shahed
Apr 6 2004, 02:44 AM
FORUM KAY SAB SATHIUOOn KO AAADAAB ARAZ KERTA HOOn
I M NEW MEMBER TO THIS GROUP -
NO PROBLEM-FOR ANY COMENT-GOOD OR BAD
RAAT BHAR DDEEDA-E-NAMNAAAK MAIn LAHRAAATAY RAHAY
SAANS KI TRHA SAT AAAP AAATAY RAHAY JAAATAY RAHAY
--------------------------------------------------------------------------------
YEH JAAAN KER KAY TERAA AHD AHD-E- BAAATIL HAI
YEH DIL KAY PHIR BHI TERAA INTEZAAAR KERTAA HAI
KABHI HAWAA SAY BHI PATTAY JO , KHAN-KHANAAATAY HAIN
TERI KASAM , MU JHAY , KYA KYA GUMAAAn GUZARTAA HAI
CHALKAA KAY JAAAM -JHOOOOM- JHOOOOM -- JHOOOOOM
Sajjad khan
Apr 6 2004, 02:57 AM
hmmm..............

ISHQ
Ishq junoo.n bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaao.n pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zamee.n bhi hai aur aasmaa.n bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaa.n bhi hai
Kabhi bistar ki salwato.n sa
To kabhi mandir ki moorto.n sa
Kabhi uryaaniyo.n ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorto.n sa
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishto.n say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq...
shahed
Apr 6 2004, 07:19 AM
shaaz tamkanat ka kahaa hoa
MUSAAFER RAAAH MAIn HAI ,SHAAM GAHRI HOTI JAATA HAI
SULAGTAA HAI TERI YAADOOn KA BANN---AAAHISTAA-- AAHISTAA
DHUWAAn DIL SAY OTHAY -CHAH-RAY TAK AAYE, NOOR HO JAAYE
BADI MUSHKIL SAY AAATAAA HAI YEH FUN AAAHISTAA- AAAHISTA
CHALKAA KAY JAAAM - JHOOM JHOOOM JHOOOOM
Sajjad khan
Apr 6 2004, 10:21 AM
hmm...........
another one
jo zindgi hai mari
jo zindgi hai mari
jo har hoshi hai mari
ab suchta hoon yaaro
woh babasi hai mari
khud ko kuhda na samja
yha bandgi hai mari
haan ishk hai junoa hai
kab dil lagi hai mari
galti ko maaf kejia
yha akhri hai mari
Diva
Apr 6 2004, 10:03 PM
| QUOTE (shahed @ Apr 6 2004, 01:44 PM) |
FORUM KAY SAB SATHIUOOn KO AAADAAB ARAZ KERTA HOOn
I M NEW MEMBER TO THIS GROUP -
NO PROBLEM-FOR ANY COMENT-GOOD OR BAD
[b]YEH JAAAN KER KAY TERAA AHD AHD-E- BAAATIL HAI
YEH DIL KAY PHIR BHI TERAA INTEZAAAR KERTAA HAI
KABHI HAWAA SAY BHI PATTAY JO , KHAN-KHANAAATAY HAIN
TERI KASAM , MU JHAY , KYA KYA GUMAAAn GUZARTAA HAI |
First of all \\/\// e l C o m E to the board and to poetry world specially .
Secondly can you remove All CAPs its difficult to read in CAP s .Thanks
And I like the one in Bold .. decent sharing
Diva
Apr 6 2004, 10:04 PM
zindagi tera afsana kis say kahain
teri hur raat main ik nayee baat hoti hay
tera hur lamha ik faraq say hay
teri hur saans main ik nayee phaans hoti hay
teri hur raah main kantay bhi hain phool bhi
hur mayoosi say ummeed janam leti hay
Tujh say khush bhi hay zamana to naraz bhi hay
Tujh ko ik sirif maut say maat hoti hay
angaara
Apr 7 2004, 12:50 AM
kyon humein maut ke paighaam diye jaate hain
yeh sazaa kam hai ke jiye jaate hain
nashaa donon mein hai saaqi mujhe ghum de yaa sharaab
mai' bhi peeyi jaati hai aanso0o bhi piye jaate hain
ek tu hai ke hamaari naheen tujh ko parwaa
ek hum hain ke tera naam liye jaate hain
zindagi apni kashaakash mein guzarti hai "Shamim"
jee naheen chaahataa jeene ko jiye jaate hain
ufffffffffffffff -- yeh tou mujh per set hai
Sajjad khan
Apr 7 2004, 01:20 AM
hmmmm......................

