Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Arsa-e-hijr
A Pakistani Forum : Online Discussion Community > Music and Media > Ghazals and Poetry
Pages: 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15, 16, 17, 18, 19, 20, 21, 22, 23, 24, 25, 26, 27, 28, 29, 30, 31, 32, 33, 34
Diva
^ Good one S t u p i d Cupic 7.gif


Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai
Her pal yahi lagta hai ke wo aate hoon gain

mein tu un ki yaad may khud ko mitta baitha hon
jannay wo meri yaad kya karte hon gain

Meri to raaat katti hai unhi ki yaad may akser
per wo tu ghar apne chain se sote hon gain

Jin ki yaad may Raaton ko oth oth kar Rotaa hon
kya wo meri yaad may pal bhar bhi rotee hon gain

Dil ki her dewaar per jis ka naam likha hum ne
wo to apne khayalon se bhi mera naam mittate hon gain

Jin ki rahon ko phoolon se sajaya hum ne
wahi meri rah may kaanton ko bichate hon gain

kabhi na kabhi meri yaad bhi un ko sattati ho gi Salman
yunhi meri shairon se wo dil ko behlate hon gain



Sajjad khan
hammmmm................
yes cupid g MP3
cool.gif
Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai
A2F
uss waqt ko yaad karta hun..
kal jab ham tum iss jaga milye thay..
na tum ye baat jaanti thi..
na mujh ko ye khabar thi k..
mil kar bicharna bhi..
dunya ka ik khel hai..
jissey na mein khelna janta hun..
na tum samaj sakti ho..
bas phir iss lafz ka sahara lay kar..
sirf itna kahoun ga k..
meri tarah kabhi bhi tum..
uss waqt ko yaad na karna
aur na hi phir kabhi..
kahin milney par israar karna...
Sajjad khan
hammm................
cool.gif
choti si galat fehmi karde gi juda hum ko
halaat itnay badal jayenge, maloom na tha hum ko

kya bus yeh rishta itna kamzoar tha humara ?
jisay chaha pal bhar mein toor diya is ko ...

jo aik lamhay k liye bhi duur na hotey thai ...
aaj le jana para unhein judai k ghum ko ..

kabhi apne hi rastey per bichaye thai hum ne phool ..
aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko ..

ab to aik dard aur takleef rehti hai is dil mein ...
koi to aye ..marham lagaye is zakhm ko ...

ab bhi milan ki aas hai hum dono k dil mein
koi na samajh paye ga is pyar ki shiddat ko

mana k chahat abhi bhi bohat hai humein ..
to kyun na phir se uthayen pyar k qadam ko...

A2F
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
Sajjad khan
hammm.........
cool.gif
kisi k gham main waqar khona
koi suny ga tu kia kahy
yeh uth uth k tera raaton ko rona
koi suny ga tu kia kahy ga

jo dil main aaya tu khoob khaila
nazar se utra toor toor daala
kisi ka dil b hai kia khilona
koi suny ga tu kia kahy ga

sumundar main kashti ko choor dety
tu aap per baat b na aati
yeh sahil pe la k hum ko daboona
koi suny ga tu kia kahy ga

kaha jo main ne dar-o-khuda se
ger judai ka dar nahi hai
tu hans k boly chup raho na
koi suny ga tu kia kahy ga
A2F
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....
Sajjad khan
hammm............
cool.gif
Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana ..
Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana ...


Saink'roon rastey hain ajnabi ho janey ke ...
Tark karna hai tou talook ka bahana na bana ...


Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai ...
Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana ...


Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey ...
Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana ...


Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon ...
Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana ...


Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain ..
Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana ...




cute yusi
ab mein kya boloon. kuch bhi to nahi hai......... dry.gif
A2F
ishq karney ke bhi adaab hua kartey hein
jagti aankhon ke kuch khwaab hua kartey hein

har koi ro ke dikha day ye zaroori to nahin
khushk aankhon mein bhi selaab hua kartey hein

kuch to jeeney ki tamanna mein mar jatey hein
aur kuch marney ko betaab hua kartey hein

ternay waloun pay mokouf nahin hai khalid
doobney waley bhi payab hua kartey hein
Sajjad khan
hammm...................
cool.gif
woh pochta hay mein teray liye zarori hon kaisay

mein kehta hon zinda rehnay ko sans meri zarori ho jaisay


wo pochta hay tera mujhey chahna zarori hay kaisay

mein kehta hon jeena chahta hon jeenay ko tujhey pana ho jaisay

woh pochta hay tera meray saath ko nibhana hay kaisay

mein kehta hon bina sath kay teray mera mer jana ho jaisay

woh pochta hay teri aankh mein yeh ansoo aata hay kaisay

mein kehta hon yaad tera aana meri ruh ko tarpata ho jaisay

woh pochta hay yon dua ko tera haath uthana hay kaisay

mein kehta hon sath janam ka mang raha ik janam say ho jaisay

woh pochta hay tera khamosh ankhon mein dekhna hay kaisay

mein kehta hon in ankhon mein kho jana mera maqsad ho jaisay

woh pochta hay isqader tot ker chahna mujhey hay kaisay

mein kehta hon zindagi naam hay teray tu meri zindagi ho jaisay


Diva
Look in mah Signature ....
Cupid
QUOTE (Diva @ Feb 5 2004, 08:21 PM)
^ Good one S t u p i d Cupic 7.gif


Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai
Her pal yahi lagta hai ke wo aate hoon gain

mein tu un ki yaad may khud ko mitta baitha hon
jannay wo meri yaad kya karte hon gain

Meri to raaat katti hai unhi ki yaad may akser
per wo tu ghar apne chain se sote hon gain

Jin ki yaad may Raaton ko oth oth kar Rotaa hon
kya wo meri yaad may pal bhar bhi rotee hon gain

Dil ki her dewaar per jis ka naam likha hum ne
wo to apne khayalon se bhi mera naam mittate hon gain

Jin ki rahon ko phoolon se sajaya hum ne
wahi meri rah may kaanton ko bichate hon gain

kabhi na kabhi meri yaad bhi un ko sattati ho gi Salman
yunhi meri shairon se wo dil ko behlate hon gain


SHUKRAN
A2F
main wohi hoon jisay tum pyar kiya kerte thay
din main so baar mera naam liya kerte thay
aj kya baat hai kion mujh se khafa bethe ho
kya kisi aur ko dil apna bana bethe ho
faslay itnay to pehlay na hoa kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi
tum mujeh apna kaho aysay bhi haalaat nahi
aur ger bhool gaye ho to koii baat nahi
zakham to pehlay bhi is dil pe laga kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay

jee main aata hai main aaj tumhain tarpa doo
dard jo tum ne diya hai woh tumhain lota doon
aur ger jurm na samjho to ye dohra doon
tum mujeh hasil-e-armaan kaha kerte thay
main wohi hoon jisay tum pyaar kiya kerte thay
Sajjad khan
hammmm.................
cool.gif
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker

Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
A2F
user posted image
Diva
Udaasi thaihur jaati hai

Udaasi ka agurcha apna koyi ghur nahi hota
mager jub bhi nighaahon mein
guzargaahon ka soona pun khatukta hai
kisi ke aaks mein doobi howi aankhein
kabhi jui barishon ka saath deyti hai
safur ki shub
akeley pun ka gehra rung
jub weeran dehleezon ki pheeki zardiyoon per phail jaata hai
musafir ko mager phir bhi koyi poorsa nahi deyta

Udaasi thai'hur jaati hai
gaey mausum
Palut ke yaad ke dhunlakey dareechon per
adhori dastakoon ka shuk bitha jaate hein
sardi saans ke tun mun mein bas jaati hai
seene mein koyi lumha utur ker toot jata hai
kabhi mudut ke perdesi
ager apne na aane ka koyi paeghaam bheajein
aur makaanon pe likhi umeed beenayi gunwaa beathe
chaaton per baanjh pun ka dukh ut aaey

Udasi Thai'hur jaati hai
kabhi bichurey howoon ka dukh
khut ki muntazir khwahishoon ka koyi raog lug jaey
kabhi jub dil ke naazuk taar se likha gaya koyi khut
kahein raste mein khoo jaey
jahaan mauqa nikul jaey
jahaan sooret buney ghum ki
jahaan bey raunaqi ka koyi bhi pehloo nikulta hai
wahein kheema lagati hai
UDAASI THAIHUR JAATI HAI
Sajjad khan
hammmmmmmmmmm.....................
cool.gif
naay dino ki talash main dil, tumharay kuch din udhaar chahay,
qafas ki duniya say dil hata kar tumhara thora sa piyar chahay.

