Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
pakishan
Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain

Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
pakishan
Kabhi kabhi tou chhalak parti hain yoonhi be-sabab aankhein
Udaas honey ka koi sabab nahin hota

Mein Waledain ko yeh baat kaisey samjhaaoon
Mohabbaton mein " Hasab Nasab " nahin hota
suraj
Awwwww
68.gif
hey Chill yaar

Smile=Think positive

shahed


bay shak

ray-sham ki shaaal maiN taaat (jout) ka paivand lag sakta hai- laikin ach-cha naheeN lagta- dekhnay maiN


shama nay aaag rakhi sarr pay, kasam khaanay ko

baa-khudaa, maiN nay jalaaya naheeN, pervaanay ko



yeh meray khoon ki garmi hai verna ai NAASIKH

nashaa , sharaaab maiN hota, tou naaach-ti botel


"diya " wali gazal shayed peerzaada kasim ki hai

nice one


chalkaa kay jaaam


jhoom jhooom jhoooom


pakishan
Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum
shahed
iss mahfil-e-kaif-omasti maiN,iss anjuman-e-irfaani maiN

sab jaaam ba-kaff , bai-thhay hi rahay, ham pee bhi gaye, chalka bhi gaye


bint-e-angoor tum ko day daiN-gay

ham sharaaab-e-tahoor peetay hain


chalkaa kay jaam


jhoom jhooom jhoooom


pakishan
Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi
Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna Kaun Karey
pakishan
Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai
angaara
hai tou ik dam puraani lekin dil per lagti hai.....

woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bho0ol ke zindaa raho0on khuda na kare

rahega saath tera pyaar zindagi ban kar
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare

yeh theek hai nahin marta koi judaai mein
khuda kissi se kissi ko magar judaa na kare

suna hai us ko mohabbat duaayen detii hai
jo dil pe chot tou khaaye magar gila na kare

zamaanaa dekh chuka hai parakh chuka hai usse
"Qateel" jaan se jaaye par iltajaa na kare
shahed
dunyaa nay hamayN choodaa , jazbi , ham chod naa dayN kyuN dunyaa ko


dunyaa ko samajh ker baithhay haiN, ab dunyaa dunya kaun karay



chalkaa kay jaam ,


jhoom jhooom jhoooom
pakishan
▲▲ aik dum FAZOOL.....

8.gif
Cupid
user posted image
Sajjad khan
nice one cupid g
its v beautifull
Sajjad khan
hmm
cool.gif
Mudat Say Koi shaks Rulanay Nahi Aya
Jaltay Hoay Diay Kooo Bujhanay Nahi Aya
Kahta Tha Hum Saath Jiangay Saath Maraingay
Ab Rooth Gay Hain Tooo Mana Nay Nahi Aya
angaara
tum aaj hanste ho hans lo mujh par yeh aazamaaish na baar baar hogi
main jaanta ho0on mujhe khabar hai ke kal fiza khushgawaar hogi

rahe muhabbat mein zindagi bhar rahegi yeh kashmakash baraabar
naa tumko qurbat mein jeet hogi naa mujh ko furqat mein haar hogi

hazaar ulfat sataaye lekin mere iraadon se hai yeh mumkin
agar sharaafat ko tumne chhedaa tou zindagi tum pe vaar hogi
Sajjad khan
hmm.........

another one

parakhna mat, parakhney mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aainey mein der tak chehra nahin rehta

baRe logon se milne mein hamesha faasla rakhna
jahaan dariya samandar se mila dariya nahin rehta

tumhaare shehr ka mausam naye andaaz wala hai
hamaare shehr mein bhi ab koi hum sa nahin rehta

mohabbat aik khusboo hai, hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhaai mein bhi tanha nahin rehta
pakishan
nice.. khan saab....

btw.. app ke pass kon si book hay...
muj ko bhi khreedni hay...smile.gif
Sajjad khan
thanx budy
this book is not for sale
becz this is my own dairy smile.gif
Sajjad khan
hmm.............
another one

sada jakray rahay Qismut ki jo zanjeeron may
hamara naam bhee shamil hai un aseeron may
wo jis k satth ki khuawhish uraan bhartty hai...
usi ka namm nahi hath ki lakeron may
angaara
sholaa ho0on bhadakne ki guzaarish nahin kartaa
sach mo0onh se nikal jaataa hai koshish nahin kartaa

girti hui deewaar ka hamdard ho0on lekin
chadte hue suraj ki parastish nahin kartaa

maathe ke paseene ki mehak aaye tou dekhen
woh kho0on mere jism mein gardish nahin kartaa

hamdardi-e-ahbaab se dartaa ho0on 'Muzaffar'
main zakhm tou rakhtaa ho0on numaaish nahin kartaa
Sajjad khan
hmm....