Ek phool ko chooney ki khaatir
Kaantoon se zakhmi hote thay
Jo phool jhoolay mein aa girta
Ussay choone se dar jaate thay
Hum kaise pagal hote thay
Ke dhundhle aaenoon mein apna
Hum aks sa dhoondha karte thay
Aur kircheyaan chitkhey aaenoon ki
Mutthi mein daba kar rakhte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab sarak pe chalna hota thaa
Hum kashti le kar chaltay thay
Aur beech bhanwar jaane ke leye
Hum paidal nikla karte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab baarish barsa karti thi
Hum chhatri mein chup jaate thay
Aur jalti dhoop main nange sar
Hum chhat per uchla karte thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab paas bahat woh hota thaa
Hum us ko dekh na saktey thay
Jab door chala jata tha woh
Hum aahat us ki suntey thay
Hum kaise pagal hote thay
Jab saari duniya soti thi
Hum chaand se khela karte thay
Jab saari duniya jaag uthti
Tu thak kar hum so jaate thay
Hum kaise pagal hote thay
Hum kitne pagal hotay thay
Hum aaj bhi waise pagal hain
Per phir bhi aksar sochtay hain
Hum kaise pagal hote thay...
shahed
Apr 7 2004, 01:25 AM
khud say milnay kay liye -bhase badal ker jaaana
aayeenaa khaaanay maiN jaanaa tu sam-bhal ker jaansa
Sajjad khan
Apr 7 2004, 02:14 AM
kahan khoye ho tum meri saari khushiyaan lut ke,
mere is chaahat se bhare masoom dil ko tod ke;
tumne toh mud ke dekha hi nahi mujhko kabhi,
mein aaj bhi baithi hu ruswaai ka daman odh ke;
kya ghalti hai meri ? kya mein itni buri thi dildaar,
jo chale gaye ho tum mujhse apna moonh mod ke;
kyun mujhe apni mohabbat ki aadat diladi tumne,
jab chale hi jana tha yun mere khwabon ko tod ke;
sukh gayi hain tarasti aankhen meri tujhbin ro roke,
kahan chale gaye ho mujhko is kadar tanha chod ke
Cupid
Apr 7 2004, 12:16 PM
kiisi roz arsa e hijr ke mujey waqeyaat tamam likh........................
kabhi lot aa ussi rah par kabi mujh se suun koyee dastan malal ki...
Sajjad khan
Apr 9 2004, 03:33 AM
Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir
Main kaise shajar se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii theeeee
angaara
Apr 10 2004, 01:38 AM
kahin chhatt thi divaar-o-dar the kahin
milaa mujhko ghar ka pataa der se
diya tou bahut zindagi ne mujhe
magar jo diya woh diya der se
hua na koi kaam maamo0ol se
guzre shab-o-roz kuchh is tarah
kabhi chaand chamka ghalat waqt par
kabhi ghar mein so0oraj ugaa der se
kabhi ruk gaye raah mein besabab
kabhi waqt se pehle ghir aayee shab
huye band darvaaze khul khul ke sab
jahaan bhi gayaa main gaya der se
ye sab ittifaqaat ka khel hai
yahi hai judaai yahi mel hai
main mud mud ke dekha kiya durr tak
bani woh khaamoshi sadaa der se
saja din bhi raushan hui raat bhi
bhare jaam lehraayee barsaat bhi
rahe saath kuchh aise halaat bhi
jo hona tha jaldi hua der se
bhatakkati rahi yo0on hi har bandagi
mili na kahin se koi roshani
chhupaa tha kahin bheedh mein aadmi
huaa mujh mein roshan Khudaa der se po0or fella
shahed
Apr 10 2004, 02:37 AM
bahut- khoob
pakishan
Apr 10 2004, 03:06 AM
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Sajjad khan
Apr 10 2004, 03:38 AM
TUM MERAY KIYA HO~*~
Jo muj se pocha hai aaj tum ne....
K main tumhara hoon kiya ? Batao....
To khud hi socho tum aik pal ko
Bhalla main kesay tumhin bataon...
Hai tum se mera wohi talouq....