ruka ruka saa, thaka thaka saa, raah-e-wafa ka udaas raahi,
hay koi aisa, kay jis ki chaaon main dil yeh thora qarar chahay.

chala kahan hay khabar nahi hay, na koi manzil na koi ghar hay,
ajeeb rishton main uljha uljha, zameen-e-dil pe nikhar chahay.

hay ishq-o-rahat, na koi ishrat, zamanay bhar say juda juda hay,
kisi ki qurbat ki aarzoo hay, kisi ka thora sa piyar chahay.

laga ke jis ko galay say apnay, bhulay ghum aur bhulay duniya,
milay koi toe kay jis ki chahat ka pass har dum hisaar chahay.

wafain kiya hain jafain kiya hain, sukoon dil ka pata nahi hay,
batao hum ko bhi dosto kuch, hay koi hum saa jo yaar chahay.

likha nahi rait par Mussawir, mohabbaton ka fasan phir bhi,
hay naghma gar janay koi aisa, jo har lafz dilfigaar chahay.

A2F
ham aisey bhoolney waley nahin hein
tumhein ye sochna tha..

milein gay kab
tumhein ye kya batayein
diloun mein phool
chahat ke khilayein..
magar ye phool khilney mein
kaye majboorian hein
tumhein ye sochna tha...

tumhein milna
tumharey saath rehna
bohat asaan tha
dil ka haal kehna..
magar ye hont khulney mein
kayee majboorian hein
tumhein ye sochna tha...

ham aisey bhoolney waley nahin hein
tumhein ye sochna to tha...
Sajjad khan
hammm................
cool.gif
SUNA HAI

Suna Hai Log Us Ko Ankh Bher Ker Dekhtay Hain
So Uskey Shehar Main Kuch Din Thehr Ker dekhtay Hain
Suna Hai Is Ko Bhi Hai Shair-o-Shaire Se Shaghaf
So Hum Bhi Moajzey Apney Huner K Dekhtay Hain

Suna Hai Boley To Batoon se Phool Jhertey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtey Hain
Suna Hai Raat Usey Chand Takta Rehta Hai
Sitarey Bam-o-Falak Se Uter Ker Dekhtay Hain

Suna Hai Din Ko Titliyan Usey Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtey Hain
Suna Hai Is K Labon Se Gulaab Jaltey Hain
Mousam-e-Bahar Per Ilzam Dher K Dekhtey Hain

Suna Hai Is K Badan Ki Tarash Aesi Hai
K Phool Apni Qabaen Kutter Ker Dekhtey Hain
Rukey To Gardishen Is Ka Tawaf Karti Hain
Chaley To Is ko Zamaney Thehr K Dekhtey Hain

Kahaniyan Hi Sahih Sab Mubalghey Hi Sahih
Ager Woh Khaab Hai To Tabeer Kar K Dekhtey Hain
Ab Is Sheher Main Thehren K Kooch Ker Jain
Faraz Aao Sitarey Safer K Dekhtey Hain
suraj
QUOTE (cute yusi @ Jan 29 2004, 12:34 PM)
hoon ajab kashmakash mein
huwi zindagi parayi
mere pas teri yadein
tere paas bewafai

mere dil ko tu ne cheena
meri preet jug ne looti
mera dil bhi hai paraya
huwi preet bhi parayi
Diva
Hum Ne Bhi Mohabbat Ki Thi Magar
kuch bhi na mila hasrat ke siwa
tum ne bhi hamain ilzaam diya
kiya kahiyay isay qismat ke siwa
suntay thay wafa ju kertay hain
inaam e wafa paa jate hain
chahat ki nazar rakhne wale
chahat ka sila paa jate hain
dekha tu koee anjaam nahin
ulfat ka ham ne nafrat ke siwa
aisa tu kabhi sucha bhi na tha
tum ham se juda hu sakti hu
jis dil pe thaa itna naaz tumhain
os dil se qafa hu sakti hu
chaha thaa tumhara piyar magar
kuch paa na sake tuhmat ke siwa
***Madiha***
Na Pooch Jab Se Tera Intezaar Kitna Hai
K Jin Dino Se Mujhe Tera Intezaar Nahi
Tera Hi Aks Hai In Ajnabi Baharon Mein
Jo Tere Lab, Tere Bazoo, tera Kinara Nahi
Sajjad khan
hammm................
cool.gif
Zindagi Kiya Hai?


