Sajjad khan
May 7 2004, 04:08 AM
hmm...........
another one
Asar us ko zara nahee hota
asar us ko zaraa nahee hotaa
ranj raahat fazaa nahee hotaa
tum hamaare kisi tarah na huay
varnaa duniyaa mein kyaa nahee hotaa
naarasaaii se dam rukay to rukay
main kisi say Khafaa nahee hotaa
tum mere paas hotay ho goyaa
jab koi dusraa nahee hota
haal-e-dil yaar ko likhooN kyoon kar
haath dil say judaa nahee hotaa
kyoon sunay arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam aaKhir Khudaa nahee hotaa
Maham
May 7 2004, 04:13 AM
wah!Nice!
Bass isi baat pe hai hum se khafa gardish-e-waqt
Hum ne seekhay nahin andaaz zamanay walay
___
Hum bhi kia ajeeb hain ke kari dhoop ke talay
Sehra khareed laay hain barsaat baich kar
Sajjad khan
May 7 2004, 04:16 AM
hmm...................
thanx
another one
kahann hay rahguzar thorri duur saath chalo
boht kathan hay safar thorii duur saath chalo
tamaam umr kahan koi saath deta hay
yeh janta hoon magar thorii duur saath chalo
nashay main chuur hoon main bhee tumhain bhee hosh nahin
barra maza ho agar thorri duur saath chalo
yeh aik shab kee mulaqat bhee ghaneemat hay
kissay hey kal kee khabar thori duur saath chalo
abhee to jaag rahay hain chiragh rahon kay
abhee hay duur sahr thorii duur sath chalo
tawaf-e-manzil-e-janaan hamain bhee karna hay
sani tum bhee thori duur agar saath chalo
Diva
May 7 2004, 11:37 PM
Mein Sochta hoon Janne Kyon
Saare Deewane Pyaar Ke
Ik Din Juda Hojate Hain
Dil Jeet Ke Jaan Haar Ke
Duniya Kee Kyon Yeh Reet Hai
Jab IshQ Khud Hi Hai Khuda
shahed
May 7 2004, 11:43 PM
afsaaanay , mohab-bat kay sunn ker
sarr dhuntay hain , dunyaa walay , magar
jab koi mohab-bat , kartaaa hai
her shaks , khafaaa ho jaa taa hai
Sajjad khan
May 8 2004, 06:36 AM
hmm...............
another one
KABHI YOON BHI AA MERI AANKH MEIN
KE MERI NAZAR KO KHABAR NA HOO
MUJE EK RAAT NAWAZ DE
MAGAR US KE BAAD SAHER NA HOOO
WOH BARA RAHEEM-O-KAREEM HAI
MUJHE YEH SIFT BHI ATA KARE
TUJHE BHOLNE KI DUWA KARO
TU DUWA MEIN MERI ASAR NA HOO
KABHI DIN KI DHOOP MEIN JHOOM KE
KABHI SHAB KE PHOOL CHOOM KE
YOHEIN SAATH SAATH CHALE SADA
KABHI KHATAM APNA SAFAR NA HOO
MERE PAAS MERE HABIB AA
ZARA AUR DIL KE KAREEB AA
TUJHE DHERKANOO MEIN BASALOON MEIN
KE BICHERNE KA KABHI DER NA HOO
Maham
May 9 2004, 02:16 PM
Very nice.
here i like this poem...
Kis Tarah?
Main bhool jaaoon tumhain ye hi munaasib hai
Magar bhulana bhi chahoon to kistarah bhooloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi khaab nahi
Yahan to dil ka ye aalaam hai ke kia kahoon kambakht
Bhula saka na ye wo silsila jo tha hi nahi
Wo ek khayal jo awaaz tak gaya hi nahi
Wo aik baat jo main keh nahi saka tum se
Wo aik rabt jo hum main kabhi raha hi nahi
Mujhe hai yaad wo sab kuch jo kabhi hua hi nahi
Agar ye hal hai dil ka to koi samjhaay
Tumhain bhulaana bhi chahoon to kis tarah bhooloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi khaab nahin
hmmmm!!!
shahed
May 9 2004, 11:12 PM
khaabooN ki , khiyaalooN ki , taa`beer naheeN hoti
jo naqsh obartaa hai , tasweer naheeN hoti
pakishan
May 9 2004, 11:55 PM
Sukh Mein Tere Saath Chaalengay
Dukh Mein Sab Munh Morengay
Duniya Waale Teray Bankar Tera Hi Dil Toorengay
Dete Hain KHUDA Ko Dhokha Insaan Ko Kiya Chhoorengay
pakishan
May 9 2004, 11:56 PM
Jo PooChta Hai k0i SurKh anKhen hain kYon aaJ
t0 aanKh mal kar kehta h0n raat s0 na saKa
HaZar chah0n maGar Yeh keh na saKonGa
Kabhike raat r0ne ki khuWahiSh thi maGar r0 na saKa...