Jo apnay saaye se hai shajjer ka
Wohi jo khurshed se qammer ka
Gullon se jo hota hai mehak ka
Kissi ki ankhon k must dorron ka
Us k mehboob ki jhalak ka
Main hoon badan to tum is ki jaan ho
Bahar mousam k tarjuman ho
Lahou ki sorat meri ragon main
Her ik lamhey ravan davan ho
Namaz main hoon to azan tum ho
Maken hoon main, to tum makan ho
Zamen hoon main to asman tum ho
Wohi talouq hai tum se mera
Jo dil se hota hai dharkano ka
Khumar se hai jo mehkashoon ka
Jo shairoon se hai mehvishon ka
Jo hussan walon se diljaloon ka
Jo rastoon se hai manziloon ka
Jo manzilon se hai rehbaroon ka
Azal se dharti se parbatoon ka
Wohi jo sager se sahilon ka
Jo rooh se hai kissi badan ka
Wohi jo chanda se hai kiran ka
Jo baghban se kissi chaman ka
Hai guftugo se kissi dehan ka
Jo barishon se zameen ka hai
Ibadaton se jabeen ka hai
Wohi Talouq......
Azal se apnay bhi dameain hai
Tumhi baharon ki dilkashi ho
Tumhi to ankhon ki roshni ho
Jo sach kahon, Tumhi meri her khushi ho
Tumhi ujala tumhi Hiya ho
Tum arzoo ho tumhi wafa ho
Tamam jazbon ki intaha ho
To kiyon na tum per yeh dil fida ho
Batao Janan...!!!
Hai itna hi kafi.....???
K aur kuch bhi tumhin bataon...???
Jo ho sakey to khiyal rakhna
Tumhara muj se wohi hai rishta
Malaika se jo bandagi ka
Jo marney waley se zindagi ka
Samndron ka jo seep se hai
Wohi jo ankhon ka deep se hai
Wohi Talouq....
"Hai Mera Tum Se"
Nosheen
Apr 10 2004, 07:03 PM
Baari nazuk hay yeh manzil
Mohabbat kaa safar hay
Darkata ahesta say hay yeh dil
Mohabaat kaa safar hay
Baari nzuk hay yeh manzil
mohabaat kaa safar hay
koi sun lay yeh kisa
bohat darr lagta hay
magar darnay say kiya hasal
mohabbat kaa safar hay
Baari nauzk hayyeh manzil
Mohabaat kaa safar hay
Baatana bhi nahin asaan
Chupana bhi katein hay
Khudiya kis qadar muskil
Mohabaat kaa safar hay
Baari nazuk hay yeh manzil
Mohabaat kaa safar hay
Ujalay dil kay pailay hain
Chalay aaoo naa janum
Chalay aoo naa janum
Bohat hi piyaar kay qabal
Mohabaat kaa safar hay
Baari nazuk hay yeh manzil
Mohabaat kaa safar hay
Sajjad khan
Apr 12 2004, 04:27 AM
~*~ Tum Kia Jaano ~*~
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangti Hoon
A2F
Apr 12 2004, 02:40 PM
meri tanhayion
tumhi laga lo mujh ko seenay say
ke mein ghabra gaya hun
iss tarah ro ro ke jeenay say..
ye aadhi raat ko phir
choorian si kya khanakti hein
koi aata hai yaa
meri hi zangeerian chanakti hein
ye baatein kis tarah poochoun
mein sawan ke maheenay say
ke mein ghabra gaya hun
iss tarah ro ro ke jeenay say
peenay do mujhay
apney lahu ka
jaam peenay do...
na seenay do mujhay
apna hi daaman, naa seeney do
meri wehshat na barh jaye
kahin daaman ke seenay say
ke mein ghabra gaya hun
iss tarah ro ro ke jeenay say
meri tanhayion
tumhi laga lo mujh ko seenay say
ke mein ghabra gaya hun
iss tarah ro ro ke jeenay say..
RoMi
Apr 12 2004, 04:59 PM
Yeh Zindagi....
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Sajjad khan
Apr 13 2004, 03:31 AM
hamm....