zamaney ne kaha zindagi zulm karney ka naam hai!
sooraj ne kaha zindagi roshni or andherey ka naam hai!
shayar ne kaha zindagi shaairi ka naam hai!
khilari ne kaha zindagi haar jeet ka naam hai!
parindey ne kaha zindagi aazadi ka naam hai!
gulshan ne kaha zindagi khobsurti ka naam hai!
gulaab ne kaha zindagi khushboo ka naam hai!
musafir ne kaha zindagi dukhoon ka naam hai!
ek gum-zada ne kaha zindagi bad-dua ka naam hai!
majnoo ne kaha zindagi laila ka naam hai!
kaantey ne kaha zindagi chubhan ka naam hai!
aashiq ne kaha zindagi ishq karney ka naam hai!
ameer ne kaha zindagi ishq-o-ashrat ka naam hai!
jangal ne kaha zindagi ek khamooshi ka naam hai!
singer ne kaha zindagi ek nagma hai jo nafs k taroon pe bajta hai!
Mai kehta hoon zindagi khuda ki amaanat hai jo ek roz ussey wapas karni hai !!

Diva
^ Hey good one Sajjad
pakishan
Aik cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tumhein dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey thay
pakishan
kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha
pakishan
Yeh Fakhar tou haasil hai, Burey hain ke bhaley hain
Do chaar Qadam Hum bhi, Terey saath chaley hain
Sajjad khan
thanx diva g smile.gif
Sajjad khan
hammm..................
cool.gif
Khamoshi k Darmiyaan hoon mein...

Khamoshi k Darmiyaan hoon mein
Najanay Kahan hoon mein

Jammay Ghafeer hai mere aas pass
Phir bhi Kyu Tanha Hoon mein

Dil k hotay huway bhi ufff
Zaat Say La Makaan hoon mein

itne Be Zabano mein Gira hua
Akela shokh Zabaan hoon mein

Yehaan Sab pehlay jeetay thay?
yeh soch kar murdah hoon mein

Ek din hoonga yaheen ka makeen
iss khauf say aashna hoon mein

Furset yehaan itni kiss ko hai
jo kahay k insan hoon mein

yehaan woh log bhi rach bass chukay
jo kehtay thay khuda hoon mein

Ikhtitaam khatam shud hochuka
aur inn mein ibtida hoon mein

Nasihat ki hamil jaga hai qabr
iss baat per gulfishaan hoon mein

Khatir jama bhi rakh k mein
Quwwat say be sabra hoon mein

Khof-e-marg Louchay ko bhi hai
herat hai k pareshan hoon mein

shy_grrl
payaam aaye hain us yaar-e-bevafa ke mujhe
jise qaraar na aya kahin bhula ke mujhe

nashe se kahuN to nahin yaad-e-yaar kaa alam
ke le uraa hai koi dosh par hava ke mujhe

judaaiyaN hon to aisi keh umr bhar na mile
fareb to do zaraa silsile baraa ke mujhe

main Khud ko bhol chuka tha magar jahaaN vale
udaas chor gaye aina dikha keh mujhe


Sajjad khan
hmmmm..................
cool.gif
KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo KhiYalooN Ki DuniYa MaY BasTi Thi
SooChoN KaY MaskaN MaY RehTi Thi
Wo WeRaaN YaDooN KaY DaMaN MaY BanDhi RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo KiTabooN MaY Gum RehTi Thi
AfsaNoo MaY Apna KirDar TalaShTi Thi
Kuch Na PaNaY Ki SooRaT MaY Udass Si Ho JaTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo ApNaY Hi KhiYaLooN MaY UlJhi UlJhi RehTi Thi
JaNeY KiYa SoochTi PaR KucH Bhi Na Keh PaTi Thi
DuniYa KaY HanGamOO SaY PaReY TanHaie MaY RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo ApNaY irD GirD Ki DuniYa SaY GhabRaie Hui RehTi Thi
AuR ApNaY WaJooD Ko KuD Hi DudsaFi DeNa ChahTi Thi
WoO Sab RasToon PaY JaTi Thi AuR Mur KaY WapaS AaTi Thi


KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo MeRaY DIL MaY RehTi Thi !
KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo KhiYalooN Ki DuniYa MaY BasTi Thi
SooChoN KaY MaskaN MaY RehTi Thi
Wo WeRaaN YaDooN KaY DaMaN MaY BanDhi RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo KiTabooN MaY Gum RehTi Thi
AfsaNoo MaY Apna KirDar TalaShTi Thi
Kuch Na PaNaY Ki SooRaT MaY Udass Si Ho JaTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo ApNaY Hi KhiYaLooN MaY UlJhi UlJhi RehTi Thi
JaNeY KiYa SoochTi PaR KucH Bhi Na Keh PaTi Thi
DuniYa KaY HanGamOO SaY PaReY TanHaie MaY RehTi Thi

KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo ApNaY irD GirD Ki DuniYa SaY GhabRaie Hui RehTi Thi
AuR ApNaY WaJooD Ko KuD Hi DudsaFi DeNa ChahTi Thi
WoO Sab RasToon PaY JaTi Thi AuR Mur KaY WapaS AaTi Thi


KiTni NaDaN Thi WoO LaRki
Jo MeRaY DIL MaY RehTi Thi !



Diva
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke

Sajjad khan
hmmmmmm.....................
cool.gif
Halay dil suna sakty nahi dil kii baat
Hum too sirf ankhoon ki zuban pay aytibar karty hain
Har phool ko nazuk na samja kar ayy dost
Hum to sirf kantoon pay aytibar karty hain
Tum kis jeet ki baat karty hoo
Hum too haar main jeet pay aytibar karty hain
Tum too muhabbat dhondty perty hoo hurr soo
Hum too sirf muhabbat dainy pay aytibar karty hain
pakishan
Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai
pakishan
Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
Sajjad khan
hmmm.............
cool.gif
kuch yadgar e sheher e sitamgar hi le chalen
ae hen is gali men to pathar hi le chalen
yoon kis tarah kate ga karhi dhoop ka safar
sar par khayal e yar ki chadar hi le chalen
ranj e safar ki koi nishani to paas ho
thorhi si khak koocha e dilbar hi le chalen
yeh keh kar cherhti hai hamen dil gariftagi
ghabra gay hen aap ,to bahir hi le chalen
is sheher e be charagh men jae gi too kahan
aa a shab e firaq ,tujhay ghar hi le chalen
Diva
Zindagi se badi Saza hi nahi
Aur kya jurm hai Pata hi nahi

Itne hisson mein butt gaya hoon main
Mere hisse mein kucch bacha he nahi

Sach ghate ya Bade to Sach na rahe
Jooth ki koi inteha hee nahi

Judd do chaandi mein chahe sone' mein
Aaina jooth bolta hee nahi
Road_Runner
Sach ghate ya Bade to Sach na rahe
Jooth ki koi inteha hee nahi smile.gif
Sajjad khan
hmmm..............
cool.gif
Har Khushee main koi kami si hai
Hansti aankhoon main bhi nami si hai

Din bhi chup chaap sar jhukaaye thaa
Raat ki nabz bhi thami si hai

Kis ko samajhaayen kisi ki baat nahin
Zahan aur dil main phir Thani si hai

Khuaab thaa yaa Gubaar thaa koi
Gard in palakon pay jami si hai

Keh gaye hum kaise dil ki baat
Shahar main ek sansani si hai

Hasaratain raakh ho gain lekin
Aag ab bhii kahin dabi si hai
angaara
tumhen hai shauq agar bijliyaan giraane ka
humara kaam bhi hai aashiyaan banaane ka

bhala woh kaise sumandar ke paar utrega
nafas nafas jinhen khadshaa hai do0ob jaane ka

suna hai aap hain maahir hawa chalaane mein
magar humen bhi hunar hai diye jalaane ka

kaisa?!? biggrin.gif
Cupid
bahot khuub angaara...
Cupid
user posted image
Sajjad khan
hmmmm.................
cool.gif
hijer ki bad duaa na ho jana
daikh laina saza na ho jana!