Sajjad khan
May 10 2004, 02:58 AM
hmm...............
another one
Kaho to…
kaho to …
haath utthaa ke…
thumhein rabb se mang loon
agar chaho to…
thumhein cha’h loon
tumhari masoom nazron ka
sadqa utar loon
kaho to yeh sare
chanda sooraj aur tare
tumhari jholi mein bhar doon
bas tumhein pa loon
tumhein cha’h loon
aur piyar ker loon
kaho to…
tumhari masoomiyat ke waste
mar jaon……
piyar amar ker doon
bas tumhein pa loon
kaho to..
han… agar kaho to…
angaara
May 11 2004, 12:42 AM
kabhi aah lab pe machal gayi kabhi ashk aankh se dhal gaye
woh tumhare gham ke chiraagh hain kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
Maham
May 11 2004, 02:37 PM
Sham K muntazir Thay or rat ho gaiy
Na jane kab ansoo ki barsat ho gaiy
Main kaha tah kabil k koi pooche
Youhi zindagi tamam ho gaiy
Kaha tak chaloo ga ese hi sochoo
Mohabbat ka kon hasil tha
Na hi hum ko is se chaht thi
Par kab kese wo ilzam ho gaiy
Mera muntazir abb sawera nahi
Abhi chalna baqi tha k sham ho gaiy
Hum saba ko kese bhool jaye bolo
Jis k ane se lashaoori aam ho gaiy
Main khizan se nikal aya tha magar
Wo daghe- khiza hi humara nam ho gaiy
Mojhay bhool jao yeh momkin hai
Shayad yeh nazr ab badnam ho gaiy
Maham
May 11 2004, 02:38 PM
another...
Tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boojh utaar do
main buhat dinoon say udas hoon mujhay aik sham udhaar do
mujhay apnay roop ki dhop do kay chamak sakain meray khadokhal
mujhay apnay rang main rang do mera sara zang utaar do
kisi aur ko meray hal say koi gharz hay na hi wasta
meray dil pay hath rakho zara meri dharkanoon ko qaraar doo
tumhain subha kaisi lagi kaho meri khawahishoon kay dayar ki
jo bhali lagay to yahi raho isay chahtoon say nikhaar do
wahan ghar pay kaun hay muntazir kay ho fikr der swair ki
bari mukhtasir si yeh rat hay isay chandni main guzaar do
koi bat karni hay chand say kisi shakhsaar ki aut main
mujhay rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utaar do
Sajjad khan
May 12 2004, 02:57 AM
hmmm..............
another one...
i love this gazal....
Woh rula kaar haas na paya daar taak.......
jaab main roo kaar muskuraya daar taak......
bhoolna chaha agar us ko kabhee......
or bhee woh yaad aya daar taak......
bhookay bachoon ke tasali kaay liya.....
maan nay phir panee pakaya daar taak......
gungunata ja raha hay ek fakir......
dhoop rahtee hay na saya daar taak..........
woh rula kaar haas na paya daar taak......
jaab main roo kaar muskuraya daar taak.....
Diva
May 15 2004, 06:01 AM
kuch paanay ki hai tamana, kuch khonay ka hai dur
issi ka naam hai zindagi, yeah bhi such hai mager
tumhari chahut thi hum pa ghani chaoon ki tarah
shaam hotay hi chaoon ka kho jana bhi lazim hai mager
woh rastay hi hum nay badul dala-ey,jin ki munzil thay tum
raaston ka mil jana bhi , ik itefaq hai mager
lakh dushmani sahi, per kabhi tu doost tha woh
doosti kay bharum ko tootna tu hota hai mager
apnay hi faisalon pa abb , puchtatay hain hum
kaim rukhnay kay liya annah ko, puchtana tu hota hai mager
kuch galtiyan hamari , kuch kotahiyan us ki
ilzam lagany ko kissi ka hona to lazim hai mager
sehra main julti rakh ki manind jul gaey hum
kissi ko bhulanay kay liya,khood ko jalana tu parta hai mager
parwana jul jata hai ,shama kay gird chakar lagatay lagatay
shama ka ik din bhujh jana bhi likh diya gaya hai mager
yeah dunya bemani hai , bemani sari khushyan
hakeekat main tu ussi ki taraf lote kar jana hai mager
muhabbat ho doost say , aisa tu hota nahi
doost jo niklay aashik , tu yeah doosti hai mager
char din chalay , yeah bhi koi muhabbat hai
aisi muhabat ka mur jana bhi yakeeni hai mager
Sajjad khan
May 17 2004, 04:33 AM
hmm............