KHAFA"

Me Khafa jab tum se hoti hoon

To dil he dil me sochti hoon

Tum rah me jo mil gay to

Me palat jaon gee

Tum agar muskaray to

Me na muskaraon gee

Tum Baat karo gay mujh se to

Me chup ho jaon gee

Tum jo saath chaley to

Me kadam na milaon gee

Par jab tum samney aatay ho To

Me palat nahi paati hoon

Jab tum Muskaratey ho to

Me bhi muskarati hoon

Tum baat kartey ho mujh se to

Me Bolti hi jati hoon

Tum gar saath chaltey ho to

Tum se kadam milati hoon

Kuch hi lamhoon me

Wo saab kuch bhool jati hoon

Ik hawa ke jhonkey ki tarhan

Narazgee ko lota deti hoon

Aur Tum ko pata nahi chalta keh

koi khafa bhi hota hey
pakishan
QUOTE (Sajjad khan @ Apr 24 2004, 08:41 AM)
thanx budy
this book is not for sale
becz this is my own dairy smile.gif

aik to ye baat samaj nahin aate....
jis se bhi poocho ke kon se book hay... wo apni diary kyon kehta hay.....???

main market mai gaya bhi thaa... aur sub book seller se poocha ke APNI DIARY book chahiye... mugar kisi ke pass ye book nahin thee....

ye APNI DIARY muj ko kahan se milay gi.....??

6.gif
angaara
woh na durr hai na qareeb hai
yeh jo hijr hai yeh naseeb hai

jo visaal tha woh tou khvaab tha
yeh khayaal kitna ajeeb hai

wahi aanso0on mein duaaon mein
wahi dukh sukh mein qareeb hai

jo main sochtaa ho0on keh sakon
mera harf harf raqeeb hai

yeh falak zameen ko samet le
mera dil bhi kitnaa ghareeb hai
pakishan
ye khushnazri khush nazar aane ke liye hai
ander ki udaasi ko chupane ke liye hai

tujh ko nahi maalum ke mai jaan chuka hon
tu saath faqat saath nibhane ke liye hai
angaara
kaare badarvaa aaye chaayi udaasi
bheegi bheegi palken hain pyaar ki pyaasi

jab se gaye ho chhod ke hum ko
dil ko na jaane kya ho gaya hai
aan milo ab jiyaa na jalaao
saavan bhi ab beet chalaa hai

ek jhalak to aake dikhaa jaa
andhera hai man mein diya tou jala jaa
bho0olna wale hum ko teri
yaad sataaye

de na sake jo chain bhi man ko
aag lage aise saavan ko
meha barse aanso0on barse
rim jhim mere deep jalaaye


really sick --- i know!!!
pakishan
Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?

Main zameen par ghana andhera hoon...
Aasmaanon-ki chandni tum ho

Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho

Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho?
Sajjad khan
QUOTE (pakishan @ Apr 24 2004, 10:43 AM)
QUOTE (Sajjad khan @ Apr 24 2004, 08:41 AM)
thanx budy
this book is not for sale
becz this is my own dairy smile.gif

aik to ye baat samaj nahin aate....
jis se bhi poocho ke kon se book hay... wo apni diary kyon kehta hay.....???

main market mai gaya bhi thaa... aur sub book seller se poocha ke APNI DIARY book chahiye... mugar kisi ke pass ye book nahin thee....

ye APNI DIARY muj ko kahan se milay gi.....??

6.gif

hmmm.......
apnay ghar say
Sajjad khan
hmmm

yeh faaslay hain jo wo to kabhi kam nahi hongay
hum tum hongay,magar raabtay nahi hongay

ankhain band hongi or neend mai ,
hum tum hongay,magar khwaab nahi hongay

zindagi k shoorzada,gehray samander mai
hum tum hongay,magar kinaray nahi hongay

piyar ki adalat k yaadon k katehroon mai
hum tum hongay,magar dalael nahi hongay

halchal machanay k liay saakit pani mai
hum tum hongay,magar pathar nahi hongay

duur hokar bhi to paas "Sajjad" hum tum hongay
hum tum hongay,magar khush nahi hongay
pakishan
Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi

Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
pakishan
Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par

Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar
Sajjad khan
hmmm.................

another one
Woh Pehli Nazer Ki Muhabbat Hamari
Na Tum Bhool Paaye Na Hum Bhool Paaye
Woh Her Waqat chhai Ik Khumari
Na Tum Bhool Paaye Na Hum Bhool Paaye

Woh Khat Aatey Jaatey Idher se Udher se
Woh Chhup Chhup K Milna Zamaney K Dur Sey
Dua Us Gharri BayAsser Ho Gai Thi
Mohabbat Ki Sab Ko Khaber Ho Gai Thi
Judai K Woh Pal Thay Sadiyon Sey Bhaari
Na Tum Bhool Paaye Na Hum Bhool Paaye

Woh Vadey Iradey Nazer Hi Nazer Main
Woh Gher Se Nikalna Bharri Dopehar Main
Chubha Ik Kanta Tha Paaon Main Teray
To Behnay Lagey Thay Wahin Ashak Meray
Woh BayChaniyaan Aur Woh BayQararian
Na Tum Bhool Paaye Na Hum Bhool Paaye

Yeh Kehtay Thay Tum, Tum Ho Taqdeer Meri
Kitaboon Main Rakhtay Thay Tasweer Meri
Kahan Chor Aye Thay Woh Piyar Hum Tum
Jo Ik Dosrey Sey Bayzaar Hum Tum
Khata Kuch Hamari Thi Kuch Tumhari
Na Tum Bhool Paaye Na Hum Bhool Paaye
Woh Pehli Nazer Ki Muhabbat Hamari
angaara
dekha tou mera saya bhi mujh se judaa milaa
socha tou har kissi se mera silsilaa mila

shahar-e-wafa mein ab kisse ahal-e-vafaa kahen
hum se gale mila tou woh hi bevafaa mila

fursat kisse thi jo meri haalat po0ochhtaa
har shakhs apne baare mein kuch sochta milaa

us ne tou khair apanon se modaa tha mo0onh haaye
main ne yeh kya kiya ke main ghairon se jaa milaa
shahed


itnay anjaaan say ho ker teray gamm miltay haiN


jaisay , muflis say kabhi ahl-e-karam , miltay hain



mit chali woh , ravish-e-rasm-e-mudaraat kay ab


dard maiN , dard kay , andaaaz bhi , kamm miltay haiN


chalkaa kay jaaam

jhoom jhooom jhoooom







Sajjad khan
hmm...........
another one

kisi b kali nay b dakha na Ankh bar k mugay ..............
guzer gye jirsay gul udas kar k mugay

main so raha tha kisi yad k shabistan main ..............
jaga k chor gay kaflay saher k mugay

main ro raha tha muqeder k shkhet rahoon main .........
ura k lay gay jadoo teri nazer k mugay

main teray dard ki toganyion main dob gaya ..............
cartay rahay taray uber uber k mugay

teray faraq ki ratain kabhi na bhoolay ge...........
mazay milay inhe rataon main umer bar k mugay

zara se dar tahernay day aa ghumay duniya ....
bola raha hai koi bam say uter k mugay

phir aj aye thi ak moga haway tarab..........
suna gye fasanay ider uder k mugay
Diva
Dil Mujh Say Puchta Hay Mohabbat Kiyun Hote Hay
Chand Jesay Chahroon Ko Bey Wafae Ke Aadat Kiyun Hote Hay

Jesay Yaad Karnay Say Dil Kay Tukray Hazaar Hotay Hain
Pher Ose Kay Naam Say Dil Ko Rahat Kiyun Hote Hay

Barsoon Ke Ulfat Jab Chand Lamhoon Main Toot Jate Hay
Ghare Bhar Main Pher Kese Say Chahat Kiyun Hote Hay

Eshq Karnay Walay To Aag Main Bhi Kood Jatay Hain
Piyaar Karnay Waloon Main Itne Bagawat Kiyun Hote Hay

angaara
yo0on na mil mujh se khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yo0on dekh ke hans dete hain
tu mujhe bho0ol gayaa ho jaise

maut bhi aai tou is naaz ke saath
mujh pe ehsaan kiya ho jaise

aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise

hichkiyaan raat ko aati hi rahin
tu ne phir yaad kiya ho jaise

zindagi yo0on beet rahi hai "Danish"
ek be-jurm saza ho jaise


shahed
EXCELLENT

BAHUT ACH-CHI GAZAL HAI

YEH KISS DAIRY KI HAI?
angaara
Personal Dairy mein se hai..........
Sajjad khan
hmm.......
another one

bagair mere tujhe chain aa nahin sakataa
meraa javaab kahiin se tuu laa nahin sakataa

hazaar parde bhii Daalo agar banaavat ke
dilon kii baat ko chehraa chhupaa nahin sakataa

banaa diyaa hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koi bhii mujh ko rulaa nahin sakataa

hasiin taaj mahal ke banaane vaalaa bhii
dilon ke tuute gharaunde banaa nahin sakataa
Diva
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua


Naseeb hon khushiyaan tumhain tum khush raho sada


Tumhain rahat milay , tumhain chahat milay

Tumhain saray jahan ki muhabbat milay


Jahan main sab say hon achay tumharay naseeb


Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb

Tumharay dil ki har aarzoo poori Khuda karay


Tumharay chahnay walon ko kabhi na juda karay


Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyan


Dua hay bas tumhain kabhi gham na milay yahan


Allah tumhari zindagi ko char chand lagye


kyun k zindagi se barh ker or koi sheh nahin


"Zindagi" hai to sub kuch hai na ho to kuch bhi nahin.




Sajjad khan
hmmm................
another one

kuch mohabbat ke fasanay likkhay,
kuch naay aur puranay likkhay.

yaad ka ek silsila likkha,
khwab saray woh suhanay likkhay.

hum nay ek ek mohabbat likkhi,
aur kuch guzray zamanay likkhay.

marmari banhon ko apna likha,
aur phir inn kay diwanay likkhay.

unki zulfon ko ghata sa likkha,
saay phir uss kay suhanay likkhay.

khud ko phir unka Mussawir likkha,
khwab phir kiya kiya najanay likkhay
pakishan
Sath dil ke chalay dil co na roka ham nay
Jo na tha apna ise toot kar chaha ham nay

Dhoke me kati umar sari hamari
Kya bataye kise khoya kise paya hum nay
Diva
Samander Poochta Hai Ab Wo Dono Kiyu Nahi Attey
Wohi Donno Jo Bhegi Reet Per
Ek Dosarey Ka Haath Thammay Duur Taak
Kabhi Hansttey,Kabhi Kuch Gungunattey
Ya Kabhi Chup Chap Bhittey Duur Ufaq Ki Goodh May
Ropposh Honay Walla Sooraj Dekhttey
Ansoo Bhahattey Loat Jattey!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey
Jo Attey Thay To Apnay Saath Kitnay Khwab Lattey Thay
Kabhi Sahi Say Dehairoo Seepiyaa Chunttey Thay
Nangay Paoo Pani May Challey Attey Thay
Bhegi Reet Say Nannay Gharondhay Bhi Banattey Thay
Aur Unmay Seepiya,Rangeen Say Kuch Sangreezay Yu Sajattey Thay
Kay Jaisay Aj Kay Jugnoosay Lamhay
Anay Walley Kal Ki Moothhi May Chupattey Thay!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey
Mager Samander Nay Khiza Ki Siskiya Laiti Hoee
Ek Shaam Ko Wo Nojawanno Ko Nahi Dekha
Jo Dair Taak Tanha Sarey Sahil Raha Bhaitta
Phir Ussnay Dair Sarey Khaat
Buhut Say Phool Sookay Aur Tasveeray
Aur Apnay Akhri Ansoo
Samander Kay Hawalley Kerdiyey..
Diva
tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii
aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N
tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
ye sabzaa, ye gulaab aur ham dono.n ke Khvaab
sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N
tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum
tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale
raat to kyaa badalegii, haaalat to kyaa badale.nge
tum jo Thahar jaao to merii zaat kaa mausam badale
mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo
jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare
jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii
ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare
Thahar jaao ke madaarat maikhaane se
chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye
is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir
is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye

shahed
diya

very nice nazam

kiss ki likhi hoi hai?


raat uuuN dil main teri kho-ee hoi yaaad aaye

jaisay veeraanay maiN chupkay say bahaaar aa- jaa-ye


jaisay sahraaooN maiN holay say chalay baaad-e-naseeM

jaisay beemaaar ko , bay wajha , kharaaar aajaaye



intezaar aap kaa uuuN kertay haiN

roz jaatay haiN , roz mertay haiN


kya bataaayeN kay kya guzarti hai

jab teri raaah say guzartay haiN
Sajjad khan
hmmm........