meri ruswayiyan
Meri Ruswaiyan Har Ek Ilzaam Khubsurat Ker Do
Mujhe Apna Naam De Do Mera Naam Khubsurat Ker Do
Meri Tareek Shamon Main Aa Ker Sitaray Bhar Do
Meray Sang Yun Chalo Meri Har Shaam Khubsurat Ker Do
Aakhri Sanson Main Bhar Do Khushboo Deedar Ki
Raho Meray Pass Us Dam Mera Anjaam Khubsurat Ker Do...!!!
umar
Apr 16 2004, 05:08 AM
a little poem...but enough to rite...
kuch batain unkahi bhi rehne do
kuch batian unsuni bhi rehne do
sub batain dil ki keh lii ager
phir baqi kiya reh jata hai
angaara
Apr 17 2004, 01:15 AM
| QUOTE (shahed @ Apr 10 2004, 11:37 AM) |
| bahut- khoob |
thanx a ton Shahed.....
koi manane wala hi nahin
ro0oth key khud hi man jata ho0on main
koi nahin jo samjhae mujhe
bus apne dil ko khud hi samjha leta ho0on main
yeh dil bhi ajeeb cheez hai
jo isse tor dete hain unhe dil main basa leta ho0on main
log bekher dete hain is dil ko
jab chale jaate hain to khud hi saja leta ho0on main
dene wale dard de ke chale jaate hain
woh haseen yadain seene se laga leta ho0on main
ab to aadat hogayee hai aisi ke
ro0ona chaho0on bhi to na jaane kyon muskura deta ho0on main
yeh kaisa tanhai ka alam hai
har taraf shor ho kar bhi apne aap ko tanha paata ho0on main
tum kaisey suno ge meri dastaan - e - tanhai
patharon ko bhi suna kar rula deta ho0on main
--- uffffffffff zaaalim!!!
Sajjad khan
Apr 17 2004, 03:05 AM
hmm...........

bhuulii huii sadaa huun mujhe yaad kiijiye
tum se kahin milaa huun mujhe yaad kiijiye
manzil nahin huun Khizr nahin rahazan nahin
manzil kaa rantaa huun mujhe yaad kiijiye
merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
main ishq kaa Khudaa huun mujhe yaad kiijiye
nagmon kii ibtidaa thii kabhii mere naam se
ashkon kii intahaa huun mujhe yaad kiijiye
gum-sum khari hain dono jahaan kii haqiiqatain
main un se kah rahaa huun mujhe yaad kiijiye
"Sajjad" kisii ke husn-e-tagaaful shaar kii
bahkii hui adaa huun mujhe yaad kiijiye
angaara
Apr 18 2004, 12:15 AM
ab ye hoga shayad apni aag mein khud jal jaayenge
tum se durr bahut rah kar bhi kya paya kya paayenge
dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chaahat mein
hum ne kitne dhoke khaaye kitne dhoke khaayenge
aql pe hum ko naaz bahut tha lekin yeh kab socha tha
ishq ke haathon yeh bhi hoga log humein samjhaayenge
kal ke dukh bhi kaun se baqi aaj ke dukh bhi kaii din ke
jaise din pehle kaate the yeh din bhi kat jaayenge
hum se aabalaa-paa jab tanha ghabaraayenge sehraa mein
raaste sab tere hi ghar ki jaanib ko mudh jaayenge
aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai
mujh se chhut kar bhi ahal-e-gham kya tujh se chhut jaayenge
pakishan
Apr 18 2004, 12:19 AM
tum satany ki baat kerty ho... dil jalany ki baat kerty ho....
hum to paani ko tarasty hian... tum nahany ki baat kerty ho.....
angaara
Apr 18 2004, 03:05 AM
yeh kya?!? main abhi parh kar inspire ho hi rahi thi ke lou seriousness se achanak comedy ho gayi.............
pakishan
Apr 19 2004, 12:27 AM
| QUOTE (angaara @ Apr 18 2004, 08:05 AM) |
| yeh kya?!? main abhi parh kar inspire ho hi rahi thi ke lou seriousness se achanak comedy ho gayi............. |
mai ne soocha kahin tum rona na start ker do...
iss liye thora sa comedy ho jaye...
angaara
Apr 19 2004, 01:21 AM
waadi-o-kohasar mein rotaa ho0on dhaade maar-maar
dilbaraan-e-shehar ne mujh ko satayaa hai bahut
pakishan
Apr 19 2004, 02:30 AM
Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
Muqaddar dekhiye roye wahiin par
Hue masjid se Gum juute hamaare,
JahaaN se paaye the, khoye wahiin par
Sajjad khan
Apr 19 2004, 02:42 AM
badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hain kii diivaanaa huaa hai
rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne toraa
apnaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai
baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai
bajte hain khayaalon main terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pari-Khaanaa huaa hai
mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
jis phuul ko dekhuun vahii paimaanaa huaa hai
pakishan
Apr 19 2004, 02:45 AM
NICE song.....
kaan saab... app gana bhi sunta hay....
koi pashto gana aam ka sunao na...