more to bay shumar aain gay
thak na jana,juda na ho jana

ishiq ki intiha nahin hoti
ishiq ki intiha na ho jana

zindgi dard say ibaret hai
zindgi say khfa na ho jana

ik tumhi ko khuda say manga hai
tum kahin bay wafa na ho jana!!
Cupid
good one sajad khan
Sajjad khan
Thanx cupid g:)
Sajjad khan
hmm.......
cool.gif
another one

rait pe likh ker naam mera mitaya na kero
ankhain sach bolti hein pyar chupaya na kero

loog her baat ka afsana bana lete hein
sab ko halaat ki rawadad sunaya na kero

yeh zaroori nahin her shakas maseeha he ho
pyar k zakham amant hein dekhaya na kero

shaher-a-ehsaas mein patheraoo buhat hai Sanam
dil k sheshay ko jharokoon mein sajjaya na kero

Diva
Humm nay sunaa thaa Seh'n-e-chaman maiN Kaif kay Baadal chaahye haiN
Humm bhee gaye thay Jee Behlaanay, ashk bahaa kar aaye haiN

Phool khilay tau Dil murjhaaye, Shamma jalay tau jaan jalay
Aik Tumhaaraa Ghum apnaa kar Kitnay Ghumm apnaaye haiN

Aik Sulagti yaad, Chamaktaa dard, FarozaaN Tanhaaie
Pooch naa uss kay Sheh'r say humm kiyaa kiyaa soghaataiN laaye haiN

Soye huvay jo dard thay dil maiN, aaNsoo bun kar beh niklay
Raat sitaarouN kee chaahouN maiN yaad, woh kiyaa kiyaa laaye haiN

Aaj bhee Sooraj doob gayaa hai, Bay Noor Ufaq kay Saagar maiN
Aaj bhee phool chaman maiN tujh ko bin dekhay murjhaaye haiN

Aik Qiyamat ka sann-naaTa, Aik balaa kee taareeki
In galiyouN say door naa Hanstaa Chaand naa roshan saaye haiN

Piyaar kee boli, bol naa Jaalib iss basti kay logouN say
Humm nay Sukh kee kaliyaaN kho kar dukh kay kaaNTay paaye haiN
Sajjad khan
hmmm...............
cool.gif
Kisi Se Bat karna Bolna Acha nahin lagta...
Tujeh Dekha jab Se Koi Dosra Acha nahin lagta....
teri Ankhon main Mainay jab se Appna Aks Dekha HAi...
meray Cheray Pay Koi Aina acha nAhin lagta..
teray baray main Din Bhar Sochta reehta Hon..
lekin teray baray main kisi Se PuchnA Acha nAhin lagta...
yahan Ehel-e-Muhabat Umer Bhar Darbar reheti hai...
ye Dariya hAi Ise Kacha Ghara acha nahin lagta..
main muhabat ki us manzil pay a pohoncha hon ....
teri janib kisi ka dekhna acha nahin lagta...
angaara
Do read the last verse.....
tu bhi kissi ka pyaar na paaye Khudaa kare
tujh ko tera naseb rulaaye Khudaa kare

raaton mein tujh ko neend na aaye Khudaa kare
tuu dar-ba-dar ki thokaren khaaye Khudaa kare

aaye bahaar tere gulistaan mein baar baar
tujh per kabhi nikhaar na aaye Khudaa kare

meri tarah tujhe bhi jawani mein ghum mile
tera na koi saath nibhaaye Khudaa kare

manzil kabhi bhi pyaar ki tujh ko na mil sake
tu bhi duaa ko haath uthaaye Khudaa kare

tujh par shab-e-visaal ki raaten haraam hon
shammen jalaa jalaa ke bujhaaye Khudaa kare

ho jaayen bad-duaayen meri doston ghalat
ab un pe koi harf na aaye Khudaa kare

hmmm... kahani mein twist lekin its simply, Zaaaaaaaaaaaaaalim -- ufff!!!
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2010 Invision Power Services, Inc.