another one

din ko aagh ugalta suraj,shab ko taarey acchey hai'n
dil ki aa'nkh se dekho tao,sub nazzarey acchey hai'n

baat hamaarey dil ki hey,dil ko acchey lagtey hai'n
apna apna dil hey warna,rang tao saarey acchey hai'n

rang birangey mausam ka,dil se bada ta'alluq hey
dil ka mausam accha ho tao,mausam saarey acchey hai'n

saarey mausam niyaarey mausam,dilbar merey piyaarey mausam
mai'n kis kis ki taareef karoo'n,sub roop tumhaarey acchey hai'n

bheeghey bheeghey mausam mai'n,mai'n aksar betha sochta hoo'n
hum ne jo bhi din tumhaarey,sang guzaarey acchey hai'n
Diva
Chalo mein batao kya ho tum,
Mere liye meri duniya ho tum.

Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ne jo mangi woh dua ho tum.

Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum.

Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum,
Mere honto ki pyaas ho tum.

Mere baahon ki aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum.

Meri zameen ka akaash ho tum,
Mere chehrey ki kashish ho tum.

Mere sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum.

Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum.

Mere dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri,

kaisey kahoo key meri jaan ho tum
Sajjad khan
hmm.......
another one

Saal~

saal beetey dil se mere ja na paye tum
sham ki tanhai mein phir yad aaye tum

Har subah paya tumhein khayalon mein apne pas
Raton ko khwabon mein mere muskaraye tum

Lagate ho mere apne jab tum jabase ho dur
Na jane kyon lagate the pahle kuch paraye tum

pyar ham se behisab tha tumhein phir bhi
jane kyon ham se rahey nazarein churaye tum

jab talak tum sath the shikway bhi sath the
kuch nahin ho ab mohabbat ke siwai tum

thak gaya hun zindagi ki rah mein "Khalish"
kash mil jate kahin nazrein bichhaye tum.


uzmasami
Wo mujh se nahin kehta ...
Kay usay mujh se mohabbat hai ...
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai ...
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai ...
Woh mujh se baat karta hai ...
Bohot hi aam si, mousam ki, logoon ki ...
Mahaz dunya ki rasmi si ...
Woh mujh se baat karne k, bahane dhoondta hai un hawaloon se ...
Samaghta hai main us ki aam si baatoon ko bas "yoonhi" samaghti hoon ...
Woh milta hai aksar bahanoon se ...
Kay main guzar raha tha yahan se tou socha k baat hi kar loon ...
Samaghta hai k main us k in bahanoon ko na janoongi ...
Kabhi jo phone karta hai ...
Tou us ki mohabbat us ke lehje se chalakti hai ...
Mujhay bechain karti hai ...
Woh mera dehaan rakhta hai ...
Meri har baat ko hi bin kahe jaan leta hai ...
Samaghta hai woh ye phir bhi ...
Kay us ne khud ko chupa rakha hai khud hi se ...
Magar aksar ...
Woh khud anjane main apna ye parda chaak karta hai ...
Kay jab meri - bohot pehle kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai ...
Aur unhi lafzoon main mere saamne dohra bhi deta hai ...
Youn lagta hai ...
Kay us ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai ...
Woh jaise aik Mahifa ho ...
Woh mujh se ye nahin kehta ...
Kay us ki khuahish us ko bohot bechain rakhti hai ...
Ya shayad in dinoon woh khud se bhi chupata hai ...
Magar ...
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain ...
Kay saray Jame-e-ulfat k woh bhar bhar kar lutati hain ...
Woh darta hai k kahin woh kho na de mujh ko ...
Kay koi baat us ki mujh ko us se duur na kar de ...
Woh mujh ko soochta hai ...
Jaagta hai raat bhar woh bhi ...
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ....
Khamooshi se hi jalna hai ...
Kay woh jab tak parh nahin leta ...
Ye aankhain, jis main k us ka naam likha hai ...
Kay mere laho ki gardishoon main raqs karti chahatain us koi ... Woh jab tak paa nahin leta ...
Samagh leta nahin jab tak ...
Kay main bhi gaamzan hoon ...
Khamooshi se us k raaste par ...
Main bhi jaagti hoon, soochti hoon raat bhar us ko .
Magar us se nahin kehti ...
Kay ...
"MUJHAY US SE MOHABBAT HAI" ...
Sajjad khan
nice one uzma g
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.