay
Haqeeqat kay guldanoo main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na shaiki tu yaar bay wafa
Teri raha lutey yahan kuch nawab baaqi hain
Diva
^ Good one Sajjad Jii

dil mira jis se baheltaa koii aisaa na milaa
but ke bande mile, Allaah kaa bandaa na milaa

bazm-e-yaaraaN se phirii baad-e-bahaarii maayoos
ek sar bhii use aamaada-e-saudaa na milaa

gul ke KhowaahaaN to nazar aaye bahut 'atr_farosh
taalib-e-zam_zam-e-bulbul-e-shaidaa na milaa

waah! kia raah dikhaaii hameN murshid ne
kar diyaa Ka'be ko gum aur kaliisaa na milaa

Saiyad* uTThe jo gazette le ke, to laaye laakhoN
Shai'Kh Qur'aan dikhaate phire chandaa na milaa

Nightmare
"Abhi to khuwab zinda hai "


Abhi to khuwab zinda hai
mohabbat ke jahan main roshni ka saaz bajta hai
hawaoun main chambeli ka abhi andaz sajta hai
hatheli se tumhare naam ki khushbu nahi roothi
hamare haath se ummeed ki tasbeeh nahi chooti
abhi to khuwab ki taqdeer main marna nahi likha
humari qismaton main hijar ka panna nahi likha
to phir ye kaise mumkin hai ke hum donon
ana ke wajibi se khoul main mehsoor ho jaien
khudi ke hath se kuch is tarah majboor ho jaien
ke ankhon per faqat nafrat ka pehra ho
humare aur tumhare darmiyan sirf dard tehra ho
diloun ki waadiyon main tishnagi hi gasht kerti ho
taareeki ko humara aur tumhara bakht kerti ho
kaho jana ! kiya tumhien aisa nahi lagta
ke ana ko raaste main chor dena hi munasib hai
apni aadaton ko mour dena hi munasib hai
"kyun ke abhi to khuwab zinda hai"
Cupid
Mai aur Tu

kitney he tey pukarney waley............
mujh ko kuch be sunayee dey na saka

iss qadar tu merey qareeeb raha......
juz terey kuch dikhayee dey na saka
Cupid
Dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo


dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo
log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo

vaqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo

kirchiyaa.N TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aa_iinaa dekhaa na karo

ajanabii lagane lage Khud tumhe.n apanaa hii vajuud
apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo

Khvaab bachcho.n ke khilauno.n kii tarah hote hai.n
Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo

be-Khayaalii me.n kabhii u.Ngaliyaa.N jal jaayengii
raakh guzare hue lamho.n kii kuredaa na karo

mom ke rishte hai.n garmii se pighal jaayenge
dhuup ke shahar me.n "Aazer ye tamaashaa na karo
Cupid

Hasarat hai tujhe saamane baiThe kabhii dekhuuN


Hasarat hai tujhe saamane baiThe kabhii dekhuuN
main tujh se muKhaatib huuN teraa haal bhii puuchhuuN

Dil main hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag
mehandii lage haathon ko be mai choom ke dekoon

jis naam se tuune mujhe bachapan se pukaaraa
ik umr guzarane pe bhii vo naam na bhuluuN

tuu ashk hii ban ke merii aaNkhon main samaa jaa
main aa_iinaa dekhuuN to teraa aks bhii dekhuuN

puuchhuuN kabhii Guncho.n se sitaaro.n se havaa se
tujh se hii magar aa ke teraa naam na puuchhuu.N

ai merii tamannaa ke sitaare tuu kahaa.N hai
tuu aaye to ye jism shab-e-Gam ko na sau.npuu.N

Nightmare
Apnay Ehsaas Say Bahir Nahi Honay Daita
Raaz Zahir Bhi Yeh Mujh Pay Nahi Honay Daita

Khoof-E-Ruswai Say Kar Daita Hairaan Aisa
Mairi Ankhon Ko Samandar Nahi Honay Daita

Moom Kar Daita Hai Jab Laut Kay Aa Jata Hai
Mujh Ko Furqat Main Woh Pathar Nahi Honay Daita

Daikhta Hon To Kabhi Chand Kabhi Phool Hai Woh
Apni Soorat Mujhay Azbar Nahi Honay Daita

Ji Main Hai Urr Kay Chala Jaon, Jahan Rehta Hai
Woh Maira Ghar Bhi Maira Ghar Nahi Honay Daita

Jab Bhi Milta Hai To Bas Toot Kay Milta Hai Mujhay
Apnay Gham Ka Mujhay Woh Khoogar Nahi Honay Daita

Rooth Bhi Jatay Hain To Mana Lainay Main
Mujh Ko Apnay Say Woh Behtar Nahi Honay Daita
pakishan
dar dar bhatakte pirte hain arman ki tarah,
har koi milta hai ANJAN ki tarah,

is duniya se khushi ki aas kya rakhni,
log to ghum bhi dete hai ehsan ki tarah
Nightmare
Ajeeb sa rishta hai us kai aur meray darmiyaan
muhabbat ka khuloos ka jazbaat ka ya dosti ka
ek ajeeb see chahat hai dil mein
par hai woh kia yeh nahee aayaan
ger kahoon kai dooste hai darmiyaan
to dost hai woh sab sai juda
ek khuaf sa taaree hai man main
na roothai mujh sai yeh dost mera

ger kahoon kai mohabbat aur chahat hai darmiyaan
to muhabbat ka hai yeh anddaz nia
her pal is soch mein gum hoon mein
yeh hai sab kia na samaj saka dil mera

ger kahoon kai pur khuloos jazbaat hai darmiyaan
to in jazbaat main hai aakhir kia
na ab khatam hoga yeh silsila
muhabbat ka khaloos ka dostee ka

per bhaat jo kuch bhee hai darmiyaan
hai yeh maire zindage ka ek qeemtee lamha
yoo hee sada chalta rahai
meree umeed ka ek roshan diya
-----------------------------------------
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.