nice one diva g
Sajjad khan
May 17 2004, 04:35 AM
hmmmmm................
another one
Kuch batain mere bachpun ki
Kuch yadain mere bachpun ki
Woh bachpun tha bus guzar gaya
Chund lamhay thay jo beet gaye
Kuch khushiyan thin kuch ghum bhi thay
Chund lamhay thay jo beet gaye
Kuch log bhi hum say bichar gaye
Ab na laut kar aiyain gay bus dukhiya humain chore gaye
Chundh lamhay thay jo beet gaye
Kuch yadain mere bachpun ki
Kuch batain mere bachpun ki
pakishan
May 18 2004, 08:54 AM
Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna
Naam apna bhi hota aala muqaam ka
Maham
May 19 2004, 07:59 PM
Sajjad khan
May 20 2004, 06:09 AM
hmm.....
another one
one of my fav
Dooston ke shikayat karoon main
yah bhee mugh ko gawara nahi hay...
loog kantoon say bach kaay chaltay hain
haam nay phoolon say zakhm khaya hain
tum tu garoon ke baat kartay hoo
haam nay apnoon say zakhm khaya hain
EID ke haseen ratoon main
phool kaay chand ghillmillatay hain
zindagee ke udas ratoon main
baywafa doost yaad atay hain
dooston ke shikayat karoon kiya
yah bhee mugh ko gawara nahin hay
dooston nay karam woh kiya hain
zindagee ke tamana nahin hay
sooch kaar baywafa mugh ko kahiya...
toot na jaya bharam ap ka he
azmaya hay duniya ko main nay
ap nay mugh ko parkha nahin hay
ho kaay baytaab maiyat paay maree
tum yah kiyon baynaqab a gaya ho...
omar bhar jis say parda kiya tha
aj kiyon us say parda nahi hay
pakishan
May 23 2004, 06:54 AM
Mein Nay Dushman Ko Bhi Ahsaas-E-Mohabbat Bakhsha
Merey Apney Mujhay Nafrat Ki Saza Daitay Hain
pakishan
May 23 2004, 06:55 AM
' Woh' Jinn Ki Khaatir, Hum Ne Saari Sarhadein Toreen
Unhi Ne Aaj Kaha Hai Ke Apni " Had " Mein Raho
Sajjad khan
May 24 2004, 04:37 AM
hmmm.........
another one
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
anokha_laadla
May 29 2004, 12:22 AM
Woh bulayein to kya tamasha ho
Hum na jayein to kya tamasha ho
Yeh kinaron se khelne wale
Doob jayein to kya tamsha ho
Kya ajab ho k eek din chupke se,
Hum agar itifaq se tumko
bhoool jayein to kya tamasha ho
banda parwar jo hum pe guzriii hai
hum batayein to kya tamasha ho
Cupid
May 29 2004, 05:19 AM
aaj hum be teree wafawon par
muskurayen tho kya tamasha ho
teree sourat jo itefaq se hum
bhool jayen tho kya tamasha ho
pakishan
Jun 6 2004, 07:32 AM
DAMAN HAMARA CHOOR KAY LAHROON KAY BEECH MAIN
KAHTAY HAIN HUM NAY PYAR KA WADA NIBHA DIA
Diva
Jun 6 2004, 09:40 AM
Kiya kabhi tu ney
ye bhi socha hai
kay
raat k aakhri pehr maiN
koi
num aankhooN se
laraeztey hontooN se
apney haath phailaaye
tujh ko khuda se maang raha hoga
^nice one
Diva
Jun 9 2004, 10:02 AM
Ek baar
Kisi ne mujh se kaha thaa
Duaa karna
Ke
Kabhi meri zindagi ke mausamoon mein
Judaee ka mausam na aaye
Magar ussay kya pata thaa
Ke
Mein bhi tu
Zindagi ke mausamoon mein
Muhabatoon ke beej bo kar
Judai ki fassal kaat raha hoon ...