Sajjad khan
Apr 19 2004, 02:48 AM
hmm,......
yah song hay???
main nay nai suna ab taak
bhai pashto song sunanay kaay liya bohat hoslay ke zaroorat hay
angaara
Apr 19 2004, 02:54 AM
| QUOTE (pakishan @ Apr 19 2004, 11:30 AM) |
Hue masjid se Gum juute hamaare, JahaaN se paaye the, khoye wahiin par
 |
thats so0o kweet.......... annu* hai ik dam, now here is my reply.............
ek shaam kissi bazm mein jo0ote jo kho gaye
hum ne kaha bataaiiye ghar kaise jaayenge
kehne lage ke shair sunaate raho yo0on hi
ginne nahin padenge abhi itne aayenge
*the word annu as per my lil' sis is cute; everything that is cute & sweet or rather kweet its gotta be annu..............
pakishan
Apr 19 2004, 03:02 AM
lolzz......
so annuu..... i mean kute...
Sajjad khan
Apr 19 2004, 04:09 AM
hmm....
another one
apnii aankhon ke samandar main utar jaane de
teraa mujarim hoon mujhe Duub ke mar jaane de
ai naye dost main samajhoon gaa tujhe bhii apana
pahle maazii kaa koii zakhm to bhar jaane de
aag duniyaa kii lagaii huii bhuj jaayegii
koii aansuu mere daaman pe bikhar jaane de
zakhm kitane terii chaahat se mile hain mujh ko
sochtaa hoon ki kahoon tujhase magar jaane de
angaara
Apr 19 2004, 04:28 AM
tum yeh kaise juda ho gaye
har taraf har jagah ho gaye
apna chehra na badlaa gaya
aaine se khafa ho gaye
jaane wale gaye bhi kahaan
chaand suraj ghataa ho gaye
bewafa tou na woh the na hum
yo0on hua bas juda ho gaye
aadmi banna aasaan na tha
sheikh ji ho gaye
Sajjad khan
Apr 19 2004, 04:45 AM
hmmm
another one
baat chali teri aankhon se jaa pahunchii paimaane tak
khiinch rahi hai terii ulfat aaj mujhe maikhaane tak
ishq kii baatain ghum kii baatain duniya vaale karate hain
kis ne shammaa kaa dukh dekhaa kaun gayaa paravaane tak
ishq nahin hai tum ko mujh se sirf bahaane karatii ho
youn hii bahaane qaayam rakhnaa tum mere mar jaane tak
itnaa hii kehnaa hai tum se mumkin ho to aa jaanaa
aa hii gaye to ruknaa hogaa aankhon ke patharaane tak
pakishan
Apr 19 2004, 06:44 AM
Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.
pakishan
Apr 19 2004, 06:48 AM
Na Ustaad Ki Izzat Ki Jitni
Apni Dilbar Ka Main Itna Ihtiraam Karoon
Jab Tak Zindagi Se Na Wabista Woh Mere
Apne Khwabon Main Hi Unko Mehmaan Karoon
Dastoor-E-Duinya Se Mujhe Kya Lena
Ab Chahe Khud Ko Hi Kyon Na Badnaam Karoon
Agar Degree Bhi Na Mili To Kya Gham Hai
Apne Mahboob Ko Agar Apne Naam Karoon
Apni Nakaami Ka Na Hai Dar Mujhe
Bus Dar Hai Khud Ko Na Viraaan Karoon
Ab Zindagi Se Koi Aarzoo Hi Nahi
Bus Marne Se Pehle Apna Yeh Ek Kaam Karoon
angaara
Apr 20 2004, 12:49 AM
hazaar gham the meri zindagi akeli thi
khushi jahaan ki mere vaaste paheli thi
woh aaj bach ke nikalte hain mere saaye se
ke main ne jin ke liye gham ki dho0op jheli thi
judaa hu na kabhi mujh se gardish-e-dauraan
meri hayaat ki bachapan se ye saheli thi
chadha rahe hain woh hi aaj aasteen mujh per
ki jin ki peeth pe kal tak meri hatheli thi
ab un ki qabr pe jaltaa nahin diya koi
ki jin ki dehar mein roshan bahut haweli thi
woh jhuk ke phir meri turbat pe kar rahe hain salaam
issi adaa ne tou "Mahir" ki jaan le li thi
haye haye......... kya kahna!!!