wahab49
Jun 11 2004, 09:04 AM
aun rastoon nay jin pay kabhi hum tum thay gaamzan
mujhay rook rook poocha .....tera hamsafar kahan hai
wahab49
Jun 11 2004, 09:13 AM
very lovely
Surmay ka til bana kay rukh e lajawab main
nukta barha rahay ho khuda ki kiaab main
aus waqt tak rahay gi qayamat rukey hoi
jab tak rahay ga aap ka cehra niqaab main
Diva
Jun 11 2004, 10:59 AM
fikr-o-fan kaa yuuN to ThaaTheN maartaa daryaa huuN maiN
kaun lekin is ko dekhe, kis qadar pyaasaa huuN maiN
kuchh samajh hii meN nahiiN aataa hai aaKhir kyaa huuN maiN
maiN kisii jalve kaa pardaa huuN ki Khud jalvaa huuN maiN
maiN Khud apne saamne kuchh bhii sahii, ai dil! magar
mushtarii jis ko nahiiN miltaa hai vo saudaa huuN maiN
jis tarah ik aitaraaf-e-jurm kii tasveer ho
us tarah Khaamosh tere ruu.ba.ruu baiThaa huuN maiN
ye nahiiN hai do.pahar yaa shaam ke saaye kii baat
apne saaye se ba.har.suurat bahut chhoTaa huuN maiN
jis chaman kaa tinkaa tinkaa tum uRaa kar le gayiiN
ai havaao! us chaman kaa aaKhirii tinkaa huuN maiN
tum ki merii mahfil.aaraaii se dhokaa khaa gaye
kis tarah tum ko bataauuN, kis qadar tanhaa huuN maiN
ham.kalaam :Aazaad: mujh se ab ye manzar ho na ho
sub.ha ke manzar ko ab bhii dekhtaa rahtaa huuN maiN
sher ke fan se to huuN :Aazaad: begaanaa, magar
safha-e-kaaGhaz pe likh detaa huuN jo suntaa huuN maiN !!!
Diva
Jun 14 2004, 01:23 AM
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
Diva
Jun 16 2004, 10:33 AM
Zindagii ki raaho`N mien
Bariha ye dekha hai
Sirf sun nahi rakha
Khud bhee aazmaya hai
Tajarbo`N se sabit hai
Jo bhee parhte aaye hien
Us ko theek paya hai
Is tarah ki baato`N se
Manzilo`N se pehle hee
Saath chooth jatay hien
Log rooth jatay hien
Tumhien bata duun mae
Chahato`N k rishto`N mien
Phir girah nahi lagtii
Lag bhee jay tu is mien
Wo kashish nahi hotii
Aik pheeka pheeka sa
Rabta tu hota hai
Taazgii nahi rehtii
Rooh ke taluQ mien
Zindagii nahi rehtii
Baat wo nahi rehtii
Dostii nahi rehtii
Laakh baar mil ker bhee
Dil nahi miltay
Zehn ke jharoko`N mien
Yaad ke daricho`N mien
Titliyo`N ke rango`N mien
Phool nahi khiltay
Is liye mae kehta hoon
Is tarah ki baato`N mien
Ehtiyaat kerte hien
Is tarah ki baato`N se
Ijtinaab kerte hien
Cupid
Jun 17 2004, 02:44 PM
ZINDAGEE
Zindagee iss tarah guzertee hai
Jiss tarah june ke maheeney mai
Aik buda ghareeb pardesee
Laakh armaan dabaye seeney mai
Boj se chouur aur takhan se nidhal
Haanpta kaampta paseeney mai
Ooonchey mehlo taley guzerta hai
Aur har gaam ahen bharta hai
***Madiha***
Jun 17 2004, 02:56 PM
Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot purani yaad
Dil ke darwaze par
Asay dastak deti hai
Shaam ko jaisay tara niklay
Subah ko jaisay phool
Jaisay dheere dheere zameen par
Roshniyon ka nazool
Jaisay rooh ki pyaas bujhaaye
Utray koi rasool
Jaisay rotay rotay achanak
Hans de koi malool
Kabhi kabhi koi yaad
Koi bohot purani yaad
Dil ke darwaze par asay dastak deti hai .
Diva
Jun 18 2004, 08:42 AM
Remember me, as fading images.
Return to me, some other day.
Reverse the faces, of the pages pale.
Realize, how the seasons change.
How faultless are you and me, in our shadow one.
As merged forever, by a blinding light.
Respect the grace that we unleash together.
And O how beautiful is my art.
As pale as you can think, as close as we may be.
Relate to all the times,
The memories are still black and white
Black and white, purple gray.