shahed
Apr 20 2004, 12:57 AM
dard ki hadd say guzarnaaa tu abhi baqi hai
tooot ker mera bi-khar-na tu abhi baqi hai
paaas aaa ker - meraa dukh dard mitaaanay waly
mujh say katraaa kay guzarnaaa, tu abhi baqi hai
chalka kay jaam
jhoom jhooom jhoooom
shahed
Apr 20 2004, 01:01 AM
chingaaari say aaag bani , aur aaaag bani angaaaara
chingaaari ko jo naheeN samjha, jal gaya woh bay-cha-raa
chalkaaa kay jaaam
jhoom jhooom jhoooom
pakishan
Apr 20 2004, 01:51 AM
shahed saab.....
thora kaam jhoomo nahin to sara ka sara jaaam neechay gir jaye ga.....
shahed
Apr 20 2004, 01:56 AM
woh , jinkay haath kamzor hotay haiN
onkay haatooN say jaaam girtaa hai
chalkaa kay jaam
jhoom jhooom jhoooom
pakishan
Apr 20 2004, 02:25 AM
wo jin ka EMAAN kamzor hota hay.....
un ke hath mai jaam hota hay.....
angaara
Apr 20 2004, 04:59 AM
| QUOTE (shahed @ Apr 20 2004, 10:01 AM) |
chingaaari say aaag bani , aur aaaag bani angaaaara chingaaari ko jo naheeN samjha, jal gaya woh bay-cha-raa |
was this shair for me
if yes -- thanx
if no -- lo0ok below
maan mausam ka kahaa, chhaayee ghataa, jaam uthaa
aag se aag bujhaa, pho0ol khilaa, jaam uthaa
ai mere yaar tujhe us ki qasam detaa ho0on
bho0ol jaa shikvaa-gilaa, haath milaa, jaam uthaa
ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya kar naa yahaan, haath badhaa, jaam uthaa
pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hain yahaan
maikade mein koi chhotaa na badaa, jaam uthaa
angaara
Apr 21 2004, 02:24 AM
himmat-e-iltijaa nahin baaqi
zabt ka hausalaa nahin baaqi
ik teri deed chheen gaii mujh se
warna duniya mein kya nahin baaqi
apni mashq-e-sitam se haath na khench
main nahin yaa wafa nahin baaqi
teri chashm-e-alam navaaz ki khair
dil mein koi gilaa nahin baaqi
ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-visaal
zindagi mein mazaa nahin baaqi
Sajjad khan
Apr 21 2004, 02:37 AM
hmm..............
another one
raharon main ghataon main tujhey mehsoos kiya
Jeewan ki rahoon main tujhey mehsoos kiya
Jab bhi barasnay lagin yeh piyaasi ankhin
Main ne in nigahoon main tujhey mehsoos kiya
Meri sansoon main rahi teray khiyaal se hulchal
Dil ki panahoon main tujhey mehsoos kiya
Khushboo hi khushboo bikher gai her sou
Main ne in hawaoon main tumjhey mehsoos kiya
Din k ujaloon main tujhey mehsoos kiya
Raat ki banhoon main tujhey mehsoos kiya
angaara
Apr 21 2004, 05:20 AM
kho0on se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
ek hi daastaan-e-shab ek hi silsila tou hai
ek diya jalaa hua ek diya bujha hua
mehfil-e-rang-o-no0or ki phir mujhe yaad aa gayee
phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua
mujh ko nishaat se fuzo0on rasm-e-wafa aziz hai
mera rafiiq-e-shab raha ek diya bujha hua
dard ki kaainaat mein mujh se bhi roshni rahi
waise meri bisaat kya ek diya bujha hua
sab meri roshni-e-jaan harf-e-sukhan mein dhal gayee
aur main jaise reh gaya ek diya bujha hua
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.