And how much more pale will you become?
Am I not faded enough for you?
Realize, how the seasons change.
Reverse the faces, of the pages pale.
Return to me, some other day.
Remember me, as fading images.
I might just wait another season for you,
The memories are still, black and white.
beaitabari
Jun 18 2004, 05:14 PM
mere dard ki jo dawa kare koi aisa shukhs hua kare;;
woh jo be panah udass ho magar hijar ka na gilah kare;;
meri chahatien meri kurbatein jisey yaad ayein kadam kadam;;
tu woh sub sey chup key libas-e-shab mein lipat keh ah-o-buqa kare;;
useey dhondhti hein gali gali meri khulwatoon ki udasian;;
woh mile tu bas yeh kahoon keh aa mera maula tera bhala kare;;
mere dard ki jo dawa kare koi aisa shukhs hua kare;;
Maham
Jun 19 2004, 06:16 PM
beaitabari
Jun 20 2004, 06:28 AM
^^^oh its really nice maham i have saved it in my folder ...
KOI TU JAYE USEEY KARE KHABAR KEH LAMHA LAHMA GUZAR RAHA HAI;
AISEY JAISEY KOI SITARA TOOT KAR BIKHAR RAHA HAI;
UDASS ANKHEIN NAHIN BHULATI HEIN YADIEN SARI;
HOLE HOLE KISI KEY KADMOON MEIN DIL GIR RAHA HAI;
MEIN KHUD KO KAISEY SUNBHALOON PATA NAHIN KYUN;
MERA DIL BAAR BAAR US SEY MILNE KO KAR RAHA HAI;
Cupid
Jun 22 2004, 05:49 AM
har haqiiqat majaaz ho jaaye
har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye
minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye
ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye
lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye
umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye
Cupid
Jun 22 2004, 05:51 AM
kuchh ishq kiyaa, kuchh kaam kiyaa
vo log bahut Khush_qismat the
jo ishq ko kaam samajhate the
yaa kaam se aashiqii karate the
ham jiite jii masaruuf rahe
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa
kaam ishq ke aa.De aataa rahaa
aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
phir aaKhir tang aakar ham ne
dono.n ko adhuuraa chho.D diyaa
beaitabari
Jun 22 2004, 02:43 PM
yoon bhi tu hum tehey dukhe huey;
tum ney dukha liya tu kya;
yoon bhi tu be aman huey;
tum ney sata liya tu kya;
yoon bhi tu hum tehey bhujey huey;
tum ney bhuja diya tu kya;
yoon bhi tu be nishan huey;
tum ney mita diya tu kya;
yoon bhi tu jeete tehey ub bhi jee jayein gein;
tum ney yaad kiya tu kya tum ney bhula diya tu kya;
Maham
Jun 22 2004, 06:17 PM
thats..nice..beaitbari
jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay
jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay
jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay
jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay
jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay
"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay
in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......
Diva
Jun 25 2004, 10:16 PM
De ke gham-e-judai woh jane kidhar gaya
Barpa qayyamattain jo mere dil per kar gaya
Jaatay huwe woh le ke dua ka assar gaya
Mujh ko gham-e-hayyaat se begaana kar gaya
Dekh jo soo-e-taj mehal dil ne yeh kaha
Fun tu raha hai zinda ke funkaar mar gaya
Kya yaad kar sakay ga yahaan per mujhe koi
Sheiraaza meri hasti ka jis din bikhar gaya
Phir aaj ussi ko dhondati hai yeh nigah-e-shauq
Dekhay jissay ay dost arsa guzar gaya ...
Diva
Jun 25 2004, 10:34 PM
living in the moment
before it's gone
enjoying your life
as the seconds pass
you get one life
you get one chance
make mistakes
blame it on someone else.
Diva
Jun 25 2004, 10:35 PM
Have you seen the sky?
It reflects your soul.
your soul a deep lost blue.
the clouds covering
your broken heart
the brightness of the sun
covering your face
raining
is the tears
in your eyes.
angaara
Jun 26 2004, 12:39 AM
kya sunaate ho ke hai hijr mein jeena mushkil
tum se be-raham pe jeene se tou aasaan hogaMain aayi tere liye....
jee haan aap log ki bhar po0or demand per me ...
Angaara... is back to the MPF!
Shadow Master
Jun 26 2004, 11:32 AM
Bohat dino k baad time mila hai
ANny way, kaisay hain sab log?
>>>>>
Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir
Main kaise shajar se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii theeeee.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.